Wikipedia

Search results

Wednesday, 4 March 2015

Iman...

“Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Aik Mouke Par Jab Ki Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala Anhu Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Sawaari Par Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Peechhe Sawwar They, Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne (Hazrat Mu’az Se) Farmaya :
Aye Mu’az Bin Jabal!
Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Mein Hajir Hoo’n.
Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kehte Hain Ki Teen Baar Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Hazrat Mu’az Ko Mukhatib Kiya Aur Har Martaba Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Yahi Alfaz Dohraye.
Teesari Martaba Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya, Jo Koi Sachche Dil Se Is Baat Ki Shahadat De Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Muhammad Mustafa ﷺ Allah Ta’ala Ke Rasool Hain, Allah Ta’ala Us Par Dozakh Ki Aag Haram Kar Dega.
Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Arz Kiya :
Ya Rasoolullah ﷺ !
Kya Mein Is Baat Se Logon Ko Muttala Na Kar Doo’n Ki Woh Khush Ho Jaaye?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Nahin!
Agar Tum Unhein Ye Baat Bata Doge To Woh Isi Par Bharosa Kar Ke Baith Raheinge (Aur Amal Me Kotaahi Karege) Chunanche Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Ye Hadith Apne Intiqal Ke Waqt Bayan Kee Taaki Hadith Bayan Naa Karne Kee Wajah Se Gunahgar Na Ho.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 01/59, Raqam-128,
Muslim As-Sahih, 01/61, Raqam-32,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/147, Raqam-125,
Lalka’i I’tiqad Ahl-us-Sunnah, 04/841, Raqam-1564,
Ibn Mundah Al-Iman, 01/234, Raqam-93,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/266, Raqam-2344.]

“Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Peechhe Ufair Naami Gadhe Par Sawaar Tha Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Mu’az!
Kya Tumheim Maloom Hai Bandon Par Allah Ta’ala Ka Kya Haque Hai, Aur Allah Ta’ala Ka Bandon Par Kya Haque Hai?
Mein Ne Arz Kiya :
Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Behtar Jaante Hain.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Bandon Par Allah Ta’ala Ka Haque Ye Hai Ki Woh Sirf Usee Kee Ibadat Kare Aur Us Ke Saath Kisi Ko Shareek Na Banaye, Aur Allah Ta’ala Par Bandon Ka Haque Yeh Hai Ki Jo Shakhs Shirk Na Kare Woh Use Azaab Na De.
Mein Ne Arz Kiya :
Ya Rasoolullah ﷺ !
Kya Mein Ye Khush-Khabari Logon Ko Tak Na Pahunchaoo’n?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Faramaya :
Nahin.
Unhein Ye Khush-Khabari Mat Do Ki Phir Woh Usee Par Bharosa Kar Baith Raheinge (Aur Amal Me Kotahi Karege).”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 03/1049, Raqam-2701, &
5/2224, Raqam-5622, &
05/2312, Raqam-5912, &
05/2384, Raqam-6135, &
06/2685, Raqam-2938,
Muslim As-As-Sahih, 01/58, 59, Raqam-30,
Tirmidhi As-Sunan, 05/26, Raqam-2643,
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
Ibn Majah As-Sunan, 02/1435, Raqam-4296,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 03/443, Raqam-5877.]

“Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Shakhs Ne Allah Ta’ala Ke Liye Muhabbat Kee, Allah Ta’ala Ke Liye Adaawat Rakhee, Allah Ta’ala Ke Liye Diya Aur Allah Ta’ala Ke Liye Dene Se Haath Rok Liya, Pas Us Ne Apna Iman Mukammal Kar Liya Hai.”
رواه أبو داود والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Abooo Dawood As-Sunan, 04/220, Raqam-4681,
Hakim Al-Mustadrak, 02/178, Raqam-2694,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/41, Raqam-9083.]

“Hazrat Abdullah Bin Hisham RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Hum Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Saath They Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Haath Pakada Huwa Tha.
Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Arz Kiya :
Ya Rasoolullah ﷺ !
Aap Mujhe Apni Jaan Ke Siwa Har Cheez Se Zyaada Mahboob Hain, Is Par Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya, Nahin, Qasam Hai Us Jaat Kee Jis Ke Qabza-E-Qudarat Me Meri Jaan Hai!
Jab Tak Mein Tumhein Apni Jaan Se Bhi Mahboob Tar Na Ho Jaoo’n (Tum Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakte).
Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Arz Kiya :
Allah Rabbul Izjat Kee Qasam, Ab Aap Mujhe Apni Jaan Se Bhi Zyada Mahboob Hain, Chunanche Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya, Aye Umar!
Ab (Tumhara Iman Kaamil Huwa) Hai.”

[Bukhari As-Sahih, 06/2445, Raqam-6257.]

“Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Koi Banda Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Mein Us Ke Nazdeek Us Ke Ghar Waalon, Us Ke Maal Aur Tamam Logon Se Mahboob Tar Na Ho Jaoo’n.”

[Muslim As-Sahih, 01/67, Raqam-44,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/162, Raqam-21480,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 07/06, Raqam-3895,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/129, Raqam-1375,
Ibn Hayyan Al-Azmah, 05/1780, Raqam-2824,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 04/53, Raqam-6169,
Ibn Mansur Kitab-us-Sunan, 02/204, Raqam-2443.]

No comments:

Post a Comment