Jo Apne Liye Manga Woh Ali Ke Liye Manga
Farman-E-Rasool ﷺ
Hadith-01
“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Bimaar Hoo’n To RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Meri Iyaadat Ke Liye Tashrif Laaein.
Mein Pehlu Ke Bal Leta Huwa Tha Aap Ne Mere Pehlu Ke Saath Tek Lagaayi Phir Mujhe Apne Kapade Se Dhaanp Diya.
Jab Aap Ne Dekha Ki Mein Tandurast Ho Gaya Hoo’n To Aap Masjid Me Namaz Padhne Ke Liye Chale Gaye.
Namaz Se Faarig Hone Ke Baad Aap Phir Tashrif Laaye Aur Kapada Utha Kar Farmaya :
Ya Ali !
Khade Ho Jaao Mein Khada Ho Gaya Aur Mein Bimaari Se Thik Ho Chuka Tha Goya Is Se Pehle Mujhe Koi Bimaari Hee Na Thi.
Aap ﷺ Ne Farmaya :
Namaz Me Mein Ne Jo Chiz Apne Liye Maangi Hai Woh Tumhare Liye Bhi Maangi Hai.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/137, 138, Raqam-152.]
Hadith-02
“Ja’far Ahmar Ne Ikhtilaaf-E-Isnaad Karte Huwe Kaha Hai Ki Yazeed Bin Abi Ziyaad Se Abd-ul-Allah Bin Haaris Ne Yeh Riwayat Bayaan Kee Hai.
Qasim Bin Zakariya Bin Dinaar Kahte Hain Ki Mujhe Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Bataaya Ki Mujhe Dard Huwa To Mein RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aaya Aap Ne Mujhe Apni Jagah Par Khada Kar Diya Aur Apne Kapade Ka Aik Kownah Mujh Par Daal Kar Namaz Me Masroof Ho Gaye.
Namaz Se Faarigh Ho Kar Farmaaya :
Ali Khade Ho Jaao !
Tum Tandurast Ho Gaye Ho Ab Tumhein Koi Khauf Nahin Mein Ne Apne Liye Jis Chiz Kee Duaa Kee Hai Tumhare Liye Bhi Waisi Hee Duaa Kee Hai Aur Mein Ne Jis Chiz Ke Muta’lliq Duaa Kee Hai Woh Qubool Ho Gayi Hai Ya Aap Ne Farmaya Ki Woh Chiz Mujhe De Dee Gayi Hai Jo Mein Ne Apne Liye Aur Tumhare Liye Maangi Hai Haa’n Albatta Mere Baad Koi Nabi Nahin.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/138, Raqam-153.]
No comments:
Post a Comment