Wikipedia

Search results

Thursday, 5 March 2015

Kharji ka qatil haq pe hai

Aik Kharji Giroh Niklega
Kharjion Ko Qatl Karne Waala Giroh Haque Par Hoga
Faman-E-Rasool ﷺ﴿

 

Hadith-01

“Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Logo’n Me Se Aik Khaarji Giroh Niklega Aur Us Khaarji Giroh Ko Woh Giroh Qatl Karega Jo Donon Fariqon Me Haque Ke Bahut Zyaada Qareeb Hoga.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/152, Raqam-171.]

 

Hadith-02

“Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Logo’n Me Aik Khaarji Giroh Niklega Un Ke Qatl Par Woh Giroh Mutasarrif Hoga Jo Donon Me Se Behtar Hoga.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/152, Raqam-172.]

 

Hadith-03

“Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Meri Ummat Do Firqon Me Bat Jaayegi.
Us Ke Darmiyan Se Aik Khaarji Giroh Niklega Aur Khaarji Giroh Ko Woh Giroh Qatl Karega Jo Donon Girohon Me Haque Ke Bahut Zyaada Qareb Hoga.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/153, Raqam-173.]

 

Hadith-04

“Hazrat Aboo Saed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Meri Ummat Do Giroh Me Bat Jaayegi.
Un Me Se Aik Khaarji Giroh Niklega.
Use Woh Giroh Qatl Karega Jo Donon Me Se Haque Ke Zyaada Qareeb Hoga.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/153, Raqam-174.]

 

Hadith-05

“Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Logo’n Ke Do Girohon Me Bat Jaane Ke Waqt Aik Khaarji Giroh Niklega, Donon Girohon Me Jo Giroh Haque Ke Zyaada Qareeb Hoga Woh Us Se Jang Karega.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/153, 154, Raqam-175.]

 

Hadith-06

“Hazrat Aboo Saeed RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Kuchh Logo’n Ka Zikr Kiya Ki Woh Logo’n Ke Batt Jaane Ke Waqt Niklege.
Un Kee Alaamat Sar Mundaana Hogi, Woh Deen Se Is Tarah Nikal Jaayege Jaise Teer Kamaan Se Niakal Jaata Hai, Woh Log Bahut Bure Ya Badd-Tareen Makhlooq Honge.
Unhein Woh Giroh Qatl Karega Jo Haque Ke Zyaada Qareeb Hoga.
Raawi Kahta Hai Ki Aap Ne Aik Aur Baat Bhi Farmaayi Ki Mera Deen Us Ka Deen Hoga Aur Kaha Ki Aye Ahl-E-Iraq !
Tum Ne Unhein Qatl Kiya Hai.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/154, Raqam-176.]

 

Hadith-07

“Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna Ki Is Ummat Me Kuchh Log Paida Hoge, Phir Aap ﷺ Ne Un Ke Saum Wa Salaat Wa Zakat Ka Zikr Farmaya Ki Woh Log Islam Se Is Tarah Nikal Jaaeinge Jis Tarah Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai, Qur’an Un Ke Halaq Se Niche Nahin Utarega, Woh Logo’n Ke Do Giroho’n Batt Jaane Ke Waqt Niklege Aur Un Se Woh Giroh Jang Karega Jo اقرب الى الحق Hoga.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/154, 155, Raqam-177.]

No comments:

Post a Comment