Wikipedia

Search results

Sunday, 9 August 2015

Guftago ke Adaab


“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Daryaaft Kiya Gaya :
(Ya RasolAllah ﷺ !) Koun Se Aamaal Hain Jo Logon Ko Bakasrat Jannat Me Le Jaayenge ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ka Khouf (Ya’ni Taqwa) Aur Achchhe Akhlaaq.
(Phir) Un Chizon Ke Baare Me Puchha Gaya Jo Zyada Logon Ko jahannum Me Le Jaane Ka Ba’is Hain ?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Moo’nh Ya’ni Zabaan) Aur Sharmgaah (Ya’ni Un Donon Ka Galat Istemaal Karna).”
رواه الترمذي  وابن ماجه.
وقال أبوعيسى : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi As-Sunan, 04/363, Raqam-2004,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1418, Raqam-4246,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/291, Raqam-7894,
Ibn Hibban As-Sahih, 02/224, Raqam-476,
Hakim Al-Mustadrak, 04/360,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/110, Raqam-294.]

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Tum Jaante Ho Ki Ghibat Kya Hai ?
Sahaba-E-Kiram Riwan-ul-Allahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya :
Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool ﷺ Hee Behtar Jaante Hai.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Ghibat Yah Hai Ki) Tum Apne (Musalman) Bhai Ka Is Tarah Zikr Karo Ki Jise Woh Napasand Karta Hai.
Arz Kiya Gaya :
(Ya RasoolAllah ﷺ !) Agar Woh Baat Mere Us Bhai Me Paayi Jaati Ho Jo Mein Kah Raha Hoo’n (To Kya Phir Bhi Ghibat Hai ?)
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Agar Woh Baat Us Me Hai Jo Tum Kah Rahe Ho To Yahi To Ghibat Hai Aur Agar (Woh Baat) Us Me Nahin Tab Tum Ne Us Par Bohtaan Lagaaya.”
رواه مسلم والترمذي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim As-Sahih, 04/2001, Raqam-2589,
Tirmidhi As-Sunan, 04/329, Raqam-1934,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/269, Raqam-4874,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 06/467, Raqam-11518,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/230, Raqam-7146, 9873,
Darimi As-Sunan, 02/387, Raqam-2714.]

“Hazarat Ooqba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Nijaat Kya Hai ? (Ya’ni Kisi Milte Hai ?)
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Apni Zabaan Ko (Buri Baaton Se) Roke Rakho Aur Chaahiye Ki Tumhaara Ghar Tum Par Kushaada Ho (Ya’ni Apne Gharon Ko Allah Ta’ala Kee Ibadat Me Mashghool Hone Aur Ghayr-ul-Allah Se Khilwat Ikhtiyaar Karne Ke Liye Laazim Pakado) Aur Apne Gunaahon Par (Naadim Ho Kar) Roya Karo.”
رواه الترمذي وأحمد والطبراني.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi As-Sunan, 04/605, Raqam-2406,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/259, Raqam-22289,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/270, Raqam-741.]

“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne (Buri Baat Se) Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Woh Nizaat Paa Gaya.” –

[Tirmidhi As-Sunan, 04/660, Raqam-2501,
Darimi As-Sunan, 02/387, Raqam-2712,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/159, Raqam-6481, 6654,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/264, Raqam-1933,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 04/254, Raqam-4983.]

“Hazrat Aboo Zar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Yah Farmate Huwe Suna :
Jis Ne Kisi Shakhs Ko Kaafir Ya Dushman-E-Khuda Kah Kar Pukaara Hala’n Ki Woh Aisa Nahin Hai To Yah Kufr Us (Kahne Waale) Kee taraf Laut Aayega.”

[Muslim As-Sahih, 01/79, Raqam-61,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/166, Raqam-21503,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/155, Raqam-433,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 03/51, Raqam-3040.]



“Hazrat Abdullah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Musalman Ko Gaali Dena Gunaahe (Kabira) Aur Use Qatl Karna Kufr Hai.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 01/27, Raqam-48, & 05/2247, Raqam-5797, &
06/2592, Raqam-6665,
Muslim As-Sahih, 01/81, Raqam-64,
Tirmidhi As-Sunan, 04/353, Raqam-1983,
Nasa’i As-Sunan, 07/121, Raqam-4105,
Ibn Majah As-Sunan, 01/27, Raqam-69.]

 

“Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Mujhe Apne Donon Jabadon Ke Darmiyan (Ya’ni Zabaan) Aur Donon Taangon Ke Darmiyan (Ya’ni Apni Sharm Gaah Kee Hifaazat) Kee Zamaanat De To Use Jannat Kee Zamaanat Deta Hoo’n.”

[Bukhari As-Sahih, 05/2376, Raqam-6109,
Tirmidhi As-Sunan, 04/606, Raqam-2408,
Malik Al-Muwatta’, 02/987, Raqam-1787,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/333, Raqam-22873.]

 

“Hazrat Umme Kulsoom Binte Ookba RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Woh Shakhs Jhoota Nahin Jo (Jhoot Bol Kar) Logon Ke Darmiyan Sulah Karwaata Hai Pas (Us Sulah Ke Liye Woh Fariqain Ko Aik-Dusare Ke Baare Me) Bhalaayi Kee Baat Kahta Hai.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 05/958, Raqam-2546,
Muslim As-Sahih, 04/2011, Raqam-2605,
Ibn Hibban As-Sahih, 13/40, Raqam-5733,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06/403, Raqam-27313,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 25/76, Raqam-188.]  

 

Hazrta Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Bahut Zyaada La’n Ta’n Karne Waale Log Qiyamat Ke Din Na Gawaahi Dene Waale Honge Aur Na Shafa’at Karne Waale Honge.”

[Muslim As-Sahih, 04/2006, Raqam-2598,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06/448, Raqam-27569,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/117, Raqam-316,
Ibn Hibban As-Sahih, 13/56, Raqam-5746,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 10/193.]  

 

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Kisi (Achchhe) Dost Ko Bahut La’n Ta’n Karne Waala Nahin Hona Chaahiye.”

[Muslim As-Sahih, 04/2005, Raqam-2597,
Tirmidhi As-Sunan, 04/325, Raqam-2019,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 10/193, &
Shuab-ul-Iman, 04/293, Raqam-5151,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/136, Raqam-7735,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 03/312, Raqam-4211.]  

 

 

No comments:

Post a Comment