Wikipedia

Search results

Sunday, 1 March 2015

Ayat e Qur'ani kafiron k liye

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
يَا أَيُّهَا النَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٌ فَاسْتَمِعُوا لَهُ إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَنْ يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوِ اجْتَمَعُوا لَهُ وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْئًا لَا يَسْتَنْقِذُوهُ مِنْهُ ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ (73)
مَا قَدَرُوا اللَّهَ حَقَّ قَدْرِهِ إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ(74)

Tarjuma :
-
“Aye Logo’n ! Aik Misaal Bayaan Kee Jaa Rahi Hai Pas Gaur Se Suno Ise ! BeShak Jin Ma’boodon Ko Tum Pukaarte Ho Allah Ta’ala Ko Chhod Kar Yeh To Makkhi Bhi Paida Nahin Kar Sakte Agarche Woh Sab Jama’ Ho Jaaein Is (Ma’mooli Se) Kaam Ke Liye Aur Agar Chhin Le Un Se Makkhi Bhi Koi Chiz To Woh Nahin Chhuda Sakte Use Us Makkhi Se, (Aah !) Kitna Be-Bas Hai Aisa Taalib Aur Kitna Be-Bas Hai Aisa Matloob.(73)
Na Qadar Pehchaani Unhone Allah Ta’ala Kee Jaise Us Kee Qadr Pehchaanne Ka Haque Tha, BeShak Allah Ta’ala Bada Bada Taaqatwar (Aur) Sab Par Ghaalib Hai.(74)”
-
[22 : Al-Hajj, 73, 74.]

 

Tafsir :
-
“Buton Kee Hakaarat Aur Un Ke Poojariyon Kee Kam-Aqli Aur Hamaakat Par Aagaah Kiya Jaa Raha Hai.
Farmaya : يَا أَيُّهَا النَّاسُ.. Ya’ni Aye Logo’n! Yeh Jaahil Jin Buton Kee Parastish Karte Hain Aur Jinhein Allah Ta’ala Ka Sharik Thehraate Hain Un Kee Misaal Bayaan Kee Jaa Rahi Hai, Ise Gaur Se Suno Aur Achchhi Tarah Samajh Lo.

Yeh Kuffar Wa Mushrikin Allah Ta’ala Ko Chhod Kar Jin Buton Kee Pooja Karte Hain, Woh Is Qadar Be-Bas Hain Ki Makkhi Tak Paida Nahin Kar Sakte Agarche Woh Sabhi Mil Kar Is Kaam Ke Liye Koshih Kar Le.

Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Aik Hadith-E-Qudsi Me Hain :
“Us Se Zyaada Zaalim Koun Hai Jo Meri Tarah Koi Chiz Takhliq Karna Chaahta Hai, Agat Waqa’i Woh Aisa Kar Sakte Hain To Meri Takhliq Jaisa Aik Zarrah Aik Makkhi Ya Auk Daana Bana Kar Dikhaaein”(01).
Shahihayn Me Ye Alfaaz Hain :
Us Se Badh Kar Koun Zaalim Hai Jo Meri Makhlooq Jaisi Koi Chiz Takhliq Karna Chaahta Hai, Agar Waaqa’i Unhein Qudrat Haasil Hai To Woh Aik Zarrah Ya Aik Jaw Hee Bana De”(02).

Phir Farmaya : وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ … Un Buton Kee Be-Basi Aur Ijaz Yeh Aalam Hai Ki Aik Makkhi Paida Karna To Durr Kinaar, Yeh To Makkhi Ka Mukaabala Karne Se Bhi Aajiz Hain.
Agar Makkhi Un Se Koi Chiz Chhin Le To Yeh Us Se Chhudaane Kee Qudrat Nahin Rakhte Hala’n Ki Makkhi Nihaayat Dha’if Aur Haqir Makhlooq Hai, Is Liye Farmaya : ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ.

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hainn Ki “Taalib” Se Muraad “But” Aur “Matloob” Se Muraad “Makkhi” Hai(03).
Sidi Wagairah Ka Kehna Hai Ki “Taalib” Se Muraad “Un Buton Ka Poojaari” Aur “Matloob” Se Muraad “But” Hai.

Phir Farmaya : مَا قَدَرُوا اللَّهَ.. Ya’ni Unhone Allah Ta’ala Kee Us Tarah Qadar Nahin Pehchaani Jis Tarah Us Kee Qadar Pehchaanne Ka Haque Tha Warna Woh Un Be-Bas Aur Aajiz Buton Kee Pooja Na Karte Jo Makkhi Ka Mukaabala Karne Kee Bhi Salaahiyat Nahin Rakhte.

Aayat Ke Aakhir Me Farmaya : إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ Ya’ni Allah Ta’ala Hee Hai Jis Ne Apni Qudarat Aur Apni Quwwat Ke Saath Har Chiz Ko Paida Kiya, Wohi Paida’ish Ka Aaghaaz Karta Hai Aur Phir Wohi Do-Baara Zinda Karega Aur Aisa Karna Us Par Bilkul Aasaan Hai.

Us Kee Pakad Bahut Shadid Hai, Wohi Takhliq Kee Ibtida Karne Waala Aur Wohi I’aadah Karne Waala Hai, Wohi Rizq Dene Waala Aur Mahdood Quwwat Ka Maalik Hai Aur Woh Aziz Aur Ghaalib Hai.
Har Chiz Us Ke Ma-Tehat Aur Zer-E-Tsalloot Hai, Koi Is Par Ghalbah Nahin Pa Sakta.
Woh Waahid Aur Qahhar Hai.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/405,
(01) Musnad Ahmad, 02/391,
(02) Fat’h-ul-Bari, 10/385, Sahih Muslim, 03/1671,
(03) Tafsir-E-Tabari, 17/203.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

قُلْ أَرَأَيْتُمْ مَا تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُوا مِنَ الْأَرْضِ أَمْ لَهُمْ شِرْكٌ فِي السَّمَاوَاتِ اِئْتُونِي بِكِتَابٍ مِنْ قَبْلِ هَذَا أَوْ أَثَارَةٍ مِنْ عِلْمٍ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ (4)

 وَمَنْ أَضَلُّ مِمَّنْ يَدْعُو مِنْ دُونِ اللَّهِ مَنْ لَا يَسْتَجِيبُ لَهُ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ وَهُمْ عَنْ دُعَائِهِمْ غَافِلُونَ(5)

وَإِذَا حُشِرَ النَّاسُ كَانُوا لَهُمْ أَعْدَاءً وَكَانُوا بِعِبَادَتِهِمْ كَافِرِينَ(6)

Tarjuma :

-

“Farmaiye (Aye Kuffar !) Kabhi Tum Ne (Gaur Se) Dekha Hai Jinhein Tum Allah Ke Siwa (Khuda Samajh Kar) Pukaarte Ho (Bhala) Mujhe Bhi To Dikhaao Jo Paida Kiya Hai Unhpone Zameen Se Ya Un Ka Aasmanon (Kee Takhliq) Me Kuchh Hissa Hai.
Laao Mere Paas Koi Kitaab Jo Is Se Pehle Utari Ho, Ya Koi (Doosara Ilimi) Saboot Agar Tum Sachche Ho.(04)
Aur Koun Zyaada Gumrah Hai (Us Badbakht) Se Jo Pukarta Hai Allah Ko Chhod Kar Ayse Ma’bood Ko Jo Qayamat Tak Us Kee Fariyad Qabool Nahin Kar Sakta Aur Woh Un Ke Pukaarne Se Hee Ghaafil Hain.(05)
Aur Jab Jama Kiye Jaayege Log (Roz-E-Mehshar) To Ma’boodaan Un Ke Dushman Honge Aur Un Kee Ibadat Ka Saaf Inkaar Kar Dege.(06)”
-
[46 : Al-Ahqaaf-04, 05, 06.]

 

Tafsir :

-

“Phir Farmayaقول  Ya’ni Gayr-ul-Allah Kee Ibadat Karne Waale Un Mushrikin Se Keh Dijiye.

أَرَأَيْتُمْ مَا تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُوا مِنَ الْأَرْضِ  …Ya’ni Zameen Wa Aasmaan Me Se Jo Kuchh Unhone Payda Kiya Hai Mujhe Dikha Dijiye.

أَمْ لَهُمْ شِرْكٌ فِي السَّمَاوَاتِ  Aasmaan Wa Zameen Me Un Ka Kuchh Hissa Nahin Aur Woh Guthli Ke Chhilker Baraabar Bhi Milkiyat Nahin Rakhte.
Baadshahi Aur Tasarraf Jab Sirf Allah Ka Hai To Tum Us Ke Saath Kisi Doosare Kee Ibaadat Kyun Karte Ho ?
Aur Us Us Ke Saath Sharik Kyun Thehrate Ho ?
Kis Ne Us Baat Kee Taraf Tumhari Rehnumaayi Kee Hai ?
Kis Ne Us Taraf Tumhein Bulaaya Hai ?
Kya Us Ne Tumhein Yeh Hukm Diya Hai ?
Ya Us Chiz Kee Tajwiz Tum Ne Khood Pesh Kee Thi ?
Isi Liye Farmaya : اِئْتُونِي بِكِتَابٍ مِنْ قَبْلِ هَذَا  Allah Kee Taraf Se Anbiya Par Naazil Kardah Kitab Me Se Koi Aysi Kitab Laao Jo Un Buton Kee Parastis Ka Hukm Deti Ho.

قولہ مَنْ أَضَلُّ مِمَّنْ يَدْعُو مِنْ دُونِ اللَّهِ مَنْ لَا يَسْتَجِيبُ لَهُ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ وَهُمْ عَنْ دُعَائِهِمْ غَافِلُونَ Ya’ni Us Shakhs Se Badh Kar Gumrah Aur Koun Ho Sakta Hai Jo Buton Ko Pukarta Hai Aur Un Se Us Chiz Ka Sawaal Karta Hai Jo Woh Qiyamat Tak Dene Kee Salahiyat Nahin Rakhte.
Jo Na Sunte Hain, Na Dekhte Hain Na Pakdte Hain Kyun Ki Woh To Jamaawaat, Gunge Patthar Hain.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 04/295, 296.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

قُلْ هَلْ مِنْ شُرَكَائِكُمْ مَنْ يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ قُلِ اللَّهُ يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ فَأَنَّى تُؤْفَكُونَ(34)

قُلْ هَلْ مِنْ شُرَكَائِكُمْ مَنْ يَهْدِي إِلَى الْحَقِّ قُلِ اللَّهُ يَهْدِي لِلْحَقِّ أَفَمَنْ يَهْدِي إِلَى الْحَقِّ أَحَقُّ أَنْ يُتَّبَعَ أَمَّنْ لَا يَهِدِّي إِلَّا أَنْ يُهْدَى فَمَا لَكُمْ كَيْفَ تَحْكُمُونَ (35)

 وَمَا يَتَّبِعُ أَكْثَرُهُمْ إِلَّا ظَنًّا إِنَّ الظَّنَّ لَا يُغْنِي مِنَ الْحَقِّ شَيْئًا إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ بِمَا يَفْعَلُونَ(36)

 

Tarjuma :           

-

“(Aye Habib !) Aap Puchhe Kya Tumhare Ma’boodon Me Koi Hai Jo Aaghaaz Aafrinish Bhi Kare Phir (Fana Ke Baad) Use Lauta Bhi De. Aap Hee Farmaein Allah Hee Aafrinish Kee Ibtida’ Bhi Karta Hai Aur (Fana Ke Baad) Use Lautaata Bhi Hai. Pas (Hosh Karo) Tum Kidhar Phire Jaate Ho.(34)
Aap Puchhiye Kya Tumhare Ma’boodon Me Se Koi Haque Kee Taraf Rehnumayi Kar Sakta Hai. (Khud Hee Jawaaban) Farmaye Allah Hee Haque Kee Taraf Rehnumayi Farmata Hai. To Kya Jo Raah Dikhaye Haque Kee Woh Zyaada Mustahiq Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaae Ya Woh Jo Khud Hee Raah Na Paaye Magar Yeh Ki Us Kee Rehnumayi Kee Jaae. (Aye Mushrikin) Tumheim Kya Ho Gaya ? Tum Kaise Galat Faisle Karte Ho.(35)
Aur Nahin Pairwi Karte Un Me Se Aksar Magar Mahaz Waham Wa Gumaan Kee. Bila-Shubah Waham Wa Gumaan Be-Niyaaz Nahin Kar Sakta Zarrah Bhar. BeShak Allah Ta’ala Khoob Jaanta Hai Jo Woh Karte Hain.”(36)
-
[10 : Yoonus-34, 35, 36.]

 

Tafsir :

-

“Yaha’n Mushrikin Ke Da’wa-E-Shirk Aur Ibadat-E-Asnaam (Patthar Wagairah Ke Buton Kee Ibadat) Radd Aur Baatil Kiya Ja Raha Hai, Farmaya :

قُلْ هَلْ مِنْ شُرَكَائِكُمْ  …Ya’ni Kis Ne Aasmaanon Aur Zameen Kee Aafrinis Ka Aaghaaz Kiya, Phir Un Me Is Qadar Makhlooqaat Paida Kiye, Ajraam-E-Samaawi Aur Arzi Bikher Diye, Phir Woh Har Chiz Ko Fana Karne Ke Baad Do Baara Paida Karega? Woh Allah Hee Hai Jo Yeh Sab Kuchh Karta Hai Woh Mustaqil BilZaat Hai Aur Us Ka Koi Shariq Nahin, To Phir Tum Raah-E-Raast Se Bhatak Kar Kyun Baatil Kee Taraf Munh Uthaaye Jaa Rahe Ho.

 

قُلْ هَلْ مِنْ شُرَكَائِكُمْ مَنْ يَهْدِي إِلَى الْحَقِّ …Ya’ni Tum Jaante Ho Ki Tumhare Yeh Shurka’ Kisi Gumrah Ko Hidayat Dene Kee Qudarat Nahin Rakhte, Sirf Ma’bood-E-Haqiqi Allah Ta’ala Hee Hai Jo Hayraan Wa Shashdar Aur Gumrah Logo’n Ko Hidayat Ata’ Farmata Hai.

 

أَفَمَنْ يَهْدِي إِلَى الْحَقِّ … Ya’ni Kya Aik Banda Us Kee Ittiba’Kare Jo Haque Kee Taraf Rehnumayi Karta Hai Aur Basirat Ata’ Farmata Hai Ya Us Kee Jo Andha Aur Gunga Hone Ke Ba’is Khud Rehnumaayi Ka Muhtaaj Hai.

 

فَمَا لَكُمْ كَيْفَ تَحْكُمُونَ  Tumhari Aqlon Ko Kya Ho Gaya Hai, Kis Tarah Tum Ne Allah Ta’ala Aur Us Kee Makhlook Ke Darmiyan Yaksa Niyyat Paida Kar Dee, Unhein Allah Ta’ala Ke Barabar Thehra Diya Aur Us Ke Saath Un Kee Bhi Ibaadat Karne Lage ?
Tum Ne Sirf Rabb-E-Haqiqi Kee Ibadat Kyun Na Kee Ho Jo Har Chiz Ka Maalik, Haakim Aur Haadi Hai Aur Apni Duaaon Me Sirf Usi Tarah Rujoo’ Na Kiya ?
Phir Allah Ta’ala Bayan Farmata Hai Ki Un Logo’n Ke Deen Wa Itiqaad Kee Buniyaad Kisi Daleel Aur Burhaan Par Nahin Hai, Balki Yeh Waham Wa Gumaan Kee Pairwi Kar Rahe Hain, Is Ka Unhien Koi Faaidah Nahin Hoga, Aakhir Me Farmaya : إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ بِمَا يَفْعَلُونَ Is Me Un Me Liye Dhamki Aur Shadeed Waeed Hai Kyun Ki Unhein Bataay Jaa Raha Hai Ki Allah Ta’ala Unhein Zaroor Badal Dega.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 02/711, 712.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
اللَّهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ وَكِيلٌ(62)
لَهُ مَقَالِيدُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَالَّذِينَ كَفَرُوا بِآيَاتِ اللَّهِ أُولَئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ(63)
قُلْ أَفَغَيْرَ اللَّهِ تَأْمُرُونِّي أَعْبُدُ أَيُّهَا الْجَاهِلُونَ(64)
وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ(65)
بَلِ اللَّهَ فَاعْبُدْ وَكُنْ مِنَ الشَّاكِرِينَ (66)

Tarjuma :
-
“Allah Ta’ala Paida Karne Waala Hai Har Chiz Ka, Aur Wohi Hee Har Chiz Ka Nigehbaan Hai.(62)
Wohi Maalik Hai Aasmaanon Aur Zameen Kee Kunjiyon Ka. Aur Jo Log Inkaar Karte Hai Allah Kee Aayaton Ka Wohi Log Khasaare Me Hain.(63)
Aap Farmaein ! Aye Jaahilo ! Kya Tum Mujhe Hukm Dete Ho Ki Allah Ke Siwa Kisi Aur Kee Ibaadat Karu.(64)
Aur BeShak Wa’hiy Kee Gayi Hai Aap Kee Taraf Aur Un Kee Taraf Jo Aap Se Pehle They. Ki Agar (Bil-Farz Muhaal) Aap Ne Bhi Shirk Kiya To Zaae’ Ho Jaaeinge Aap Ke Aamaal Aur Aap Bhi Khaasirin Me Se Ho Jaaeinge.(65)
Balki Sirf Allah Kee Hee Ibaadat Kiya Karo Aur Ho Jaao Shukr Guzaaron Me Se.(66)”
-
[39 : Al-Zumar, 62, 63, 64, 64, 66.]

Tafsir :
-
أُولَئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ Ibn Abi Hatim Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ne Yaha’n Bahut Hee Gareeb Hadith Naqal Kee Hai Aur Us Kee Shehat Me Bhi Kalaam Hai Lekin Hum Us Ko Un Kee Ittiba’ Me Zikr Kar Dete Hain.

Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se مَقَالِيدُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ Kee Tafsir Ke Baare Me Puchha To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Aye Uthman! Tum Se Qabl Kisi Ne Mujh Se Is Aayat Ka Mutlab Nahin Puchha.
Is Kee Tafsir Yeh Kalimaat Hain :
لا إله إلا الله والله أكبر، سبحان الله وبحمده، أستغفرلله ولا قوة إلا بالله، الأول والاخر، ولظاهر والباطن، بيده الخير، يوحيى ويميت، وهو على كل شئن قدير.
Aye Uthman ! Jo Shakhs Ise Subah Ke Waqt Das Martabah Padh Le Allah Ta’ala Use Chhe Faza’il Ata’ Farmata Hai. Awwal To Who Shaytaan Aur Us Ke Lashkaron Se Mehfooz Ho Jaata Hai.
Doum Use Aik Qantaar Ajr Milta Hai.
Teesare Jannat Me Us Ka Aik Darajja Buland Hota Hai.
Chauthe Us Ka Nikaah Hoore’in Se Kar Diya Jaata Hai.
Paanchwe Us Ke Paas Baarah Farishte Aate Hain.
Chhte Use Itna Sawaab Milta Hai Jaise Kisi Ne Qur’an, Tawraat, Injil Aur Zaboor Padhi Ho.
Phir Us Ke Saath Hee Aye Uthman Aik Hajj Mubroor Aur Maqbool Umre Ka Sawaab Milta Hai.
Agare Usi Din Us Ka Inteqaal Ho Jaae To Use Shaheed Ka Rutba Milta Hai.
Aboo Ya’la Mawsuli Ne Bhi Ise Riwayat Kiya Hai Lekin Yeh Bahut Garib Hai Aur Is Me Nukaarat Hai. wAllahu A’lam.

قُلْ أَفَغَيْرَ اللَّهِ تَأْمُرُونِّي أَعْبُدُ أَيُّهَا الْجَاهِلُونَ Is Ke Sabab Nuzool Me Ibn Abi Hatim Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Wagairah Ne Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Kiya Hai Ki Mushrikin Ne Apni Jahaalat Kee Bina Par Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Apne Ma’boodon Kee Parasyish Kee Da’wat De Dee To Yeh Aayat Naazil Huwi.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 04/123, 24.]
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
وَمِنْهُمْ مَنْ يَسْتَمِعُ إِلَيْكَ حَتَّى إِذَا خَرَجُوا مِنْ عِنْدِكَ قَالُوا لِلَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ مَاذَا قَالَ آنِفًا أُولَئِكَ الَّذِينَ طَبَعَ اللَّهُ عَلَى قُلُوبِهِمْ وَاتَّبَعُوا أَهْوَاءَهُمْ(16)
وَالَّذِينَ اهْتَدَوْا زَادَهُمْ هُدًى وَآتَاهُمْ تَقْوَاهُمْ (17)
فَهَلْ يَنْظُرُونَ إِلَّا السَّاعَةَ أَنْ تَأْتِيَهُمْ بَغْتَةً فَقَدْ جَاءَ أَشْرَاطُهَا فَأَنَّى لَهُمْ إِذَا جَاءَتْهُمْ ذِكْرَاهُمْ(18)
فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاسْتَغْفِرْ لِذَنْبِكَ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مُتَقَلَّبَكُمْ وَمَثْوَاكُمْ(19)

Tarjuma :
-
“Aur Jo Log Raah-E-Hidaayat Par Chale Allah Ta’ala Badha Deta Hai Un Ke Noor-E-Hidayat Ko Aur Unhein Taqwa Kee Taufique Bakhsta Hai.(17)
Pas Kya Yeh Log Intezaar Kar Rahe Hain Qiyamat Ka Ki Aajaae Un Par Achaanak BeShak Us Kee Nishaaniya’n To Aa Hee Gayi Hain. (To Jab Qiyamat Un Par Aa Gayi) To Us Waqt Un Ko Samajhna Kab Nasib Hoga.(18)
Pas Aap Jaan Le Ki Nahin Koi Ma’bood Bajuz Allah Ke Aur Duaa Manga Karein Ki Allah Aap Ko Gunaah Se Mehfooz Rakhe Neez Magfirat Talab Kare Momin Mardon Aur Aurton Ke Liye. Aur Allah Ta’ala Jaanta Hai Tumhare Chalne Phirne Aur Aaraam Karne Kee Jag’hon Ko.(19)”
-
[47 : Muhammad, 16, 17, 18, 19.]

 

Tafsir :
-
“قلہ فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ Yeh Elan-E-Tawheed Hai.
وَاسْتَغْفِرْ لِذَنْبِكَ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ Sahih Hadith Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Namaz Ke Baad Yun Kaha Karte They :
اللهم اغفرلى خطيتى وجهلى، وإسرافى فى أمرى، وما أنت أعلم به منى، اللهم اغفرلى هزلى وجدى، وختنى وعمدى وكل ذلك عندى(01)

Sahih Hadith Me Hai Ki Aap Namaz Ke Aakhir Me Farmaya Karte :
اللهم اغفرلى ماقدمت وما أخرت، وماسردت وماعلنة، وما أسرفت، وما أنت ألم به منى، أنت الهى لا إله إلا أنت (02)

Aik Aur Sahih Hadith Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshad Farmaya :
Aye Logo’n ! Apne Rab Se Tawbah Karo Mein Aik Din Me Sattar Se Zyaada Martaba Tawbah Karta Hoo’n. (03)

Imam Ahmad Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ne Abd-ul-Allah Bin Ka Qaul Naqal Kiya Hai Ki Mein RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargha Me Haajir Huwa. Aap Ke Saath Khaana Khaaya. Aur Arz Kee :
Farmaya Tumhein Bhi.
Phir Mein Ne Arz Kiya Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aap Ke Liye Istighfar Kiya Tha.
Unhone Kaha Tha Haa’n.
Muslim, Tirmidhi, Nasa’i , Ibn Jarir Aur Ibn Abi Hatim Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Aj’maeen Ne Ise Muata’dadd Sanadon Se Riwayat Kiya Hai. (04)

Aboo Ya’la Ne Aik Aur Hadith Me Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllahu SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshad Farmaya :
Kalma-E-Tayyibah Aur Istighfar Kee Kasrat Kiya Karo. Iblis Ka Kahna Hai Mein Ne Logo’n Ko Gunaahon Se Halaak Kiya Aur Unhone Mujhe Kalma Aur Istighfar Se Halaak Kiya.
Jab Mein Ne Yeh Dekha To Mein Ne Khwaahisaat Ke Saath Unhein Halaak Kiya.
Haala’n Ki Woh Yeh Samajhte Hain Ki Woh Hidaayat Par Hain.

Aik Aur Riwayat Me Hai :
Iblis Kahne Laga : Tere Izzat Wa Jalaal Kee Qasam Mein Unhein Us Waqt Tak Gumraah Karta Rahunga Jab Tak Un Kee Roohe Un Ke Ijsaam Me Hain.
To Allah Ta’ala Ne Farmaya :
Mere Izzat Wa Jalaal Kee Qasam !
Mein Unhein Us Waqt Tak Bakhshta Rahunga Jab Tak Woh Mujh Se Maghfirat Maangte Rahenge.(05)”
-
[01] Muttafque Alayh, Fat’h-ul-Bari, 11/196, Muslim, 04/2087,
[02] Muttafque Alayh, Fat’h-ul-Bari, 13/371, Muslim, 01/532,
[03] Muttafaque Alayh, Muslim, 04/2075, 2076, Bukhari, 11/101,
[04] Musnad Imam Ahmad, 05/82, Muslim, 04/1823, 1824, Rawzat-ul-Ahwadhi, 13/120, Nasa’i, As-Sunan-ul-Kubra, 04/349, 350, Tabari, 26/54,
[05] Dekhiye Aal-E-Imran Aayat : 135,
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 04/325, 326.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
وَكَأَيِّنْ مِنْ آيَةٍ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ يَمُرُّونَ عَلَيْهَا وَهُمْ عَنْهَا مُعْرِضُونَ(105)
وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُمْ بِاللَّهِ إِلَّا وَهُمْ مُشْرِكُونَ(106)
أَفَأَمِنُوا أَنْ تَأْتِيَهُمْ غَاشِيَةٌ مِنْ عَذَابِ اللَّهِ أَوْ تَأْتِيَهُمُ السَّاعَةُ بَغْتَةً وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ(107)

Tarjuma :
-
“Aur Kitni Hee (Be-Shumaar) Nishaniya’n Hai Jo Aasmaanon Aur Zameen (Ke Har Goshah) Me (Sajee Hwi) Hain Jin Par Yeh (Har Subah Wa Shaam) Guzarte Hain Aur Woh Un Se Roo Gardaani Kiye Hote Hain.(105)
Aur Nahin Imaan Laate Un Me Se Aksar Allah Ke Saath Magar Us Haalat Me Ki Woh Shirk Karne Waale Hote Hain.(106)
Kya Woh Be-Gham Ho Gaye Hain Us Baat Se Ki Aaye Un Par Chhaa Jaane Waala Allah Ta’ala Ka Azaab Ya Aa Jaye Un Par Qiyaamat Achaanak Aur Unhein Is Kee Aamad Ka Shaoor Tak Na Ho.(107)”
-
[12 : Yoosuf, 105, 106, 107.]

 

Tafsir :
-
“وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُمْ بِاللَّهِ إِلَّا وَهُمْ مُشْرِكُونَ Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain :
Un Ka Imaan Yeh Hai Ki Jab Un Se Puchha Jaata Hai Ki Zameen, Aasmaan Aur Pahaad Kees Ne Paida Kiye ?
Woh Jawaab Dete Hain Ki Allah Ta’ala Ne.
Phir Is Iqraar Ke Baa-Wajood Allah Ta’ala Ke Saath Gairon Ko Sharik Bhi Thehraate Hain.(01) Mujahid, Ata’, Akramah, Shuaba, Qataada, Dahaq Aur Abd-ur-Rahman Bin Zayd Bin Aslam Ka Yahi Qaul Hai.

Shahihain Me Hai Ki Mushrikin Apne Talbiyyah Me Yeh Kehte :
“Mein Haajir Hoo’n, Tera Koi Sharik Nahin Magar Woh Sharik Hai Jise Too Ne Khud Sharik Banaaya Hai, Too Us Ka Bhi Maalik Hai Aur Us Ka Bhi Jis Ka Woh Maalik Hai.”(02)

Jab Mushrikin Itna Kehte :
“لبيك لا شريك لك” To RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmate : Bas Bas.”(02)
Ya’ni Us Qadar Hee Kaafi Hai,Majeed Kuchh Na Kaho.

Allah Ta’ala Farmata Hai :
إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ [31 : Luqman, 13.]
“Yakinan Shirk Zulm-E-Azim Hai.”, Aur Us Se Badh Kar Kya Shirk Ho Sakta Hai Ki Allah Ta’ala Ke Saath Gairon Kee Bhi Ibaadat Kee Jaae Jaisa Ki Hazrat Ibn Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Arz Kee :
Ya RasoolAllah ! Kounsa Gunaah Sab Se Bada Hai ?
Aap Ne Farmaya :
“Too Allah Ta’ala Ka Shrik Thehraaye Haala’n Ki Us Ne Tujhe Paida Kiya Hai.”(03)

Hazrat Hasan Basari Rehmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Farmate Hain Ki Is Aayat وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُمْ ……Ka Misdaaq Woh Munaafiq Hai Jo Logo’n Ke Dikhaawe Ke Liye Amal Karta Hai To Yeh Apne Aise Amal Ke Baa’is Mushrik Hai, Allah Ta’ala Farmata Hai:
إِنَّ الْمُنَافِقِينَ يُخَادِعُونَ اللَّهَ وَهُوَ خَادِعُهُمْ وَإِذَا قَامُوا إِلَى الصَّلَاةِ قَامُوا كُسَالَى يُرَاءُونَ النَّاسَ وَلَا يَذْكُرُونَ اللَّهَ إِلَّا قَلِيلًا [Nisa, 142.]
“BeShak Munafiq (Apne Gumaan Me) Dhoke De Rahe Hain Allah Ko Aur Allah Ta’ala Saja Dene Waala Hai Unhein (Is Dhokebaaji Kee) Aur Jab Khade Hote Hain Namaz Kee Taraf To Khade Hote Hain Kaahil Ban Kar (Woh Bhi Ibaadat Kee Niyyat Se Nahin Balki) Logo’n Ko Dikhaane Ke Liye Aur Nahin Zikr Karte Allah Ta’ala Ka Magar Thodi Der.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 02/853, 854,
(01) Tafsir-E-Tabari, 01/77,
(02) Sahih Muslim, 02/843,
(03) Takhrij Ke Liye Dekhe Tafsir Sooreh Baqrah : 22.]

 

 

Tafsir Ibn Kathir Me Sooreh Faatiha Ke Faza’il Me Hai Ki :
-
Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Aik Martaba Hum Safar Me They.
Aik Jagah Hum Ne Padaaw Kiya.
Aik Laundi Hamare Paas Aayi Aur Kehne Lagi Qabile Ke Sardaar Ko Saanp Ne Das Liya Hai.
Hamaare Aadami Yaha’n Maujood Nahin.
Kya Tum Me Se Koi Aisa Hai Jo Dam Kar De.
Hum Me Se Aik Shakhs Uth Kar Saath Ho Liya.
Hamein Yeh Ma’loom Na Tha Ki Yeh Shakhs Dam Karna Bhi Jaanta Hai.
Us Ne Waha’n Jaa Kar Kuchh Dam Kiya To Woh Aadami Bilkul Thik Ho Gaya.
Us Ne Khush Ho Kar Tees Bakariya’n Aur Kuchh Doodh Bheja.
Jab Woh Waapis Aaye To Hum Ne Puchha Kya Tum Ta’wiz Wagairag Jaante Ho ?
Woh Kehne Laga :
Mein Ne To Sirf Soor-E-Fatiha Padh Kar Dam Kiya Hai.
Hum Ne Kaha Ki Is Maal Ko Na Khaaio Taa Ki Hum RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Pahunch Jaaein.
Aur Is Ke Baare Me Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Daryaft Kar Le.
Jab Hum Madinah Munawwarah Pahunche To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Haajir Ho Kar Tamam Maajra Arz Kiya.
To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ise Kaise Pata Chala Ki Yeh Dam Karne Waali Soorat Hai.
Laao Mera Bhi Hissa Nikaalo.
Aur Baaqi Taqsim Kar Lo.”(01)

Shahih Muslim Aur Aboo Dawood Me Bhi Yeh Hadith Sharif Hai.
Muslim Kee Baaz Riwaayaat Me Hai Ki Dam Karne Waale Hazrat Aboo Saeed Khudri Hee They.
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 01/37, 38,
Bukhari, 06/231 (Bab Faza’il-ul-Qur’an).]
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
فَاِنَّکَ لَا تُسۡمِعُ الۡمَوۡتٰی وَ لَا تُسۡمِعُ الصُّمَّ الدُّعَآءَ اِذَا وَلَّوۡا مُدۡبِرِیۡنَ(52)
وَ مَاۤ اَنۡتَ بِہٰدِ الۡعُمۡیِ عَنۡ ضَلٰلَتِہِمۡ اِنۡ تُسۡمِعُ اِلَّا مَنۡ یُّؤۡمِنُ بِاٰیٰتِنَا فَہُمۡ مُّسۡلِمُوۡنَ(53)

Tarjuma :
-
“Pas Aap Murdon Ko Nahin Suna Nahin Suna Sakte Aur Na Aap Behron Ko Suna Sakte Hain Apni Pukaar (Khususan) Jab Woh Peeth Pher Kar Jaa Rahe Ho.(52)
Aur Na Aap Hidaayat De Sakte Ho Andhon Ko Un Kee Gumraahi Se. Aap Nahin Sunate Magar Unhein Jo Imaan Laaye Hamaari Aayaton Par Pas Woh Gardan Jhukaaye Huwe Hain.”(53)
-
[30 : Al-Room, 52, 53.]

 

Tafsir :
-
“Allah Ta’ala Farmat Hai Ki Jis Tarah Murdon Ko Qabron Mein Sunaana Aur Earaaz Baratne Waale Behron Tak Apni Baat Pahunchaana Qudrat Se Baahar Hai, Usi Tarah Haque Se Andhe Ban’ne Waalon Ko Hidaayat Dene Aur Unhein Gumrahi Se Baaz Rakhne Par Bhi Aap Qaadir Nahin Balki Is Par Sirf Allah Ta’ala Ko Qudrat Haasil Hai.
Woh Apni Qudrat Se Jab Chaahe Murdon Ko Zindon Kee Aawaaz Suna Sakta Hai Aur Jise Chaahe Hidaayat Se Nawaaz Sakta Hai Aur Jise Chaahe Gumraah Kar Sakta Hai.
Us Ke Siwa Kisi Aur Ke Bas Me Yeh Baat Nahin, Is Liye Farmaya : Ya’ni Aap Sirf Unhein Sunaate Hain Jo Hamaari Aayaton Par Imaan Rakhte Hain Aur Woh Sar Taslime Karne Waale Aur Ita’at Karne Waale Hain.
Yahi Woh Log Hain Jo Haque Ko Sunte Bhi Hai Aur Us Kee Ittiba’ Bhi Karte Hain.

Yeh Haal Ahl-E-Iman Ka Hai Aur Is Se Pehle Kaafiron Ka Haal Bayaan Huwa Jaisa Ke Farmaya : اِنَّمَا یَسۡتَجِیۡبُ الَّذِیۡنَ یَسۡمَعُوۡنَ وَ الۡمَوۡتٰی یَبۡعَثُہُمُ اللّٰہُ ثُمَّ اِلَیۡہِ یُرۡجَعُوۡنَ [06 : Al-An’am, 36.]
“Sirf Wohi Qubool Karte Hai Jo Sunte Hai Aur Allah Ta’ala Un Murdon Ko Uthaayega Phir Woh Us Kee Taraf Lautaae Jaaeinge.

Umm-ul-Momineen Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Is Aayat-E-Karima Se Sama’ Mawta Kee Nafi Par Istdialaal Karte Huwe Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Is Riwayat Kee Taawil Kee Hai Jis Me Aata Hai Ki Ghazwa-E-Badr Me Qatl Hone Waale Kuffar Kee Laashon Ko Aik Gaddhe Me Phaink Diya Gaya Us Ke Teen Din Baad Jab Nabi Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Waha’n Tashrif Laaye Aur Un Ke Naam Le-Le Kar Un Se Khitaab Kiya Aur Unhein Sarznish Kee To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Arz Kee :
Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam !
Aap Aise Logo’n Ko Khitaab Farma Rahe Hain Jo Be-Jaan Laashe Hain.
Is Par Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
‘Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Haath Me Meri Jaan Hai Tum Meri Baat Un Se Zyaada Nahin Sun Rahe Lekin Woh Jawaab Dene Kee Taaqat Nahin Ra SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallamkhte”.

Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Is Riwayat Kee Taawil Karte Huwe Farmaya Hai :
Ki Is Se Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Maqsood Yeh Tha Ki Woh Ab Jaante Hain Ki Mein Un Se Jo Kuchh Kehta Tha, Woh Haque Hai.(01)

Qatadah Kehte Hain Ki Allah Ta’ala Ne Unhein Zinda Kar Diya Yaha’n Tak Ki Unhone Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Woh Baat Sun Lee Jo Aap Ne Ba-Taure Sarznish Farmayi Thi.

Ulama’ Ke Nazdik Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Riwayat Bilkul Sahih Hai Kyun Ki Us Ke Mut’addad Shwaahid Maujood Hain.
Un Me Se Aik Marfoo’ Aur Mash’hoor Riwayat Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Hai :
“Jo Aadmi Apne Us Musalman Bhai Kee Qabr Ke Paas Se Guzarta Hai Jise Woh Duniya Me Pehchaanta Tha Aur Use Woh Salam Deta Hai To Allah Ta’ala Us Kee Rooh Ko Lauta Deta Hai Yaha’n Tak Ki Woh Us Ke Salam Ka Jawaab Deta Hai.(02)

Ummat Ke Liye Nabi Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Yeh Irshad Hai Ki Jab Woh Ahl-e-Quboor Ko Salam Karna Chaahein To Unhein Zindon Ka Salam Karein Aur Yeh Kaha Karein :
“اسلام عليكم دار قوم مؤمنين”(03)
Yeh Khitaab Us Shakhs ke Liye Hai Jo Sunta Bhi Hai Aur Samajhta Bhi Hai.
Agar Yeh Khitaab Maqsood Na Hota To Un Se Khitaab Karna Aise Hee Hota Jaise Ma’doom Aur Jamaad Se Khitaab Kiya Jaata Hai.
Salafe Saalihin Ka Is Baat Par Ijma Hai Aur Mutawaatir Riwaayaat Se Yeh Maslak Saabit Hai Ki Mayyat Apne Ziyaarat Karne Waale Ko Pehchaanti Hai Aur Khush Hoti Hai.

Ibn Abi Ad-Duniya Ne Kitab-ul-Quboor Me Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Kee Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
“Jo Shakhs Apne Bhaai Kee Qabr Kee Ziyaarat Ke Liye Jaata Hai Aur Us Ke Paas Baithta Hai To Saahib-E-Qabr Ko Is Se Badi Taskeen Hoti Hai Aur Woh Us Ke Salaam Ka Jawaab Deta Hai Yaha’n Tak Ki Woh Waha’n Se Uth Jaaye.”
….. ,
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/734, 735,
(01) Fat’h-ul-B,ari, Kitab-ul-Maghazi, 07/301,
Sahih Muslim, Kitab-ul-Jana’iz, 02/643,
(02) Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Manasik, 02/218
(03) Sahih Muslim, Kitab-ul-Jana’iz, 02/619,
Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Jana’iz, 03/219 Wagairah.]

Is Tafsir Me Our Bhi Kai Saari Riwaayaat Hai Jo Yaha’n Likhi Jaae To Post Bahot Taweel Ho Jaae, InsahAllah Waqt Mila To Use Bhi Likh Diya Jaaega Filhal To Aakhir Kee Riwayat Yeh Hai :
“Nabi Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apni Ummat Ko Ta’lim Dee Hai Ki Woh Ziyarat-E-Quboor Ke Waqt Yeh Kaha Karein :
“سلام عليكم اهل الديار من المؤمنين وانا إنشاهالله بكم لا حقون ير حم الله المستقدمين منا ومنكم والمستاخرين نسأل الله لنا والكم العافية”(02)

Yeh Salam, Khitaab Aur Needa’ Us Maujood Ke Liye Hai Jo Sunta Ho, Khitaab Karta Ho, Samjhta Ho Aur Jawaab Deta Ho Agarche Salam Dene Waala Musalman Us Ke Jawaab Ko Na Sun Sake.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/737,
(02) Sahih Muslim Kitab-ul-Jana’iz, 02/671,
Nasa’i As-Sunan, Kitab-ul-Jana’iz, 04/93.]

Mazid Maloomat Ke Liye Aap Alaawa Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim Ke Imam Jalal-ud-Deen Suyooti Rehmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Kee Kitab Tadhkirat-ul-Quboor Ko Padhe.

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
وَمَا يَسْتَوِي الْأَعْمَى وَالْبَصِيرُ(19)
وَلَا الظُّلُمَاتُ وَلَا النُّورُ(20)
وَلَا الظِّلُّ وَلَا الْحَرُورُ(21)
وَمَا يَسْتَوِي الْأَحْيَاءُ وَلَا الْأَمْوَاتُ إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ مَنْ يَشَاءُ وَمَا أَنْتَ بِمُسْمِعٍ مَنْ فِي الْقُبُورِ(22)
إِنْ أَنْتَ إِلَّا نَذِيرٌ(23)
إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ بِالْحَقِّ بَشِيرًا وَنَذِيرًا وَإِنْ مِنْ أُمَّةٍ إِلَّا خَلَا فِيهَا نَذِيرٌ (24)
وَإِنْ يُكَذِّبُوكَ فَقَدْ كَذَّبَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ جَاءَتْهُمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ وَبِالزُّبُرِ وَبِالْكِتَابِ الْمُنِيرِ(25)
ثُمَّ أَخَذْتُ الَّذِينَ كَفَرُوا فَكَيْفَ كَانَ نَكِيرِ(26)

Tarjuma :
-
“Aur Yaksa’n Nahin Hai Andha Aur Bina.(19)
Au Na Yaksa’n Hain) Andhere Aur Noor.(20)
Umoor Na (Yaksa’n Hai) Saayah Aur Tez Dhoop.(21)
Aur Na Aik Jaise Hain Zinde Aur Murde, BeSahak Allah Ta’ala Sunaata Hai Jis Ko Chaahta Hai, Aur Aap Nahin Sunaane Waale Jo Qabron Me Hain.(22)
Nahin Hai Aap Magar Bar-Waqt Daraane Waale.(23)
Hum Ne Aap Ko Bheja Hai Haque Ke Saath Khushkhabri Sunaane Waala Aur Bar-Waqt Daraane Waala, Aur Koi Ummat Aisi Nahin Jis Me Koi Daraane Waala Na Ho Guzara Ho.(24)
Aur Agar Yeh Log Aap Ko Jhutalaate Hain (To Koi Ta’jjub Nahin) BeShak Jhutalaate Rahe Jo In Se Pehle They, Tashrif Laaye They Un Ke Paas Un Ke Rasool Roshan Daleelein, Aasmani Sahife Aur Noorani Kitaab Le Kar.(25)
Phir (Jab Un Kee Sar Kashi Kee Hadd Ho Gayi) To Mein Ne Pakda Liya Kuffar Ko Pas (Saari Duniya Jaanti Hai) Mera Azaab Kya Tha”.(26)
-
[35 : Al-Fatir, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26.]

 

Tafsir :
-
“Farmaya Ja Raha Hai Ki Yeh Mukhtalif Aur Mutazaad (Khilaf) Asya’ (Chizein) Yaksa’n Nahin.
Andha Aur Bina Yaksa’n Nahin Ho Sakte Balki Un Ke Darmiyan Bahut Zyaada Farq Hai, Isi Tarah Andhere Aur Noor, Siyaah Aur Dhoop Aur Zinde Aur Murde Baraabar Nahin.
Yaha’n Mominon Aur Kafiron Kee Misaal Bayaan Ho Rahi Hai.

Mominon Kee Misaal Zindon Kee See Hai Aur Kaafiron Kee Misaal Murdon Kee See Jaisa Ki Farmaya :
اَوَ مَنۡ کَانَ مَیۡتًا فَاَحۡیَیۡنٰہُ وَ جَعَلۡنَا لَہٗ نُوۡرًا یَّمۡشِیۡ بِہٖ فِی النَّاسِ کَمَنۡ مَّثَلُہٗ فِی الظُّلُمٰتِ لَیۡسَ بِخَارِجٍ مِّنۡہَا [06 : Al-An’am, 122.]
“Kya Woh Jo Murda Tha Phir Hum Ne Use Zinda Kiya Aur Us Ke Liye Noor Bana Diya Jis Ke Ujaale Me Woh Logo’n Ke Darmiyan Chalta Hai, Woh Us Jaisa Ho Sakta Hai Jo Andheron Me Pada Ho, Un Se Nikalne Waala Na Ho”
مَثَلُ الْفَرِيقَيْنِ كَالْأَعْمَى وَالْأَصَمِّ وَالْبَصِيرِ وَالسَّمِيعِ هَلْ يَسْتَوِيَانِ مَثَلًا [11 : Hood, 24.]
“Un Donon Fariqon Kee Misaal Aisi Hai Jaise Aik Andha Aur Behra Ho Aur Doosara Dekhne Waala Aur Sunne Waala Ho, Kya Un Donon Ka Haal Yaksa’n Hai”
Momin Dekhne Sunne Waala Hai, Use Noor Haasil Hai Aur Who Duniya Wa Aakhirat Me Sirat-E-Mustakim Par Gaamzan Hai Jo Use Saayon Aur Nehron Waali Jannat Me Pahuncha Dega Jab Ki Kafir Adha Aur Behra Hai, Andheron Me Bhatak Raha Hai Jin Se Baahir Nikalna Us Ke Liye Mumkin Nahin, Woh Hamesa Gumraahi Me Sar-Garda’n Rehta Hai Aur Qayamat Ke Din Jahannum-Raseed Hoga Jaha’n Haraarat, Shadid Lo (Sho’la), Kholta Huwa Paani Aur Garm Siyaah Saayah Us Kee Tawaaze’ Ke Liye Tayyar Hai.

Farmaya : إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ …. Ya’ni Allah Ta’ala Jise Chaahe Sama’ Hujjat Aur Us Ke Qubool Karne Kee Taraf Rehnumayi Farma Deta Hai Aur Aap Unhein Nahin Suna Sakte Jo Qabron Me Hai Ya’ni Jis Tarah Murde (Kuffar) Qabron Me Jaane Ke Baad Hidayat Aur Us Kee Da’wat Se Istifaadah Nahin Kar Sakte Usi Tarah Yeh Mushrikin Hain.
Un Par Bad-Bakhti Kikh Dee Gayi Hai Is Liye Aap Un Kee Hidayat Ke Liye Koi Tadbeer Nahin Kar Sakte Aur Na Unhein Raah-E-Raast Par Gaamzan Kar Sakte Hain.
Aap To Sirf Khabardar Karne Waale Hain Ya’ni Unhein Tabligh Karna Aur Daraana Hee Aap Kee Zimmedaari Hai.
Baaqi Rahi Hidayat Aur Gumrahi To Yeh Allah Ta’ala Kee Mashiyyat Par Mawqoof Hai.

Farmaya : إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ بِالْحَقِّ … Ya’ni Hum Ne Aap Ko Haque Ke Saath Bheja Hai Taaki Aap Mominon Ko Basaarat De Aur Kafiron Ko Daraaein Aur Bani Aadam Se Jitni Qaumein Guzari Hain, Sab Kee Taraf Allah Ta’ala Ne Daraane Waale Rasool Bheje Aur Un Ke Tamaam Azr Khatm Kar Diye Jaisa Ki Farmaya : إِنَّمَا أَنْتَ مُنْذِرٌ وَلِكُلِّ قَوْمٍ هَادٍ [13 : Al-Ra’d, 07.]
“Aap To Daraane Waale Hain Aur Har Qaum Ke Liye Haadi Hai”.

وَلَقَدْ بَعَثْنَا فِي كُلِّ أُمَّةٍ رَسُولًا أَنِ اُعْبُدُوا اللَّهَ وَاجْتَنِبُوا الطَّاغُوتَ فَمِنْهُمْ مَنْ هَدَى اللَّهُ وَمِنْهُمْ مَنْ حَقَّتْ عَلَيْهِ الضَّلَالَةُ [16 : Al-Nahl, 36.]
“Aur Hum Ne Har Ummat Me Aik Rasool Bheja (Jo Unhein Yeh Ta’lim De) Ki Allah Kee Ibaadat Karo Aur Taaghoot (Shaitan, But) Se Durr Raho.
So Un Me Se Kuchh Woh Loh They Jinhein Allah Ta’ala Ne Hidaayat Dee Aur Kuchh Aise Bhi They Jin Par Gumrahi Musallat Ho Gayi”.
Is Qism Kee Our Bhi Aayaat Hain.

Phir Farmaya : وَإِنْ يُكَذِّبُوكَ …. Al-Bayyinaat Se Muraad Roshan Mo’jizaat Aur Qat’i Dala’il Hain, Zubur Se Muraad Kitaabein Aur Muneer Se Muraad Waazeh Aur Nooraani.
Agli Aayaat Me Farmaya : ثُمَّ أَخَذْتُ الَّذِينَ كَفَرُوا … Ya’ni Is Ke Ba-Wajood Un Qaumon Ne Apne Rasoolon Ko Jhutlaaya To Us Kee Paadaash Me Woh Ibratnaak Azaab Se Do-Chaar Huwe.
Pas Mera Azaab Kaisa Shadeed Tha.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/906, 907.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
اِنَّ ہٰذَا الۡقُرۡاٰنَ یَقُصُّ عَلٰی بَنِیۡۤ اِسۡرَآءِیۡلَ اَکۡثَرَ الَّذِیۡ ہُمۡ فِیۡہِ یَخۡتَلِفُوۡنَ(76)
وَ اِنَّہٗ لَہُدًی وَّ رَحۡمَۃٌ لِّلۡمُؤۡمِنِیۡنَ(77)
اِنَّ رَبَّکَ یَقۡضِیۡ بَیۡنَہُمۡ بِحُکۡمِہٖ وَ ہُوَ الۡعَزِیۡزُ الۡعَلِیۡمُ(78)
فَتَوَکَّلۡ عَلَی اللّٰہِ اِنَّکَ عَلَی الۡحَقِّ الۡمُبِیۡنِ(79)
اِنَّکَ لَا تُسۡمِعُ الۡمَوۡتٰی وَ لَا تُسۡمِعُ الصُّمَّ الدُّعَآءَ اِذَا وَلَّوۡا مُدۡبِرِیۡنَ(80)
وَ مَاۤ اَنۡتَ بِہٰدِی الۡعُمۡیِ عَنۡ ضَلٰلَتِہِمۡ اِنۡ تُسۡمِعُ اِلَّا مَنۡ یُّؤۡمِنُ بِاٰیٰتِنَا فَہُمۡ مُّسۡلِمُوۡنَ(81)

Tarjuma :
-
“Bila Shubah Qur’an Bayan Karta Hai Bani Israil Ke Saamne Aksar Un Umoor (Kee Haqiqat) Ko Jin Me Woh Jhagadte Rehte Hain.(76)
Aur Bila Shubah Ye Qur’an Saraapa Hidaayat Aur Mujassam Rehmat Hai Momineen Ke Liye.(77)
Yaqinan Aap Ka Rab Faisla Farmaega Un Ke Darmiyan Apne Hukm Se, Aur Wohi Hai Jabardast Sab Kuchh Jaanne Waala.(78)
So Aap Bharosa Karein Allah Ta’ala Par, BeShak Aap Roshan Haque Par Hain.(79)
Beshak Aap Nahin Suna Sakte Murdon Ko Aur Na Aap Suna Sakte Hain Behron Ko Apni Pukaar Jab Woh Bhaage Jaa Rahe Ho Peeth Phere Huwe.(80)
Aur Nahin Aap Hidayat Dene Waale (Dil Ke) Andhon Ko Un Kee Gumraahi Se, Nahin Sunaate Aap Bajuz Un Ke Jo Imaan Laate Hain Hamaari Aayaton Par Phir Woh Farma’n Bardaar Ban Jaate Hain.(81)”
-
[27 : Al-Naml, 76, 77, 78, 79, 80, 81.]

 

Tafsir :
-
“Qur’an-E-Karim Hidayat Aur Bayan Par Mushtamil Kitaab-E-Furqaan Hai Aur Yeh Bani Israil (Hamilin Tauraat Wa Injil) Ke Saamne Un Ke Ikhtilaafi Umoor Ko Bayaan Karta Hai Jaisa Ki Hazrat Isa Alayh-is-Salam Ke Muta’lliq Un Ka Shadeed Ikhtilaaf Hai. Yahood Aap Par Bohtaan Baandhte Aur Tohmat Lagaate Hain Jab Ki Nasraani Ghuloo Karte Huwe Aap Ko Hadd Se Badha Dete Hain, Qur’an Karim Ne Is Afraat Wa Tafrit Ko Mustard Karte Huwe Haque Wa Adal Par Mabani Sahih Baat Bayan Kee Ki Hazrat Isaa Alayh-is-Salam Allah Ke Bande Aur Rasool Hain Jaisa Farmaya : ذَلِكَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ قَوْلَ الْحَقِّ الَّذِي فِيهِ يَمْتَرُونَ [19 : Maryam, 34.]
“Yeh Hai Isaa Bin Maryam (Aur Yeh Woh) Sachchi Baat Hai Jis Me Log Shak Kar Rahe Hain”.

Qur’an Karim Ke Muta’lliq Mazid Farmaya Ki Yeh Ahl-E-Iman Ke Liye Saraapa Hidaayat Aur Mujassam Rehmat Hai, Phir Farmaya : اِنَّ رَبَّکَ یَقۡضِیۡ …. . Ya’ni Aap Ka Parwardigaar Qiyamaat Ke Din Un Ke Darmiyaan Apne Hukm Se Faisala Farmayega Aur Woh Apne Intiqaam Me Ghaalib Aur Bandon Ke Aqwaal Wa Af’aal Ko Khoob Jaanne Waala Hai.
Phir Nabi Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Mukhaatib Kar Ke Farmaya : فَتَوَکَّلۡ عَلَی اللّٰہِ ….. Ya’ni Aap Apne Tamaam Umoor Me Allah Ta’ala Par Bharosa Kare Aur Risaalat Kee Zimmedaariya’n Nibhaaein, Aap Waazeh Haque Par Hain Aur Aap Mukhalifat Karne Waale Badbakhton Kee Mukhaalaifat Ko Khaatir Me Na Laaein Kyun Ki Un Ke Muta’lliq Faisala Ho Chuka Hai Ki Yeh Azali Badbakht Kabhi Bhi Imaan Nahin Laaeinge Agarche Un Ke Paas Har Qism Kee Nishaniya’n Aa Jaaein, Is Liye Farmaya : اِنَّکَ لَا تُسۡمِعُ الۡمَوۡتٰی … Ya’ni Jis Tarah Aap Murdon Ko Koi Aisi Chiz Nahin Suna Sakte Jo Un Ke Liye Nafa’ Rasa’n Ho Usi Tarah Yeh Badbakht Hain Un Ke Dilon Par Parde Pade Huwe Hain Aur Un Ke Kaanon Me Kufr Kee Giraani Hai.

Yeh Na-Hanjaar Kabhi Bhi Gumraahi Se Baaz Nahin Aaeinge Aur Na Aap Kee Baaton se Mutaassir Ho Kar Imaan Laaeinge.
Aap Kee Baat Ko To Woh Qubool Karta Hai Jis Kee Sama’at , Basaarat Aur Gaur-O-Fikr Kee Ista’daad Salaamat Ho Aur Haque Baat Ko Samajhne Aur Qubool Karne Ke Liye Salaahiyat Aur Basirat Maujood Ho.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/630, 631.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

وَيَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ مَا لَمْ يُنَزِّلْ بِهِ سُلْطَانًا وَمَا لَيْسَ لَهُمْ بِهِ عِلْمٌ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ نَصِيرٍ (71)
وَإِذَا تُتْلَى عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا بَيِّنَاتٍ تَعْرِفُ فِي وُجُوهِ الَّذِينَ كَفَرُوا الْمُنْكَرَ يَكَادُونَ يَسْطُونَ بِالَّذِينَ يَتْلُونَ عَلَيْهِمْ آيَاتِنَا قُلْ أَفَأُنَبِّئُكُمْ بِشَرٍّ مِنْ ذَلِكُمُ النَّارُ وَعَدَهَا اللَّهُ الَّذِينَ كَفَرُوا وَبِئْسَ الْمَصِيرُ(72)

Tarjuma :
-
“Aur Woh Pujate Hain Allah Ta’ala Ke Siwa Un Ko Nahin Utaari Jin Ke Muta’lliq Allah Ta’ala Ne Koi Sanad Aur Nahin Khud Bhi Un Ke Baare Me Koi Ilm Nahin, Aur Nahin Hoga Zulm-O-Siatam Karne Waalon Ka Koi Madadgaar.(71)
Aur Jab Tilaawat Kee Jaati Hai Un Ke Saamne Hamaari Aayatein Saaf-Saaf, To Aap Pehchaan Lete Hain Kuffar Ke Chehron Par Na-PasandagiKe Aasaar, Yun Pata Chalta Hai Ki Woh Anqarib Jhapat Padege Un Logo’n Par Jo Padhte Hain Un Ke Saamne Hamaari Aayatein, Aap Farmaaein (Aye Chee’n Ba Jabee’n Hone Waalon!) Kya Mein Aagaah Kar Doo’n Tumhein Is Se Bhi Taklif Deh Chiz Par Dozakh Kee Aag ! Wa’da Kiya Hai Us Aag Ka Allah Ta’ala Ne Kuffar Se, Aur Dozakh Bahut Bada Thikaana Hai.(72)”
-
[22 : Al-Hajj, 71, 72.]

 

Tafsir :
-
“Mushrikin Kee Jahaalat, Kufar Aur Bagair Kisi Sanad Aur Hujjat Ke Gair-ul-Allah Kee Ibaadat Karne Ke Muta’lliq Aagaah Kiya Ja Raha Hai Jaisa Ki Aik Aur Jagah Farmaya : وَمَنْ يَدْعُ مَعَ اللَّهِ إِلَهًا آخَرَ لَا بُرْهَانَ لَهُ بِهِ فَإِنَّمَا حِسَابُهُ عِنْدَ رَبِّهِ إِنَّهُ لَا يُفْلِحُ الْكَافِرُونَ [23 : Al-Momineen, 117.]
“Aur Jo Allah Ta’ala Ke Saath Kisi Doosare Ma’bood Ko Poojata Hai Jis Kee Us Ke Paas Koi Daleel Nahin To Us Ka Hisaab Us Ke Rab Ke Paas Hai, BeShak Kaafir Kaamyaab Nahin Honge”.

Is Liye Yaha’n Farmaya : مَا لَمْ يُنَزِّلْ بِهِ سُلْطَانًا ….. Ya’ni Yeh Log Bagair Kisi Aqli Aur Naqli Daleel Ke Mahaz Apne Gumaraah Aaba-O-Ajdaad Kee Taqlid Me Aur Shaitaan Kee Angikht Par Aisa Kar Rahe Hain Is Liye Dhamki Dete Huwe Farmaya : وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ نَصِيرٍ … Ya’ni Un Zaalimon Ka Koi Madadgaar Nahin Jo Unhein Allah Ta’ala Ke Azaab Se Bacha Le.

Phir Farmaya : وَإِذَا تُتْلَى … Ya’ni Jab Un Ke Saamne Aayaat Kee Tilaawat Kee Jaati Hai Aur Allah Ta’ala Kee Wahdaaniyat Waalon Hayyat Aur Us Ke Rasool Kee Haqqaniyat Wa Sadaaqat Ke Waazeh Dala’il Pesh Kiye Jaate Hain To Yun Mehsoos Hota Hai Ki Yeh Qur’ani Dala’il Pesh Karne Waalon Par Jhapat Padenge Aur Un Ke Saath Dast-Daraazi Karte Huwe Bad-kalaami Se Pesh Aaeinge.

Chunanche Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Hukm Huwa Ki Aap Un Se Yeh Keh De : أَفَأُنَبِّئُكُمْ بِشَرٍّ … Ya’ni Aag Ka Ibratnaak Azaab Tumhaare Is Zulm-O-Sitam Se Kahin Zyaada, Taklif Deh Aur Azim Hai Jis Se Tum Allah Ta’ala Ke Momin Bandon Ko Khoufjadah Kar Rahe Ho.

BaFarz Mahaal Agar Tum Apne Za’am Aur Iraade Ke Mutaabiq Allah Ke Un Nek Bandon Ko Taklif Pahuncha Bhi Lo To Is Kartoot Par Aakhirat Me Tum Jis Azaab Ka Shikaar Hoge Woh Is Se Bahut Bada Hai, Tumhein Jahannum Me Dhakel Diya Jaaega Jo Bahut Bura Thikaana Hai.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/404.]
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
يَا أَيُّهَا النَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٌ فَاسْتَمِعُوا لَهُ إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَنْ يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوِ اجْتَمَعُوا لَهُ وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْئًا لَا يَسْتَنْقِذُوهُ مِنْهُ ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ (73)
مَا قَدَرُوا اللَّهَ حَقَّ قَدْرِهِ إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ(74)

Tarjuma :
-
“Aye Logo’n ! Aik Misaal Bayaan Kee Jaa Rahi Hai Pas Gaur Se Suno Ise ! BeShak Jin Ma’boodon Ko Tum Pukaarte Ho Allah Ta’ala Ko Chhod Kar Yeh To Makkhi Bhi Paida Nahin Kar Sakte Agarche Woh Sab Jama’ Ho Jaaein Is (Ma’mooli Se) Kaam Ke Liye Aur Agar Chhin Le Un Se Makkhi Bhi Koi Chiz To Woh Nahin Chhuda Sakte Use Us Makkhi Se, (Aah !) Kitna Be-Bas Hai Aisa Taalib Aur Kitna Be-Bas Hai Aisa Matloob.(73)
Na Qadar Pehchaani Unhone Allah Ta’ala Kee Jaise Us Kee Qadr Pehchaanne Ka Haque Tha, BeShak Allah Ta’ala Bada Bada Taaqatwar (Aur) Sab Par Ghaalib Hai.(74)”
-
[22 : Al-Hajj, 73, 74.]

 

Tafsir :
-
“Buton Kee Hakaarat Aur Un Ke Poojariyon Kee Kam-Aqli Aur Hamaakat Par Aagaah Kiya Jaa Raha Hai.
Farmaya : يَا أَيُّهَا النَّاسُ.. Ya’ni Aye Logo’n! Yeh Jaahil Jin Buton Kee Parastish Karte Hain Aur Jinhein Allah Ta’ala Ka Sharik Thehraate Hain Un Kee Misaal Bayaan Kee Jaa Rahi Hai, Ise Gaur Se Suno Aur Achchhi Tarah Samajh Lo.

Yeh Kuffar Wa Mushrikin Allah Ta’ala Ko Chhod Kar Jin Buton Kee Pooja Karte Hain, Woh Is Qadar Be-Bas Hain Ki Makkhi Tak Paida Nahin Kar Sakte Agarche Woh Sabhi Mil Kar Is Kaam Ke Liye Koshih Kar Le.

Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Aik Hadith-E-Qudsi Me Hain :
“Us Se Zyaada Zaalim Koun Hai Jo Meri Tarah Koi Chiz Takhliq Karna Chaahta Hai, Agat Waqa’i Woh Aisa Kar Sakte Hain To Meri Takhliq Jaisa Aik Zarrah Aik Makkhi Ya Auk Daana Bana Kar Dikhaaein”(01).
Shahihayn Me Ye Alfaaz Hain :
Us Se Badh Kar Koun Zaalim Hai Jo Meri Makhlooq Jaisi Koi Chiz Takhliq Karna Chaahta Hai, Agar Waaqa’i Unhein Qudrat Haasil Hai To Woh Aik Zarrah Ya Aik Jaw Hee Bana De”(02).

Phir Farmaya : وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ … Un Buton Kee Be-Basi Aur Ijaz Yeh Aalam Hai Ki Aik Makkhi Paida Karna To Durr Kinaar, Yeh To Makkhi Ka Mukaabala Karne Se Bhi Aajiz Hain.
Agar Makkhi Un Se Koi Chiz Chhin Le To Yeh Us Se Chhudaane Kee Qudrat Nahin Rakhte Hala’n Ki Makkhi Nihaayat Dha’if Aur Haqir Makhlooq Hai, Is Liye Farmaya : ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ.

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hainn Ki “Taalib” Se Muraad “But” Aur “Matloob” Se Muraad “Makkhi” Hai(03).
Sidi Wagairah Ka Kehna Hai Ki “Taalib” Se Muraad “Un Buton Ka Poojaari” Aur “Matloob” Se Muraad “But” Hai.

Phir Farmaya : مَا قَدَرُوا اللَّهَ.. Ya’ni Unhone Allah Ta’ala Kee Us Tarah Qadar Nahin Pehchaani Jis Tarah Us Kee Qadar Pehchaanne Ka Haque Tha Warna Woh Un Be-Bas Aur Aajiz Buton Kee Pooja Na Karte Jo Makkhi Ka Mukaabala Karne Kee Bhi Salaahiyat Nahin Rakhte.

Aayat Ke Aakhir Me Farmaya : إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ Ya’ni Allah Ta’ala Hee Hai Jis Ne Apni Qudarat Aur Apni Quwwat Ke Saath Har Chiz Ko Paida Kiya, Wohi Paida’ish Ka Aaghaaz Karta Hai Aur Phir Wohi Do-Baara Zinda Karega Aur Aisa Karna Us Par Bilkul Aasaan Hai.

Us Kee Pakad Bahut Shadid Hai, Wohi Takhliq Kee Ibtida Karne Waala Aur Wohi I’aadah Karne Waala Hai, Wohi Rizq Dene Waala Aur Mahdood Quwwat Ka Maalik Hai Aur Woh Aziz Aur Ghaalib Hai.
Har Chiz Us Ke Ma-Tehat Aur Zer-E-Tsalloot Hai, Koi Is Par Ghalbah Nahin Pa Sakta.
Woh Waahid Aur Qahhar Hai.”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/405,
(01) Musnad Ahmad, 02/391,
(02) Fat’h-ul-Bari, 10/385, Sahih Muslim, 03/1671,
(03) Tafsir-E-Tabari, 17/203.]

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
أَيُشْرِكُونَ مَا لَا يَخْلُقُ شَيْئًا وَهُمْ يُخْلَقُونَ(191)
وَلَا يَسْتَطِيعُونَ لَهُمْ نَصْرًا وَلَا أَنْفُسَهُمْ يَنْصُرُونَ(192)
وَإِنْ تَدْعُوهُمْ إِلَى الْهُدَى لَا يَتَّبِعُوكُمْ سَوَاءٌ عَلَيْكُمْ أَدَعَوْتُمُوهُمْ أَمْ أَنْتُمْ صَامِتُونَ (193)
إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ عِبَادٌ أَمْثَالُكُمْ فَادْعُوهُمْ فَلْيَسْتَجِيبُوا لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ(194)
أَلَهُمْ أَرْجُلٌ يَمْشُونَ بِهَا أَمْ لَهُمْ أَيْدٍ يَبْطِشُونَ بِهَا أَمْ لَهُمْ أَعْيُنٌ يُبْصِرُونَ بِهَا أَمْ لَهُمْ آذَانٌ يَسْمَعُونَ بِهَا قُلِ ادْعُوا شُرَكَاءَكُمْ ثُمَّ كِيدُونِ فَلَا تُنْظِرُونِ(195)
إِنَّ وَلِيِّيَ اللَّهُ الَّذِي نَزَّلَ الْكِتَابَ وَهُوَ يَتَوَلَّى الصَّالِحِينَ(196)
وَالَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَكُمْ وَلَا أَنْفُسَهُمْ يَنْصُرُونَ (197)
وَإِنْ تَدْعُوهُمْ إِلَى الْهُدَى لَا يَسْمَعُوا وَتَرَاهُمْ يَنْظُرُونَ إِلَيْكَ وَهُمْ لَا يُبْصِرُونَ(198)

Tarjuma :
-
“Kya Woh Sharik Banaate Hain Use Jis Ne Paida Nahin Kee Koi Chiz Aur Woh Khud Paida Kiye Gaye Hain(191).
Aur Woh Nahin Taaqat Rakhte Un Ko Madad Pahunchaane Kee Aur Naa Apni Aap Madad Kaer Sakte Hain(192).
Aur Agar Tum Bulaaye Unhein Hidayat Kee Taraf To Na Pairwi Karenge Tumhaari, Yaksa’n Hai Tumhare Liye Khwaah Tum Bulaao Unhein Ya Tum Khaamosh Raho(193).
(Aye Kuffar) BeShak Jinhein Tum Poojate Ho Allah Ke Siwa Bande Hain Tumhaari Tarah To Pukaaro Unhein Pas Chaahie Ki Qubool Kare Tumhaari Pukaar Ko Agar Tum Sacche Ho(194).
Kya Un Ke Paaon Hain Chalte Hain Woh Jin Ke Saath, Ya Kya Un Ke Haath Hain Pakadte Hain Woh Jin Ke Saath, Ya Kya Un Kee Aankhein Hain Dekhte Hain Jin Se, Ya Kya Un Ke Kaan Hai Woh Sunte Hain Jin Ke Saath ? Aap Kahie Pukaaro Apne Sharikon Ko Phir Shaazish Karo Mere Khilaaf Aur Mat Mohlat Do Mujhe(195).
Yaqinan Mera Himaayati Allah Hai Jis Ne Utaari Yeh Kitaab Aur Woh Himaayat Kiya Karta Hai Nek Bandon Kee(196).
Aur Jin Kee Tum Ibaadat Karte Ho Allah Ke Siwa Woh Taaqat Nahin Rakhte Tumhaari Imdaad Kee Aur Na Apni Hee Madad Kar Sakte Hain(197).
Aur Agar Tum Bulaao Unhein Hidaayat Kee Taraf To Woh Na Sunege Aur Tu Dekhega Unhein Ki Dekh Rahe Hain Teri Taraf Hala’n Ki Unhein Kuchh Nazar Nahin Aata”(198).
-
[07 : Al-A’raf, 191, 192, 193, 194, 195, 196, 197, 198.]

 

Tafsir :
-
“Un Mushrikin Par Izhaar-E-Na-Pasandagi Kiya Ja Raha Hai Jo Allah Ta’ala Ke Saath Aise Andaaz, AsNaam (Patthar Wagairah Ke But) Aur Ausaan Ko Sharik-E-Ibaadat Karte Hain Jo Ba-Zaat Khud Allah Kee Makhlooq Aur Banayi Huwi Chizein Hain, Kisi Muamale Me Unhein Kuchh Bhi Qudrat Haasil Nahin, Na Yeh Kisi Ka Kuchh Bigaad Sakte Hain Aur Na Sanwaar Sakte Hain, na Dekh Sakte Hain Aur Naa Hee Apne Poojaarion Kee Madad Kar Sakte Hain Balki Yeh Be-Jaan Mujassame Jo Na Harkat Karte Hain, Na Sunte Hain Aur Naa Hee Dekhte Hain Balki Un Ke Poojaari Un Se Is Lihaaz se Behtar Hain Ki Woh Sun Sakte Hain, Dekh Sakte Hain Aur Pakad Sakte Hain, Isi Liye Farmaya : أَيُشْرِكُونَ مَا لَا يَخْلُقُ شَيْئًا وَهُمْ يُخْلَقُونَ. Ya’ni Kya Tum Us Ma’boodaan Ko Sharik Thehraate Ho Jin Me Koi Chiz Paida Karne Kee Salaahiyat Hee Nahin Hai Jaisa Ki Aik Aur Maqam Par Farmaya : يَا أَيُّهَا النَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٌ فَاسْتَمِعُوا لَهُ إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَنْ يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوِ اجْتَمَعُوا لَهُ وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْئًا لَا يَسْتَنْقِذُوهُ مِنْهُ ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ (73) مَا قَدَرُوا اللَّهَ حَقَّ قَدْرِهِ إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ(74) [ : Al-Hajj, 73, 74.]
“Aye Logo’n ! Aik Misaal Bayaan Kee Jaa Rahi Hai Pas Gaur Se Suno Ise ! BeShak Jin Ma’boodon Ko Tum Pukaarte Ho Allah Ta’ala Ko Chhod Kar Yeh To Makkhi Bhi Paida Nahin Kar Sakte Agarche Woh Sab Jama’ Ho Jaaein Is (Ma’mooli Se) Kaam Ke Liye Aur Agar Chhin Le Un Se Makkhi Bhi Koi Chiz To Woh Nahin Chhuda Sakte Use Us Makkhi Se, (Aah !) Kitna Be-Bas Hai Aisa Taalib Aur Kitna Be-Bas Hai Aisa Matloob.
Na Qadar Pehchaani Unhone Allah Ta’ala Kee Jaise Us Kee Qadr Pehchaanne Ka Haque Tha, BeShak Allah Ta’ala Bada Bada Taaqatwar (Aur) Sab Par Ghaalib Hai”.

Allah Ta’ala Is Baat Par Mutanabbeh Farma Raha Hai Ki Un Ke Ma’bood Meel Kar Aik Makkhi Bana Ne Kee Bhu Qudrat Nahin Rakhte Balki Un Ke Be-Basi Ka To Yeh Aalam Hai Ki Agar Aik Makkhi Khaane Kee Ma’mooli See Chiz Un Se Chhin Le To Use Waapis Lene Par Bhi Qaadir Nahin.

Jis Kee Yeh Haalat Ho Bhala Woh Kaise Ma’bood Ban Sakta Hai Ki Us Se Rizq Bhi Talab Kiya Jaaye Aur Madad Bhi.
Balki Yeh Ma’boodan-E-Baatilah Bhi Allah Kee Makhlooq Hai Aur Unhein Ghada Gaya Hai Jaisa Ki Hazrat Khalil Alayh-is-Salam Ne Farmaya : أَتَعْبُدُونَ مَا تَنْحِتُونَ [37 : Al-Saffat, 95.]
“Kya Tum Poojate Ho Unhein Jinhein Tum Khud Taraaste Ho?”.

وَلَا يَسْتَطِيعُونَ لَهُمْ نَصْرًا …..Ya’ni Woh Apne Ibaadat Guzaaron Kee Zara Bhi Madad Naihn Kar Sakte Balki Agar Koi Un Ke Saath Bhi Bada Sulook Kare To Apni Madad Bhi Nahin Kar Sakte.
Jis Tarah Hazrat Ibrahim Alayh-is-Salam Buton Ko Tod Phod Dete They Aur Un Kee Intehaayi Ahaanat Wa Tazlil Kiya Karte Thety, Us Ke Muta’lliq Irshaad Hota Hai : فَرَاغَ عَلَيْهِمْ ضَرْبًا بِالْيَمِينِ [37 : Al-Saffat, 93.]
“Phir Poori Quwwat Se Zarb Lagaayi Un Par Daahine Haath Se”, Aur Farmaya : فَجَعَلَهُمْ جُذَاذًا إِلَّا كَبِيرًا لَهُمْ لَعَلَّهُمْ إِلَيْهِ يَرْجِعُونَ [21 : Al-Ambiya, 58.]
“Pas Aap Ne Unhein Reyzah-Reyzah Kar Daala Magar Un Ke Bade But Ko Kuchh Na Kaha Taaki Woh Log (Is Uftaad Ke Baare Me) Us Kee Taraf Rujoo’ Karein”.
Isi Tarah Hazaraat Muaaz Bin Amru Bin Jamuh Aur Muaaz Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Buton Ko Tod Diya Karte They.

Yeh Donon Nau-Jawaan They.
Allah Ta’ala Ne Unhein Islam Kee Neamat Se Sarfaraz Kiya.

Jab RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Madinah Tashrif Laaye To Yeh Donon Nau-Jawaan Raat Ke Waqt Chupke Ke Se Mushrikin Ke Buton Ko Tod Phod Dete Aur Bewaaon Ko Ba-Taur-E-Indhan Istimaal Karne Ke Liye De Dete Taaki Un Kee Qaum Ko Is Se Ibrat Haasil Ho Aur Woh Apne Tarz-E-Amal Par Gaur Karein.

Amru Bin Jamuh Apni Qaum Ka Sardaar Tha, Us Ka Aik Khaas But Tha Jis Kee Woh Ibaadat Karta Aur Use Khushboon Laga Kar Rakhta.
Yeh Donon Hazaraat Raat Ko Aate, Us But Ko Oundha Kar Ke Use Ghalaazat Ke Saath Aaludah Kar Dete.
Amru Bin Jamuh Apne But Kee Yeh Durgat (Kharaab Haalat) Bani Huwi Dekhta To Use Saaf Kar Ke Aur Khushboon Laga Kar Rakh Deta Aur Us Ke Paas Aik Talwaar Rakh Kar Taakid Karta Ki Is Ke Saath Apni Hifaazat Karna Lekin Yeh Hazaraat Phir Aa Kar Us But Kee Khabar Lete Woh Phir Use Nehla-Dhula Kar Aur Khushboon Laga Kar Rakh Deta.
Aakhir Aik Raat Ko Unhone But Ko Pakada Aur Use Aik Murda Kutte Ke Saath Baandh Kar Aik Kunwe Me Latka Diya.
Jab Amru Bin Jamuh Ne Apne Khuda Kee Yeh Durgat Bani Dekhi To Us Kee Aankhein Khul Gayi, Use Ma’loom Ho Gaya Ki Us Ka Deen Baatil Hai.
Who Apne But Se Mukhaatib Ho Kar Kehne Laga :
Agar Tu Waaqa’i Khuda Hota To Is Tarah Kutte Ke Saath Kunwe Me Na Pada Hota.
Phir Unhone Islam Qubool Kar Liya Aur Behtareen Musalman Saabit Huwe, Ghazwa-E-Ohad Me Shahadat Kee Sa’adat Se Sarfaraaz Huwe(01).

وَإِنْ تَدْعُوهُمْ إِلَى الْهُدَى …… Ya’ni Yeh But Kisi Kee Pookaar Ko Nahin Sun Sakte.

Unhein Pukaarna Aur Na Pukaarna Baraabar Hai.
Phir Allah Ta’ala Bayan Farmata Hain Ki Yeh But Bhi Allah Ta’ala Bayaan Farmata Hain Ki Yeh But Bhi Allah Kee Makhlooq Hain Balki Insaan Un Se Behtar Hain Kyun Ki Woh Sunte Hain, Dekhte Hain Aur Pakadte Hain Jab Ki But In Sifaat se Mehroom Hain.

قُلِ ادْعُوا شُرَكَاءَكُمْ …. Ya’ni Tum Meri Muqaabale Me Apni Madad Ke Liye Apne Shurka’ Ko Le Aawo Aur Mujhe Palak-Jhapak Ne Kee Der Bhi Mohlat Na Do Aur Apna Saara Zor Sarf Kar Lo.

إِنَّ وَلِيِّيَ اللَّهُ الَّذِي نَزَّلَ الْكِتَابَ وَهُوَ يَتَوَلَّى الصَّالِحِينَ Ya’ni Mera Himaayati Aur Madadgaar Allah Ta’ala Hai, Woh Mujhe Kaafi Hai, Usi Par Mein Ne Bharosa Kiya Aur Usi Kee Panaah Me Aaya.

Woh Duniya Wa Aakhirat Me Na Sirf Mera Balki Har Saaleh Musalman Ka Woh Dost Aur Madadgaar Hai.
Yeh Aise Hee Hai Jaisa Ki Hazrat Hud Alayh-is-Salam Ne Apni Qaum Ke Jawaab Me Farmaya Tha : إِنْ نَقُولُ إِلَّا اعْتَرَاكَ بَعْضُ آلِهَتِنَا بِسُوءٍ قَالَ إِنِّي أُشْهِدُ اللَّهَ وَاشْهَدُوا أَنِّي بَرِيءٌ مِمَّا تُشْرِكُونَ(54)مِنْ دُونِهِ فَكِيدُونِي جَمِيعًا ثُمَّ لَا تُنْظِرُونِي(55)إِنِّي تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ رَبِّي وَرَبِّكُمْ مَا مِنْ دَابَّةٍ إِلَّا هُوَ آخِذٌ بِنَاصِيَتِهَا إِنَّ رَبِّي عَلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ(56) [11 : Hud, 54, 55, 56.]
“Hum To Yahi Kahenge Ki Mubtila Kar Diya Hai Tujhe Hamaare Kisi Khuda Ne Dimaaghi Khalal Me. Hud Ne Kaha Mein Gawaah Banaata Hoo’n Allah Ta’ala Ko Aur Tum Bhi Gawaah Rehna Ki Mein Be-Zaar Hoo’n Buton Se Jinhein Tum Sharik Thehraate Ho Us Ke Siwa. Pas Saazis Kar Lo Mere Khilaaf Sab Mil Kar Phir Mujhe Mohlat Na Do. Bila-Shubah Mein Ne Bharosa Kar Liya Hai Allah Ta’ala Par Jo Mera Rab Hai Tumhaara Bhi Rab Hai Koi Jaandaar Bhi Aisa Nahin Hai Magar Allah Ta’ala Ne Pakada Huwa Hai Use Peshaani Ke Baalon Se. BeShak Mera Rab Seedhi Raah Par (Chalaane Waala) Hai”, Aur Jaisa Ki Hazrat Ibrahim Alayh-is-Salam Ne Farmaya : اَفَرَءَیۡتُمۡ مَّا کُنۡتُمۡ تَعۡبُدُوۡنَ(75) اَنۡتُمۡ وَ اٰبَآؤُکُمُ الۡاَقۡدَمُوۡنَ(76) فَاِنَّہُمۡ عَدُوٌّ لِّیۡۤ اِلَّا رَبَّ الۡعٰلَمِیۡنَ(77) الَّذِیۡ خَلَقَنِیۡ فَہُوَ یَہۡدِیۡنِ(78)[26 : Al-Shuara, 75, 76, 77, 78.]
“Kya Tum Ne Dekh Liya Un (Kee Be-Basi) Ko Jin Kee Tum Parastish Kiya Karte Ho. Tum Aur Tumhaare Ghuzishta Abaa-O-Ajdaad. Pas Woh Sab Mere Dushman Hain Siwae Rabb-ul-Aalamin Ke. Jis Ne Mujhe Paida Farmaya Phir (Har Qadadm Par) Woh Meri Rehnumaayi Karta Hai”.

وَالَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ … Yeh Pehle Guzare Huwe Mazmoon Kee Taakid Hai.
Fark Sirf Itna Hai Ki Is Me Khitaab Ka Siyghah Hai Aur Waha’n Ghaa’ib Ka.

Isi Liye Farmaya : لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَكُمْ وَلَا أَنْفُسَهُمْ يَنْصُرُونَ.

وَإِنْ تَدْعُوهُمْ إِلَى الْهُدَى …..Isi Tarah Aik Aur Maqaam Par Farmaya : إِنْ تَدْعُوهُمْ لَا يَسْمَعُوا دُعَاءَكُمْ [35 : Fatir, 14.]
“Agar Tum Unhein Pukaaron To Na Sun Sakege Tumhaari Pukaar”.

وَتَرَاهُمْ يَنْظُرُونَ إِلَيْكَ وَهُمْ لَا يُبْصِرُونَ Chunki Un Buton Ke Dhaanche Insaani Shakl Ke Hain Aur Un Kee Aankhein Bhi Bani Huwi Hain Is Liye Mehsoos Yeh Hota Hai Ki Yeh Apni Aankhon Ke Saath Dekh Rahe Hain Hala’n Ki Yeh To Be-Jaan Jamaadaat Hain.
Chunki Yeh Insaani Shakl Wa Soorat Rakhte Hain Aur Dekhte Huwe Dikhaai Dete Hain Is Liye Un Ke Liye Jama’ Aaqil Kee Zamir Isti’maal Kee Hala’n Ki Un Ke Liye Muwannas Kee Zamir Laani Chaahiye They.
Sidi Un Buton Se Muraad Mushrikin Lete Hain Lekin Pehli Baat Hee Durust Hai(02).”
-
[Ibn Kathir Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 02/477, 478, 479, 480,
(01) Sirat Ibn Hisham, 01/453, Al-Rauz-ul-Anaf, 01/280,
(02) Tafsir-E-Tabari, 09/153.]

No comments:

Post a Comment