Qabr-E-Salehin Kee Ziyatrat Ka Nabawi Ma’mool
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Banafse Nafis Shuhada Aur Saalehin Ki Qabron Par Tashrif Le Jaa Kar Duaa Farmaayi Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Ibtida Me Hazrat Aboo Bakr , Hazrat Umar Aur Hazrat Usman RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Ka Bhi Yah Ma’mool Raha.
Jis Se Saabit Huwa Ki Awliya’ Ki Qabron Par Jaana Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Aur Khulafa-E-Rashidin RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Ki Sunnat Hai.
A’imma-E-Hadith Wa Tafsir Masalan Imam Abd-ur-Razzaque, Imam Tabari, Imam Suyuti Aur Imam Ibn Kathir Waghairah Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Ma’mool Bayan Kiya Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Har Saal Shuhada’ Ki Qabron Par Tasrif Le Jaate They.
Imam Abd-ur-Razzaque Ne Bayan Kiya Hai :
“Hazrat Muhammad Bin Ibrahim Taymi Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Saal Ke Aaghaaz Me Shuhda Ki Qabron Par Tashreef Laate They Aur Farmate :
Tum Par Slamati Ho Tumhare Sabr Ke Sila Me Aakhirat Ka Ghar Kya Khoob Hai.
Raawi Ne Kaha :
Hazrat Aboo Bakar, Hazrat Umar Aur Hazrat Usman Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Bhi Aysa Hee Kiya Karte They.”
–
[Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 03/573,
Ayni Umdat-ul-Qari, 08//70.]
Imam Tabari Ne Is Riwayat Ko Apni “Tafsir Jami’-ul-Byan Fi Tafsir-ul-Qur’an (13 :142)” Me, Imam Suyuti Ne Apni Tafsir Ad-Dur-ul-Manthur Fi At-Tafsir-ul-Ma’thur(02:641)” Me Aur Imam Ibn Kathir Ne Tafsir Qur’an Al-Azim(02:641)” Me Bayan Kiya Hai.
“Hazrat Uqaba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Shuhada-E-Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baad Is Tareh Namaz Padhi Goya Zindon Aur Murdon Ko Alwida Kah Rahe Hain.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe Aur Farmaya :
Mein Tumhara Peshraw Hoo’n, Mein Tumhare Oopar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulakat Kee Jagah Hawz-E-Kawsar Hai Aur Mein Is Jageh Se Hawz-E-Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka Dar Nahin Ki Tum (Mere Baad) Shirk Me Mubtila Ho Jaawoge Balki Tumhare Mut’alliq Mujhe Duniyadaari Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaane Ka Andesha Hai.
Hazrat Uqaba Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Wisaal Ho Gaya.)”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 04/1486, Raqam-3816,
Mulism As-Sahih, 04/1796, Raqam-2296,
Aboo Dawood As-Sunan, 03/216, Raqam-3224,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/154,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/279, Raqam-768,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 04/14, Raqam-6601,
Shaybani Al-Ahad Wal-Mathani, 05/45, Raqam-2583.]
Shaikhain Ke Amal Se Ziyarat-E-Quboor Ka Saboot
Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anu Se Riwayat Hai :
“Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Wisaal Mubarak Ke Baad Hazrat Aboo Bakar Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Kaha :
Chalo Hazrat Umme Ayman Ki Ziyarat Kar Aaye Jis Tarah Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Un Kee Ziyarat Ke Liye Tasrif Le Jaate They.”
–
[Muslim As-Sahih, 04/1907, Raqam-2454,
Ibn Majah, 01/523, Raqam-1635,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 01/71, Raqam-69.]
Mazkura Hadith Ki Sharh Me Imam Nawawi Likhte Hain :
“Is Hadith Mubaraka Me Saalehin Ki Ziyarat Aur Us Ki Fazilat Ka Bayan Hai.
Isi Tarah Kisi Saaleh Shakhs Ka (Maqam Wa Martabe Ke Lihaaz Se) Apne Se Kam Darza Shakhs Ki Mulaqat Ke Liye Jaana, Kisi Insan Ka Apne Dost Ahbaab Ki Ziyarat Karna, Mardon Ka BaJama’at Kisi Nek Aur Saaleh Khaatoon Ki Mulaqat Aur Us Ki Guftagu Sun’na, Isi Tarah Kisi Aalim Aur Buzurg Ka Apne Dost Ko Ziyarat Wa Mulaqat Aur Iyaadat Wagairah Ke Liye Apne Le Jaana, Saalehin Aur Dost Wa Ahbaab Ki Mafaarqat Par Ghamgin Hona Aur Rona Agarche Woh Oonche Darze Ki Taraf Muntaqil Ho Gaye Ho ( Bhi Is Hadith Mubaraka Se) Saabit Hai.”
–
[Nawawi, Sharh Al-Nawawi Ala Sahih Muslim, 12:09, 10.]
Imam Shams-ud-Din Sakhawi Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Chacha Hazrat Hamjah Bin Abdul Muttalib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Tarjuma Me Likhte Hai :
“Un Ki Qabar Mubarak Par Qubba Banaya Gaya, Is Ki Ziyarat Kee Jaati Hai Aur Is Se Barkat Haasil Kee Jaati Hai.”
–
[Shams-ud-Din Sakhawi, At-Tuhfat-ul-Latifah, 01/307.]
Khatib Baghdadi Aur Bahut Se A’imma Tahqiq Ke Mutabik Imam Shafai Radiyallahu Ta’ala Anhu Jab Baghdad Me Hote To Husool-E-Barkat Ki Garaz Se Imam-E-Aazam Aboo Hanifa Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Qabar Mubarak Ki Ziyarat Karte.
Khatib Baghdadi Rahmatullahi Ta’ala Alayh Naqal Karte Hain Ki Imam Shafai, Imam Aboo Hanifa (Mutawaafa 150 H) Ke Mazaar Ki Barkaat Ke Baare Me Khud Apna Tajurba Bayan Karte Huwe Farmate Hain :
“Mein Imam Aboo Hanifa Ki Zaat Se Barkat Haasil Karta Hoo’n Aur Rozana Un Ki Qabr Par Ziyarat Ke Liye Aata Hoo’n.
Jab Mujhe Koi Zaroorat Aur Mushkil Pesh Aati Hai To Do Rak’at Namaz Padh Kar Un Ki Qabr Par Aata Hoo’n Aur Us Paas (Khade Ho Kar) Haajat Bar’ari Ke Liye Allah Ta’ala Se Duaa Karta Hoo’n.
Pas Mein Vaha Se Nahin Hat’ta Yaha’n Tak Ki (Qabr Ki Barkat Ke Sabab) Meri Haajat Poori Ho Chuki Hoti Hai.”
–
[Khatib Baghdadi Tarikh Baghdad, 01/123,
Ibn Hajar Haytami, 94,
Ibn Aabedin Shami, 01/41,
Zahid Al-Kawthari, 381.]
Ghaur Kiya Jaaye To Bar’ari Hee Iman Afroz Waaqia Hai Aik To Is Me Jalil-ul-Qadr Imam Ki Dusare Imam Ki Qabar Par Haaziri Aur Maqamat-E-Muqaddasa Ki Ziyarat Ka Saboot Hai.
Dusara Nukta Yah Hai Ki Aise Mutabarrak Maqamat Par Allah Ta’ala Ki Ramat Barasti Hai.
Lihaza Yaha’n Duaa Ki Qubooliyat Bhi Jaldi Ho Jaati Hai.
Aboo’l Faraj Hindba’i Ka Imam Ahmad Bin Hanbal Rahmatullahi Ta’ala Alaih Ke Mazar Par Haziri Ka Ma’mool
Imam Aboo’l Qasim Ibn Hibatulla Ne Likha Hai :
“Aboo’l Faraj Hindba’i Ne Bayan Kiya Hai :
Mein Aksar Imam Ahmad Bin Hanbal RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Qabr Ki Ziyarat Kiya Karta Tha Pas Aik Arsah Tak Mein Ne Ziyarat Karna Chhod Diya To Mein Ne Khwaab Me Dekha Ki Koi Mujh Se Kah Raha Hai :
Toone Imam-us-Sunnat (Imam Ahmad Bin Hanbal) Ki Qabr Ki Ziyarat Ko Kyoon Tark Kiya ?”
Is Se Ma’loom Huwa Ye Aik Mustahsan Amal Tha Jab Unhone Chhod Diya To Umhein Bazariya Khwaab Targhib Dee Gayi Ki Us Ko Tark Na Kiya Jaaye.
–
[Ibn Asakir, Tarikh Madinah Damishq, 05/333.]
Awam-un-Nas Ki Saiyad-ul-Muhaddithin Imam Bukhari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Mazar Par Haziri
Imam Dhahabi Ne Amir-ul-Mominin Fi Al-Hadith Aur Saiyad-ul-Muhaddithin Imam Muhammad Bin Ismail Bukhari Ki Qabr Mubarak Se Tabarruk Ka Aik Waqia Darj Kiya Hai, Likhte Hain :
Aboo’l Fat’h Nasr Bin Hasan Sikti Samarqandi Ne Bayan Kiya Ki Aik Baar Samarqand Me Kuchh Saalon Se Baarish Na Huwi To logon Ko Fikar Lahiq Huwi Pas Unhone Kai Baar Namaz-E-Istisqa’ Ada Kee Lekin Baarish Na Huwi.
Isi Ashna’ Un Ke Paas Aik Saaleh Shakhs Jo “Salaah” Ke Naam Se Ma’roof Tha, Smarqand Ke Qaazi Ke Paas Gaya Aur Us Se Kaha :
Mein Aap Se Apni Aik Raay Ka Ijhaar Karna Chaahta Hoo’n.
Qaazi Ne Kaha :
Woh Kya Hai ?
Us Ne Kaha :
“Meri Raay Yah Hai ki Aap Ko Aur Aap Ke Saath Tamam Logon Ko Imam Muhamad bin Ismail Bukhari Ki Qabar Mubarak Par Haaziri Deni Chaahiye, Un Ki Qabar Khartank Me Waaqe’ Hai, Hamein Qabr Ke Paas Jaa Kar Baarish Talab Karni Chaahiye Ayn Mumkin Hai Ki Allah Ta’ala Hamein Baarish Se Sairab Kar De.
Qaazi Ne Kaha :
Aap Ki Raay Bahut Achchhi Hai.
Pas Qaazi Aur Us Ke Saath Tamam Log waha’n Jaane Ke Liye Nikal Khade Huwe So Qaazi Ne Logon Ko Saath Mil Kar Baarish Talab Kee, Aur Log Qabr Ke Paas Rone Lage Aur Allah Ke Huzooor Sahib-E-Qabr Ki Sifarish Karne Lage.
Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Usi Waqt (Apne Saaleh Bande Ki Barkat Ke Sabab) Kathir Waafir Paani Ke Sath Baadalon Ko Bhej Diya, Tamam Log Taqriban Saat-07 Din Tak Khartank Me Ruke Rahe, Un Me Se Kisi Aik Me Bhi Kathir Baarish Ki Wajah Se Samarqand Pahunchne Ki Himmat Na Thi Hala’n Ki Khartank Aur Samarqand Ke Darmiyan Teen3 Mile Ka Faasala Tha.”
–
[Dhahabi Siyar A’lam-un-Nubula’, 12/469.]
Ummul Mominin Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Ka Ma’mool
Imam Darimi Sahih Isnaad Ke Saath Riwayat Karte Hain :
“Aik Martaba Madinah Ke Log Sakht Qahat Me MubtilabHo Gaye To Unhone Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Se (Apni Digargo Haalat Ki) Shikayat Kee.
Aap RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Farmaya :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Qabr-E-Mubarak Ke Paas Jaawo Aur Us Se Aik Roshandan Aasman Ki Taraf Kholo Taaki Qabr-E-Anwar Aur Aasman Ke Darmiyan Koi Parda Ha’il Na Rahe.
Raawi Kahte Hain Ki Aisa Karne Ke Der Thi Ki Itni Jordaar Baarish Huwi Jis Ki Wajah Se Khoob Sabza Oog Aaya Aur Oont Itne Mote Ho Gaye Ke (Mehsoos Hota Tha) Jaise Woh Charbi Se Phat Padege.
Pas Us Saal Kaa Naam Hee “عام الفتق (Sabza Kusadagi Ka Saal)” Rakh Diya Gaya.”
–
[Darimi As-Sunana, 01/56, Raqam-92,
Ibn Jawzi, Al-Wafa Ba Ahwal-ul-Mustafa : 818, 818, Raqam-1534,
Subki Shifa-us-Siqam Fi Ziyarah Khair-ul-Anam : 128.]
Saabit Huwa Ki Ummul Mominin Saiyadah Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Ahle Madinah Ko Rahmatein Aur Barkatein Haasil Karne Ke Liye Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Qabr-E-Mubarak Ko Wasila Banane Kee Hidayat Farmayi, Jis Se Un Par Taari Shadid Khatm Ho Gaya, Aur Moosaladhaar Baarish Ne Har Taraf Bahaar Ka Sama Paida Kar Diya.
Jaha’n Insanon Ko Gheeza Mili Waha’n Janwaron Ko Chaara Mila, Is Baarish Ne Ahl-E-Madinah Ko Itna Poorbahaar Aur Khoosh’haal Bana Diya Ki Unhone Us Poore Saak Ko “عام الفتق (Sabza Aur Kusadagi Ka Saal)” Ke Naam Se Yaad Kiya.
Baaz Log Ne Is Riwayat Par Aitarazat Kiye Hai Jin Me Se Aik Yah Hai Ki Us Ki Sanad Kamzor Hai Lihaza Ye Riwayat Bataure Dalil Pesh Nahin Ki Jaa Sakti Lekin Mustanad Ulama Ne Ise Qubool Kiya Hai Aur Bahutsi Aisi Isnaad Se Istash’had Kiya Hai Jo Us Jaisi Hai Ya Us Se Kam Mazboot Hain.
Lihaza Is Riwayat Ko Bataure Dalil Liya Jaayega Kyoo’n Ki Imam Nasa’i Ka Maslak Yah Hai Ki Jab Tak Tamam Muhaddithin Aik Raawi Ke Tark Par Muttafique Na Ho’n, Us Kee Hadith Tark Na Kee Jaaye.”
–
[Asqalani Sharh Nukhbat Al-Fikar Fi Mustalah Ahl-ul-Athar : 333.]
Aik Aur Aitaraz Is Riwayat Par Yah Kiya Jaata Hai Ki Yah Mouquf Hai Ya’ni Sirf Sahabiyah Tak Pahunchti Hai, Aur Yah Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ka Qaul Hai, Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Sallam Ka Ka Farmana Nahin Hai.
Is Liye Agar Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Tak Is Kee Isnaad Sahih Bhi Ho To Yah Daleel Nahin Ban Sakti Kyon Ki Yah Zaati Raay Par Bani Hai Aur Baaz Awqaat Sahaba Kee Zaati Raay Sahih Hoti Hai Aur Baaz Awqaat Is Me Sehat Ka Miyaar Kamjor Bhi Hota Hai Lihaza Hum Is Par Amal Karne Ke Paaband Nahin.
Us Be Buniyad Ka Saada Lafzon Me Jawab Yah Hai Ki Na Sirf Is Riwayat Kee Isnaad Sahih Aur Mustanad Hain Balki Kisi Bhi Sahabi Ne Na To Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Tajwiz Kardah Amal Par Aitaraz Kiya Aur Na Hee Aisa Koi Aitaraz Marwi Hai Jis Tarah Hazrat Maalik Daar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Bayan Kardah Riwayat Me Us Aadami Par Koi Aitaraz Nahin Kiya Gaya Jo Qabr-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Sallam Par Aa Kar Baarish Ke Liye Duaa Karta Hai.
Ye Riwayatein Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ka Ijma’ Zaahir Karti Hain Aur Aisa Ijma’ Bahar Taur Maqbool Hota Hai.
Koi Shakhs Is Amal Ko Na Ja’iz Ya Bid’at Nahin Kah Sakta Ki Jise Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Kee Sakoot Ne Ja’iz Ya Mustahab Qaraar Diya Ho.
Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Kee Pairwi Ke Lazoom Ke Baare Me Imam Shafa’i Farmate Hain :
“Hamare Liye Un Kee Raay Hamare Baare Me Hamari Apni Raay Se Behtar Hai.”
–
Ibn Qayyim, Alam-ul-Muwaqqa’in An Rabb-ul-Alamin, 02/186.]
Allam Ibn Taymiyyah Ne Is Riwayat Par Aitaraz Karte Huwe Kaha Hai Ki Yah Jhooth Hai Aur Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Poori Zindagi Me Roza-E-Aqdas Kee Chhat Me Us Tarah Koi Suraakh Moujud Nahin Tha.
Yah Aitaraz Kamzor Hai Kyoo’n Ki Imam Darimi Aur Un Ke Baad Aane Waale A’imma Wa Ulama Is Tarah Kee Tafsil Mutaakherin Zyaada Behtar Jaante They.
Misaal Ke Taur Par Madani Muhaddith Wa Muwarrikh Imam Ali Bin Ahmad Samhoodi Ne Allama Ibn Taymiyyah Ke Aitaraz Ka Radd Aur Imam Darimi Kee Tasdiq Karte Huwe “Wafa-ul-Wafa’ (02/560)” Me Likha Hai :
“Zayn-ul-Muraghi Ne Kaha :
˝Jaan Lijeeye Ki Madinah Ke Logon Kee Aaj Ke Din Tak Yah Sunnat Hain Ki Woh Qahat Ke Zamaane Me Roza-E-Rasool Ke Gumbad Kee Tehh Me Qibla Rookh Aik Khidki Khol Lete Agarche Qabr Mubarak Aur Aasman Ke Darmiyan Chhat Haeel Rahti.
Mein Kahta Hoo’n Ke Hamare Daur Me Bhi Maqsoorah Sharif, Jis Ne Roza Mubarak Ko Ghere Rakha Hai, كاباب المواجه Ya’ni Chehra-E-Aqdas Kee Jaanib Khulne Waala Darwaza Khol Diya Jaata Hai Aur Log Waha (Duaa Ke Liye) Jama’ Hote Hain.”
–
[Samhoodi, Wafa-ul-Wafa’, 02/560]
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Qabr-E-Anwar Ke Paas Ja Kar Aap Ke Tawassul Se Duaa Karne Ka Ma’mool Usmaani Turkon Ke Zamasne Ya’ni Biswi’n Sadi Ke Awahil Daur Tak Raeez Raha, Woh Yoo’n Ki, Ki Jab Qahat Hota Aur Baarish Na Hoti To Ahl-E-Madinah Kisi Kam Umr Saiyad Jaade Ko Wuzoo’n Karwa Kar Oopar Chadhaate Aur Woh Bachcha Oos Rassi Ko Khinchta Jo Qabr-E-Anwar Ke Oopar Saiyada Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Farman Ke Mutabik Suraakh Ke Dhakne Ko Band Karne Ke Liye Latkayi Huwi Thi.
Is Tarah Jab Qabr-E-Anwar Aur Aasman Ke Darmiyan Koi Parda Na Rahta To Baran-E-Rahmat Ka Nuzool Hota.
No comments:
Post a Comment