Wikipedia

Search results

Wednesday, 4 March 2015

Maqaam e Ali ba nighah e Khuda azzu wajal

Maqam-E-Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Nigah-E-Khuda ﷻ Me

Hdith-01

“Hazrat Aaisah Binte Sa’ad Kehti Hain Ki Mein Ne Apne Baap Se Suna Woh Kahte They Ki Mein Ne Juhfa Ke Roz Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Suna.
Aap  ﷺ Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakada Aur Khutaba Irshad Farmaya Aur Hamd Wa Sana Ke Baad Farmaya :
Aye Logo’n !
Mein Tumhaara Wali Hoo’n.
Logo’n Ne Kaha :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap Durust Farma Rahe Hain.
Phir Aap ﷺ Ne Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Haath Pakad Kar Buland Kiya Aur Farmaya :
Yeh Mera Wali Hai Aur Meri Taraf Se Mera Qarz Ada Karega Aur Jo Is Se Dosti Karega Mein Us Ka Dost Howunga Aur Jo Is Se Dushmani Rakhega Mein Us Ka Dushman Howunga.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/23, 24, Raqam-08.]

 

Hadith-02

“Hazra Sa’ad Bin Abi Waqqas Kahte Hain Ki Muawiya Ne Hazrat Sa’ad Ko Ameer Banaya Aur Kaha  Ki “Aboo Turaab Ko Gaaliya’n Dene Se Tujhe Kounsi Baat Maane” Hai ?
Hazrat Sa’ad RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Jawaab Diya Ki Mujhe Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bayaan Farmoodah Teen Aysi Baatein Yaad Hain Ki Mein Unhein Hargiz Gaali  Nahin Dunga Aur Agar Un Me Se Aik Baat Bhi Mujh Me Paayi Jaayein To Woh Mujhe Soorkh Oonton Se Zyaada Mahboob Ho.

Mein Ne Hazrat Ali Ke Liye RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmaate Suna Hai, Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Kisi Ghazawah Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Pichhe Chhoda To Hazrat Ali Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Kya Aap Mujhe Aurton Aur Bachchon Me Pichhe Chhode Jaa Rahe Hain To RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaaya :
Ali Kya Tum Is Par Khoosh Nain Ho Ki Tum Mujhe Aise Ho Jaise Moosa Alaihissalam Ko Haaroon Alaihissalam They Magar Mere Baad Nabuwwat Ka Silsila Nahin.

Aur Jang-E-Khaibar Ke Roz Mein Ne Aap Ko Yeh Farmate Huwe Suna Ki Kal Hum Us Shakhs Ko Alam (Jhanda) Ata Karege Jo Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Rakhta Hai Aur Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool Us Se Muhabbat Rakhte Hain.
Pas Hum Gardane Buland Kar Ke Alam Kee Taraf Dekhte They. Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ali (KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim) Ko Mere Paas Bulaao, Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aaye To Aap Kee Aankhein Dukh Rahi Thi, Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Alayh-is-Salam Kee Aankhon Me Luaab-E-Dahan Mubarak Lagaaya Aur Aap Ko Alam Ata’ Farmaya.

Aur Jab Aayat-E-Karima

إنمايوريد الله ليذهب عنكم الرجس اهل البيت ويطهركم تطهيرا

Naazil Huwi To Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Bibi Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husain Salam-ul-Allah Alayhim Ko Bulaya Aur Farmaya :
Aye Allah ﷻ!
Yeh Mere Ahl-E-Bait Hain.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/24, 25, Raqam-09.]

 

Hadith-03

“Hazrat Sa’ad RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Mein Baytha Huwa Tha Ki Log Hazrat Ali Ke Ayb Bayaan Karne Lage To Mein Ne RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Teen Khasa’is Bayaan Farmate Huwe Suna Hai Agar Un Me Se Koi Aik Khaslat Bhi Mujhe Mayassar Hoti To Woh Mujhe Soorkh Oonton Se Zyaada Mahboob Hoti.

Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmate They :
Ali Mujhe Aise Hain Jaise Moosa Alayh-is-Salam Ko Haroon Alayh-is-Salam Magar Mere Baad Nabi Nahin.

Aur Mein Ne Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Bhi Farmate Huwe Suna Ki Kal Mein Us Shakhs Ko Alam (Jhanda) Ata’ Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Muhabbat Karte Hain.

Aur Mein Ne Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Bhi  Farmate Huwe Suna Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Ali Bhi Us Ka Mawla Hai.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/26, Raqam-10.]

 

Hadith-04

“Hazrat Sa’ad RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Us Shakhs Ko Alam (Jhanda) Doo’nga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Us Ka Rasool Us Se Muhabbat Karte Hain Aur Allah Ta’ala Us Ke Haath Par Fateh Ata’ Karega Chunanchi Aap As’hab Ridwan-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Aj’maeen Nazarein Utha-Utha Kar Alam Kee Taraf Dekhne Lage To Aap Ne Woh Alam Hazrat Ali Alayh-is-Salam Ko Inaayat Farmaya.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/27, Raqam-11.]

 

Hadith-05

“Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aik Parinda Tha, Aap Ne Farmaya :
Aye Allah ﷻ!
Tujhe Apni Makhlooq Me Se Jo Shakhs Sab Se Zyaada Mahboob Hai Use Mere Paas Bhej Taa Ki Woh Mere Saath Us Parinde Ka Gosht Khaaein.
Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aayein To Aap Ne Unhein Waapas Kar Diya Phir Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aayein To Aap Ne Unhein Waapas Kar Diya, Phir Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye To Aap Ne Unhein Bhi Waapas Kar Diya Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aaye To Aap Ne Unhein Apne Paas Aane Kee Ijaazat Farma Dee.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/27, 28, Raqam-12.]

 

Hadith-06

“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abi Layla Apne Baap Abi Layla Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Kaha Aur Woh Us Waqt Un Ke Saath-Saath Chal Rahe They Ki Log Aap Kee Kuchh Baaton Ko Ta’ajjub Ke Nazar Se Dekhte Hain.
Aap Sardee Ke Mousam Me Do Chaadarein Liye Baahir Nikalte Hain Aur Garmee Ke Mousam Me Mote Aur Khurdare Kapade Pahan Kar Baahir Aate Hain To Aap Ne Faraya :
Kya Too Jang-E-Khaibar Me Hamare Saath Na Tha ?
Unhone Kaha :
Mein Aap Ke Saath Tha, Aap Ne Farmaya :
RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Khaibar Ke Fateh Karne Ke Liye Alam (Jhanda) De Kar Bheja To Woh Bagair Fateh Kiye Waapas Aa Gaye, Phir Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Alam De Kar Bheja To Woh Bhi Bagair Fateh Kiye Waapas Aa Gaye.
Phir RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ab Mein Us Shakhs Ko Alam Ata’ Karunga Jo Allah ﷻ Aur Us Ke Rasool ﷺ Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah ﷻ  Aur Us Ka Rasool ﷺ Bhi Us Se Muhabbat Karte Hain Aur Woh Faraar Hone Waala Nahi Hai Aur Phir Aap Ne Meri Taraf Paygham Bheja Aur Mein Aashoob-E-Chashm Me Mubtala Tha.

Aap Ne Meri Aankhon Me Luaab-E-Dahan Daal Kar Bargah-E-Khudawandi  Me Duaa Kee Ki Aye Allah ﷻ!
Ali Kee Garmi Aur Sardi Se Hifaazat Kar.

Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmate Hain Ki Us Ke Baad Mujhe Na Kabhi Garmi Ka Ehsaas Huwa Aur Na Kabhi Sardi Mahsoos Huwi Hai.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/28, 29, Raqam-13.]

 

Hadith-07

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Burayda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Apne Baap Burayda Ko Kahte Suna Ki Hum Jang-E-Khaibar Ke Roz Pehlu Ba Pehlu Chal Rahe They.
Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Alam Liya Magar Aap Se Khaiabar Fateh Na Huwa, Doosare Din Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Alam Liya, Aap Bhi Laut Aaye Aur Fateh Haasil Na Huwi Aur Logo’n Ko Bhi Tangi Aur Sakhti Mahsoos Huwi To Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Kal Us Shakhs Ko Apna Alam Dene Waala Hoo’n Jo Allah ﷻ Aur Us Ke Rasool ﷺ Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah ﷻ Aur Us Ka Rasool ﷺ Bhi Us Se Muhabbat Karte Hai.
Woh Fateh Haasil Kiye Bagair Nahin Lautega.
Hum Ne Raat Bahoot Khooshi Se Guzaari Ki Kal Fateh Haasil Hone Waali Hai.
Subah Ko RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Namaz-E-Fajr Padhaayi Phir Aa Kar Khade Ho Gaye Aur Alam Ata’ Karne Ka Iraada Farmaya, Log Apni-Apni Toliyon Me They, Hum Me Se Jo Aadami Bhi RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Nazar Me Apana Koi Maqaam Samajhta Tha Woh Is Baat Ka Aarzumand Tha Ki Alam Use Mile Magar Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya To Un Ko Aashoob-E-Chashm Ka Aarizah Tha.
Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Kee Aankhon Me Luaab-E-Dahan Daal Kar Haath Phera Aur Un Ko Alam Inaayat Farmaya Aur Allah Ta’ala Ne Aap Ko Fateh Ata’ Farmayi.
Woh Kehte Hain Hamein Yeh Baat Un Logo’n Ne Bataayi Jo Gardane Lambi Kar Ke Alam Ko Dekh Rahe They.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/29, 30, Raqam- 14.]

 

Hadith-08

“Hazrat Buraydah Aslami RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Jang-E-Khaibar Ke Sin RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ahl-E-Khaibar Ke Aik Qilah Me Utare Aur Aap Ne Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Alam Ata’ Farmaya, Kuch Log Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Saath Gaye Aur Ahl-E-Khaibar Ke Saath Lade Pas Hazrat Umar Aur Un Ke Saathi Muntashir Ho Kar Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Laut Aaye To Huzoor Risaalat Ma’ab Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Ab Us Shakhs Ko Alam Doo’nga Jo Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool Bhi Us Se Muhabbat Karte Hain.
Jab Woh Doosara Din Huwa To Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aur Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Israar  Kiya.
Pas Aap ﷺ Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya Aur Woh Aashoob-E-Chashm Me Mubtila They.
Huzoor Alayh-is-Salato Wa’s-Salam Ne Aap Kee Aankhon Me Luaab-E-Dahan Lagaya Aur Kuchh Log Aap Ke Saath Gaye.
Aap Ka Ahl-E-Khaibar Se Aamna Saamna Huwa To Kya Dekhte Hain Ki Marhab Yeh Rajaz (Jang Me Padhne Ke) Ash’aar Padh Raha Hai :

Khaibar Jaanta Hai Ki Mein Marhab Hoo’n Hathiyar Band Hoo’n Aur Aik Tajurbahkaar Bahaadur Hoo’n,
Jab Sher Meri Taraf Aate Hain To Mein Ghazabnaak Ho Kar Kabhi Neza Zani Aur Kabhi Shamshir Zani Karta Hoo’n.

Hazrat Ali Alayh-is-Salam Se Us Kee Do Hee Haath Chale They Ki Aap Ne Us Kee Khopadi Par Talwaar Maari Jo Us Ke Sar Se Paar Ho Gayi, Sab Ahl-E-Lashkar Ne Aap Kee Talwar Kee Zarb Kee Aawaaz Ko Suna.
Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Lashkar Ke Aakhari Aadami Ko Abhi Ungh Bhi  Na Aayi Thi Ki Pahle Us Ne Fateh Kee Khushkhabari Sun Lee.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/30, 31, Raqam-15.]

 

Hadith-09

“Hazrat Aboo Haazim Kehte Hain Ki Mujhe Hazrat Sah’l Bin Sa’ad RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Bataaya Ki Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Khaiabr Ke Roz Farmaya :
Yeh Alam Mein Us Shakhs Ko Doo’nga Jis Ke Haath Par Allah Ta’ala Fateh Ata’ Farmayega, Woh Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool Ka Muhibb Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Bhi Use Mahboob Rakhte Hain.
Jab Subah Huwi To Log RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Gaye Har Aadmi Us Baat Ka Aarzumand Tha Ki Alam Use Mile.

Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ali Ibn Abi Talib Kaha’n Hain ?

Logo’n Ne Kaha :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Ali Aashoob-E-Chashm Me Mubtila Hain.

Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Un Kee Taraf Paygham Bhejo.
Aap Aaye To Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aap Kee Aankhon Me Luaab-E-Dahan Lagaaya Aur Aap Ke Liye Duaa Farmaayi To Aap Tandurast Ho Gaye Goya Aap Ko Koi Taklif Hee Na Thi.
Phir Huzoor Alayh-is-Salato Wa’s-Salam Ne Aap Ko Alam Ata’ Farmaya To Hazrat Ali Alayh-is-Salam Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Mein Un Se Us Waqt Tak Jang Karunga Yaha’n Tak Ki Woh Hamaare Jaise Ho Jaaein Ya’ni Islam Qubool Kar Le.

Is Ke Jawaab Me Huzoor Risalat Ma’ab Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aaraam Aur Waqaar Se Jaaein Yaha’n Tak Ki Aap Un Ke Sahan Me Utar Jaaien Phir Unhein Dawat-E-Islam De Aur Allah Ta’ala Kee Jaanib Se Jo Fara’iz Un Par Aa’id Hote Hain Woh Unhein Bataayein Aur Khuda ﷻKee Qasam !
Agar Allah Ta’ala Aap Ke Zariye Aik Aadami Ko Bhi Hidaayat Dey-De To Woh Aap Ke Liye Soorkh Oonton Se Behtar Hai.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/31, 32, 33, Raqam-16.]

No comments:

Post a Comment