Wikipedia

Search results

Thursday, 12 March 2015

Ahl-E-Bayt-E-At’har Ka Aap صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Kee Ummat Ke Liye Ba’is-E-Iman Aur Najaat Hone Ka Bayan

Ahl-E-Bayt-E-At’har Ka Aap صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Kee Ummat Ke Liye Ba’is-E-Iman Aur Najaat Hone Ka Bayan

ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ  وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم  بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم

(1) “Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmate Hain Ki Mein Ne Suna Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farma Rahe They :
Aye Logon!
Mein Tumhare Darmiyan Aisi Chizein Chhod Raha Hoo’n Ki Agar Tum Unhein Pakade Rakhonge To Harghiz Gumraah Na Honge.
(Un Me Se Aik) Allah Ta’ala Kee Kitab Aur (Dusari Chiz) Mere Ghar Waale Hain.”

Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Aur Hasan Qaraar Diya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/662, Raqam-3786,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/89, Raqam-4757, &

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/66, Raqam-2680,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 04/114,

(2)   “Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dauran-E-Hajj-E-Arafah Ke Din Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Untani Quswa’ Par Sawaar Khutaba Farma Rahe Hain.
Pas Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Aye Logon :
Mein Ne Tum Me Woh Chiz Chhodi Hain Ki Agar Tum Use Mazbooti Se Thaam Lo To Kabhi Gumraah Nahin Howoge Aur Woh Chiz Kitab-ul-Allah Aur Meri Itrat Ahl-E-Bayt Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/662, Raqam-3786,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/66, Raqam-2680,

Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool, 01/258,

Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 02/266,

(3)   “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Seetaare Ahl-Zamin Ko Gark Hone Se Bachaane Waale Hain Aur Meri Ahl-E-Bayt Meri Ummat Ko Ikhtilaaf Se Bachaane Waale Hain Aur Jab Koi Qabilah Un Kee Mukhaalifat Karta Hain To Us Me Ikhtilaaf Pad Jaata HainYaha’n Tak Ki Woh Shaytaan Kee Jama’at Me Se Ho Jaata Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Aur Kaha Ki Ye Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/162, Raqam-4715,

(4)   “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mere Rab Ne Mujh Se Mere Ahl-E-Bayt Ke Baare Me Waada Kiya Hai Ki Un Me Se Jo Bhi Meri Tauheed Ka Iqraar Karega Use Ye Baat Pahuncha Dee Jaaye Ki Allah Ta’ala Use Azaab Nahin Dega.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqam-4718,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/382, Raqam-7112,

(5)   “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mere Ahl-E-Bayt Kee Misaal Hazrat Nooh Alayhissalam Kee Kashti Kee See Hai Jo Is Me Sawaar Ho Gaya Woh Najaat Paa Gaya Aur Jo Is Se Pichhe Rah Gaya Woh Garq Ho Gaya.”

Aur Aik Riwayat Me Hazrat Abdullah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Farmaya :
Jo Is Me Sawaar Huwa Woh Salaamati Paa Gaya Aur Jis Ne Use Chhod Diya Woh Garq Ho Gaya.”

Ise Tabarani, Bazzar Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[ Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/34, Raqam-2388, 2638, 2638, 2636,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/10, Raqam-3478,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/355, Raqam-5536,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/58, Raqam-5870,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/240, Raqam-391,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/84, Raqam-825,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqam-4720,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/343, Raqam-3900,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/238, Raqam-916,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/168,

No comments:

Post a Comment