Shaan e sahaba
Ek martawa HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM
ne siddik-e-akbar raziyallahu taala anhu ko apni
anguthi Mubarak di aur farmaya ki is par lailaha
ilallah likhwa laao siddik-e-akbar gaye aur anguthi
par lailaha ilallah likhwa laye jab anguthi HUZUR
SALLAHU AALEHI WASSALLAM ki khidmat me pesh
ki to us par likha thaa lailaha ilallah Muhammadur
rasool allah aur uskey sath hi siddik-e-akbar ka
naam bhi likha thaa HUZUR SALLAHU AALEHI
WASSALLAM ne daryaft farmaya abu bakre humne
to lailaha ilallah likhwane ko kaha thaa magar tum
hamara naam bhi aur apna naam bhi likhwa laye
arz kiya HUZUR mera dil na maana thaa ki khuda
ke naam ke sath aapka naam na ho yeh aapka
naam to maine hi likhwaya magar mera naam yeh
to yaha tak aate aate hi likh gaya hai warna maine
hargiz nahi likhwaya itne me zibrayil ameen hazir
huye aur arz kiya YA RASOOL ALLAH khuda ne
farmaya hai ki siddik is kaam par raazi na huye ki
aapka naam hamare naam se juda kare siddik ne
aapka naam hamare naam ke sath likhwaya humne
siddik ka naam aapke naam ke sath likha diya
( tafseer-e-kabir jild 1 safa 91 ) SABAK—siddik-e-
akbar raziyallahu taala anhu HUZUR SALLAHU
AALEHI WASSALLAM ke sachche rafik hai har jagah
HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ke sath hai
ALLAH TAALA khud is rifakat ka shaahid hai
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
Ek din HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM
sahabaye kiram ke sath apni masjid me raunak
afroz they ki ek munafik Jo bazahir musalman thaa
aaya uski pindliyo se khoon bahe raha thaa HUZUR
ne daryaft farmaya yeh keya hua usne bataya ki
fala muhalle ki fala gali se guzar raha thaa ki waha
ek kutiya ne mujhe kaat liya thodi der baad ek aur
munafik aaya uski pindliyo se bhi khoon bahe raha
thaa usne bhi yahi bataya ki us kutiya ne mujhe
bhi kaat khaya hai HUZUR SALLAHU AALEHI
WASSALLAM ne sahabaye kiram se farmaya chalo
us kutiya ko dekhe mumkin hai wahe diwani ho gai
hai chunanche HUZUR sahabaye kiram ke sath
waha pahuche to us kutiya ne HUZUR ko dekhte hi
aapke kadam Mubarak par lotna shuru kar diya jab
HUZUR ne pucha ki tune in dono ko keyu kaata to
wahe bazabane fasih ( saaf zuban ) boli YA
RASOOL ALLAH yeh dono munafik hai yeh dono
aapke yaare gaar siddik-e-akbar aur farukh-e-
azam ko gaaliya de rahe they mujhe gussa aaya to
maine inhe kaat khaya HUZUR SALLAHU AALEHI
WASSALLAM ne fir un dono aadmiyo se pucha to
unhone ikrar kiya aur tauba ki ( jamiul mujizat safa
16 ) SABAK— siddik-e-akbar aur farukh-e-azam
raziyallahu taala anhu ko Jo gaaliya deta hai usse
to janwar bhi achche hai yeh bhi maloom hua ki
sahabaye kiram ko gaaliya dene wale se kutte bhi
adawat rakhte hai fir Jo dushmanane sahaba se
dosti rakhe sochiye ki wahe kaun hai
♥♥♥♥♥
Ek martawa HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM
ki khidmat me bahot sa ganimat ka maal haazir
thaa HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLA usey
takseem farma rahe they jab Sara maal aap baat
chuke to ek sone ki anguthi bach gai HUZUR
SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne nazar-e-
mubarak uthakar sahabaye kiram ko dekha aur fir
nazare neeche kar le fir nazar uthakar dekha aur
Hazrat bara raziyallahu taala anhu ko bulaya
Hazrat bara raziyallahu taala anhu hazir huye
HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne farmaya
baith jaao bara raziyallahu taala anhu baith gaye
HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne anguthi
lekar Hazrat bara raziyallahu taala anhu ki kalai
thaam li fir farmaya pahen le Jo kuch tujhe ALLAH
ka RASOOL pahenaye Hazrat bara raziyallahu taala
anhu ne wahe anguthi pahen li iske baad dosto ne
Hazrat bara raziyallahu taala anhu se farmaya aye
bara tum yeh sone ki anguthi keyu pahente ho jabki
HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ne isey
mana farmaya hai Hazrat bara raziyallahu taala
anhu ne sara wakiya sunkar jawab diya ki Jo
anguthi mujhe khud RASOOL ALLAH SALLAHU
AALEHI WASSALLAM ne yeh farma kar ki le pahen
le pahenai hai to main keyu na pahenu ( ibne abi-
shaiba al- amn wal- ula safa 168 ) SABAK—
sahabaye kiram ka iman thaa ki HUZUR SALLAHU
AALEHI WASSALLAM ka irshad hi shariyat hai wahe
jis cheez se rok de wahe nazayaz hai wahe jis kisi
ko kisi cheez ki izazat de de to wahe uske liye
jayaz hai chunanche sone ki anguthi sare
mushalmano ke liye haram aur sirf Hazrat bara
raziyallahu taala anhu ke liye jayaz isliye Hazrat
bara raziyallahu taala anhu wahe anguthi pahente
rahe
♥♥♥♥♥
▄-Sunniyo–Ke
▄–Nabi’-Zinda haI….!
▄–Ess Liye toh”Sunni
kahte hai……!
▄-“Bhar Do Jholi
—-Meri Ya Muhammad…!
▄—Ab Hadees”—
ki Rosni main-“Sunni
-“-A’kida”-…..
————–
▄Hadrat Abu Bakr (radiallahu anhu) Ka
Aqeeda Tha Ki “Aaqa Wa Moula (sallalaho alayhe wasalum)
-“Wisaal e Zahiri K Baad
–“Roza Athar
–“Main Zinda
Hai, Is Liye Unho Ne,
Wisaal Se Qa’bl Ye Wasiyat
Farmayi Ki :
–“Mera Jinaza Hazoor (sallalaho alayhe
wasallam)”-
Ke -“Hujra Mubarak Ke Saamne Rakh Dena Aur
-“Ijazat Talb Kar Dena.
Agar -Darwaza Khul Jaye
Aur Ijazat Mil Jaye
Toh Mujhe Hujra Mubarak Ke
Andhr Dafan Karna..!
Warna Aam Qabristaan
Main Dafan Kar Dena Suhaba Kiraam Ne
Aisa Hi Kiya
“Jab Aap Ka Jinaza Roza “Aqdas Ke
“Saamne RakhaGaya To
-Darwaza Khul Gaya Aur Roza
-“Aqdas Se Aawaz Aayi
-“Dost Ko Dost Ke Paas
Le Aawo.
▄[ Tafseer e Kabeer,,,,,
(Jild:5,Safa:685) ]
▄[ Khasasi’ul Qubra,,, (Jild:2,Safa:282) ]
▄▄-“Yahi Har -“sahaaba e kiraam Radiallahu Anhu
ka Aqeedah hai, Ki Huzur Sallallahu Alaihi
wasallam apne Wisaal e Zahiri K Baad Roza Athar Main Zinda Hain.
▄▄▄
▄–Wahabi–Akida
▄-Islamil Dahelvi (Wahabi Najdi Tabligi
AHLEKHABEES Zakir
Nalayak KaPeshwaa Aur
Molvi) :
Ye Inke Mazhab Ki Buniyadi Kitab TAQVIYATUL
IMAAN me likhta hai:
-i► रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलेह
वसल्लम मर कर मिटटी में
मिल गए – (माज़ल्लाह )
{ ताक्वत उल इमान page
53..BY..पंडत इस्माइल देहलवी }
———–
——–Dua—
ALLAH AZZWAJAL
In Bad-Mazhab Munafiqon Ke hamare Imaan Ki Hifazat Farmaye aur jaha,
Yah dikhe unko Marne ki tofik de……!
—-AameeeeN——
——-@@—————!!!
♥♥♥♥♥
NABI KA FAISLA NA MAAN KAR WOH JAAN SE GAYA !!!
MIZAAJ UMAR KA HAI KAISA HUZOOR JAANTE HAI !!!
ALLAH TA’ALA ne Irshad farmaya:
AL-QURAN:
فَلَا وَرَبِّکَ لَا یُؤْمِنُوۡنَ حَتّٰی یُحَکِّمُوۡکَ فِیۡمَا شَجَرَ بَیۡنَہُمْ ثُمَّ لَا یَجِدُوۡا فِیۡۤ اَنفُسِہِمْ حَرَجًا مِّمَّا قَضَیۡتَ وَیُسَلِّمُوۡا تَسْلِیۡمًا
Translation [kanzul-Iman]:
“To Ae Mahboob! tumhare RABB ki Qasam woh Musalman
na honge Jab tak Apne Aapas ke Jhagde me tumhe
Haakim na banae phir jo kuch tum hukm farma do
Apne dilo me usse rukavat na pae aur ji se maan le”
⇨⇨⇨
(AL-QURAN,Parah:5,Surah An-Nisa:65)
TAFSEER
“Hazrat Utba bin Zamara (رحمه الله) se woh apne baap se
rivayat karte hai ki
2 Aadmiyo’n ne NABI KAREEM ( صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ki khidmat me
jhagda pesh kiya to HUZOOR ( صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ne Haqdar ke Haq
me Faisla kar diya,to jiske khilaf faisla hua tha usne
kaha Mai Raazi nahi,Saathi ne pucha tu kya Iradah rakhta
hai to usne kaha Mai ye Iradah rakhta hu ki
Tu Hazrat Abu Bakr Siddiq ( رضی اللہ عنہ ) ke pas jae Dono Aap
Hazrat Abu Bakr Siddiq ( رضی اللہ عنہ ) ke pas gae to aapne farmaya
tumhare liye wahi faisla hai Jo RASOOLALLAH ( صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم)
ne kiya hai,to usne ye bhi maanne se inkar kar diya
aur kaha Hum Hazrat UMAR ( رضی اللہ عنہ ) ke pas chalte hai,woh
dono Aapki khidmat me haazir hue,Hazrat Umar ( رضی اللہ عنہ )
Apne ghar tashreef le gae,Aap bahar tashreef
lae jabki Talvaar unke hath me thi,to Jisne pehle
maanne se inkar kiya tha uske sar par talvaar maari
aur use Qatl kar diya,to ALLAH TA’ALA
ne is ayat ko Nazil farmaya”
{Surah Nisa Ayat:65 ko}
⇨⇨⇨⇨⇨
(Imam Suyuti [Died in 911 Hijri] in his Tafseer ”DURR-E-
MANSOOR-FI-TAFSEER-BIL-MASOOR” Jild:2,Page:497-498
Parah:5,Surah Nisa:Ayat:65)
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
“Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Marwi
Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ney Farmaya :
Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Agar Tum Mey Sey Koi Uhad
Pahaad Key Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un
Key Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch
Sakta.”
Isey Bukhari Ney Riwayat Kiya Hey Aur Imamey Muslim Ney
Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey In Alfaz Key
Izaafey Key Saath Riwayat Kiya Hey :
“Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Merey Sahaba Ko Bura Mat
Kaho (Do² Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key
Qabza-E-Qudarat Mey Meri Jaan Hey Phir Usee Tarah Poori
Hadith Bayan Ki.”
–
[Bukhari As-Shahih, 03/1343, Raqam-3470,
Muslim As-Shahih, 04/1967, Raqam-2540,
Tirmidhi As-Sunan, 05/695, Raqam-3861,
ﻭﻗﺎﻝ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ ،
Aboo Dawood As-Sunan, 04/214, Raqam-4658,
Ibn Majah As-Sunan, 01/57, Raqam-161,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 05/84, Raqam-8308,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/11, Raqam-11094, 11534,
11535, 11626,
Ibn Hibban As-Shahih, 16/238, Raqam-7253,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 02/342, Raqam-1087,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06/404, Raqam-32404,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/212, Raqam-687,
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
“Hazrat Abdullah Bin Mughaffal Sey Riwayat Hey Ke Huzoor
Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney
Farmaya :
˝Merey Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Key Baarey
Mey Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Merey Baad Inhey
Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Sey
Muhabbat Ki Us Ney Meri Wazah Sey Un Sey Muhabbat Ki Aur Jis
Ney Un Sey Bughz Rakha Us Ney Merey Bughz Ki Wazah Sey Un
Sey Bughz Rakha Aur Jis Ney Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney
Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef
Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis
Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala
Usey Pakdega.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ ﻭﺃﺣﻤﺪ ﻭﺍﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﻋﺎﺻﻢ.
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮ ﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ .
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/696, Raqam-3862,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/54, 57, Raqam-20549, 20578,
Ibn Abi Asim As-Sunnah, 02/479, Raqam-992,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/191, Raqam-1511,
Ruyani Al-Musnad, 02/92, Raqam-882,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/146, Raqam-525,
Haythami Mawarid-uz-Zaman, 01/568, Raqam-2284,
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey
Riwayat Hey Ke Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ney Farmaya :
Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala
Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Buraayi)
Par Allah Ta’ala Ki Laanat Ho.”
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/697, Raqam-3869,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/191, Raqam-8366,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/263, Raqam-1022,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-620, 621, Raqam-687.]
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
“Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey
Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi
Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Jis Ney Merey Sahaba Ko Gaali Dee To Us Par Allah Ta’ala Ki,
Tamam Farishton Ki Aur Tamam Insaanon Ki Laanat Hey.”
–
[Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/142, Raqam-12709, &
Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/94, Raqam-4771,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06/405, Raqam-32419,
Khalaal As-Sunnah, 03/515, Raqam-833,
Ibn Abi Asim As-Sunnah, 02/483, Raqam-1001,
Ibn Ja’d Al-Musnad, 01/296, Raqam-201,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/14, Raqam-7302,
Haythami Majma-uz-Zawa’id, 10/21,
Manawi Fayd-ul-Qadir, 05/274,
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
“HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SE MARWI HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE (HAZRAT SA’D BIN MUAAZ ANSAARI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KE MUT’ALLIQ) FARMAYA : YEH WO HASTEE HAI JIS KI WAFAAT SE ARSH BHI HIL GAYA, AASMAAN KE DARWAAZE KHOL DIYE GAYE AUR SATTAR HAJAAR FARISHTE US KE JANAZE ME SHAREEQ HUWE. EK DAFA QABR NE USE DABAAYA PHIR KUSHAADA (CHAUDI) KAR DEE GAYI.”
AUR EK RIWAYAT ME AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA : TAMAM TAREEFE ALLAH KE LIYE HEE HAI AGAR KOI QABR KE DABAANE SE BACH SAKTA TO SA’D BIN MUAAZ BHI ZAROOR US KE DABAANE SE BACH JAATE. (MOMINEEN AUR SAALIHEEN KE LIYE QABR KA DABAANA BA’ISE RAAHAT HOTA HAI JAISE MAA BACHCHE KO GO’OD ME LE KAR MUHABBAT SE DABAATI HAI.” وقال العسقلاني : ورجاله ثقات محتج بهم في الصحيح.
REFRENCE
NASA’I AS-SUNAN, JILD 4 PAGE NO 100, HADEES-2055,
& AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD 1 PAGE NO 660, HADEES-8182,
TABARANI AL-MU’JAM-UL-AWSAT, JILD 2 PAGE NO 199, HADEES-1707, & AL-MU’JAM-UL-KABIR, JILD 6 PAGE 10, HADEES-5333,
IBN RAHAWAYH AL-MUSNAD, JILD 2 PAGE 552, HADEES-1127,
ZAYLA’I NASAB-UR-RAYAH, JILD 2 PAGE NO 286,
SUYUTI SHARH ALA SUNAN-UN-NASA’I, JILD 4 PAGE NO 101, HADEES-2055,
ASQALANI AL-QAWL-UL-MUSADDAD, JILD 1 PAGE NO 81.
♥♥♥♥♥
HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM ki char
sahabzadiya thee zainab, rukaiyya, ummekulsum,
aur Fatima raziyallahu anhan hazrat rukaiyya ki
shadi Hazrat usman raziyallahu taala anhu se hui
Hazrat rukaiyya ka jab inteqal ho gaya Hazrat
usman raziyallahu taala anhu ko is baat ka ranj
pahucha to HUZUR SALLAHU AALEHI WASSALLAM
ne apni dusri sahabzadi Hazrat ummekulsum
raziyallahu anha ka bhi nikah Hazrat usman
raziyallahu taala anhu se kar diya farmaya aye
usman agar meri 100 ladkiya bhi ho aur unka ek ke
baad ek ka intqal hota jaye to main ek ke baad ek
tumhare nikah me deta jaau ( mawahiz jild 7 safa
166 ) SABAK— yeh khususiyat sirf Hazrat usman
raziyallahu taala anhu ko hasil hai ki NABI ki betiya
aapke nikah me aayi jab se duniya shuru hui us
waqt se lekar kayamat tak ( sivaye Hazrat usman
raziyallahu taala anhu ke) aisa na hua na hoga
jiske nikah me NABI ki do betiya aayi ho isliye
aapka laqab zunnurain hai
♥♥♥♥♥
4 Yaar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum:
************************************
HIQAYAT
*********
Hazrat Abu Abdullah Farmate Hain Ki Ek Saal Main Hajj Keliye Gaya To Haram Sharif May Ek Aise Shaks Se Mulakaat Hui! Jo Pani Nahi Pita Tha! Maine Usse Wajah Daryaft Ki, Ki Tum Pani Kyon Nahi Pite! To Usne Bataya Ki Main Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Mohabbat Ka Muddayi Tha! Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar Aur Hazrat Usmaan Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum Se Bugz Rakhta Tha!
Ek Raat Main Soya Aur Maine Dekha Ki Qayamat Barpa Hain! Log Bade Pareshan Hain Mujhe Pyaas Lag Rahi Thi, Pyaas Bhujane Keliye Main Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Hauz-A-Kausar Per Pahucha To Maine Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usmaan Aur Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum Ko Dekha! Jo Pyaason Ko Pani Pila Rahe The! Main Sidhe Hazrat Ali Ke Paas Pahucha Aur Pani Maanga! Magar Hazrat Ali Ne Apna Mooh Fher Liya! Fir Main Hazrat Umar Aur Hazrat Usmaan Ke Paas Gaya To Unohne Bhi Mooh Fher Liya! Main Bada Parshan Hua! Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Talash Ki! Chunanche, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Maidaan-A-Hashr May Tashrif Nazar Aaye! Main Unki Khidmat May Haazir Hua! Shikayat Ki, Ki Ya Rasoolallah! Mujhe Sakht Pyaas Lag Rahi Hain! Main Hauz-A-Kausar Per Gaya Aur Hazrat Ali Se Pani Maanga To Unohne Ne Mooh Fher Liya Pani Nahi Pilaya!
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Mera Ali Tumeh Pani Kaise Pilaye? Jabki Tum Mere Sahaba Se Bugz Rakhte Ho! Maine Arz Ki, Ya Rasoolallah! Kya Mere Liye Tauba Ki Gunjayish Hain Ya Nahi? Farmaya, Haan Hain, Sacche Dil Se Tauba Karo Aur Mere Sahaba Se Mohabbat Rakho! Fir Main Tumeh Abhi Aisa Jaam Pilaounga Ki Umr Bhar Tumeh Pyaas Na Lagegi!
Chunanche, Maine Bugz-A-Sahaba Se Tauba Ki To Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Mujhe Ek Jaam Diya Jo Maine Piya! Fir Meri Aankh Khuli To Mujhe Kat-an Pyaas Na Thi! Ab Pyaas Lagti Bhi Nahi! Pani Piyu Ya Na Piyu Barabar Hain! Ab Main Sacche Dil Se Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke 4 Yaar Ka Muhib Hoon!
(Hujjatullah Alal-Aalamain Pg-808)
*********************************
SABAK
*******
Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar, Hazrat Usmaan Aur Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum Se Mohabbat Rakhne Wala Apni Aakabat Durust Kerleta Hain Aur Unse Bugz Wa Bair Rakhne Wala Apni Aakabat Barbaad Kerleta Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Jisko Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar, Aur Hazrat Usmaan Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum Se Mohabbat Nahi Usper Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Bhi Khush Nahi!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Hauz-A-Kausar Ka Pani Pyaason May Taksim Farmane Wale Aur 4 Yaraan-A-Mustafa SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Hain! Agar Qayamat Ki Pyaas Se Bachna Ho To 4 Yaar Se Mohabbat Zaruri Hain!
*********************************
•»DILAER WA BAHADUR«•
***************************
HIQAYAT:-
*********
Ek Din Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Logon Se Khade Hoker Farmaya, Bhala Tum Jaante Ho Tamaam Logon May Zyada Bahadur Aur Shuja Kaun Hain?
Haazirin Ne Jawab Diya, Janab Aap! Farmaya Nahi! Balki Sabse Zyada Dilaer Wa Bahadur Abu-Bakr Siddiq Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu The!
Iska Imtehaan Yun Hua Ki Jab Badr Ki Ladayi Pesh Aayi To Hamne Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Keliye Ek Chapper Taiyyar Kiya! Huzoor Ko Wahan Baithaker Kaha Ki Huzoor Ki Paasbani Aur Hifazat Keliye Kaun Shaks Khada Hoga? Taaki Booth-Parasti Mayse Koi Shaks Aapke Paas Na Pahuch Sake!
Main Kasam Khaker Kehta Hoon Ki Us Waqt Sirf Abu-Bakr Siddiq Hi Aage Bade Aur Aapke Sir-A-Mubarak Ke Paas Nanggi Talwar Liye Khade Rahe!
(Nujjahtul Majalis Jild-2, Pg-310)
********************************
SABAK:-
********
Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Sabse Zyada Sakhi Aur Sabse Zyada Himmat Wale Bhi The! Is Baat Ke Gawah Khud Hazrat Maula Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Hain!
********************************
No comments:
Post a Comment