Wikipedia

Search results

Tuesday, 24 February 2015

Qabr wale sunte hai

 Assalamu alaikum
baaz log ye aitraaz karte hai ke qabr me jo mitti daala jaata hai to log aitraaz karte hai ise nhi padhna chahiye aur bolte hai ke ye saabit hai ye kaha likha hai

Hazrat sumama raziallahu anh rivayat karte hai ke jab huzur ki beti bibi qulsum intiqal hogayi thi to huzur yahi dua padhe they
(Min ha khalak na kum wa fi ha nui do kum wa min ha nukhri jo kum tarathan ukh ra)
            ( Tarjuma )
Issi zameen me hum ne tumhe paida kiya aur issi me phir waapas lautayengey aur issay phir dobara tum sab ko nikal khada karenge

Surah al taha aayat no 54
Ye surah nazil hui aur ye dua isliye padha gaya jab aap sallalahu alaihe wassalam ki beti kaa intiqal hazrst bibi qulsum ja  hua tha aur ye peesh e musnad hai ise imam ahmad bin hambal ne farmaya hai
safa 254 jild 5

Kya murde qabr me sun sakte hai

Baaz log ka yeh kehna hai ke qabr me murde sunte nhi hai aur is par kuch quran shareef ki aayat ko pesh karte hai ayye isko samjh ne ka koshish karte hai
surah namal aayat 80

Beshak aap murdo ko nhi suna sakte hai aur na behro ko apni pukaar suna sakte hai jab ke wo peet phere rooh gardani kar rahe hai ibn kaseer rahmatullah alaihe jallaluddin siyuti rahmatullah ye aayat kuffar ke liye utra tha aur ise kuch log momin allah ke wali par chap sate hai

Har musalman ko sab se pehle ye cheiz dekhna chahiye ke kon aayat kiske haq me utra hai aur sab se pehle hame ye dhhna chahiye ke ye aayat kis moujuh par utra hai aur allah pak kaaafir o ke baare ye baat farmata hai ke jo kaafir hai jo zinda me bhi murda hai aur marne ke baad bhi aur hamesha murda hai
Aur allah ke wali log jo wo kal bhi zinda they aaj bhi zinda hai aur kal bhi zinda rahenge wo ek ghar se dusre ghar jaate hai
Jawab

Surah fatir aayat no 22
Aur zinda aur murda barabar nhi hosakta allah pak jise chahta hai suna deta hai

Surah rum aayat 52

Beshak aap murdon ko nahi suna sakte aur na behro ko apni aawaz suna sakte hai jab ke woh pett pher kar mudd gaye hoan.

Beshak aap unlogo ko nahi suna sakte hai jinho ne eiman nahi laaya ye aayat kafiro ke liye hai surah rum aayat no 53 me allah pak ne jawab diya ke aap kisko suna sakte hai
Surah rum ayaat 53
Aur na ap andhe ko unki gumrahi  se hidayat karne waale hai aap to sirf unhi logo ko sunate haai ho hamari aayato par eiman laaye is aayat se pata chala ke aap eiman waalo ko suna sakte hai aur eiman waale kon hai allah ke wali hai  momin hai nek babde hai sihada hai suahileen hai isi ke liye hamare jitna bhi buzurg hai wo aunte hai aur allah se mang kar hame dete bhi hai

              Hadees bukhari jild 2 kitab ul janaza pg 368

Murde apne ird gird ke aqwal ko samjhte hai aur jab janaza nek shakshiyat ka  uthaya jaata hai to wo kehte hai ke jaldi karo to phir agar bura hote hai to kehte hai kidhar hame le jaarahe ho iska bolna insaan jin ke siwa sab makhlook sunta hai aur aagar insan sune to bhiosh ho kar gir jaaye

Ke aap dekhye ke imam bukhari ne bhi is hadees ka baab qaym kyaa  huzur sallalahu alaihe wassalam ka farman hai aur ise koi radd nahi kar sakte jo kare qufr hai
Ke murde sunte hai bhi samjhte  bhi hai bolte bhi hai jo nek log hote hai  wo allah se milne ki jaldi karte hai aur jo kafir hote hai to muh phere hue rehte hai wo nahi jaana chahte  hai to is hadees se saaf hogaya quran pak ka aayat (allahamdolillah)

Ke aap hairaat hoyenge ke abdul wahab najdi ne bhi iska tazkira  kiya  hai ayye dekhte hai usne kya likha hai is par
Ibn abdul wahab najdi jo ke ahle hadees ke bahut bade aimma hai
Tamim ne apni kitab ahkam tamaini al mout me likhte hai jinka mafhoom kch aisa hai baaki aur hakim waghairah me mmarfoo rivayat hai ke allah aur aap rasool sallalahu laihe wassalam ne farmaya jo sohada par salam bhejta hai wo uskaa zaroor jawab dete hai aur nabi sallalahu alahe wassalam ahud ki shohoda ki qabr par tashreefle gaaye aur farmaya ke ay allah beshak me tera bandauur rasool gawahi deta hu ke ye sab shaheed hai jo bhi qayamat tak inki zyarat kare ye in par salam bheje to ye iska jaawab dete hai



Assalamu alaikum

Part 2

Qabr me murde sunte hai

Ibn abdul wahab najdi ki kitab kitab ul ahkam tamaini al mout me likhte hai saheed ibn mushad raziallahu anh farmate hai aaya me jab masjid e nabvi me yazeed ke fouj ne hamla kiya aur waaha  apne gheeron bande aur aazan diya namaz k liye saf bande syedina ibn mushab raziallahu anh deewane ke roop dharan kar ke masjid e nabvi me padh rahe they aur yazeed ke fouj be bhi aap ko deewana samjh kar khaayal nhi kya syed ina mushab raziallahu anh qabr shareef se har namaz ke waqt takbeer ka aawaz sunte aur namaz ada kar liya karte

Mazid likhte hai umar faruq raziallahu anh ki zamane me ek bahut mottaqi aur ibadat guzar tha aur ek qabira gunah karne waala tha aur allah ne ise mehfooz rakha is noujaawan ke dil me appna kaabeeera gunah ko khayal aaya aur surah al aaraf  aayat no 201 ko padha kya soch kar itna naadem hua phir nadamat kiya aur behosh hogaya uske waalid use utha kar ghar legaye raat ki kisi pahar usko thodi deer par hosh aaya to uske waalid nee pucha beeta kya hua hai phir usi aayat ka zikr kiya aur apne ghalti par itna naadim hua aur intiqaal hogaya uske waalid ne usey ghusl kara kar usey dafn kar diya phir subha hua to umr faruq raziallahu anh unke waalid ke pass aagaye taziat kari aur farmaya:mjhe tum ne kyu nahi farmaya waalid ne kaaha raat kee waqt tha phir umr faaruq raziallahu anh ne farmaya chalo iski qabr par jab umr faaruq raziallahu anh unki qabr par tashreef laaye aur farmaya falah ay falah waali    (man kaahafa makama ruhubi hi jannatan )
Ke jo apne rab ke saamne  khade hone se dar jaaye uske liye do jannat hai  to us noujawan ne qabr ki andar se jaawab diya ay umr faaruq raziallahu anh mere rab ne mjhe do jannat aata farmaya





Bismillah hir rahman hir rahim

3 part qabr waale sunte hai

Surah rum aayat 52 & 53
Beshak aap murdo ko nahi suna sakte na behro ko apni aawaz suna sakte hai

Aayat 53

Aap unhi logo ko suna sakte hai jo hamare aiton par eiman laaye

Isse pehle ko rivayat bheja hu umar faruque raziallahu anh k baare wo momin log k liye aur abhi ye jo aayat hai  53 kuch aayat  wo eiman waalo ke liye hai aur 52 me kafir k liye hai aap ghaur kare surah fatir aayat no 22 me
Allah taala jise chahta hai suna deta hai aur aap unlogo ki nahi suna sakte jo qabr o  me hai aap to sirf darane waale hai

Jo rivayat jo hadees pesh kiya jaaraha hai abhi wo hadees khuffar e makka k liye hai jise jang e badr me qatl kiya gaaya ye aayat unlogo ke liye jo marne ke baad bhi allah ne sunaye rasool sallalahu alaihe wassalam ne jo farmaya kyu ke wo log aur khauf zada ho aur momin ka eiman aur bade

Shahe bukhari verse 59 hadees 317
         Hadees
Ibn umar raziallahu anh rivayat karte hai k huzur sallalahu alaihe wassalam khade hue quwe ke pass jung e badr me jiske andar kaafir o ka lash tha quwe me aur farmaya kya tum ne sach ko jaan liya jo waada rab ne tum se kiya tha tab aaap sallalahu alaihe wassalam aage farmaya ye sun sakte hai jaise pehle aap sallalahu alaihe wassalam ne phir aage farmaya ye sun sakte hai jaise pehle sunte hai

             Imam jauzi imam mulla ali qari imam askalani ibn hajar imam baghwi imam al usi imam ghazali imam bayazeed bustami imam maalik ibn taymiyah in logo ne  tassawuf par kitab likha hai jab insaan inteqaal kar jaata hai inteqaal kar jaata hai to inteqaal ka lafzi maana hota hai k ek jagah se dusri jagah par chale jaana ruh fana nahi hota barzak me do aalam hai ek hai khairul aalam aur ek hai shar e aalam jise mubtula e aazab kaaha jaata hai to waaha pe inlogo ko aazab hota hai jo kafir hai wo ek jagah qaid me hote hai aur usey eisal e saawab nahi pohanchti isi ke liye allah pak quran paak me farmata hai surah rum ki aayat 52  me jab ke wo pet pher kar hai kyu ke ye eisal e saawab me na ise acha sunai jaati hai na dikhai aur nahi kch bol sakta hai isey qabr e aazab me mubtula rakha jaata hai aur ye aazab zaalim o par hota hai balke ibn tamiyah bhi ise maante hai jiske waahabi follower hai
Tirmizi nasai aur haakim me rivayat hai saahabi log qabr me kheime gaade hue they to unhone kch padhne ki aawaz suni wo aap sallalahu alihe wassalam ke pass gaaye aur bole k hum ne kch sune aap sallalahu alaihe wassalam ne farmaya:surah mulk jo qabr ki aazab se bachata hai murde ko uluma e hadees ka bayan karte hai ke wo shaks surah mulk se mohabbat karta hai allah ne use qabr me padhne ka garantee de diya wo padhte hai
Ke ise aalam e khair kaha jata kyu ke allah pak farmata hai tum use hi suna sakte ho jise allah chahta hai ye khair par hai
Ibn taimiyah se apne fatwa me farmaya
Vol 22 pg no 331 shaykh ul ibn taymiyah😳
Murde ko sunne ka taaqat rehta hai aur wo samajh te bhi hai
Ibn taymiyah farmate hai apni kitab shaykh ul ibn taymiyah me k nabi sallalahu alaihe wassalam ne farmaya jab tum qabr k pass se guzro to tum unse saalam karo jo tumhare bhai hai jinhe tum duniya  me jante they aur jo qabr me hai wo tumhe jante hai aur tumhe saalam ka jaawab bhi dete hai kehte hai ya rafa hu wa yah radu alaihem assalam isse hame pata chala hai ke jo qabr me hai jaante hai aur dua  bhi karte hai zinda logo k liye
Kitab ul Majumout  al fatwa
Abdul waahab najdi

Nabi akram sallalahu laihe wassalam ne farmaya jo murde ko dafn karke ghar jaate hai tab murde uske qadm ki bhi aawaz ko sunte hai

Yash shamu karani alaihem

Ye kaafir ke liye hai jise murda  aur behra kaaha gaya hai book of bukhari and muslim kitab uul janaza vol 24 pg 362 jisma

No comments:

Post a Comment