Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ka Logon Ko Ahl-E-Bayt Kee Mohabbat Par Ubhaarne Ka Bayan
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
(1) “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Se Mohabbat Karo Un Ne’maton Kee Wajah Se Jo Us Ne Tumhein Ata Farmayi Aur Mujh Se Mohabbat Karo Allah Kee Mohabbat Ke Sabab Aur Mere Ahl-E-Bayt Se Meri Mohabbat Kee Khaatir Mohabbat Karo.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Niz Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/664, Raqam-3789,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/162, Raqam-4716,
Bayhaqui Fi Shuab-ul-Iman, 01/366, Raqam-408,
(2) “Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Farmate Hain Ki Hum Jab Quraysh Kee Jama’at Se Miltey Aur Woh Baaham Guftagu Kar Rahe Hote To Guftagu Rok Dete Hum Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bargah Me Is Amr Kee Shikaayat Kee To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Logon Ko Kya Ho Gaya Hai Jab Mere Ahl-E-Bayt Se Kisi Ko Dekhte Hain To Guftagu Rok Dete Hain ?
Allah Rab-ul-Izzat Ki Qasam !
Kisi Shakhs Key Dil Mey Us Waqt Tak Imaan Daakhil Nahin Hoga Jab Tak Un Se Allah Ta’ala Ke Liye Aur Mere Qaraabat Ki Wajah Sey Muhabbat Na Karey.”
Ise Imam Ibn Majah Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/50, Raqam-140,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/85, Raqam-6960,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 08/382, Raqam-472,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/113, Raqam-6350,
Suyuti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/13, Raqam-140,
(3) “Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Mein Ne Bargah-E-Risalat SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Quraysh Jab Aapas Me Milte Hai To Hasin Muskuraate Chehron Se Milte Hain Aur Jab Hum Se Milte Hai To Ayse Chehron Se Milte Hain Jinhein Hum Nahin Jaante (Ya’ni Jazbaat Se Aari Chehron Ke Saath) Hazrat Abbas Farmate Hain :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ye Sun Kar Shadid Jalaal Me Aa Gaye Aur Farmaya :
Us Zaat Kee Qasam!
Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hai Kisi Bhi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Iman Daakhil Nahin Ho Sakta Jab Tak Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Meri Qaraabat Ki Khaatir Tum Sey Muhabbat Na Karey.”
Ise Imam Ahmad, Nasa’i, Hakim Aur Bazaar Ne Riwayat Kiya Hai.
Aik Riwayat Me Hain Ki Farmaya :
Khuda Kee Qasam Kisi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Iman Dakhil Na Hoga Jab Tak Ki Woh Allah Ta’ala Aur Meri Qaraabat Kee Wajah Se Tum Se Muhabbat Na Kare.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/207, Raqam-1772, 1777, 17656, 17657, 17658,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/376, Raqam-5433, 2960,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/51, Raqam-8176,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/131, Raqam-2175,
Bayhaqui Fi o 02/188, Raqam-1501,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/361, Raqam-7037,
(4) “Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Minbar Par Farmate Huwe Suna :
Un Logon Ko Kya Ho Gaya Hai Jo Ye Kahte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Nasabi Ta’lluq Qayamat Ke Roz Un Kee Qowm Ko Koi Fa’ida Nahin Dega, Kyoo’n Nahin!
Allah Kee Qasam BeShak Mera Nasabi Ta’lluq Duniya Wa Aakhirat Me Aapas Me Baaham Mila Huwa Hai Aur Aye Logon!
BeShak (Qayamat Ke Roz) Mein Tum Se Pahle Hawz Par Mawjood Howunga Pas Jab Tum Aa Gaye To Aik Aadami Kahega Ya RasoolAllah ﷺ !
Mein Fula’n Bin Fula’n Hoo’n, Pas Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Us Ka Fula’n Bin Fula’n Kahna Paayae Saboot Ko Pahunchega Aur Raha Nasab To Tehqiq Us Kee Pehchaan Mein Ne Tumhein Kara Dee Hai Lekin Tum Mere Baad Tum Ihdaath Karoge Aur Ulte Paawu’n Phir Jaawoge.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/18, Raqam-11154,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/84, Raqam-6958,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/433, Raqam-1238,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/364,
(5) “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Tum Me Se Behtarin Woh Hai Jo Mere Baad Meri Ahal Ke Liye Behtarin Hai.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Imam Aboo Ya’la Ne Bayan Kiya Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/352, Raqam-5359,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/330, Raqam-5924,
Ibn Abi Fi Aasim As-Sunnnah, 02/616, Raqam-1414,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/170, Raqam-2851,
Khatib Fi Tarikh Baghdad, 07/276, Raqam-3765,
Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/497,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/174,
(6) “Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abi Layla RadiyAllahu Ta’ala Anhu Apney Waalid Sey Riwayat Kartey Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ney Farmaya :
Koi Banda Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Mein Us Ke Najdeek Us Kee Jaan Se Bhi Mehboob Tar Na Ho Jaaoo’n Aur Mere Ahl-E-Bayt Use Us Ke Ahle Khaanah Se Mahboob Tar Na Ho Jaayein Aur Meri Awlaad Use Apni Awlaad Se Badh Kar Mahboob Na Ho Jaayein Aur Meri Zaat Use Apni Zaat Se Mahboob Tar Na Ho Jaayein.”
Ise Imam Tabarani Aur Imam Bayhaqui Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/75, Raqam-6416, &
Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/59, Raqam-5790,
Bayhaqui Fi Shuab-ul-Iman, 02/189, Raqam-1505,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/154, Raqam-7795,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 01/88,
(7) “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Hum Ahl-E-Bayt Kee Muhabbat Ko Laazim Pakado, Pas BeShak Woh Shakhs Jo Is Haal Me Allah Se Mila Ki Woh Hamein Muhabbat Karta Tha To Woh Hamaari Shafa’at Ke Sadqe Jannat Me Daakhil Hoga Aur Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hain Kisi Shakhs Ko Us Ka Amal Fa’ida Nahin Dega Magar Hamare Haque Kee Ma’rifat Ke Sabab.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Bayan Kiya Hai.
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/360, Raqam-2230,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/172,
(8) “Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Aal-E-Rasool SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aik Khaadimah Thi Jo Un Kee Khidmat Baja Laati Use “Barayrah” Kaha Jaata Tha Pas Use Aik Aadami Mila Aur Kaha :
Aye Barayrah, Apni Choti Ko Dhaanp Ke Rakha Karo BeShak Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tumhein Allah Kee Taraf Se Kuchh Fa’idah Nahin Pahuncha Sakte.
Raawi Bayan Karte Hain Pas Us Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Us Waqia Kee Khabar Dee, Pas Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Apni Chaadar Ko Ghasit’te Huwe Baahir Tashrif Laaye Us Haal Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Donon Rukhsaar Mubarak Surkh They Aur Hum (Ansar Ka Giroh) Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Gusse Ko Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Chaadar Ke Ghasitne Aur Rukhsaaron Ke Surkh Hone Se Pehchaan Lete They Pas Hum Ne Aslahah Uthaaya Aur Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aa Gaye Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap Jo Chaahte Hain Hamein Hukm De Pas Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Haque Ke Saath Mab’oos Farmaya Hai!
Agar Aap Hamein Hamaari Maaon, Aaba’ Aur Awlaad Ke Baare Me Bhi Koi Hukm Farmayege To Hum Un Me Bhi Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qaul Ko Naafiz Kar Dene, Pas Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Minbar Par Tasrif Farma Huwe Aur Allah Ta’ala Kee Hamd Wa Thana’ Bayan Kee Aur Farmaya :
Mein Koun Hoo’n ?
Hum Ne Arz Kiya :
Aap Allah Ke Rasool Hain.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ha’n Lekin Mein Koun Hoo’n?
Hum Ne Arz Kiya :
Aaap Muhammad Bin Abdullah Bin Abd-ul-Muttalib Bin Hashim Bin Abd Munaf Hain.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Hazrat Aadam Alayhissalam Kee Awlaad Ka Sardaar Hoo’n Lekin Koi Fakhr Nahin, Mein Woh Pehla Shakhs Hoo’n Jis Se Qabr Phategi Lekin Koi Fakhr Nahin Aur Mein Woh Pehla Shakhs Hoo’n Jis Ke Sar Se Mitti Jhaadi Jaayegi Lekin Koi Fakhr Nahin Aur Mein Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hone Waala Hoo’n Lekin Koi Fakhr Nahin
Un Logon Ko Kya Ho Gaya Hai Jo Ye Gumaan Karte Hain Ki Mera Raham (Nasab Wa Ta’alluq Fa’ida Nahin Dega, Aysa Nahin Hai Jaysa Woh Gumaan Karte Hain.
BeShak Mein Shafa’at Karunga Aur Meri Shafa’at Qubool Bhi Hogi Yaha’n Tak Ki Jis Kee Mein Shafa’at Karunga Woh Yaqinan Dusaron Kee Shafa’at Karega Aur Us Kee Bhi Shafa’at Qubool Hogi Yaha’n Tak Ki Iblis Bhi Apni Gardan Ko Buland Karega Shafa’at Me Tam’a Kee Khaatir (Ya Kisi Taur Us Kee Shafa’at Bhi Koi Kar De).”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Bayan Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/203, Raqam-5082,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/376,
(9) “Hazrat Husain Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Hum Ahl-E-Bayt Kee Muhabbat Ko Laazim Pakado, Pas Woh Shakhs Jo Is Haal Me Allah Se (Wisaal Ke Baa) Mila Ki Woh Hum Se Muhabbat Karta Ho
To Woh Hamaari Shafa’at Ke Wasile Se Jannat Me Daakhil Hoga Aur Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Mujh Mohammad Kee Jaan Hain
Kisi Bhi Shakhs Ko Us Ka Amal Hamare Haque Kee Ma’rifat Haasil Kiye Bagayr Fa’ida Nahin Dega.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/360, Raqam-2230,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/172,
(10) “Hazrat Aboo Rafe’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :
Aye Ali!
Too Aur Tere (Chaahne Waale) Madadgaar (Qayamat Ke Roz) Mere Paas Hawaz-E-Kawthar Par Chehre Kee Shaadaabi Aur Sairaab Ho Kar Aayeinge Aur Un Ke Chehre (Noor Kee Wajah Se) Sufed Honge Aur BeShak Tere Dushman (Qayamat Ke Roz) Mere Paas Hawaz-E-Kawthar Par Badnuma Chehron Ke Saath Aur Sakht Pyaas Ke Haalat Me Aayeinge.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Raqam-948,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/131,
(11) “Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Mein Ne Apni Beti Ka Naam Fatimah Rakha Hai Kyoo’n Ki Allah Ta’ala Ne Ise Aur Is Ke Chaahne Waalon Ko Aag Se Chhuda (Aur Bacha) Liya Hai.”
Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/346, Raqam-1385,
Khatib Fi Tarikh Baghdad, 12/331,
Manawi Fayd-ul-Qadir, 03/432,
(12) “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ahl-E-Bayt-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aik Din Kee Muhabbat Poore Saal Kee Ibaadat Se Behtar Hai Aur Jo Isi Muhabbat Par Fout Huwa To Woh Jannat Me Daakhil Ho Gaya.”
Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/146, Raqam-2721,
(13) “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marfuan Riwayat Hai Ki Paanch-05 Chizein Aysi Hain Ki Agar Kisi Ko Nasib Ho Jaaye To Woh Aakhirat Ke Amal Ka Taarik Nahin Ho Sakta (Aur Woh Paanch-05 Chizein Ye Hain) :
Nek Biwi, Nek Awlaad, Logon Ke Saath Husn-E-Muasharat Aur Apne Mulk Me Rizgaaron Aur Aal-E-Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Muhabbat.”
Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/196, Raqam-2974,
(14) “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Marfuan Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Darakht Hoo’n Aur Fatimah Is Ke Phal Kee Ibtidaayi Haalat Hai Aur Ali Is Ke Phool Ko Muntaqeel Karne Waaala Hai Aur Hasan Aur Husain Is Darakht Ka Phal Hai Aur Ahl-E-Bayt Se Muhabbat Karne Waale Is Darakht Ke Awraaq Hain
Woh Yaqinan Yaqinan Jannnat Me (Daakhil Hone Waale) Hain.”
Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/52, Raqam-135,
(15) “Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Marfuan Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Chaar⁴ Shakhs Ayse Hain Qayamat Ke Roz Jeen Ke Liye Mein Shafa’at Karne Waala Howunga (Aur Woh Ye Hain: )
Meri Awlaad Kee Izzat Wa Takrim Karne Waala, Aur Un Kee Haajaat Ko Poora Karne Waala, Aur Un Ke Muamalaat Ke Liye Tag Wa Du Karne Waala Jab Woh Majboor Ho Kar Us Ke Paas Aaye Aur Dil-O-Jaan Se Un Kee Muhabbat Karne Waala.”
Is Hadith Ko Imam Muttaqi Hidni Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 12/100, Raqam-34180,
No comments:
Post a Comment