Wikipedia

Search results

Sunday, 1 March 2015

Taqleed .....


TAQLEED
@1

Taqleed Ki Ta'reef :
Kisi Shakhs Ke Qoul Ya Fael Ki Daleel Me Bagair Nazar Kye Islye Ita'at Karna Ke Ye Muhaqqiq Hey
(Noor ul Anwaar)

Kisi Mujtahid Ke Qoul o Feal Ko Apne Uper Is Tarah Lazim Samajhna Ke IsKa Qoul Mere Lye Shar'yi Hujjat He,
Kyunke Uski QURAN o HADIS Par Gehri Nazar Hoti Hey

TAQLEED
@2-A

#QUR'AN Se Taqleed Ki Daleel#

"Ilm Walon Se Poocho Agar Tumhen Ilm Na Ho"
(Sura e Ambiya Ayet#7)

Malum Hua Ke Ilm Walo (Mujtahideen) Se Poochna, Inki Pairwi Karna,
Isi Ka Naam TAQLEED He.

"Ita'at Karo ALLAH Ki Aur Ita'at Karo RASOOL Aur Hukum Walon Ki Jo Tum Me Se Hen"
(Al-Nisa Ayet#59)

TAQLEED
@2-B

"Aur Isi Ki Raah Chal Jo Meri Taraf Ruju Laye"
(Sura e Luqman Ayet#15)
Is Ayat Me ALLAH Ki Taraf Ruju Karne Walon Ki Ittiba Karne Ka Hukum Dya Gaya Hey Aur Is Ittiba Ka Naam Taqleed He.

"Hum Ko Seedhey Raastey Par Chala, Raasta Un Logon Ka Jin Per Tera In'aam Hua.."
(Faatiha)
Continue @2-C

TAQLEED
@2-C

Is Ayat Me Bhi ALLAH Apney Pyaron Aur In'aam Yafta Logon Ki Raah Chalney Ka Dars Dey Raha Hey
In'aam Yafta Log Is Ummat Ke Auliya Hen
Jesey
Data Ali Hijveri,
Ghous e A'azam,
Khuwaja Moinuddin,
Shah Abdul Latif Bhitai,
Pir Mehar Ali Shah
Wagera.
In Tamam Buzrugan e Deen Ne Mujtahideen Ki Taqleed Ki
Lihaza
Sabit Hua k Taqleed Hi Seedha Aur Kaamyabi Ka Behtreen Raasta Hey
Jabke
Taqleed Se Hat Kar Alag Rasta Ikhtiyar Karney Mey Gumraahi Hey.

TAQLEED
@3

Q.Hum TAQLEED Kyun Karte Hen?

A.Har Shakhs Is Baat Ki Ahliyat Nahi Rakhta Ke Wo Shar'yi Ahkaam Ko Qur'an o Hadees Se Khud Ma'loom Kar Sake,
Lihaza Zaruri He Ke Wo Kisi Ki Taqleed (Pairwi) Karey,
Shariyat Nafiz Karne Waley To ALLAH Aur Uske RASOOL Hen
Imam To Ek Muballig(Puhnchane Wala) He.

TAQLEED
@4

#Mujtahidin Ki Baargaah Me Ruju#

Al-Qur'aan:
"Aur Agar Is Me RASOOL apne Zi Ikhtyar Logon Ki Taraf Ruju Laatey To Zarur Un Se Iski Haqiqat Jaan Lete Ye Jo Baad Me Khuwahish Karte Hen"
(Sura e Nisa Ayet#83)

Malum Hua k QUR'AN Kareem Ko Mujtahideen Par Paish Rakho Aur Un Se Samajh Kar Amal Karo Khud Apni Raaye Par Na Aro Warna Gumraah Ho Jao Ge
Waazeh Hua Ke Jab Bhi Kisi Aam Shakhs Ko Koi Mas'ala Ho To Mujtahideen Ki Baargah Mey Haazir Ho

TAQLEED
@5

#Taqleed Ki Iqsaam#

1.Taqleed e Shar'ai
2.Taqleed e Gair Shar'ai

¤Taqleed e Shar'ai¤
Shar'ai Ahkam Me Kisi Mujtahid Ki Pairwi Karna Taqleed e Shar'ai He
Jesey Namaz, Roza, Hajj, Zakaat, Nikaah, Talaaq Ke Masail Ke In Mey Mujtahideen o Aimma e Deen Ki Ita'at Ki Jati He.

¤Taqleed e Gair Shar'ai¤
Dunyawi Muamlat Me Kisi Ki Ita'at Karna
Jese Tabeeb
BuAli Seena Ki Pairwi Karte Hen
Aur Ilm e Nehw Me Imam Sibubia, Imam Khalil Ki Pairwi Ki Jati He

TAQLEED
@6

Imam Abu Hanifa Ke Muta'alliq Aaya Ke Aap Jab Koi Mas'ala Akhaz Karte To Qur'an Se Letey Aur Agar Is Mey Na Paatey To Sunnat e Rasool Ki Taraf Ruju Karte, Agar Is Me Bhi Na Paatey To SAHABA Ke Qoul Ko Lete Aur Agar Sahaba Me Bhi Ikhtilaf Paatey To Jo Qoul Qur'an o Hadees Ke Zyada Qarib Hota Usey Lete Aur Bahar Na Jatey
Agar Aisa Bi Mumkin Na Hota To Taba'in Ke Qoul Lene Ke Bajaye Khud IJTEHAD Farmatey Jese Sahaba Ne Kya
<Khairat ul Hasan P29>

TAQLEED
@7

Agar Bilfarz Kisi Maqam Par Imam Ka Qoul Qur'an o Hadees Ke Khilaf Ho To Apne Imam Ke Qoul Ko Chor Kar Qur'an o Hadees Par Amal Karenge Kyunke Ba Taqazaye Bashariat Ye Mumkin He Ke Imam Se Khata Sarzad Hui Ho Lekin
Ye Zehan Me Rahey Ke Hadees Me Mujtahideen Ki Khata Par Bhi Sawaab Hey.

TAQLEED
@8

Taqleed e Gair Shar'i Agar Shariyat Se Takra Rahi Ho To Taqleed Karna Haraam Hey Aur Agar Shariyat Ke Khilaf Nahi To Amal Karna Jaaiz o Mubaah Hey.

TAQLEED
@9

#Aqaid Me Taqleed#

Aqaid Me Kisi Imam Ki Taqleed Jaaiz Nahi

MASALAN:
Yun Nahi Keh Saktey Ke Hum Nay Touheed o Risaalat Ko Dalail Sey Tasleem Kya

TAQLEED
@10

#SAREEH AHKAAM#

Sareeh Ehkam Me Taqleed Jaaiz Nahi

MASALAN:
5 Namazein,
30 Rozey
Zakaat
Hajj
Ki Farziyat Wagera Me Taqleed Jaaiz Nahi Kyunke Ye Masaail Qur'an o Hadees Say Saraahat Ke Saath Sabit Hen

Chunanchey Koi Shakhs Yun Nahi Keh Sakta Ke Namaz Ki Farziyat, 30 Rozey,
Imam Azam, Imam Shafayi, Imam Maalik, Ya Imam Ahmed Bin Hambal Ke Kehney Sey Tasleem Kye
Balke Yun Kehna Hoga Ke Qur'an O Hadees Mey Is Par Sarahatan Dalail Mojud Hen.

TAQLEED
@11-A

#Mujtahideen Par Taqleed Wajib Nahi#

Mukallaf (Jis Per Shar'i Ahkaam Nafiz Hote Hon)Musalman Do Tarah Ke Hen

1.MUJTAHID
2.MUQALLID (Gair Mujtahid)

Mujtahid Wo Ke Jis Me Is Qadar Ilmi Qabiliyyat Ho K Qur'an Samajta Ho, Farman e Elahi Ke Maqsad Ko Sahi Toar Pehchaan Bi Sakey Aur Is Sey Masa'il Bhi Nikal Sakey,
Neez QUR'AAN ko Samajhney Ke Lye Jo Uloom Zaruri Hen Jesey
Sarf, Nehw, Balaagat Wagera Un Me Bi Maahir Ho
(Mufti Ahmed Yaar Khan)

TAQLEED
@11-B

Ehkaam Ki Tamam Aayaton Aur Ahadees Par Uski Nazar Ho, Iske Ilawa Zaki (Zaheen) Aur Khush Feham Ho

2- Muqallid:
Jo Is Darjey (Maqaam) Par Na Puhanchta Ho Wo Gair  Mujtahid Ya Muqallid Hey.
Gair Mujtahid Par Taqleed Wajib Hey Aur Mujtahid Par Wajib Nahi.

TAQLEED
@12-A

"Ittiba Karo Barey Giroh Ki, Ke Jo jama'at Sey Alag Raha Wo Alehda He, Jahannum Mey Daala Jayega"
(Mishkat-Babul A'etisaam)

Is Hadees Mey Sawad e Azam (Barey Giroh) Ki Pairwi Ka Hukum Hua
ALHAMDULILLAH
Ummat e Muhammadiya Ke Har Dour Me Ahle Sunnat Hi Wo Wahid Giroh Hey Jiski Aksariyat Hey Aur Ye Tamam Aimma e Arba'a
(Imam Abu Hanifa,
Imam Shafayi,
Imam Maalik,
Imam Ahmed Bin Hambal)
Mey Sey Kisi Na Kisi Ki Taqleed Kartey Hen
Cont.. #12-B

TAQLEED
@12-B

Gair Muqallideen Chaaron Imamon Ki Taqleed Ka Inkar Kartey Hen Aur Usey Gumrahi Aur Shirk Qarar Detey Hen. Halaanke Gair Muqallid Apney Molviyon Ki Taqleed Zarur Kartey Hen.
Agar Wo Kahen Ke Hum To Kisi Ke Muqallid Nahi To Ye Sarasar Galat Hey.
Unhen Chahye Ke Wo Khuda Ka Khouf Karen Aur Sach Bataen Ke Kya Har Paish Aaney Waley Mas'aley Ke Hal Ke Lye Wo Qur'an O Hadees Ke Tamam Zakhiron Sey Dhoondh Kar Nikaltey Hen Ya Apney Molivyon Sey Puchtey Hen Ya Unki Kutub Dekhtey Hen?
Wahabi Taqleed Ko To Shirk Kehtey Hen Aur Khud
Ibn e Abdul Wahab Najdi Aur Uske Pairokaron Ki Taqleed Kartey Hen.

TAQLEED
@13

Hazrat Muaz Bin Jabal Ko Jb Yaman Bhejne Ka Irada Farmaya To Sarkar Ne Pucha;
"Muqaddama Paish Hoga To Kese Faisla Karoge?
Arz Ki; ALLAH Ki Kitab Se,
Farman ; Agar Kitabullah Me Na Paao To?
Arz ; Nabi Ki Sunnat Se,
Farman ; Agar Sunnat Me Bi Na Paao To?
Arz ; Apni Raye Se Ijtihad Karunga
Phr Aaqa Ne Seene Ko Thapkaya Aur Kaha
Khuda Ka Shukar Jisne Rasul Ke Bheje Hue Ko Is Cheez Ki Toufiq Bakshi Ke Jo ALLAH Ke Rasool Ko Khush Karey
(Abu Dawood V3, H#196, P78)
(Tirmizi V1, H#1338, P669)

Malum Hua Ke Khuda o Rasul Ki Raza Isi Me Thi Ke Qur'an o Hadees Samjane Walon Ke Fatwey O Ijtihad Raij Hon

TAQLEED
@14-A

Aakhir Mey Un Musannifeen Hazraat Ke Muqallid Honey Ke Baarey Mey Kuch Bayaan,
Jin Musannifin Ki Kutub Ka Hawala Bad Mazhab Baat Baat Par Detey Hen.
Aimma e Salaasa (3)
Aur Siha e Sitta
(Hadees Ki 6 Sahee Tareen Kutub)
Ke Musannifeen
(Un Kutub Ko Murattab Karney Waley)
Baraah e Raast (Direct) Ya Bilwaasta (InDirect)
Imam e A'azam Abu Hanifa RadiyALLAHu Anhu Ke Shaagird Hen,

Masalan:
Imam Maalik Ne
Imam Azam Sey Ilmi Istifada (Kuch Ilm Haasil) Kya

Jabke
Imam Shafayi,
Imam Muhammad Bin Hasan Ke
Aur
Imam Ahmed Bin Hambal,
Imam Abu Yousuf Ke Shagird Hen.

Ye Donu Koun Hen?
Next Sms Me Parhye

TAQLEED
@14-B

Imam Muhammad o
Imam Yousuf,
Imam e Azam Ke Naamwar Shagird
Lihaza
Aimma e Salaasa (3)
Bi Imam Sahab Ke Shagird Hue.

Imam Abu Yousuf Ke Shagird Imam Ahmed,
Aur Inke Shagirdon Mey
Imam Bukhari,
Muslim,
Abu Dawood
Hen

Imam Tirmzi Ney Imam Bukhari, Muslim Sey
Jabke
Imam Nisai Ney
Imam Abu Dawood Sey Ilm Hasil Kya

Imam Ibn e Maja Bi
Isi Silsiley Ke Shagird Hen

Malum Hua Ke Siha e Sitta Ke Tamam Musannifeen Bilwasta Imam Azam Ke Shagird Hue

TAQLEED
@15

Jo Shakhs Is Haalat Mey Mara Ke Iski Garden Mey Kisi Ki Bait Nahi
Wo Jahalat Ki Mout Mara
(Mishkat P#320)

Merey Sahaba Ki Taqleed Karo
(Mishkat P#554)

Merey Sahaba Sitaron Ki Tarah Hen Jis Ne Inki Taqleed Ki Us Ney Hidayet Payi

In Mey Huzoor Khud Sahaba Ki Taqleed Ka Hukum Farma Rahey Hen

TAQLEED
@16

Hazraat e Jabir o Akrama, Donu Sahaba Kuch Masail Mey Ibn e Abbas Ke Qoul Ki Pairwi Kartey
(Abu Dawood)

Hazrat Ibrahim Nakh'ee Aur Apke Sathi Hazrat Ibn e Mas'ood Aur Apke Shagirdon Ko Faqeeh Samajhtey

Fee Zamana Jo Chaaron Mazahib Sey Bahir Ho To Wo Ahl e bid'at Aur Jahannami Hey
(Tahawi)

TAQLEED
@17

4 Imamon Ya'ni
Imam ABU HANIFA,
Imam Shafayi,
Imam Maalik,
Imam Ahmed Bin Hambal
Ke Siwa Kisi Ki Taqleed Jaaiz Nahi
(Fathul Mubeen Sharah Arbaeen)

TAQLEED
@18

Jo Shakhs Ijtihad Ke Martabey Ko Na Puhncha To Us Pr Wajib Hey Ke Wo Mujtahideen Ke Mazhab Mey Sey Kisi Mazhab Ko Lazim Pakrey
(S.Jama-ul-Jawamey)

TAQLEED
@19

Wahabion, Deobandion Ke Imam ka Aqeeda:
"Jis Shakhs Ne Charon Imam Ki Mukhalifat Ki,
Goya Us Ney Ijma Ki Mukhalifat Ki"

"Imam Muhammad bin Hasan Sey Hikayat Kia Gaya Hey Ke Mujtahid ki Taqleed Jaiz Hey,
Aur Kaha Gaya Hey Ke Apne Se Zyada Aalim Ki Taqleed Jaiz Hey"
(Fatawa Ibne Taimia 2/202)

TAQLEED
@20

#Musalmano Se Ilteja#

Hum Ney Is Poorey Silsley Mey Tafseel Sey Wazeh Kar Dya Ke Taqleed Wajib Hey.

Aur Charon Imam Me Sey Kisi Ki Taqleed Ki Ja Sakti Hey.

Aur AlhamduLiLLAH 99% Musalman Taqleed Kartey Hen Aur Huzoor Karim Ke Farman Ke Mutabiq
"Bari Jama'at" Mey Shamil Hen.
Lekin Kuch Loug Apni Hatt Dharmi Ki Wajah Say Taqleed Ko Nahi Maantey.
Hum Unhey Bhi Kehtey Hen Apni "Anaa" Ko Khatam Karen Aur Bari Jama'at Mey Shamil Ho Jayen
Wesey Taqleed ka Unwan Buhat Mushkil Aur Taweel Hey
Lekin Isey Samajh Kar Parhye, Insha ALLAH Buhat Fayda Hoga.
ALLAH Deen e Haq Par Istiqamat Nasib Farmaye

No comments:

Post a Comment