Wikipedia

Search results

Tuesday, 10 March 2015

Allah k bare me husn o zan....

“Hazrat Waasila Bin Aska’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Farmaya :
Mein Apne Bande Ke Gumaan Ke Mutabiq Hota Hoo’n Jo Woh Mere Baare Me Rakhta Hai Lihaaza Woh Jo Mere Baare Me Gumaan Rakh Le.”
رواه ابن حبان والدارمي وأحمد.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الأسناد.
[Ibn Hibban As-Sahih, 02/401, Raqam-633,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/491,
Hakim Al-Mustadrak, 04/268, Raqam-7603,
Darimi As-Sunan, 02/395, Raqam-2731,
Tabarani Musnad-ush-Shamiyyin, 02/386, Raqam-1546,
Haythami Mawarid-uz-Zaman, 01/184, Raqam-717.]

“Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Poochha Gaya Koun Se Log Qayamat Ke Deen Allah Ta’ala Ke Yaha’n Darje Me Afzal Hoge?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ka Kasarat Se Zikr Karne Waale Mard Aur Auratein.
Mein Ne (Ta’jjub Se) Arz Kiya :
Kya Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Waale Ghaazi Se Bhi (Afzal Honge?)
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Ha’n) Agar Chei Mujahid Apni Talwar Kafiron Aur Mushrikon Par Is Qadr Chalaaye Kee Woh Toot Jaaye Aur Khoon Aalood Ho Jaaye Phir Bhi Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Darje Me Us Se Afzal Hain.”

[Tirmidhi As-Sunan, 05/458, Raqam-3376,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/75, Raqam-11738,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/419, Raqam-589,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 02/530, Raqam-1401,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hikam, 01/238, 44,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/254, Raqam-2296.]

“Hazrat Aboo Hurairah Aur Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Donon Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Bargah Me Haazir Huwe.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jab Bhi Log Allah Ta’ala Ke Zikr Ke Liye Baithte Hain Farishtein Dhaanp Lete Hain Aur Rahmat-E-Elahi Inhein Apni Aagosh Me Le Leti Hai Aur Un Par Sakeena (Rahmat) Naazil Hoti Hai Allah Ta’ala Un Ka Zikr Apni Bargah Ke Hazireen Me Karta Hai.”
رواه مسلم والترمذي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
Muslim As-Sahih, 04/2074, raqam-2700,
Tirmidhi As-Sunan, 05/459, Raqam-3378,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1245, Raqam-3791,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/92, Raqam-11893,
Ibn Hibban As-Sahih, 03/136, Raqam-855,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 11/20, Raqam-6159,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06/60, Raqam-29475,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/137, Raqam-1500,
Tayalisi Al-Musnad, 01/296, Raqam-2233,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/398, Raqam-530,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/262, Raqam-2328.]

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Farmaya :
Jab Mera Banda Aik Balisht Meri Taraf Badhta Hai To Mein Aik Haath Us Ki Taraf Badhta Hoo’n Aur Agar Woh Aik Haath Meri Taraf Badhta Hai To Mein Do² Haath Us Kee Taraf Badhta Hoo’n Aur Jab Woh Do² Haath Meri Taraf Badhta Hai To Mein Tejee Se Us Kee Taraf Badhta Hoo’n (Ya’ni Isee Raftar Se Us Par Apni Rahmat Aur Madad Wa Nusrat Ka Nuzool Farmata Hoo’n).”
-
[Muslim As-Sahih, 04/2061, Raqam-2675,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/316, Raqam-8178, &
03/283, Raqam-14045.]

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Farmata Hai :
Mein Apne Bande Ke Us Gumaan Ke Mutaabiq Hota Hoo’n Jo Woh Mere Mut’alliq Rakhta Hai Aur Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n Jab Woh Mera Zikr Karta Hai.”
-
[Muslim As-Sahih, 04/2061, Raqam-2675,
Tirmidhi As-Sunan, 05/581, Raqam-3603,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 04/412, Raqam-7730,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1255, Raqam-3822,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/413, Raqam-9340, 10258, 10715.]

No comments:

Post a Comment