Ali Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai
Hadith-01
“Hazrat Imran Bin Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Lashkar Tartib Diya Aur Us Ka Sipah-E-Saalaar Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Mukarrar Kiya Aur Syria Ke Liye Bheja, Islami Lashkar Fatehyaab Huwa To Maal-E-Ghanimat Se Aik Kaniz Ko Hazrat Ali Ne Le Liya Jise Baaz logo’n Ne Na-Pasand Kiya Aur Chaar As’haab Ne Ahad Kiya Ki Is Amr Kee Khabar RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Dee Jaayegi.
Chunanche Jab Musalman Us Safar Se Laute To Hasb-E-Ma’mool RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Haazir Huwe Kyun Ki Musalmanon Me Dastoor Tha Ki Jab Kisi Safar Se Waapas Aate To Sab Se Pehle Huzoor Sarwar-E-Qaaynaat Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Haazari Dete.
Hazrat Ali Ke Khilaaf Shikaayat Karne Ka Ahad Karne Waale Chaar Ashkhaas Me Se Aik Shakhs Ne Uth Kar Arz Kiya :
Ya RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam !
Kya Aap Ne Ali Ko Dekha Ki Us Ne Aisa Aur Aisa Kiya ?
RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Us Kee Baat Suni To Us Kee Taraf Se Rookh-E-Anwar Ko Pher Liya Phir.
Doosare Aadami Ne Uth Kar Wohi Baat Dohraayi To Aap Ne Us Kee Taraf Se Bhi Chehra-E-Aqdas Ko Pher Liya.
Phir Teesare Ne Bhi Wohi Maqaalah Dohraaya Aur Phir Jab Chauthey Ne Bhi Wohi Baat Kee Jo Pehle Teen Kar Chuke They To Aap ﷺ Gazabnaak Ho Gaye Aur Us Ke Chehre Par Nazarein Gaadte Huwe Farmaya Ki Kya Tum Nahin Jaante Ki Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n Aur Woh Mere Baad Tamam Mominon Ka Madadgaar Hai.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/93, 94, Raqam-97.]
Hadith-02
“Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hamein Khaalid Bin Walid Ke Saath Yaman Kee Taraf Bheja Aur Doosare Lashkar Ke Saath Hazrat Ali Ko Rawaana Kiya Aur Farmaya Ki Agar Tum Ikatthe Jang Karo To Ali Tum Sab Ke Sipah-E-Salar Honge Agar Alag-Alag Ho Kar Lado To Apne-Apne Lashkar Ke Amir Hoge.
Pas Hum Ne Ahl-E-Yaman Me Se Banu Zubaid Ke Saath Jang Kee Aur Mushrikin Par Musalmanon Ko Fateh Haasil Huwi.
Pas Hum Ne Ladne Waalon Ko Qatal Kar Diya Aur Un Kee Awlaad Ko Qaid Kar Liya To Hazrat Ali Ne Qaidiyon Me Se Apne Liye Aik Kaniz Ko Pasand Kiya Chunanche Khalid Bin Walid Ne Nabi-E-Akram Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Is Zimn Me Khat Likha Aur Mujhe Hukm Diya Ki Mein Ye Khat Aap Tak Pahunchaaun.
Hazrat Burayda Farmaate Hain Ki Mein Khat Le Kar Aap ﷺ Kee Khidmat Me Haazir Huwa Aur Arz Kee Ki Ali Ne Hamein Taklif Pahunchayi Hai.
RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Suna To Aap Gazabnaak Ho Gaye Aur Farmaya :
Aye Burayda !
Mere Liye Hee Ali Se Bughz Na Rakho Kyun Ki Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n Aur Woh Mere Baad Tumhaara Madadgaar Hai.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/94, 95, Raqam-98.]
Ya Ali
ReplyDelete