KarMate-e-auliya
KARAMAT-E-AULIYA.
PART 1
MUTTAQI AUR PARSA KO QASRE JANNAT DEDIYA MAST SARWAR KO DIYA ALLAH NE ROZA TERA.
1 HAZRAT SHAH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLVI LIKHTE HAI “WILAYAT ZILLE NABUWAT HOTA HAI”
REF: SHARAH FUTUHUL GHAIB SAFA 35.
KAISE PEHCHANE WALI KAUN?
HADEES # 2 TARJUMA : “HAZRAT ABDULLAH IBN ABBAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM SEY AWLIYA ALLAH KEY BAAREY MEY POOCHHA GAYA TO AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA WOH LOG (AWLIYA ALLAH HAIN) JINHEY DEYKHNEY SEY ALLAH AZZA WA JALLA YAAD AA JAAYE.” REF: [NASA’I AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD : 06 PG : 362, HADEES : 11235, IBN MUBARAK KITAB-UZ-ZUHAD, JILD : 01 PG : 72, HADEES : 217, MAQDASI AL-AHADITH-UL-MUKHTARAH, JILD : 10 PG : 108, HADEES : 105, HAKEEM TIRMIDHI NAWADIR-UL-USUL, JILD : 02 PG : 39, HAYTHAMI MAJMA-UZ-ZAWA’ID, JILD : 10 PG : 78.]
HADEES # 3 TARJUMA : “HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT KARTEY HAIN KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA : JAB ALLAH TA’ALA KISI BANDEY SEY MUHABBAT KARTA HEY TO HAZRAT JIBRA’IL ALAIHISSALAM KO AAWAAZ DEYTA HEY KE ALLAH TA’ALA FULA’N BANDEY SEY MUHABBAT RAKHTA HEY, LIHAAZA TUM BHI US SEY MUHABBAT KARO PHIR HAZRAT JIBRA’IL ALAIHISSALAM US SEY MUHABBAT KARTA HAIN. PHIR HAZRAT JIBRA’IL ALAIHISSALAM AASMAANI MAKHLOOQ MEY NIDA (AAWAAZ) DEYTEY HAIN KE ALLAH TA’ALA FULA’N BANDEY SEY MUHABBAT KARTA HEY
LIHAAZA TUM BHI US SEY MUHABBAT KARO. PAS AASMAAN WAALEY BHI US SEY MUHABBAT KARNEY LAGTEY HEY. PHIR ZAMEEN WAALON (KEY DILON) MEY US KI MAQBOOLIYAT RAKH DEE JAATI HEY.”
MUTTAFAQUE ALAYH REF: [BUKHARI AS-SHAHIH, JILD : 03 PG : 1175, HADEES : 3037, & JILD 05 PG: 2246, HADEES : 5693, &JILD : 06 PG : 2721, HADEES : 7047, MUSLIM AS-SHAHIH, JILD 04 PG : 2030, HADEES : 2637, MALIK AL-MUWATTA, JILD 02 PG : 953, HADEES : 1710.]
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
Part 2
HADEES #4
TARJUMA : “HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA : BESHAK ALLAH TA’ALA KE KUCHH AIYSEY BARGUZEEDA BANDEY HAIN JO NA AMBIYA KIRAM HAIN NA SHOHADA, QAYAMAT KEY DIN AMBIYA KIRAM ALAIHIMUSSALAM AUR SHOHADA INHEY ALLAH TA’ALA KI TARAF SEY ATA KARDAH MAQAAM DEYKH KAR UN PAR RASHK KAREY GEY. SAHABA-E-KIRAM RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN NEY ARZ KIYA : YA RASOOLALLAH ﷺ! AAP HAMEY UN KEY BAAREY MEY BATAAYE KE WOH KAUN HAIN?
AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA: WOH AISEY LOG HAIN JIN KI EK DOOSAREY SEY MUHABBAT SIRF ALLAH TA’ALA KI KHAATIR HOTI HEY NA KE RISHTEYDAARI AUR MAALI LEYN-DEYN KI WAZAH SEY. ALLAH TA’ALA KI QASAM! UN KEY CHEHREY NOOR HO’N GEY AUR WOH NOOR (KEY MIMBARON) PAR HO’N GEY, UNHEY KOI KHAUF NAHIN HOGA, JAB LOG KHAUF ZADA HO’N GEY UNHEY KOI GAM NAHIN HOGA, JAB LOG GHAMZADA HO’N GEY. PHIR AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY YEH AAYAT TILAAWAT FARMAYI, ˝KHABARDAAR AWLIYA ALLAH PAR NA KOI KHAUF HEY NA WOH RANJEEDA WA GHAMGEEN HO’N GEY.[SUREH YUNUS, 10 : 62]“ REF: [ABOO DAWOOD AS-SUNAN, JILD : 03 PG : 288, HADEES : 3527, NASA’I AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD : 06 PG : 362, HADEES : 11236, BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN, JILD : 06 PG : 486, HADEES : 8998.]
HADEES # 5
TARJUMA:
“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT KARTEY HAIN KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA : ALLAH TA’ALA KEY KUCHH BANDEY AISEY HAIN JO AMBIYA NAHIN LEKIN AMBIYA-E-KIRAM AUR SHOHADA BHI US PAR RASHK KAREY GEY. ARZ KIYA GAYA : (YA RASOOLALLAH ﷺ) WOH KAUN LOG HAIN? (HAMEY UN KI SIFAAT BATA’IYE) TAAKE HUM BHI UN SEY MUHABBAT KAREY. AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA : WOH AISEY BANDEY HAIN JO AAPAS MEY BAGHAIR KISI QARAABATDARI AUR WAASTEY KEY MAHAZ ALLAH TA’ALA KI KHAATIR MUHABBAT KARTEY HAIN UN KEY CHEHREY POORNOOR HO’N GEY AUR WOH NOOR KEY MIMBARON PAR JALWA AFROZ HO’N GEY. UNHEY KOI KHAUF NAHIN HOGA, JAB LOG KHAUF ZADA HO’N GEY AUR UNHEY KOI GHAM NA HOGA JAB LOG GHAMZADA HO’N GEY. PHIR AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NEY YEH AAYAT TILAAWAT FARMAYI, “KHABARDAAR BESHAK AWLIYA ALLAH PAR NA KOI KHAUF HEY AUR NA WOH RANJEEDA WA GHAMGEEN HO’N GEY.[YUNUS, 10 : 62]“ REF: [IBN HIBBAN AS-SHAHIH, JILD : 02 PG : 332, HADEES : 573, ABOO YA’LA AL-MUSNAD, JILD : 10 PG : 495, HADEES : 6110, BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN, JILD : 06 PG : 485, HADEES : 8997, 8999, MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, JILD : 04 PG : 12, HADEES : 4580.]
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
Part 3
Hadees 6
TARJUMA: “HAZRAT ASMA BINTE YAJEED RADIYALLAHU TA’ALA ANHA SEY RIWAYAT HEY KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KO FARMATEY SUNA KE KYA MEIN TUMHEY TUM MEY SEY SAB SEY BEHTAR LOGON K BAARE ME KHABAR NA DOO’N
SAHABA KIRAM RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN NEY ARZ KIYA : YA RASOOLALLAH ﷺ! KYUN NAHIN? AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA : TUM MEY SEY BEHTAR LOG WOH HAIN JAB UNHEY DEYKHA JAAYE TO ALLAH YAAD AA JAY”A..
REF: [IBN MAJAH AS-SUNAN, 02 PG : 1379, HADEES : 4119, AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, 06 PG : 459, HADEES : 27640, BUKHARI AL-ADAB-UL-MUFRAD PG : 119, HADEES : 323, TABARANI AL-MU’JAM-UL-KABIR, 24 PG : 167, HADEES : 423.]
HADEES 7
TARJUMA: “HAZRAT AMR BIN HAMIQ RADIYALLAHU TA’ALA ANHU RIWAYAT KARTE HAIN KE HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI AALEHI WA SALLAM NEY FARMAYA BANDA US WAQT TAK IMAN KI HAQEEQAT KO NAHIN PAA SAKTA JAB TAK KE WOH ALLAH TA’ALA KEY LIYE HEE (KISI SEY) NAARAAZ AUR ALLAH TA’ALA KEY LIYE HEE (KISI SEY) RAAZI NA HO (YA’NI US KI RAZA KA MARKAZO MEHWAR SIRF ZAATEY E’LAAHI HO) AUR JAB USNE YE KAAM KAR LIYA TO US NE IMAN KI HAQEEQAT KO PAA LIYA AUR BESHAK MERE AHBAAB AUR AWLIYA WO LOG HAIN KE MEREY ZIKR SE UN KI YAAD AA JAATI HEY AUR UN KEY ZIKR SEY MERI YAAD AA JAATI HAI (YA’NI MERA ZIKR UN KA ZIKR HEY AUR UN KA ZIKR MERA ZIKR HEY)
”REF: TABARANI AL-MU’JAM-UL-AWSAT, JILD 1 PG 203, HADEES 651,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, JILD 03 PG 430, HADEES15634,
IBN ABI DUNIYA KITAB-UL-AWLIYA PG 15, HADEES 19,
IBN RAJAB JAMI’-UL-ULOOM WAL-HIKAM, 1 PG 365,
DAYLAMI MUSNAD-UL-FIRDAWS, JILD 5 PG 152, HADEES 7789, MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, JILD 04 PG 14, HADEES 4589, HAYTHAMI MAJMA-UZ-ZAWA’ID, JILD : 01 PG : 58.]
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
PART 4
HADEES 8
TARJUMA:
“HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA SE RIWAYAT HAI K ARZ KIYA GAYA : YA RASOOLALLAH Sallallahualaihiwasallam
HAMARE BEHTAREEN HUMNASHEEN KAUN LOG HAIN?
AAP SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA : AISA HUMNASHEEN JIS KA DEYKHNA TUMHEY ALLAH TA’ALA KI YAAD DILAAYE AUR JIS KI GUFTAGOO TUMHAREY ILM ME IZAAFA KARE AUR JIS KA AMAL TUMHE AAKHIRAT KI YAAD DILAAYE.
” REF: [ABOO YA’LA AL-MUSNAD, JILD 04 PG : 326, HADEES : 2437,
ABD BIN HUMAYD AL-MUSNAD, JILD 01 PG : 213, HADEES : 631,
ABOO NU’AYM HILYAT-UL-AWLIYA, JILD 07 PG : 46, IBN MUBARAK AZ-ZUHAD,JILD 01 PG : 121, HADEES : 355,
IBN ABI DUNIYA KITAB-UL-AWLIYA PG : 17, HADEES : 25,
MUNDHIRI AT-TARGHIB WAT-TARHIB, JILD : 01 PG : 63, HADEES : 163, HINDI KANZ-UL-UMMAL, JILD : 09 PG : 28, 37, HADEES : 24764, 24820,
HUSAYNI AL-BAYAN WAT-TA’RIF,JILD : 02 PG : 39, HADEES : 994, ZURQANI AS-SHARH,JILD 04 PG : 553, MANAWI FAYD-UL-QADIR, JILD : 03 PG : 467.]
“WILAYAT KI QISME”
HADEES 9
TARJUMA : HAZRAT ABDULLAH IBN MASOOD RADIALLATAALA ANHU SE RIWAYAT HAI ALLAH K RASUL SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA K 40 MERI UMMAT ME WHO LOG HAI JINKE DIL HAZRAT IBRAHIM K QALB K NICHE HAI AUR FARMAYA JAANTE HO INKI SHAAN KYA HAI K ALLAH TAALA INKE TUFAIL TUMSE AZAABO KO DOOR KARDETA HAI AUR JAANLO UNHE JO KAHA JAATI HAI WHO ABDAAL HAI.
REF: IMAM IBN NUYEM HILYATUL AULIYA IMAM TABRANI MAJAME KABIR JILS 10 HADEES 1039 SAFA 181.
HADEES 10
TARJUMA : HAZRAT SHURI IBN UBAID NE KAHA HAZRAT ALI K SAAMNE MULK-E-SHAM KA ZIKR KIYA GAYA AUR KEHNE WALE NE KAHA AMEERUL MOMINEEN AAP MULK E SHAM PER LAANAT KIJIYE ,HAZRAT ALI NE KAHA ME WAHA K LIYE BADDUA NAHI KARUGA , KYU , ISLIYE KI MENE MULK E SHAM K BARE ME NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE SUNA KI WAHA PER ABDAAL RAHA KARTE HAI AUR UNKI TAADAD 40 HAI UN MESE KISI EK KA BHI INTEQAL HOTA HAI TO ALLAH TAALA USKI JAGAH DUSRA WALI BANA DETA HAI AUR JAANTE HO UNKA MAKAAM KYA HAI,UNKE SADKE ME TUM PER BAARISH FARMATA HAI AUR UNHI KI WAJAH SE TUM DUSHMANO PER FATAH PAATE HO AUR AHLE SHAAM K ABDAALO K SABAB SE TUMHARE AZAABO KO TAAL DIYA JAATA HAI. REF: MISHKAT SHAREEF JILD 2 HADEES 6015 MUSNAD AHMED JILD 1 SAFA 122 IMAM TABRANI NE MAJAME KABIR JILD SAFA 63
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
Part 5
HADEES 11
TARJUMA: HAZRAT ABDULLAH IBN UMAR RADIALLATAALA ANHU SE RIWAYAT HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA K LOGO ALLAH K KUCH KHAS BANDE HAIN JISKO ALLAH NE KISI KHAS MAQSAD SE PAIDA KIYA K LOGO KI ZARURAT TAAKI WO PURI KARE ,FARMAYA JAB LOG APNI HAAJAT ,TAKLEEFE LE JAATE HAI TAB ALLAH UNKE SABAB SE UNKE DUA SE WO TAKLEEFE DOOR KARDETA HAI AUR WO LOG WO HAIN JINKE SABAB SE TUMSE AZAAB DOOR KARDIYA JAATA HAI….
REF: IMAM ABU NUYEM HILYATUL AULIYA JILD 3 HADEES 308 SAFA 225 IMAM TABRANI NE MAJAME KABIR…
HADEES 12
AULIYA SE QURB “KARAMAT-E-AULIYA” IS KO CHAAPNE WALE KHUD DEOBANDI HAI AUR ISKA URDU TARJUMA KIYA HAI MOLANA IMDADULLAH SAHAB USTAD JAAME ASHRAFIYAT LAHORE YE KITAB IMAM YAAFI KI HAI ARABIC ME.. TARJUMA:
RUDOOR RIYAHEEN) SAFA 39 HAZRAT HASAN BASRI E MARWI HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA FUQHRA SE JAAN PEHCHAN ZIYADA RAKHA KARO ,ARZ KIYA YA RASUL ALLAH INKI JAAN PEHCHAN SE KYA FAYDA HAI,
FARMAYA JAB QAYAMAT KA DIN HOGA UNSE KAHA JAYEGA JISNE TUMHE EK ROTI KA BHI TUKDA KHILAYA HAI YA EK GHUTT PAANI BHI PILAYA HAI USE TALASH KARO AUR USE JANNAT ME LEKAR CHALE JAO.
“SUBHANALLAH”
HADEES 13
HAZRAT ANAS BIN MALIK RIWAYAT KARTE HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA AULIYA ALLAH SE APNI JAAN PEHCHAAN RAKHA KARO UNSE QAREEB HOJAYA KARO JIS WALI SE TUM QURB HAASIL KAROGE WO ALLAH KA WALI ROZ E QAYAMAT TUMHARI SHAFAT KAREGA.
REF: IMAM DAILMEE NE MUSANAD UL FIRDOUS JILD 1 HADEES 2051 SAFA 81.
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
PART 6
HADEES 14
HAZRAT AYSHA RADIALLATAALA ANHA SE RIWAYAT HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE FARMAYA YA SUNA K ALLAH K NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM JAB KISI MARIZ KO DEKHNE JAATE TO YE FARMAATE
“BESHAK HAMARI ZAMEEN(MADINA) KI MITTHI ME ALLAH NE SHIFA RAKHI HAI AUR MERI UMMAT K BAAZ LOG AISE HAI JINKE THUK(LUAB) ME BHE ALLAH NE SHIFA RAKHI HAI.
REF: BUKHARI JILD 2 KITABUT TIB.
HADEES NO 696 ..
MUSLIM SHAREEF KITABUS SALAM ABU DAWUD KITABUT TIB IBN MAJAH KITABUT TIB MUSANAD-E-IMAM AHMED JILD 6 SAFA NO 93.
HADEES15
AHL-E-HADEES K MAULVI ARMAAN SARHINDI SAHAB JISNE HAZRAT GAUS-E-PAAK KI KITAB GUNYATUT TALIBEEN KA TARJUMA KIYA HAI USME LIKHTA HAI KI FUTUHUL GHAIB HAZRAT GAUS-E-PAAK KI MUSTANAD TAREEN KITAAB HAI AUR YE WO KITAB HAI JISE AAPNE MOHABBAT-E-ILAAHI ME DOOBKAR LIKHI HAI. FUTHUL GHAIB MAQALA NO. 16
“ALLAH TAALA NE APNI BAAZ KITABI ME FARMAYA “A FARZANDE AADAM ME ALLAH HU,MERE SIWA KOI MAABUD NAHI ME JIS CHIZ KO HUKUM DETA HU “HOJA” WO YAQEENAN HOJATI HAI PAS TO MERI ITAAT IKHTIYAR KAR PHIR ME TUJHE BHE AISA BANA DUGA K TU JIS CHIZ KO HUKUM DEGA “HOJA” WO HOJAYEGI AUR AZAAN-E-ILAAHI SE ALIME WAJUD ME AAYEGE AUR BILSHUBA ALLAH TAALA NE APNE AMBIYA,SIDDIQUEEN,AULIYA AUR KHAS-E- BANI AADAM KO AISE HI ROOHANI QUWATO’N KA HAALA BANAYA HAI.
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
PART 7
“AULIYA SE DUSHMANI ALLAH TAALA SE JUNG KARNA HAI”
HADEES 16
“HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HY K HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA.
ALLAH TA’ALA FARMATA HEY : JO MERE KISI WALI SE DUSHMANI RAKHEY MAI US SEY ELAAN-E-JUNG KARTA HOO’N AUR MERA BANDA AYSEE KISI CHEEZ K ZARIYE MERA QURB NAHIN PAATA JO MUJHEY FARZON SE ZIYADA MEHBOOB HO AUR MERA BANDA NAFLI IBADAT K ZARIYE BARAABAR MERA QURB HAASIL KARTA RAHTA HY.
YAHAN TAK KE MAI US SEY MUHABBAT KARNEY LAGTA HOO’N AUR JAB MAI US SEY MUHABBAT KARTA HOO’N TO MAI US KA KAAN BAN JAATA HOO’N JIS SEY WO SUNTA HY AUR US KI AANKH BAN JAATA HOO’N JIS SE WO DEKHTA HY AUR US KA HAATH BAN JAATA HOO’N JIS SE WO PAKARTA HY AUR US KA PAANW BAN JAATA HOO’N JIS SE WO CHALTA HY. AGAR WO MUJH SEY SAWAL KARTA HY TO MAI USEY ZAROOR ATA KARTA HOO’N AUR AGAR WO MERI PANAAH MAANGTA HY TO MAI ZAROOR USEY PANAAH DEYTA HOO’N. MAINE JO KAAM KARNA HOTA HY US ME KABHI IS TARAH MUTARDID (FIKRAMAND) NAHIN HOTA JAISEY BANDA-E-MOMIN K JAAN LENEY ME HOTA HOO’N, USEY MOWT PASAND NAHI AUR MUJHEY US KI TAKLEEF PASAND NAHIN.” رواه البخاري. – [BUKHARI AS-SHAHIH, JILD 5 PG 2384, HADEES 6137,
IBN HIBBAN AS-SHAHIH, JILD 2 PG 58, HADEES 347,
BAYHAQI AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD 10 PG 219, BAAB(60),
KITAB-UZ-ZUHAD AL-KABIR, JILD 2 PG 269, HADEES : 696.]
JARI
KARAMAT-E-AULIYA
Part 8
“AULIYA AUR SALEHEEN RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM AJ’MAEEN KI KARAMAT KA BAYAN”
HADEES 17
TARJUMA : “HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI ZAWZAMUBARAKA HAZRAT AYSHA SIDDIQUA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA BAYAN KARTI HAIN KI HAZRAT ABOO BAKAR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU GAABA (NAAMI WAADI) ME UNHEIN KHAJOOOR KE CHAND DARAKHT HIBA KIYE JIN ME SE BEES WASAQ KHAJOOREIN AATI THI. JAB HAZRAT ABOO BAKAR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU KI WAFAAT KA WAQT QAREEB AAYA TO UNHONE FARMAYA : AYE MERI PIYARI BETI! AYSA DOOSRA KOI NAHIN JIS KA APNE BAAD GHANI HONA MUJHE TUM SE ZIYADA PASAND HO AUR APNE BAAD MUJHE KISI MUFLISI ZYADA GARA’N NAHIN.
MAINE TUMHEIN KUCH DARAKHT DIYE THEY JIN SE BEES WASAK KHAJOOREIN AATI THI AGAR TUMNE UN PAR KHABZA KIYA HOTA TO WO TUMHARE HO JAATE.
AB WO MIRAAS KA MAAL HAI AUR TUMHARE DO² BHAI AUR DO² BEHNEIN HAIN. SO SAARE MAAL KO ALLAH KI KITAAB (KE HUKM) KE MUTABIK TAQSEEM KAR LENA. HAZRAT AYSHA RADIYALLAHU TA’ALA ANHA FARMATI HAIN : MAINE ARZ KIYA : ABBA JAAN MAAL KHWAAH KITNA HEE ZIYADA HOTA MAI CHHOD DETI LEKIN MERI BAHEN TO SIRF HAZRAT ASMA HAIN DOOSARI KAUN HAI?
HAZRAT ABOO BAKAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE FARMAYA WO BINTE KHAARIJA KE PET ME HAI AUR MERE KHAYAAL ME WOH LADKI HAI PHER UNHONE UMME KULSOOM (NAAMI) BETI KO JANM DIYA.
REFRENCE.
MALIK AL-MUWATTA, JILD 2 PAGE NO 752, HADEES-1438)
(BAYHAQI AS-SUNAN-UL-KUBRA, JILD 6 PAGE NO 169, HADEES-11728, 12268)
(TAHAWI SHARH MA’ANI AL-AATHAR, JILD 4 PAGE NO 88)
(LALKA’I KARAMAT-UL-AULIYA’,1 PAGE NO 177, HADEES-62,
ASQALANI AL-ISABAH, 7 PAGE NO 575, HADEES-11023,
NAWAWI TAHDHIB-UL-ASMA’ 2 PAGE NO 574, HADEES-1030, 1239,
ZAYLA’I NASAB-UR-RAYAH, 4 PAGE NO 122,
ABOO JA’FAR AT-TABARI AR-RIYADH-UN-NADHIRAH, 2 PAGE NO 123, 257,
IBN SA’D AT-TABQAT-UL-KUBRA, 3 PAGE NO 194.]
JARI
KARAMAT-E-AULIYA.
PART 9)
HADEES18
TARJUMA : “HAZRAT ABD-UR-RAHMAN BIN ABOO BAKAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE EK TAWEEL WAAQIYE ME MARWI HAI KI EK MARTABA HAZRAT ABOO BAKAR SIDDIQUE RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE SAHABA KIRAM (ASHABE SUFFA) RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN KI DAAWAT KI
(AUR UN KE SAATH) AAP NE KHUD BHE KHAANA KHAAYA AUR DOOSARON NE BHE HAR LUQMA UTHAANE KE BAAD KHAANA PEHLE SE BHE ZIYAADA BADH JAATA. SAYYADANA SIDDIQUE AKBAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE APNI BEEWI SE (JO BANI FARAAS KE QABEELE SE THI)
FARMAYA : AYE HAMSHEERA BANI FAARAS YE KYA MAAMALA HAI? UNHONE ARZ KIYA : AYE MERI AANKHON KI THANDAK
(MERE SARTAAJ) IS WAQT TO YE KHAANA PEHLE SE TEEN GUNA ZIYAADA HAI CHUNANCHE UN SAB SAHABA NE BHE KHOOB KHAAYA AUR HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI KHIDMAT-E-AQDAS ME BHE RAWAANA KIYA,
NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE BHE TANAAWUL FARMAYA”
REFRENCE.
MUTTAFAQUE ALAYH – (BUKHARI AS-SAHIH, JILD 1 PAGE NO 216, HADEES-577,
& JILD 03 PAGE: 1312, HADEES-3388,)
(MUSLIM AS-SAHIH, JILD 3 PAGE 1627, HADEES-2057)
(BAZZAR AL-MUSNAD, JILD 6 PAGE NO 228, HADEES-2263,
AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, JILD 1 PAGE 197, HADEES-1702, 1712)
JARI
KARAMAT-E-AULIYA.
PART 10
HADEES 19
TARJUMA : “HAZRAT ABDULLAH UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHUMA NE SE MARWI HAI KI MAINE HAZRAT UMAR RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE KOI AYSEE BAAT NAHIN SUNI JIS KE MUT’ALLIQ UNHONE FARMAYA HO KI MERE KHAYAAL ME YE IS TARAH HAI AUR WO UN KE KHAYAAL KE MUTAABIK NA NIKLI HO.
REFRENCE
(BUKHARI AS-SAHIH, JILD 03 PG:1403, HADEES-3653,
HAKIM AL-MUSTADRAK, JILD 03 PAGE NO:94, HADEES-4503,
LALKA’I KARAMAT-UL-AWLIYA’, JILD 01 PAGE NO:119, HADEES-65,
NAWAWI RIYAD-US-SALEHEEN, JILD 1 PAGE:568, HADEES-1510.]
HADEES 20
TARJUMA : “HAZRAT ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA : PEHLI UMMATON ME AISE LOG THEY JIN KE DIL ME ALLAH TA’ALA KI TARAF SE BAATEIN ILQA KI JAATI
(GHAIB SE DIL ME DAALI JAATI) THI
(YA’NI UNHEIN ILHAAM HOTA THA) AUR MERI UMMAT ME AGAR KOI AISA SHAKHS HAI TO WO UMAR HAI.”
“AUR HAZRAT ABOO SAEED KHUDARI RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI RIWAYAT ME BAYAN KIYA KI SAHABA KIRAM RIDWANULLAHI TA’ALA ALAIHIM AJ’MAEEN NE POOCHHA (YA RASOOLALLAH ﷺ !) IS ILHAAM KI KAIFIYAT KYA HOTI HAI?
HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM NE FARMAYA : US KI ZUBAAN PAR FARISHTE BOLTE HAIN.”
REFRENCE
(BUKHARI AS-SAHIH, JILD 3 PAGE NO:1349, HADEES-3486,
& JILD 3 PAGE NO:1279, HADEES-3282,
MUSLIM AS-SAHIH, JILD 4 PAGE NO :1864, HADEES-2398,
TIRMIDHI AS-SUNAN, JILD 5 PAGE NO:622, HADEES-3693,
IBN HIBBAN AS-SAHIH, JILD 15 PAGE NO 317, HADEES-6894,
HAKIM AL-MUSTADRAK, JILD 3 PAGE NO:92, HADEES-4499
, وقا: هذا حديث صحيح الإسناد ، AHMAD BIN HANBAL AL-MUSNAD, JILD 6 PAGE NO 55, HADEES-24330,
BAYHAQI SHUAB-UL-IMAN,JILD 5 PAGE NO:48, HADEES-5734,
TABARANI AL-MU’JAM-UL-AWSAT, JILD 7 PAGE NO :18, HADEES-6726,
DAYLAMI MUSNAD-UL-FIRDAWS, JILD 3 PAGE NO 278, HADEES-4839,
IBN RAHAWAYH AL-MUSNAD, JILD 2 PAGE NO :479, HADEES-1058,
HAKEEM TIRMIDHI NAWADIR-UL-USUL, JILD 3 PAGE NO:138,
NAWAWI RIYAD-US-SALEHEEN, JILD 1 PAGE NO:564, HADEES-1504,
HAYTHAMI MAJMA‘-UZ-ZAWA’ID, JILD 9 PAGE NO 69,
BAYHAQI AL-I’TIQAD, JILD 1 PAGE NO:315,
ASQALANI FAT’H-UL-BARI, JILD 6 PAGE NO:50,
MUBARAKPURI TUHFAT-UL-AHWADHI, JILD 10 PAGE:125.
No comments:
Post a Comment