Wikipedia

Search results

Thursday, 12 March 2015

Sayyida-E-Ka’inat Fatimah Zahra سلام الله عليها Ke Manaqib

Sayyida-E-Ka’inat Fatimah Zahra سلام الله عليها Ke Manaqib

ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم

(1)  “Hazrat Safiyyah Bint Shaybah RadiyAllahu Ta’ala Anha Riwayat Karti Hain Ki Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sub’h Ke Waqt Baahar Tashrif Laaye Us Haal Me Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Chaadar Audhi Huee Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaawon Ke Naqsh Bane Huwe They.
Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Un Ke Hamraah Chaadar Me Daakhil Ho Gaye, Phir Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Aaye Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Ko Is Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi Chaadar Me Le Liya.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ye Aayat-E-Mubaraka Padhi :
“Aye Ahl-E-Bayt!
Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludagi Durr Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-O-Saaf Kar De.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Raqam-2424,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/380, Raqam-36102,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/672, Raqam-1149,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678, Raqam-1271,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 3/169, Raqam-4707,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/149,

Tabari Fi Jami’-ul-Bayan, 22/06, 07,

(2)    “Parwarda-E-Nabi Hazrat Umar Bin Abi Salmah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Hazrat Umme Salama Ke Ghar Me Ye Aayat-E-Mubaraka……. Aye Ahl-E-Bayt!
Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludagi Durr Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak Wa Saaf Kar De…… Naazil Huee.
To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Sallam Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ko Bulaaya Aur Aik Kamli Me Dhaanp Liya.
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Pichhey They, Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya :
Elaahi !
Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain,
In Se Najaasat Dur Kar De Aur In Ko Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/351, 663, Raqam-3205,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/587, Raqam-994,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/451, Raqam-3558, &
03/158, Raqam-4705,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/52, Raqam-2662,

(3)    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Chheh-06 Maah Tak Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Ye Ma’mool Raha Ki Jab Namaz-E-Fajr Ke Liye Nikalte Aur Hazrat Fatimah Salam-ul-Allahi Alayha Ke Darwazah Ke Paas Se Guzarte To Farmaate :

Aye Ahl-E-Bayt !
Namaz Qaa’im Karo (Aur Phir Ye Aayat-E-Mubaraka Padhte: )……….. Aye Ahl-E-Bayt!
Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludagi Durr Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak Wa Saaf Kar De.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/352, Raqam-3206,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/259, 285,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/761, Raqam-1340, 1341,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32272,

Shybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/360, Raqam-2953,

Abdullah Bin Humayd Al-Musnad,/367, Raqam-12223,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/172, Raqam-4748,

(4)   “Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Allah Ta’ala Ke Is Irshad-E-Mubarakah……. Aye Ahl-E-Bayt!
Allah To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludagi Durr Kar De…….. Ke Baare Me Kaha Hai Ki Ye Aayat-E-Mubaraka Paanch-05 Hastiyon…….. Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam, Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum………. Ke Baare Me Naazil Huee.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/380, Raqam-3456,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/231, Raqam-375,

Ibn Hibban Fi Tabqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/384,

Khatib Fi Tarikh Baghdad, 10/278,

Tabarani Fi Jami’-ul-Bayan, 22/07,

(5)  “Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Fatimah Mere Jism Ka Tukada Hai, Pas Jis Ne Use Naaraaz Kiya Us Ne Mujhe Naaraaz Kiya.”

Ye Hadith Muttafaque Alayh Hain.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3510, &
03/1373, Raqam-3556,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2449,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32269,

Aboo Awanah Al-Musnad, 03/70, Raqam-4233,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2954,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,202/404, Raqam-1012,

(6)    “Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Fatimah Mere Jigar Ka Tukada Hai Aur Mujhe Hargiz Ye Pasand Nahin Ki Shakhs Use Taklif Pahunchaaye Khuda Kee Qasam Kisi Shakhs Ke Paas RasoolAllah Aur Dushman-E-Khuda Kee Betiya’n Jama’ Nahin Ho Sakti.”

Ye Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1364, Raqam-3523,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2448,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/644, Raqam-1999,

Ahmad Bin Hanbl Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/759, Raqam-1335,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/407, 408, 535, Raqam-6956, 6957, 7076,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/18, 19, Raqam-18,,19, &
22/405, Raqam-1013,

(7)   “Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Fatimah Mere Jism Ka Tukada Hain, Pas Jis Ne Use Naaraaz Kiya Us Ne Mujhe Naaraaz Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3510, &
03/1374, Raqam-3556,

Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32269,

Aboo Awanah Fi Al-Musnad, 03/70, Raqam-4633,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2954,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 202/404, Raqam-1012,

(8)  “Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Riwayat Kiya Ki Unhone Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Minbar Par Farmate Suna :
Bani Hisham Bin Mughirah Ne Apni Beti Ka Ali Se Rishtah Karne Kee Mujh Se Ijaazat Maangi Hai.
Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta Do-Baara Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta, Seeh Baara Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta Aur Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Meri Beti Mere Jism Ka Hissah Hai, Us Kee Pareshaani Mujhe Pareshaan Karti Hai Aur Us Kee Taklif Mujhe Taklif Deti Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Tirmidhi, Aboo Dawood Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1902, Raqam-2449,

Tidmidhi Fi As-Sunan, 05/698, Raqam-3867,

Aboo Dawood Fi As-Sunan, 02/226, Raqam-2071,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/643, Raqam-1998,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/147, Raqam-8518,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/328,
Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/756, Raqam-1328,

(9)  Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Fatimah To Bas Mere Jism Ka Tukada Hai, Use Taklif Dene Waali Chiz Mujhe Taklif Deti Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2449,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/97, Raqam-8370,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 10/201,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2955,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/404, Raqam-1010,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’, 02/40,

Andalusi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 02/585, Raqam-1795,

(10)    “Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Apne Marz-E-Wisaal Me Apani Saahabzaadi Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Ko Bulaaya Phir Un Se Kuchh Sargoshi Farmaayi To Woh Rone Lagi’n.
Phir Unhein Qareeb Bula Kar Sargoshi Kee To Woh Hans Padi.
Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain :
Mein Ne Us Baare Me Sayyidah سلام الله عليها Se Puchha To Unhone Bataaya :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Mere Kaan Me Farmaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ka Isi Marz Me Wisaal Ho Jaayega.
Pas Mein Rone Lagi, Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki Mere Ahl-E-Bayt Me Sab Se Pehle Tum Mere Baad Aawogi Us Par Mein Hans Padi.”

Yah Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3511, &

03/1327, Raqam-3427,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah/77, Raqam-296,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/77, &

Faza’il-us-Sahabah, 02/754, Raqam-1322

(11)  “Hazrat Jumai’ Bin Umayr Taymiy Bayan Karte Hain Ki Mein Apni Phuphi Ke Humraah Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa Aur Puchha :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Koun Zyaada Mahboob Tha ?
Umm-ul-Momeenin RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Farmaya :
Fatimah سلام الله عليها.
Arz Kiya Gaya :
Mardon Me Se (Koun Zyaada Mahboob Tha) ?
Farmaya ;
Un Ke Shauhar, Jaha’n Tak Mein Jaanti Hoo’n Woh Bahut Zyaada Roze Rakhne Waale Aur Raaton Ko Ibaadat Ke Liye Bahut Qayaam Karne Waale They.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/701, Raqam-3874,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/171, Raqam-4744,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, 404,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah, 07/219,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/125,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal, 04/512,

Shawkani Fi Durr-is-Sihabah, 01/273,

(12)  “Hazrat Buraydah Se RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Aurton Me Sab Se Zyaada Muhabbat Hazrat Fatimat-uz-Zahra  سلام الله عليهاSe Thi Aur Mardon Me Se Hazrat Ali-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sab Se Zyaada Mehboob They.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Nisa’i Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/698, Raqam-3868,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/140, Raqam-8498,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/168, Raqam-4735,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/199, Raqam-7262,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/131,

Shawkani Fi Durr-is-Sihabah, 10/274,

(13)  “Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ke Aazaad Kardah Ghulaam Hazrat Thoubaan Bin RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Jab Safar Ka Iradah Farmate To Apne Ahal-O-Ayaal Me Se Sab Ke Baad Jis Se Guftagu Farma Kar Safar Par Rawaanah Huwe To Woh Hazrat Fatimah سلام الله عليها Hoti Aur Safar Se Waapasi Par Sab Se Pehle Jis Ke Paas Tashrif Laate Woh Bhi Hazrat Fatimah سلام الله عليها Hoti.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawood Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawood Fi As-Sunan, 04/87, Raqam-4213,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/275,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/26,

Zayd Al-Baghdadi Fi Tarakt-un-Nabi ﷺ : 57,

(14)   “Umm-ul-Momeenin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayaan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Jab Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Ko Aate Huwe Dekhte To Unhein KhushAamadid Kahte, Phir Un Kee Khaatir Khade Ho Jaate, Unhein Bosa Dete, Un Ka Haath Pakad Kar Laate Aur Unhein Apni Nishast Par Bitha Lete Aur Jab Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Apni Taraf Tashrif Laate Huwe Dekhte To KhushAamadid Kahte Phir Khade Ho Jaate Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Bosa Dete.”

Is Hadith Ko Imam Nisa’i Aur Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/391, 392, Raqam-9236, 9237,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/403, Raqam-6953,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/336, Raqam-947,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/367, Raqam-2967,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/243, Raqam-4089,

Dulabi Fi Az-Zurriyah At-Tahirah, 01/100, Raqam-184,

(15)   “Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain Ki Hazrat Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala Anha Aaein Aur Un Ka Chalna HooBahu Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ke Chalne Jaisa Tha.
Pas Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Apni Lakht-E-Jigar Ko KhooshAamadid Kaha Aur Apne Daa’in Ya Baa’in Jaaninb Bitha Liya, Phir Chupke-Chupke Un Se Koi Baat Kahi To Woh  Rone Lagi’n.
To Mein Ne Un Se Puchha Ki Aap Kyun Ro Rahi Hain ?
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Un Se Koi Baat Chupke-Chupke Kahi To Woh Hans Padi’n.
Pas Mein Ne Kaha Ki Aaj Kee Tarah Mein Ne Khooshi Ko Gham Ke Itne Nazdik Kabhi Nahin Dekha.
Mein Ne (Hazrat Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala Anha Se) Puchha :
Aap Se Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Kya Farmaya Tha ?
Unhone Jawaab Diya :
Mein RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallamn Ke Raaz Ko Faash Nahin Kar Sakti.
Jab Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ka Wisaal Ho Gaya To Mein Ne Un Se (Us Baare Me) Phir Puchha To Unhone Jawaab Diya :
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Mujh Se Yeh Sargoshi Kee Ki Jibra’il Har Saal Mere Saath Qur’an-E-Karim Ka Aik Daur Kiya Karte They Lekin Is Saal Do-02 Martaba Kiya Hai, Mera Khayaal Yahi Hai Ki Mera Aakhari Waqt Aa Pahuncha Hai Aur BeShak Mere Ghar Waalon Me Se Tum Ho Jo Sab Se Pehle Mujh Se Aa Milog.
Is Baat Ne Mujhe Rula Diya, Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tum Tamam Jannati Aurton Kee Sardaar Ho Ya Tamam Musalman Aurton Kee Sardaar Ho !
To Is Baat Par Mein Hans Padi.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1326, 1327, Raqam-3426, 3427,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/282,

(16)   “Ummul Momineen Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Farmaya :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Farmaya :
Aye Fatimah !
Kya Too Is Baat Par Raazi Nahin Hai Ki Tum Musalman Aurton Kee Sardaar Ho Ya Meri Is Ummat Kee Sab Aurton Kee Sardaar Ho.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2317, Raqam-5928,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1905, Raqam-2450,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah, : 77, Raqam-263,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/762, Raqam-1342,

Tayalisi Fi Al-Musnad, /196, Raqam-1373,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/247,

(17)   “Hazrat Huzayfah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Aik Farishta Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Zameen Par Na Utara Tha, Us Ne Apne Parwardigaar Se Ijaazat Maangi Ki Mujhe Salam Karne Haazir Ho Aur Mujhe Yeh KhooshKhabari De Ki Fatimah Ahl-E-Jannat Kee Tamam Aurton Kee Sardaar Hai Aur Hasan Wa Husain Jannat Ke Jawaanon Ke Sardaar Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Nasa’i Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqam-3871,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/80, 95, Raqam-8298, 8365,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah, /58, 76, Raqam-193, 260,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/391,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/788, Raqam-1406,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32271,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/164, Raqam-4721, 4722,

(18)    “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmate Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Zameen Par Chaar-04 Lakirein Khinchin Aur Farmaya :
Tum Jaante Ho Yeh Kya Hai ?
Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Ajmaeen Ne Arz Kiya :
Allah ﷻ Aur Us Ka Rasool   ﷺ Behtar Jaante Hain Phir RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Ahl-E-Jannat Kee Aurton Me Se Afzal Tareen (Chaar04) Hain :
Khudayjah Binte Khuwayld, Fatimah Binte Muhammad, Fir’aun Kee Biwi Aasiyah Binte Muzaahim Aur Maryam Binte Imaran RadiyAllahu Ta’ala Anhunna Ajmaeen.”

Ise Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/293, 316,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/93, 94, Raqam-8355, 8364,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah, /74, 76, Raqam-250, 259,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/470, Raqam-7010,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/539, Raqam-3836,

03/174, Raqam-4752, 4754,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/760, 761, Raqam-1339,

(19)    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Fatimah !
Kya Too Nahin Chaahti Ki Too Tamam Jahaanon Kee Aurton, Meri Is Ummat Kee Tamam Aurton Kee Aur Momineen Kee Tamam Aurton Kee Sardaar Ho !”

Ise Imam Nasa’i Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

05/146, Raqam-8517,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/170, Raqam-4740,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/247, 248,

08/26, 27,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah, 07/218,

(20)    “Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
BeShak Fatimah Mere Jigar Ka Tukada Hai Aur Us Kee Naaraazgi Mujhe Pasand Nahin.
Khua Kee Qasam Kisi Shakhs Ke Paas RasoolAllah Aur Dushman-E-Khuda Kee Betiya’n Jama’ Nahin Ho Sakti’n.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1364, Raqam-3523,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2448,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/644, Raqam-1999,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/759, Raqam-1335,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/407, 408, 535, Raqam-6956, 6957, 7060,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/18, 19, 22/405, Raqam-1013,

(21)     “Hazrat Miswar Bin Makhramah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Riwayat Kiya Ki Unhone Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Minbar Par Farmate Suna :
Bani Hishaam Bin Mughirah Ne Apni Beti Ka Ali Se Rishta Karne Kee Mujh Se Ijaazat Maangi Hai.
Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta Do Baarah Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta, Seh Baarah Mein Unhein Ijaazat Nahin Deta Aur Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya :
Meri Beti Mere Jism Ka Hissa Hai, Us Kee Pareshaani Mujhe Pareshaan Karti Hai Aur Us Kee Taklif Mujhe Taklif Deti Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Tirmidhi, Aboo Dawood Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1902, Raqam-2449,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/698, Raqam-3867,

Aboo Dawood Fi As-Sunan, 02/226, Raqam-2071,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/643, Raqam-1998,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/147, Raqam-8518,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/328,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/756, Raqam-1328,

(22)  “Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Hazrat Ali Aur Sayyadah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Kee Shaadi Kee Raat Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Farmaya :
Mujhe Mile Baghair Koi Amal Na Karna Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Paani Mangwaaya, Is Se Wuzoo Kiya Phir Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Par Paani Daal Kar Farmaaya :
Aye Allah ﷻ!
In Donon Ke Haque Me Barkat Aur In Donon Par Barkat Naazil Farma, In Donon Ke Liye In Kee Awlaad Me Barkat Ata’ Farma.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/76, Raqam-10088,

Nasa’i Fi Amal-ul-Yawm Wa’l-Laylah, /253, Raqam-258,

Rooyani Fi Al-Musnad, 01/77, Raqam-35,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/20, Raqam-1153,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah, 07/217,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 08/21,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/209,

(23)  “Hazrat Abd-ul-Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Mujhe Hukm Farmaya Hai Ki Mein Fatimah Ka Nikaah Ali Se Karu’n.”

Is Hadith Ko Imam Tabrani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Raqam-10305,

Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/174, Raqam-455,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/204,

Halabi Fi Al-Kashf-ul-Hathith, 01/174,

Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/215

(24)   “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Masjid Me Tashrif Farma They Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Farmaya :
Yeh Jibra’il عَلَيْهِ السَّلَام Mujhe Bata Rahe Hain Ki Allah Ta’ala Ne Fartimah Se Tumhaari Shaadi Kar Dee Hai Aur Tumhare Nikaah Par Chaalis Hazaar 40.000 Firishton Ko Gawaah Ke Taur Par Majlis-E-Nikaah Me Sharik Kiya Gaya, Aur Shajaraha-E-Tooba Se Farmaya :
In Par Moti Aur Yaaqoot Nichhaawar Karo Phir Dilkash Aankhon Waali Hoorein Un Motiyon Aur Yaaqooton Se Thaal Bharne Lagi’n.
Jinhein (Taqrib-E-Nikaah Me Shirkat Karne Waale) Firishte Qayamat Tak Aik Doosare Ko Bataure Tahaa’if Deinge.”

Is Hadith Ko Muhibb Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Al-Riyad-un-Nadarah Fi Manaqib-il-Ashrah, 03/146,

Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqib Dhaw-il-Qurba, 01/72,

(25)   “Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Se Farmaya :
(Aye Fatimah !) Mein, Too Aur Yeh Donon (Hasan Wa Husain) Aur Yeh Sone Waala (Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kyun Ki Ua Waqt Aap So Kar Uthey Hee They) Roz-E-Qayamat Aik Hee Jagah Honge.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/101,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/692, Raqam-1183,

Bazzar Fi Al-Musnad, 03/29, 30, Raqam-779,

Shaybani Fi As-Sunnah, 02/598, Raqam-1322,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/169, 170,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifah As-Sahabah, 07/220,

(26)   “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ko Yeh Farmate Huwe Suna :
Qayamat Ke Din Aik Needa’ Dene Waala Parde Ke Pichhe Se Aawaaz Dega :
Aye Ahl-E-Mehshar !
Apni Nigaahein Jhuka Lo Taa Ki Fatimah Binte Mustafa SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Guzar Jaaein.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/166, Raqam-4728,

Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqib Dhaw-il-Qurba, 01/94,

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifah As-Sahabah, 07/220,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/101, Raqam-263,

(27)  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Anbiya-E-Kiram Qayamat Ke Din Suwaari Ke Jaanwaron Par Suwaar Ho Kar Apni-Apni Qaum Ke Musalmanon Ke Saath Maidan-E-Mehshar Me Tashrif Laaeinge Aur Saaleh Apni Ootani Par Laaye Jaaeinge Aur Mujhe Buraaq Par Laaya Jaayega, Jis Ka Qadam Us Kee Muntaha-E-Nigah Par Padega Aur Mere Aage-Aage Sayyidah Fatimah Hogi.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/166, Raqam-4727,

(28)   “Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Mujhe Bataaya :
(Mere Saath) Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hone Waalon Me, Mein, Fatimah, Hasan Aur Husain Honge.
Mein Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah  ﷺ!
Hum Se Muhabbat Karne Waale Kaha’n Honge ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Tumhare Pichhe Honge.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/164, Raqam-4723,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 14/173,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 12/98, Raqam-34166,

Haytami Fi As-Sawa’iq-ul-Muharriqah, 02/448,

Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqib Dhaw-il-Qurba, 01/214,

(29)  “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein, Ali, Fatimah, Hasan Wa Husain Aur Hum Se Muhabbat Karne Waale Sab Roz-E-Qayamat Aik Hee Jagah Ikaththe Honge.
Qayamat Ke Din Hamara Khaana Pina Bhi Ikaththa Hoga, Yaha’n Tak Ki Logo’n Me Faisle Kar Diye Jaaeinge.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/41, Raqam-2623,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/174,

(30)    “Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Apne Marz-E-Wisaal Me Apni Saahabzadi Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Ko Bulaaya Phir Un Se Sargoshi Farmaayi To Woh Rone Lagi’n.
Phir Unhein Qaarib Bula Kar Sargoshi Kee To Woh Hans Padi’n.
Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain :
Mein Ne Is Baare Me Sayyidah سلام الله عليها Se Puchha To Unhone Bataaya :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Mere Kaan Me Farmaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ka Isi Marz Me Wisaal Ho Jaayega.
Pas Mein Rone Lagi, Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki Mere Ahl-E-Bait Me Sab Se Pehle Tum Mere Baad Aawogi Is Par Mein Hans Padi.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3511,

03/1327, Raqam-3427,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah/77, Raqam-296,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/77,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/754, Raqam-1322,

(31)    “Hazrat Masruq RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ummul Momineen Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Farmaya :
Hum Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Kee Azwaaj-E-Mutahharaat Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ke Paas Jama’ Thi’n Aur Koi Aik Bhi Hum Me Se Ghair Haazir Na Thi, Itne Me Hazrat Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala Anha Waha’n Tashrif Le Aayin, To Allah Kee Qasam Un Ka Chalna Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ke Chalne Se Zarrah Bhar Mukhtalif Na Tha.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai Aur Alfaz Bukhari Ke Hain.

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2317, Raqam-5928,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1905, Raqam-2450,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah/77, Raqam-263,

Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/762, Raqam-1342,]

Tayalisi Fi Al-Musnad,/196, Raqam-1373,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/247,

Dulabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/101, 102, Raqam-188,

(32)    “Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Kee Tamam Azwaaj Jama’ Thi’n Aur Koi Bhi Ghair Haazir Nahin Thi.
Itne Me Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Aayin Jin Kee Chaal RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ke Chalne Ke Mushaabeh Thi.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Ne Farmaya :
Marhaba (KhushAamadid) Meri Beti !
Phir Unhien Apni Daayi’n Ya Baayi’n Jaanib Bitha Liya.”

Ise Imam Muslim, Ibn Majah Aur Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

[Mulim Fi As-Sahih, 04/1905, 1906, Raqam-2450,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/518, Raqam-1620,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

05/96, 146, Raqam-8368, 8516, 8517,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah/77, Raqam-263,

Nasa’i Fi Kitab-ul-Wafah, 01/20, Raqam-02,

(33)    “Ummul Momineen Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Riwayat Karti Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Kee Saahabazaadi Sayyidah Fatimah سلام الله عليها Se Badh Kar Kisi Ko Aadaat Wa Atwaar, Sirat Wa Kirdaar Aur Nishast Wa Barkhaast Me Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Se Mushaabihat Rakhne Waala Nahin Dekha.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Aboo Dawood Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/700, Raqam-3872,

Aboo Dawood Fi As-Sunan, 04/355, Raqam-5217,

Nasa’i Fi Faza’il-us-Sahabah/78, Raqam-264,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/303, Raqam-7715,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/96,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/248,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/06, 07,

(34)   “Ummul Momineen Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain Ki Mein Ne Andaaz-E-Guftagu Me Hazrat Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Badh Kar Kisi Ko Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi  Wa Sallam Se Is Qadar Mushaabahat Rakhne Waala Nahin Dekha.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne “Al-Adab-ul-Mufrad” Me Aur Imam Nasa’i Ne Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/326, 377, Raqam-947, 971,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/391, Raqam-9236,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/403, Raqam-6953,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/167, 174, Raqam-4732, 4753,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/242, Raqam-40890,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/101,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/08, Raqam-06,

No comments:

Post a Comment