Khouf e khuda me rone ka bayan
(1) “Hazrat Aboo Hurairat RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Farmaya :
Mujhe Apni Ijzat Kee Qasam !
Mein Apne Bande Par Do² Khouf Aur Do² Aman Ikat’the Nahin Karunga.
Agar Woh Mujh Se Duniya Me Khouf Rakhega To Mein Use Qayamat Ke Roz Amn Me Rakhunga Aur Agar Woh Mujh Se Duniy Me BeKhouf Raha To Mein Use Qayamat Ke Roz Khouf Me Mubtila Karunga.”
–
[Ibn Hibban As-Sahih, 02/406, Raqam-640,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/482, Raqam-777,
Ibn Mubarak Kitab-uz-Zuhad, 01/50, Raqam-157,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 04/131, Raqam-5110,
Haythami Mawarid-uz-Zaman, 01/617, Raqam-2494, &
Majma’-uz-Zawa’id, 10/308.]
(2) “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ko Do² Qatron Aur Do² Nishaanon Se Zyaada Koi Cheez Pasand Nahin :
Allah Ta’ala Ke Khouf Se (Bahne Waale) Aansuon Ka Qatra Aur Allah Ta’ala Kee Raah Me Bahne Waala Khoon Ka Qatra.
Rahe Do Nishaan To Aik (Hai) Alla Ta’ala Kee Raah (Me Chalne) Ka Nishaan Aur (Dusara Hai) Allah Ta’ala Ke Fara’iz Me (Pad Jaane Waale) Kisi Farize (Kee Adaaygi) Ka Nishaan.”
رواه الترمذي وحسنه والطبراني.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 04/190, Raqam-1669,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir 08/235, Raqam-7918,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/192, Raqam-2067,
Ibn Abi Asim Kitab-ul-Jihad, 01/323, Raqam-108.]
(3) “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Allah Ta’ala Ko Yaad Kiya Aur Us Ke Khouf Se Us Kee Aankhe Is Qadar Ashkbaar Huwi Ki Zameen Tak Us Ke Aansoo Pahunch Gaye To Allah Ta’ala Use Qayamat Ke Din Azaab Nahin Dega.”
رواه الطبراني والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Hakim Al-Mustadrak, 04/289, Raqam-7668,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/178, Raqam-1641, 6170,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 04/113, Raqam-5023.]
(4) “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Do² Aankhon Ko (Dozakh Ki) Aag Nahin Chhuyegi :
(Aik) Woh Aankh Jo Allah Ta’ala Ke Khouf Se Royi Aur (Dusari) Woh Aankh Jis Ne Allah Ta’ala Kee Raah Me Pahra De Kar Raat Guzaari.”
رواه الترمذي وحسنه والحاكم.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 04/92, Raqam-1639,
Hakim An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Fi Al-Mustadrak, 02/92, Raqam-243,
Qada’i Musnad-ush-Shihab, 01/212, Raqam-321,
Tayalisi Al-Musnad, 01/321, Raqam-2443,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, 01/422, Raqam-1447,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 04/16, Raqam-4235,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 03/48, Raqam-4125,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/158, Raqam-1918.]
(5) “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Roz-E-Qayamat Ke Din) Allah Azza Wa Jalla Farmayega :
Dozakh Me Se Aise Shakhs Ko Nikaal Do Jis Ne Aik Din Bhi Mujhe Yaad Kiya Ya Mere Khouf Se Kabhi Bhi Mujh Se Dara.”
رواه الترمذي وحسنه والحاكم.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 04/712, Raqam-2594,
Hakim Al-Mustadrak, 01/141, Raqam-234,
وقال الحاكم : صحيح الإسناد ،
05/244, Raqam-8084,
Ibn Abi Asim Kitab-us-Sunnah, 02/400, Raqam-833,
Bayhaqi Kitab-ul-I’tiqad, 01/201.]
No comments:
Post a Comment