Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Apni-Apni Qabron Me Zinda Hain Aur Namaz Padhte Hain
“Hazart Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Apni-Apni Qabron Me Zinda Hain Aur Namaz Padhte Hain.”
“Imam Asqalani Fat’h-ul-Bari Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Ne Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Apni Qabron Me Zinda Hone Ke Baare Me (Sahih Ahadith Par Mushtamil) Ek Khoobsoorat Kitab Likhee Hai Jis Me Unhone Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Yah Hadith Bhi Vaarid Ki Hai Ki Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Apni Qabron Me (Hayaat-E-Zaahiri Ki Tarah Hee) Zinda Hote Hain Aur Salaat Bhi Ada Karte Hain.
Yah Hadith Unhone Yahya Bin Aboo Kathir Ke Tareeq Se Riwayat Ki Hai Aur Wo Sahih Hadith Ke Raawiyon Me Se Hain.
Unhone Mustalim Bin Saeed Se Riwayat Ki Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Bhi Unhein Siqa Qaraar Diya Hai.
Imam Ibn Hibban Ne Yah Hadith Hujjaaj-E-Aswad Se Riwayat Ki Hai Aur Wo Ibn Abi Zyaada Al-Basari Hain Aur Unhein Bhi Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Siqa Qaraar Diya Hai.
Imam Ibne Mu’in Ne Bhi Hazrat Saabit Se Yah Hadith Riwayat Ki Hai.
Imam Aboo Ya’ala Ne Bhi Apni Musnad Me Isi Tareeq Se Yah Hadith Riwayat Ki Hai Aur Imam Bazzar Ne Bhi Is Ki Takhreej Ki Hai Aur Imam Bayhaqi Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai. ”
[Aboo Ya’ala Al-Musnad, Volume-06, Page-147, Hadith-3425.
Ibn Adi Al-Kamil, Volume-02, Page-327, Hadith-460.
وقال:هاذا أحاديث غرائب حسان وأرجو أنه لا بأس به،
Daylami Al-Musnad-ul-Firdaus, Volume-01, Page-119, Hadith-403.
Asqalani Fat’h-ul-Bari, Volume-06, Page-487, & Lesan-ul-Mizan, Volume-02, Page-175, 246, Hadith-787, 1033.
وقال :رواه البيهقي، وقال ابن عدي:أرجو أنه لا بأس به،
Dhahabi Mizan-Ul-I’tiqad, Volume-02, Page-200, 270.
وقال :رواه البيهقي،
Haythami Majma-uz-Zawa’id, Volume-08, Page-211.
وقال :رواه أبو يعلى والبزار، ورجال أبي يعلى ثقات،
Suyuti Sharah Sunan An-Nasa’i, Volume-04, Page-110.
Azim Abadi Awn-ul-Ma’abud, Volume-06, Page-19,
وقال :وألفت عن ذالك تأليفا سميته :انتباه الأذكياء بحياة الأنبياء،
Manawi Fayd-Ul-Qadir, Volume-03, Page-184.
Shawkani Nayl-ul-Awtar,
Volume-05, Page-178,
وقال :فقد صححه البيهقي وألف في ذالك جزءا،
Zurqani Sharah-ul-Muwatta Imam Maalik, Volume-04, Page-357,
وقال:وجمع البيهقي كتاب لطيفا في حياة الأنبياء وروى فيه بإسناد صحيح عن أنس رضي الله عنه مرفوعا.
]
Huzoor Nabi-E-Paak ﷺ Ki Qabr-E-Anwar Se Namaz Ke Waqt Ajaan Ki Aawaaz
“Hazart Saeed Bin Abdul Azeez Se Riwayat Hai Ki Jab Ayyaam-E-Hurra (Jin Dinon Yazeed Ne Madinah Munawwara Par Humla Karwaaya Tha) Ka Waaqia Pesh Aaya To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Masjid Me Teen-03 Din Tak Ajaan Aur Iqaamat Nahin Kahi Gaee Aur Hazrat Saeed Bin Musayyab RasoolAllah Ta’ala Anhu (Jo Ki Jaleelulqadr Taaba’i Hain Unhone Masjid-E-Nabawi Me Panaah Lee Huee Thi Aur) Unhone (Teen-03 Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Wo Namaz Ka Waqt Nahin Jaante The Magar Ek Dheemi See Aawaaz Ke Zareeye Wo Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Qabr-E-Anwar Se Sunte The.”
–
[Darmi As-Sunan, Volume-01, Page-56, Hadith-93.
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, Volume-02, Page-400, Hadith-5951.
Suyuti Sharah Sunan Ibn Maajah, Volume-01, Page-291, Hadith-4029.]
No comments:
Post a Comment