Hazrat Amir-ul-Momineen Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Namaz Ka Bayan
Hadith-01
“Hazrat Salma Bin Kuhail Kehte Hai Ki Mein Ne Hubbat-ul-Uraniyyi Se Suna, Woh Kahte They Ki Mein Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Namaz Padhne Waala Pahla Shakhs Hoon.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/19, Raqam-01.]
Hadith-02
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Namaz Padhne Waale Pahle Shakhss Hain.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/20, Raqam-02.]
No comments:
Post a Comment