Agar Nabi-Wali se Madad Mangna Shirk Hai,
To Ye Shirk Aakhirat Tak Chalega.
Ye Nahi Ho Sakta Ke Abhi Shirk Hai Lekin Aakhirat Me Ayne Tauheed Ho Jaaye, Kyun Ke Shirk To Har Waqt Shirk Hee Rahega.
Aakhirat Me Bhi Koi Gayrullah Se Madad Maangega To Bhi Shirk Hee Hoga.
Mehshar Ki Mushibat Se Badh Kar Kounsi Mushibat Hogi !
Us Se Bachane Ke Liye Tamaam Log Aadam Alaihissalan Ki Khidmat Me Aayenge Ke
Aap Abool Bashar Aadam Ho,
Aap Hamari Shafaa’at Karo !
Aadam Alaihissalam Ye Nahi
Farmaege Ke Tum Shirk Kar Rahe Ho !
Mere Paas Kya Maangte Ho ?!
Jaao Khuda Ke Paas !
Nahin,
Balke Woh Bhi Gayr Ki Raah Deekhaenge Aur Farmaaenge,
NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE……
To Feer Tumhaari Fatwe Ki Rooe To (MA’AZALLAH !) Hazrat Aadam Alaihissalam Bhi Mushrik Hooe,
Aur Unke Paas Jaane Waale Bhi Mushrik Hooe.
Lekin Nahin !
Kyun Ke Hazrat Aadam
Alaihissalam To Mushrik Ho Hee Nahin Sakte.
Feer Tamaam Log Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Rehnumaai Se Baari Baari Hazrat Nooh, Hazrat Ibrahim,
Hazrat Moosa Aur Aakhir Me Hazrat Isaa Alaihimussalamu Kr Paas Jaaenge,
Har Ek Aisa Hee Kahege Ke
IZAHABOO ILAA GAYREE.
Ab Unhe Khyaal Aayega Ke Chalo !
Huzoor Poor Noor, Shaafe-E-
Youmunnusur, Saiyadul Mursaleen, Rehmatulil Aalamin, SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Bargah-E-Bekas Panah Me Jaate Hai.
Jab Vaha Pahunchenge To
Madanee Taajdaar Ambiya ke Sardaar
Abd karaar
Mehboob-E-Parwardigaar
Nabion Ke Saalaar
Dino Duniya Ke Mukhtaar
Ahmad-E-Mujtaba
Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam
Aisa Nahi Kahege Ke,
Tum To Mushrik Ho !
Fula Fula Nabi Ke Paas Gaye Baad Me Mere Paas Aaye Ho !
Jaaon !
Khuda Ke Paas !
Balke Farmaenge Ke Hazrat Aadam,
Hazrat Nooh,
Hazrat Ibrahim,
Hazrat Moosa
Aur Hazrat Isaa
Alaihimussalamu Ne
NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE Is Liye Kaha Thaa Ke Mere Tak Pahunch Jaaon.
Aur Is Kaam Ke Liye To Mein Hee Hoon,
Kyun Ke Allah Ta’ala Ne Mujhe Hee Ye Martaba Ata Farmaaya Hain.
SUB’HANALLAH !
–
[Sahih Al-Bukhari, Vol.-04, Page-1748, Hadith-4441.
Sahih Al-Bukhari, Vol.-02, Page-536, Hadith-1405.
Sunan An-Nasa’i, Vol.-06, Page-381, Hadith-295.
Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-871, Hadith-927.
Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-854, Hadith-884.
At-Tabarani Mu’jam Al-Awsat, Vol.-08, Page-30, Hadith-8725.
Bayhaqi Shu’ab-Ul-Imaan, Vol.-03 Page-269 Hadith-3509.
Daylami Musnad Al-Firdaus, Vol-02, Page-377, Hadith-3677.
Al-Haythami Majma’ Az-Zawa’id, Vol-10, Page-371.]
Matlab Ke Allah Ta’ala ki Ata Se Nabi-Wali Ko Har Ek Tareh Ki Kudarat Mili Huee Hai Jis Se Un Se Maangna Shirk Nahin Balki Imaan Waalon Ka Tareeka Hai,
Is Lie Shauk Se Pookaro,
“Yaa Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam !
Al Madad !
Yaa Gauth !
Al Madad !
Yaa Zindasha Madar !
Al Madad !
Yaa Khwaja !
Al Madad !
Ya Makhdoom !
Al Madad !
Yaa Aala Hazrat !
Al Madad !”
Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen.
Aur Emaan Ko Taro Taaj Karo.
Aur Jo Log Itni Saabiti Ke Baad Bhi Hathdharmi Me Rahe To Vo Apana Anjaam Khood Soch Le.
Rabb-E-Kareem Us Ke Pyaare Habib SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Sadqe Me Musalmanon Ko Har Tareh
Ki Gumraahi Se Bachaae…
Aameen…
KHUDA KI RAZA CHAAHTE HAI DO AALAM
KHUDA CHAAHA HAI RAZA E MUHAMMAD (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM)
DIL HAI WOH DIL JO TERI YAAD ME MA’AMOOR RAHA
SAR HAI WOH SAR JO TERE QADAMON PE QURBAN GAYA
UNHE JAANA UNHE MAANA NA RAKKHA GAYR SE KAAM
LILLAHIL HAMD MEIN DUNYA SE MUSALMAN GAYA
AUR TUM PAR MERE AAQA KI INAYAT HEE NA SAHI
NAJDIYON ! KALMA PARHAANE KA BHI AHSAAN GAYA
UFF RE MUNKIR ! YE BAD’HA JOSHE TA’ASSUB AAKHIR
BHEED ME HAATH SE KAM BAKHT KE EMAAN GAYA
MO’MIN UNKA KYA HUWAA ALLAH(AZZAVAJALLA) USKA HO GAYA
KAAFIR UNSE KYA PHEERA ALLAGMH(AZZAVAJALLA) HEE SE PHEER GAYA
WO KE US DAR KA HUWA KHALQE KHUDA USKI HOOII
WO KE US DAR SE PHEERA ALLAH (AZZAVAJALLA)US SE PHEER GAYA
WAASTA PYARE KA AISA HO JO SUNNI MARE
YUN NA FARMAAE TERE SHAAHUD KE VO FAAJIR GAYA
ARSH PAR DHOOMEN MACHEN WO MO’MIN SAALEH MILA
FARSH SE MAATAM UTHE WO TAIYYIBO TAAHIR GAYA
THOKARE KHAATE FIROGE UNKE DAR PAR PADE RAHO
QAAFILA TO AYE “RAZA” AWWAL GAYA AAKHIR GAYA
Aaj Le Unki Panaah Aaj Madad Maang Unse
Phir Na Maanegein Qayaamat Me Agar Maan GayAAAAAAAA
Azeezaane Millte Islamiya !
Kya Allh Ta’ala Ne Aise Rasool Musalmano Me Bheje Ke Jo Laachaar, Bekas, Mohtaaj Aur Elm Se Khaali Aam Insaan Ki Tareh ?!
Kisi Bhi Elm Ke Bageir Aur Bina Ikhtiyar Ke Bheje ?!
Ma’azAllah
Kya Ye Aqeeda Kisi Shahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ya Buzurgan-E-Deen Rahmatullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ka Thaa ?!!
Nahin,
Aur Ho Bhi Nahi Sakta
Kyun Ke Koi Momin Aisi Ghatiya Socht To Kya Gumaan Bhi Nahi Kar Sakta Jab Ke Aaqaaid To Dur Ki Baat Hai.
Muhammad SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko
“Allah Azzavajalla Ke Rasool”
Bhi Maane Aur Kahe Ke Unhe Kuchh Ikhtiyar Nahin !
Ma’azAllah
Jabki Hadith-E-Paak Me Ikhteyar Ke Baare Me Frmaya Gaya Hai Ke,
–
Huzoor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Farmate Hai,
“Mere Paas Jameen Ke Khajaanon Ki Kunjiya Laane Me Aayi Aur Mere Hawaale Karne Me Aayi.”
–
[Mishkat Shareef Sayyadul Mursaleen Ke Fazaail]
Aaqa Alaihissalato Wassalm Ne Farmaya,
“Jo Mein Chaahun To Mere Saath Sone Ke Pahaad Chala Kare.”
–
[Mishkat Shareef, Akhlaq-E-Nabi ﷺ ]
Huzoor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya,
“Meine Grahan Ki Namaaz Me Jannat Ko Dekhi Aur Us Ka Zumkha Pakda.
Agar Meine Us Zumkhe Ko Tod Liya Hota
To Tum Use Qayaamat Tak Khaate Rehte.”
–
[Mishkat Shareef]
Nabi-E-Paak SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ek Roz Shohda-E-Uhad Par Namaz Parhne Ke Liye Tashrif
Le Gae,
Jaise Maiyat Par Namaz Parhi Jaati Hai Phir Mimber Pe Jalwa
Afroz Hue Aur Farmaya,
“Main Tumhara Rehnuma Aur Gawah Hoon,
Be Shak Khuda Ki Qsam Main Apne Hauz-E-Kausr Ko Ab Bhi Dekh Raha Hoon Aur Mujhe Zameen Ke Khazaano Ki Kunjiyan De Dee Gaeen Hain Aur Be Shak
Mein Is Baat Se Be Khauf Hoon Ke Tum Log Mere Baad Shirk Karne Lago Ge,
Balke Dunya Ki Mohbbat Mein Naa Pahns Jaaon.”
–
[Saheeh Bukhari Shareef, Hadith-1257]
Huzoor Alaihissalato Wassalam Farmate Hai,
“Beshak !
Mein Hee Taqseem Karta Hoon Aur Allah Mujhe Ata Karta Hai.”
–
[Bukhari Shareef]
Huzoor Nabi-E-Karee SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Farmate Hai,
“Allah Deta(Ata Karta) Hai Aur Mein Taqseem Karta Hoon.”
–
[Mishkat Shareef Kitabul Elm]
Khuda Har Cheez Ata Karta Hai Aur
Huzoor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Har Ek Shay-Cheez Baat’te Hai.
Aur Har Ek Cheez Vahi Baantega Jise Maalik Ne Har Ek Cheez Ata Farmaayi Ho.
Is Se Huzoor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Maaliki Aur Kabja Saabit Huaa.
Kuffaar ( Ki Gustakhiyon) Ka Jawab
–
Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllhu Ta’ala Anhuma Farmati Hain Ke,
“Hazrat Has’saan RadiyAllhu Ta’ala Anhu
Huzoor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Taraf Se Kuffaar ( Ki Gustakhiyon) Ka Jawab Dete Thein,
Or Unki Haju (Yani Buraiyon Ko) Bayaan Karte Thein”
–
[Sahib Muslim Shareef, Hadith-6268]
Huzoor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki
Tareef Bayaan Karna Aur Huzoor Alayhissalato Wasaala
Ke Gustakhon Par Tanqeed Karna Sahaba Ridwanullahi Ta’al Alaihim Ajameen Ki Sunnat Hai..
Hazrat Aboo Hureirah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Huee Mash’hoor Hadith-E-Kudthee Hai,
“Jisne Mere Kisi Walee Ke Saath Dushmani Ki
Meree Taraf Se Use Khula Elaan-E-Jung Hai.”
–
[Saheeh Bukhari Shareef]
Aur Ek Jageh Irshad Farmaya,
“Jis Ne Allah Ta’ala Key Kisi Dost (Ya’ai Allah Ke Walion) Sey Zara Si Bhi Adawat (Dushmani) Ki Us Ne Allah Ta’ala Se Elaan-E-Jung Kiya Allah Ta’ala In Nek Aur Mutaqee Logon Ko Apna Mehboob Rakhta Hai”
–
[Sunan Ibn-E-Maja Kitab-Ul-Fitan Hadith-3989]
Note:
Sahaba-E-Keeram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen To Auliya Ke Gustakh Nahi Thein Phir Yeh Baat Huzoor Alaihissalato Wassalam Ne Kyun Farmai ??!
Kyun Ke Huzoor Alaihissalato
Wasallam Jante Thein Ke Kuchh Log Aise Bhi Aaen Gein Jo Auliya Aur Mazarat-E-Auliya Se Bughz Rkhein Gein.
Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam
Ne (Khutbe Me Ansaar Sey Farmaya) Ke,
“Kya Tum Log Gumrah Nahi The ?
Allah Ta’ala Ne Meri Wajha Se Tumhein Hidayat Bakhsi
Aur Muttafriq (Bikhre Hue) Na The ?
Allah Ta’ala Ne Meri Wajah Se
Mohbat-O-Ulfat Ata Farmaai,
Tum Mohtaaj The Meri Wajha Se Allah Ta’ala Ne Tumhein Ghani Kar Diya,
Sahaba-E-Keram Har Baar Yahi Frmaate Rahe Ke Allah Aur Us Ka Rasool
Hum Par Bohat Ahsaan Farmate Hain”
–
[Sahi Bukhari Kitabul-Maghazi Haduth-1461]
[Sahih Muslim Kitabul-Zakat Hadith-2342]
Nabi-E-Kareem SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Irshad Farmaya,
‘”Mujhe Rooe Jameen Ki Tamaam Khajaano Ki Chaabiyan De Dee Gaee.”
–
[Saheeh Bukhari Shareef, Juz-05 Safa-124, Hadith-1258]
Saheeh Bukhari Ki Hadith Mas’hoor Hain
Hazrat Muaviya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ke Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya,
“Allah Ata Karta Hain Aur Mein Taqseem Karta Hoon.”
–
[Saheeh Bukhari Shareef, Jild-01, Page-439]
Socho !
Gaur Karon !
Isse Zyadah kya Ikhtiyar Hoga ?!
Dene Waal Deta Hain Taqseem Karne Waala Taqseem Karta Hain To Phir Ye Kyun Jalta Hain ?!
Kya Hee khoob Farmaya :
BAAD AZ KHUDA BUZURG
TOOII KISSAA MUKHTASAR….
Aur Kaan Khol Kar Sun Le!
Apna Jahen Laga Kar Sun Le !
Apne Aap Ko Sarkar SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Apni Misl Kehne Waalein !
Allah Azzavajalla Ke Habib Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Afzal-Ul-Bashar Hain, Be Misl-O-Be Misaal Hain.
Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ke Allah Ta’ala Ke Rasool Nabi-E-Karim Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya:-
“Main Tum Me Se Kisi Ki Tarah Nahi Hoon.”
–
[Tirmizi, Page-97, Vol.
-01, Saheeh Bukhari, Page-246, Vol-01]
Hazrate Sayyiduna Maula Mushkil Kusha Aliyyul Murtaza Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Farmate Hain,
“Maine Allah Ta’ala Ke Rasool Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Jaisa Kisi Ko Na Paya,
Na Un Se Pehle Na Un Ke Baad.”
–
[Tareekh-E-Kabeer, Page.
-08, Vol-01,Khasaais-Ul-Kubra,Page-181, Vol-01,Tirmizi Shareef, Page-204, Vol-02]
Ameerool Moamenin, Haamiye Deen-E-Mateen, Muhibbul Muslemin, Gaizul Munafiqin, Imaamul Aadileen, Mutammimul Arba’in, Hazrat Sayyiduna Umar Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Hazrate Sayyiduna Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Ek Lashkar Ka Sipaaah Saalaar Bana Kar Sar Zameene “Nahaavand” Me Zihaad Ke Liye Rawaana Farmaaya.
Sipaah Saalaare Lashkare Islamiyah Hazrate Sayyiduna Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kuffaare Na Hanjaar Se Bar Sare Paikaar The Ke
Wazeere Rasool-E-Anwar Hazrate Sayyiduna Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Masjid-E-Nabviyyah Shareef Ke Mimbar-E-At’har Par Khutba Padhte Hue Achaanak Irshaad Farmaaya :
“Aye Saariya !
Pahaad Ki Taraf Peeth Kar Lo.”
Haazireene Masjid Hairaan Reh Gaye Ke Lashkar-E-Islam Ke Sipaah Saalaar Hazrate Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu To Madinae Munawwarah Se Saikadon Mil Dur Sar Zameene“NAHAAVAND” Me Masroofe Jihaad Hain,
Aaj Ameerool Moamenin RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Unhein Kyun Kar Aur Kaise Pukaara ?
Is Ulzan Ki Tashaffee Tab Huee Jab Vahaa Se Faatehe Nahaawand Hazrate Sayyiduna Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Kaasid Aaya Aur Us Ne Khabar Dee Ke Maidaane Jung Me Kuffaare Jafaakaar Se Mukaabale Ke Dauraan Jab Hamein Shikast Ke Aasaar Najar Aane Lage,
Itne Me Aawaaj Aaee :
“Aye Saariya !
Pahaad Ki Taraf Peeth Kar Lo.”
Hazrate Sayyiduna Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaaya :
Yeh To Ameerool Moamenin, Khalifatul Muslemin Hazrate Sayyiduna Umar Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Aawaaj Hai Aur Feer Fauran Hee Apane Lashkar Ko Pahaad Ki Taraf Pusht Kar Ke Saf Bandi Ka Hukm De Diya,
Is Ke Baad Hum Ne Kuffaare Bad Atvaar Par Jordaar Yalgaar Kar Dee To Ek Dum Jung Ka Paansa Hee Palat Gaya Aur Thodi Hee Der Me Islami Lashkar Ne Kuffaare Naa Hanjaar Ki Foujon Ko Raund Daala Aur Asaakire Islamiya Ke Kaahiraana Hamlon Ki Taab Na Laa Kar Lashkare Asharaar Maidaane Kaarzaar Se Firaar Ikhtiyaar kar Gaya Aur Afwaaje Islam Ne Fat’he Mubin Ka Parcham Lahra Diya.
–
[Mishkatul Masaabeeh, Jild-04 , Safa-401, Hadith-5954 Dalaail Nubuwwah Lil Baihaqi, Jild-06 , Safa-370, Darool Kutubul Elmiyya Bairoot, Taarikhe Damishk Li Ibne Asaakir, Jild-44, Safa-336, Daarool Fikr Bairoot, Taarikhul Khulafa, Safa-99, Darool Kutubil Elmiya Bairoot, Hujjatullaahi Alal Aalamin, Safa-612, Markaze Ahle Sunnat Barkate Raza Al Hind.]
Azeezane Millate Islamiya!
Ameerool Moameni Faatehe Aazam Hazrat Sayyiduna Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Is Aalishan Karaamat Se Elmo Hikmate Dekhne Ko Milti Hai :
–
《01》Ameerool Moamenin Hazrat Sayyiduna Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Madina Tayyibah Se Saikaron Mil Ki Duri Par “Nahaavand” Ke Maidaane Jung Aur Us Ke Ahwaal Wa Kaifiyat Ko Dekh Liya Aur Feer Asaakire Islam Ki Mushkilaat Ka Hal Bhi Fauran Lashkar Ke Sipaah Saalaar Ko Bata Diya.
Is Se Ma’aloom Huwa Ke Auliya-E-Kiram Rahmatullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen KicKuwwate Sama’at Wa Basaarat (Yaa’ni Sun Ne Aur Dekh Ne Ki Taakat) Ko Aam Logon Ki Kuwwate Sama’at Wa Basaarat Par Hargiz Hargiz Kiyaas Nahin Karna Chaahie
Balke Yeh A’tikaad Rakhna Chaahie Ke Allahu Rabbul Izzat Azzavajalla Ne Apane Mahboob Bandon Ke Kaano Aur Aankhon Me Aam Insano Se Bahut Hee Zyaadah Taakat Rakkhi Hain
Aur In Ki Aankhon, Kaano Aur Dusre Aa’za Ki Taakat Is Kadar Be Misl Wa Be Misaal Hai
Aur Un Se Aise Aise Kaarhaae Numaaya Anzaam Paate Hain Ki Jin Ko Dekh Kar KARAAMAT Se Siwa Kuchh Bhi Nahin Kaha Ja Sakta.
《02》Wazeere Shahanshaahe Nubuwwat, Rookne Kasre Millat Hazrate Sayyiduna Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aawaaj Saikaron Mil Dur Nahaavand Ke Makaam Par Pahonchi Aur Vahaan Sab Ahle Lashkar Ne Is Ko Suna.
《03》Jaa nasheene Rasoole Makbool, Gulshane Sahaabiyyat Ke Mahakte Fool Ameerool Moamenin Hazrat Sayyiduna Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Barkat Se Allahu Rabbul Izzat Azzavajalla Ne Is Jung Me Musalmano Ko Fat’h Ata Farmaai
–
[Karamate Sahaba, Safa-74 Ta 76, Mirkaatul Mafaateeh, Jild-10, Safa-296, Tah’tal Hadith-5954 Mulakkhasan, Dalarool Fikr Bairoot]
Aur Sab Se Badi Baat To Ye Huee Ki Jab Ameerool Moamenin Hazrat Sayyiduna Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Kaha ;
“Aye Saariya !
Pahaad Ki Taraf Peeth Kar Lo.”
To Is Ko Sirf Do Logo Ne Hee Suna
Ek Jo Haazireene Masjid The Yaani Jo Aap Hazrat Sayyiduna Umar Bin Khattab RadiyAllaho Ta’ala Anho Ke Qadamo Me The,
Aur Dusre Voh Jo Sar Zameene Nahaavand Me Hazrate Sayyiduna Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Saath The.
In Dono Ke Alaawa Jo Beech Waale The Yaa’ni Ki Kuffaar Mushrikin Vagerah Ko Nahin Sunaai Diya Aur Naahin Sunaai Deta Kyun In Sab Ke Lie Aise Kaan Aur Aankhe Chaahie Jo Sun Dekh Sake Aur Sun Sake Jab Ye In Beech Waalon Ke Paas Nahin Hain.
Is Lie Aaj Agar Koi Kahe Ki Wali Allah Ko Kyun Pukaarte Ho Voh Tumhaari Kya Aur Kaise Sunege To Tension Leni Ki Koi Jaroorat Nahin,
Samajh Jaana Ke Yeh Vahin Beech Waale Hain !
BUZURGAAN-E-DEEN KE IMAANI NOORI AQWAAL
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
Huzoor-E-Aqdas SALLALLAHU TA’ALA ALAYHI WASALLAM Se Madad Maangna Sahaaba-E-Keeram Ridwanullahi Ta’ala Alayhim Azmaeen Ki Sunnat Hai. .
–
Sahaaba-E-Kiraam Ridwanullahi
Ta’ala Alayhim Azmaeen Ne Sarkar Alayhissalato Wassalam Se JANNAT MAANGI,
KAHET SAALI SE NAZAAT KE LIYE MADAD MAANGI FARIYAADE KI,
DUNYA KI DOULATE MAANGI,
AANKHON KI BINAAI MAANGI,
AANKHON KI BAHAAR NIKAL GAYE
DHELE KO FEER US KI JAGAH PAR
BITHHAANE KI MADAD MAANGI AUR HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAYHI WASALLAM NE USE AANKH ME RAKH KAR LUAAB-THOONK MUBAARAK LAGAAYA TO VOH THIK HO GAYE,
TOOTI HUEE TAANG PAR HAATH FERA TO PAL ME ACCHHA HO GAYA…
Vagerah Waaqeaat Se Saheeh Hadith Shareef Ki Kitaabein Bhari Padi Hain.
( Note : – In Waaqeaat Ke Liye Pareh Kitaabe,“SALTANAT-E-MUSTAFA” Sallallhu Ta’ala Alayhi Wasallam Aur “REHMATT-E-KHUDA BA WASEELA- E-AWLIYA”)
Yaha Par Kuchh Azeem Mahaan Mash’hoor Ulama-E-Keeram Ke Emaan Afroz Aqwaal Pesh Karta Hoon Jjse Parho Aur Dil Me
Noor-E-Imaan Ko Bhar Do.
ASHIATUL LAM’AAT,
Baabussujood Me Hazrat Rabeeah Ibne Ka’ab RadiyAllaho Ta’ala Anho Ki Hadith Sareef Ki Sharah(Khulaase) Me HAZRAT SHAYKH ABDUL HAQUE
MUHADDITH DAHELWEE
Rehmatullahi Ta’ala Alayh Farmate Hai :
–
“TAMAAM KAAM HUZOOR ALAYHISSALATO WASSALAM KE HAATH ME HAI,
JISE JO CHAAHE APANE RAB KE
HUKAM SE ATA KAR DE.
Agar DUNIYA Aur AAKHIRAT KI
BHALAAI CHAAHTE HO TO HUZOOR ﷺ KI BARGAH ME AAWO AUR JO CHAAHO MAANGO.”
Allama Yoosuf Ibne Ismaail Rehmatullahi Ta’ala Alaih
“SHAWAAHUDUL HAQUE” Ke Page 152 Par Farmaate Hai :
–
“Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAYHI WASALLAM Dete Hai Aur Mana Karte Hai Aur Maangne Waalon Ki Jarooratein Poori Karte Hai Aur MUSHKELI ME GHEERE HUWON KI MUSHKEL DOORR KARTE HAI
Aur Alayhissalato Wassalam Shafa’at Karenge Aur Jise Chaahenge JANNAT Me Daakhil Kar Denge.”
Imaam Qastalaani Rehmatullahi Ta’ala Alayh“MAWAHIB-E-LADUNNIYA” Jild 01, Page-195 Me Farmate Hai :
–
“Huzoor ALAYHISSALATO WASSALAM Ki Kunniyat Abul Qaasim Hai,
Kyun Ki JANNATI LOGON KO AAP
JANNAT TAQSEEM KARTE HAI.”
Allama Taqeeuddeen Subaki Rehmatullahi Ta’ala Alayh
“SHIFAAUSSIQAAM” Page-165 Pe Farmate Hai :
–
“Shak Rakkhe Bageir Samjho Ke
Huzoor SALLALLAHUTA’ALA ALAYHI WASALLAM Jannat Me Is Tareh Honge
Jis Tareh Baadshaah Ka Wazeer,
Ki KISI KE TAK(Paas) KOI CHEEZ AAP KE ZAREEYE KE BINA PAHUNCHENGI NAHIN ”
Imaam Busairi Rehmatullahi Ta’ala Alaih“QASEEDA BURDA SHAREEF” Me Farmate Hai :
–
FAINNAKA MINJUDIKA DUNIYA
WAZARRATIHAA-WAMIN ULOOMIK-
ILMILLOUHI WALQLAMEE.
Ya’ani Ke,
“Yaa Rasoolullah SALLLLAHU TA’ALA ALAYHI WASALLAM !
DUNIYA Aur AAKHIRAT AAPKI
SAKHAAWAT SE HAI
Aur
LOH AUR QALAM KA ELM AAPKE ELM KA HEE EK HISSA HAI.”
Nabi-Wali Aur Jo Kisi Ki Bhi Madad Ham Maange Woh Allah Ta’ala Ki Ata Se Madad Karne Par Shaktiman Hai Aur Karte Hai Ye Aqeeda Hoga To Hargeez Shirk Nahin Balke Yaha Par Jo Baate Bataai Us Ke Mutaabik Qura’an O Hadith Shareef Aur Ulama, Buzurgaan-E-Deen Ke Aqwaal Ne Saabit Kiya Ke Ye Sab Jaaiz Hai.
Koi Jaahil Se Bhi Jaahil Azahal Bhi Nabi-Wali Ko Khuda Nahin Samjhta Ya Khuda Ta’ala Ki Ata Ke Bina Jaat Se Hee Apane Aap Madad Karte Hai Aisa Bhi Nahin Samajhta.
Jis Se Musalmano Par Galat Baddgumaani Kar Ke Unhe Mushrik Keh Kar Apani Aakhirat Na Barbaad Karein.
Aur Koi Badbakht Aisa Sochta Bhi Ho To Woh Hee Muddale Islam Se Khaareez Ho Gaya.
Ye Islami Qura’ani Aqeeda Hai,
Is Lie Kisi Ko Bhi Aajkal Ke Baddmazhabon, Shaitani Jamaaton Ke Khade Kiye Huwe Galat M Shaitaani Waswason Me Pad Kar Gumraahi Me Nahin Beh Jaana Chaahiye…
★KYA GHAUS-E-AAZAM KA YE FARMAAN SHIRK KI TA’ALIM DETA HAIN ?!★
•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•●•
Azeem Mahaan Ulama Jaise Ke Imaame Ajala Aarif Billah Imaam Abul Hasan Nooruddin Ali Ibne Jareer Lakhtee Shatnoofee,
Aur Imaame Akram Shaikhul Fuqaha
Hazrat Saiyadana Imaam Abdullah Ibne As’ad Yaafaii Makkee,
Aur Faazile Ajal Faqeehe Akmal Mohaddithe Ajmal Shaykhul Haramul Mohtaram Moulana Alee Qaaree Hanafi Harwee Makki,
Aur Hazrat Moulana Abul Ma’ali Muslemi Ma’ali,
Aur Shaykh Abdul Haqq Muhaddith Dahelwee Deegar Rehmatullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ki Azeem-Mahaan Mash’hoor Kitaabeein
“BAHAJATUL ASRAAR SHAREEF”,
“KHULAASATUL MUFAAKHIR”,
“TANZIHUL KHAATIRUL FAATIR”,
“TOHFAA E QAADARIYAH”,
“AKHBAARUL AKHYAAR”,
“ZABDTUL AATHAAR”
Deegar Mein
GHAUS-E-AAZAM SHAYKH ABDUL QADIR JEELAANI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU Ka Ye Qaul Naqal Huwa Hai :
–
“GAR KOI MUSEEBAT ME MUJH SE MADAD MAANGE TO WOH
MUSEEBAT US SE DOORR HO.
GAR TAKLEEF ME MERA NAAM
LE KAR POOKAARE TO WOH
TAKLEEF DOORR HO.
Aur Gar Khuda Ta’ala Ki Bargah Me Koi Haajat Ke Liye Mujhe Waseela Banaaye
To Woh Haajat Poori Ho.
Aur Gar 02 Rakaat Namaaz Parhe
Aur Har Rakaat Me AL-HAMDU Ke
Baad 11 Baar KULHUWALLAAH
Shareef Parhe
Phir SALAM Pher Kar Rsoolullah
SALLALLAHU TA’ALA ALAYHI WASALLAM Ko Yaad Kare.
Baad Me Bughdaad Shareef Ki Rookh Ho (Dishaa, Simt, Jaanib) 11 Qadam Chale Aur Mera (GHAUS-E-PAAK) Ka Naam Le
Aur Apani Haajat Ko Talab Kare,
To BeShak !
ALLAH TABAARAK WA TA’ALA KE
HUQAM SE WOH HAAJAT POORI
HO.”
Bataaiye !
Kya Ye Shirk Ki Ta’alim Hai ?
Ye Bid’at Hai ?
Aur Jo Mahaan Ulama Aur Ghaus-E- Paak RadiyAllhu Anho Ke Baare Me Tumhaar Kya Khayal Hai ?
Woh Bhi Shirk Aur Bid’at Se Ghaafil O Anjaan The ?!
Ma’azAllah
Musalmano!
Kisi Ke Galat, Bure Wasawason Ki Raah Par Na Chale Jaaon !
Aur Ulma-E-Ahl-E-Sunnat Ki KITAABE Parhte Rahon.
Shaah Abdul Azeez Muhaddith
Dahelwee Rehmatullahi Ta’ala Alaih “FATHUL AZEEZ” Me Saaf Bayaan Karte Hai Ke :
–
“Gayre Khuda Se Madad Maangni Wohi Naajaaiz Hai Ke Jo Gayr Ko Allah Ta’ala Ki Madad Ka Mazhar(Madad Paane Ki Jagah) Na Jaane
Balke Khud Apani Jaat Se Hee Madad Ka Maalik Jaan Kar Us Par Bharosa Kare.
Lekin Agar Khuda Ki Madad Ka
Mazhar(ZAREEYA) Samaj Kar Gayr Se Madad Maange To Shirk Nahin,
Hurmat Ko To Jaane Do Maqaam-E-Ma’arefat Se Bhi Khilaaf Nahin.
Khud Nabiyon Aur Waliyon Ne Gayr Se Aisee Madad Maangi Hain.”
Garche Nabiyon-Waliyon Se Madad Maangna Shirk Hota,
Woh Qaanoon Bana Kar Ke,
“GAYR SE MADAD MAANGNA SHIRK HAI”
To Bimaar Hone Par Dr. Ko Madad
Ke Lie Doud Diye,
Maar-Peet Ho To Police Ki Madad Ke Liye Chal Diye,
Faisle Ke Liye Court Me Judge Ke Paas Chal Diye Aise Kai Saare Rojmarra Ke Kaam Me Hum Gayr Ki Madad Lete Hai Feer Bhi Musalman Rehte Hain !
Aur Nabi-Wali Se Madad Maangi To Mushrik !
Laa Hawl Wala Quwwat Illa Billah
Ye Gumraahi Nahin To Aur Kya Hain ?!
No comments:
Post a Comment