“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Apne Gharon Ko Kabristan Na Banaawo (Ya’ni Apne Gharon Me Bhi Namaz Padha Karo Unhone Qabristan Ki Tarah Na Rakho) Aur Na Hee Meri Qabr Ko Eidgaah Banaawo (Ke Jis Tarah Eid Saal Me Do² Martaba Aati Hai Usi Tarah Tum Saal Me Saal Me Aik¹ Ya Do² Dafa Meri Qabr Kee Ziyarat Karo Balki Meri Qabr Kee Jis Qadar Mumkin Ho Kasrat Se Ziyarat Kiya Karo) Aur Mujh Par (Kasarat Se) Durood Bheja Karo.
So Tum Jaha’n Kahin Bhi Hote Ho Tumhaara Tumhara Durood Mujhe Pahunch Jaata Hai.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Dawood, Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Aur Tanarani Wa Bayhaqi Ne Riwayat Kiya Hai.
Imam Nawawi Ne Farmaya :
Ise Imam Aboo Dawood Ne Sahih Sanad Ke Saath Riwayat Kiya Hai Aur Imam Ibn Kathir Ne Bhi In Kee Taeeid Kee Hai.
–
[Aboo Dawood As-Sunan, 02/218, Raqam-2042,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/367, Raqam-8790,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/150, Raqam-7542, &
03/30, Raqam-11818,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/81, Raqam-8030,
Bazzar An Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Fi Al-Musnad, 02/147, Raqam-509,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 03/491, Raqam-4162,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/15, Raqam-7307,
Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 13/516,
Nawawi Riyaz-us-Salehin, 01/316.]
“Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Aik Martaba Tashrif Laaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Abhi Abhi Jibra’il Alaihissalam Mere Paas Aaye Aur Unhone Kaha :
Aap Ka Rab Farmata Hai :
Aye Muhamad !
Kya Aap Is Baat Par Raazi Nahin Ki Aap Kee Ummat Me Se Jo Shakhs Aik Martaba Aap Par Durood Bheje, Mein Us Par Das-10 Rahmatein Bheju ?
Aur Aap Kee Ummat Me Se Koi Aap Par Aik Martaba Salam Bheje To Mein Us Par Das-10 Martaba Salam Bheju.”
Is Hadith Ko Imam Nasa’i, Darimi, Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai Neez Imam Hakim Ne Farmaya :
Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai.
–
[Nasa’i As-Sunan, 03/50, Raqam-1295, &
As-Sunan-ul-Kubra, 01/384, Raqam-1218,
Darimi As-Sunan, 02/408, Raqam-2773,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/30, Hakim Al-Mustadrak, 02/456, Raqam-3575,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/252, Raqam-8695,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/100, Raqam-4720.]
“Hazrat Ubaydullah Bin Burayda Apne Waalid Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Burayda !
Jab Tum Apni Namaz Padhne Baitho To Tashahhud Aur Mujh Par Durood Bhejna Kabhi Tark Na Karna, Woh Namaz Kee Zakaat Hai.
Aur Allah Ta’ala Ke Tamam Ambiya Aur Rasoolon Par Aur Us Ke Saaleh Bandon Par Bhi Salam Bheja Karo.”
Is hadith Ko Imam Qurtabi Ne Aur Imam Dar-Qutni Aur Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Dar-Qutni As-Sunan, 01/355, Raqam-03,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 05/392, Raqam-8527,
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 02/132.]
“Hazrat Fadalah Bin Ubayd RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Aik Martaba Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Hamare Darmiyan Tashrif Farma They Ki Achanak Aik Shakhs Aaya Aur Us Ne Namaz Ada Kee Aur Ye Duaa Maangi :
“Aye Allah !
Mujhe Bakhs De Aur Mujh Par Raham Farma.”
To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Namazi !
Tune Jaldi Kee, Jab Namaz Padh Chuke To Phir Sukoon Se Baith Jaao, Phir Allah Ta’ala Kee Shayan-E-Shan Us Kee Hamdo Sana Karo, Aur Phir Mujh Par Durood-o-Salam Bhejo Aur Phir Duaa Maango.
Raawi Bayan Karte Hain Ki Phir Aik Aur Shakhs Ne Namaz Ada Kee, To Us Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Sana Bayan Kee, Aur Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Durood-o-Salam Bheja To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Namazi !
(Apne Rab) Se Maango Tumhein Ata Kiya Jaayega.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Nasa’i Aur Ibn Khuzaymah Ne Riwayat Kiya Hai.
Imam Tirmidhi Ne Farmaya :
Ye Hadith Hasan Hai.
Aur Imam Mundhiri Ne Bhi Ise Hasan Qaraar Diya Hai.
Aur Imam Haythami Ne Farmaya :
Is Kee Sanad Me Rushdayn Bin Sa’d Hain Jin Kee Riwayat Riqaaq Me Maqbool Hain Aur Baqiyyah Tamam Rijaal Bhi Siqah Hain.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/516, Raqam-3476,
Nasa’i As-Sunan, 03/44, Raqam- 1284, &
As-Sunan-ul-Kubra, 01/380, Raqam- 1207,
Ibn Khuzaymah As-Sahih, 01/351, Raqam- 709,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/307, Raqam-792, 794, 795, &
Ad-Duaa, /46, Raqam- 89, 90,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/319, Raqam- 2544,
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 10/155.]
Ab Jo Sirf Namaz Me Duroor-o-Salam Padhne Ka Halla Kar Rahe Hai Aur Riyaqaar Bante Phir Rahe Hai Who Is Par Kya Kahenge ?!
Maje Kee Baat Ye Bhi Hain Ki Jo Jaahil Log Buland Aawaaj Se Padhne Ko Bhi Mana Karte Hai Who Bhi Yaha Kya Jawab Denge ?!
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Aur Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Kaise Sun Lee Us Sahabi Ki Hamdo Sana Aur Durod-o-Salam, Kuch To Aawaaj Rahi Hee Hogi, Jis Ko Sun Kar Jawab Diya Gaya.?!!!
“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Aboo Layla Ka Bayan Hai Ki Mujhe Hazrat Ka’b Bin Oojrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Mile Aur Farmaya :
Kya Mein Tumhein Aik Tohfa Na Doo’n Jise Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Suna Hai ?
To Mein Ne Arz Kiya :
Kyoo’n Nahin, Aap Mujhe Woh Zaroor Ata Kare, Unhone Farmaya :
Hum Ne Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Allah Ta’ala Ne Hamein Aap Kee Khidmat Me “Salam” Bhejna To Sikha Diya Hai Lekin Hum Aap Kee Ahle Bayt Par Durood Kaise Bheja Kare ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Yoo’n Kaha Karo :
Aye Allah !
Durood Bhej Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Aur Aal-E-Muhammad Par Jaise Tune Durood Bheja Hazat Ibrahim Alaihissalam Par Aur Aal-E-Ibrahim Par, Beshak Too Bahut Ta’reef Waala Aur Buzurgi Waala Hai.
Aye Allah !
Barkat Naazil Farma Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Aur Aal-E-Muhammad Par Jaise Tune Barkat Naazil Farmayi Hazrat Ibrahim Alaihissalam Aur Aal-E-Ibrahim Par, Beshalk Too Ta’reef Aur Buzurgi Waala Hai.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 03/1233, Raqam-3190, &
05/2338, Raqam-5996,
Muslim As-Sahih, 01/305, Raqam- 406,
Nasa’i As-Sunan, 03/47, Raqam- 1287, 1289,
Darimi As-Sunan, 01/356, Raqam- 1342.]
No comments:
Post a Comment