Wikipedia

Search results

Tuesday, 10 March 2015

Farz namazo k baad duaa karne ka bayaan

Hazrat Abdullah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Teen³ Baar Duaa Aur Teen³ Baar Istaghfaar Karna Pasand Farmaya Karte They.”

[Aboo Dawood As-Sunan, 02/86, Raqam-1524,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 06/119, Raqam-10291,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01/394, 397, Raqam-3744, 3769, 3770,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/159, Raqam-10317,
Shashi Al-Musnad, 02/138, Raqam-677,
Nasa’i Amal-ul-Yawm Wal-Laylah, 01/331, Raqam-457,
Aboo Nu’aym Hilyat-ul-Awliya’, 04/348.]

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Allah Ta’ala Se (Duaa) Nahin Maangta Allah Ta’ala Us Par Ghazab Farmata Hai.”

[Tirmidhi As-Sunan, 05/456, Raqam-3373,
Hakim Al-Mustadrak, 01/667, 668, Raqam-1806, 1807,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 12/10, Raqam-6655,
Bukhari Adab-ul-Mufrad, 01/229, Raqam-658,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hakim 01/191.]

“Hazrat Qatadah Zahaak Aur Maqaatil Allah Ta’ala Ke Is Farman : {فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ} Kee Tafsir Me Bayan Karte Hain Ki Is Se Muraad Hai Ki Jab Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Farz Namaz Se Faarigh Ho Jaaye To Khud Ko Apne Rab Kee Taaf Duaa Karne Me Mashgool Kare Aur Sawaal Karne (Ya’ni Maangne) Me Usi Kee Taraf Raaghib Ho Woh Aap Ko Ata Farmayega.”

[Razi Tafsir-ul-Kabir, 32/08,
Suyuti Ad-Dur-ul-Manthur, 08/55,
Baghawi Ma’alim-ul-Tanzil, 04/503,
Sam’ani Tafsirah, 06/252,
Ibn Jawzi Zad-ul-Masir, 09/166,
Shawkani Fat’h-ul-Qadir, 05/462.]

“Imam Abd-ur-Razzaque Aur Imam Abd Bin Humayd, Imam Ibn Jareer Aur Imam Ibn Mundhir Ne Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Kee Hai : {فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ} Se Muraad Yah Hai Ki Jab Apni Namaz Se Faarigh Ho Jaaye To Khud Ko Duaa Me Mashgool Kar Le.”

[Suyuti Ad-Dur-ul-Manthur, 08/552,
Jasas Ahkam-ul-Qur’an, 05/373,
Nahas An-Nasikh Wal-Mansoukh, 01/773.

“Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain {فَإِزَا فَرَغْتَ} Ya’ni Jab Aap Namaz Se Faarigh Ho Jaaye {فَانْصَبْ} To Duaa Me Mashgool Ho Jaaye {وَإِلَى رَبِّكَ فَارْغَبْ} Aur Sawaal Karne Me Apne Rab Kee Taraf Hee Raaghib Huwa Kare.”

[Suyuti Ad-Dur-ul-Manthur, 08/551,
Shawkani Fat’h-ul-Qadir, 05/463.]

No comments:

Post a Comment