Wikipedia

Search results

Wednesday, 4 March 2015

Qabr ke sawal o jawab

“Hazart Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Saath Ham Ek Ansaari Ke Janaaze Ke Liye Gaye Aur Qabr Ke Qareeb Jaa Kar Rook Gaye, Jab Tak Wo Dafan Nahin Kar Diya Gaya Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Vahin Tashreef Farma Rahe Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke I’rd Gi’rd Ham Bhi Yun Khaamosh Ho Kar Baith Gaye Goya Hamaare Saro Par Parinde Baithe Ho.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Dast-E-Aqdas Me Ek Lakadi Thi Jis Se Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Zameen Ko Kuraid Ne Lage Aur Sar-E-Mubarak Ko Uthaaya Aur Do-02 Ya Teen-03 Baar Farmaya :
Azaab-E-Qabr Se Allah Ki Panaah Maango Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Murda Un Ke Jooton Ki Aawaaz Sunta Hai Jab Wo (Us Ke Saathi) Peeth Pher Kar Jaate Hain.
Us Waqt Us Se Poochha Jaata Hai :
Aye Insan !
Tera Rab Koun Hai ?
Tera Deen Kya Hai ?
Aur Tera Nabi Koun Hai ?”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Us Ke Paas Do-02 Farishte Aate Hai ,Phir Use Baitha Kar Use Poochhte Hain Ki Tera Rab Koun Hai ?
Wo Kahta Hai Ki Mera Rab Allah Ta’ala Hai.
Donon Farishte Us Se Poochhte Hain Ki Tera Deen Kyaa Hai ?
Wo Kahta Hai Ki Mera Deen Islam Hai.
Donon Us Se Poochhte Hain Ki Yah Hastee Koun Hai Jo Tumhaari Taraf Mab’oos Ki Gaee Thi ?
Wo Kahta Hai Ki Yah To Hamaare Aaqa MuhammadurRasoolullah Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam Hai.
Donon Poochhte Hain Tumhein Kaise Maloom Huaa ?
Wo Kahta Hai Ki Meine Allah Ta’ala Ki Kitab Padhi Lihaaza Un Par Iman Laaya Aur In Ki Tasdeeq Ki.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Irshad-E-Baari Ta’ala Hai :
˝Allah Ta’ala Iman Waalon Ko (Is) Mazboot Baat (Ki Barkat) Se Duniyawi Zindagi Me Bhi Saabit Qadam Rakhta Hai Aur Aakhirat Me (Bhi).˝{Ibrahim, 14 : 27}
Ka Yahi Matlab Hai Phir Aasmaan Se Ek Pookaarne Waale Ki Aawaaz Aati Hai, Mere Bande Tune Sach Kaha, Lihaaza Jannat Me Is Ka Bistar Laga Do Aur Ise Jannati Libaas Pahna Do Aur Is Ke Liye Jannat Ka Ek Darwaaja Khol Do.
Phir Is Ke Zariye Ise Jannat Ki Hawa Aur Khushboo Aati Hai Aur Taa Hadde  Nazar Us Ki Qabr Faraakh Kar Dee Jaati Hai.”

[Aboo Dawood As-Sunan, Volume-04, Page-238, Hadith-4751,
Ahmad Ibn Hanbal Al-Musnad, Volume-03, Page-233, Hadith-02.]

“Hazart Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Momin Ko Jab Us Ki Qabr Me Rakha Jaata Hai To Us Ke Paas Ek Farishta Aata Hai Jo Poochhta Hai Too Kis Ki Ibadat Kiya Karta Tha ?
Phir Allah Ta’ala Use Hidayat Ata Farmata Hai Aur Wo Kahta Hai Mein Allah Ta’ala Ki Ibadat Kiya Karta Tha.
Phir Us Se Poochha Jaata Hai Ki Too Is Azeem Hastee (Sayyadana Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam) Ke Mut’allik Kya Kaha Karta Tha ?
Wo Kahta Hai Ki Yah Allah Ta’ala Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hain.
Phir Us Ke Siwa Us Se Kisi Aur Shai Ke Mut’allik Nahin Poochha Jaata Aur Isi Riwayat Me Hai Ki Wo Kahta Hai Ki Mujhe Chhod Do Taaki Mein Apne Ghar Waalon Ko Bashaarat Doon, Use Kaha Jaata Hai Ki Yahin (Aysho Isharat) Se Raho.”

[Aboo Dawood As-Sunan, Volume-04, Page-238, Hadith-4851,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad,  Volume-03, Page-233, Hadith-13472,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Volume-04, Page-194, Hadith-5394,
Asqalani Fat’h-ul-Bari, Volume-03, Page-237.]

“Hazart Asma Binte Aboo Bakar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Logon !
Ko’i Bhi Cheez Aisi Nahin Jise Meine Na Dekha Ho Lekin Yah Ki Ab Mein Use Apni Us Jagah Se Dekh Raha Hoon Aur Tahqeek Mujhe Tumhein Apni Qabron Me Aazma’is Me Mubtila Hote Dikhaya Gaya Hai.
Tum Me Se Har Kisi Se Sawal Kiya Jaa’ega :
Too (Duniya Me) Is Hastee (Yaani Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke) Baare Me Kyaa Kaha Karta Tha ?
Aur Too (Duniya Me) Kis Ki Ibadat Kiya Karta Tha ?
Phir Agar Us Ne Kaha Ki Mein Nahin Jaanta Meine Jis Tarah Logon Ko (In Ke Baare Me) Kahte Suna Meine Bhi Usi Tarah Kaha Diya Aur Jo Kuchh Unhein Karte Hue Dekha Usi Tarah Kar Diya To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Yahan To Shak Par Zinda Raha Aur Usi Par Mara Phir Ab Yah Tera Aag Ka Thikaana Aur Agar Us Ne Kaha Ki Mein Gawaahi Deta Hoon Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ibadat Ke Laayaq Nahin Hai Aur Muhammad SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Allah Ta’ala Ke Rasool Hain To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Too Yaqeen Par Zinda Raha Aur Usi Par Mara Lihaaza Tera Thikaana Yah Jannat Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Volume-06, Page-354,وسنده حسن.]

“Hazart Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Saath Ek Janaaze Me Shaamil Huaa.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Logon !
Is Ummat (Ke Logon) Ki Qabr Me Aazma’is Hogi.
Phir Jab Insan Dafan Kar Diya Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Us Ke Paas Se) Muntashir Ho Jaate Hain To Us Ke Paas Farishta Jis Ke Haath Me Gurz Hota Hai, Use Wo Bithaata Hai Aur Kahta Hai :
Is Hastee (Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam) Ke Baare Me Tum Kya Kahte Ho ?
Phir Agar Wo Momin Hoga To Kahta Hai :
Mein Gawaahi Deta Hoon Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur BeShak Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Us Ke (Khaas) Bande Aur (Afzal Tareen) Rasool Hain.
Phir Wo (Farishta) Use Kahta Hai :
Toone Sach Kaha Phir Us Ke Liye Dozakh Ki Taraf Ek Darwaaja Khola Jaata Hai Aur (Farishta) Kahta Hai Tera Yah Thikaana Hota Agar Too Apne Rab Ke Saath Kufr Karta Lekin Too Iman Laaya Phir Tera Yah (Jannat) Thikaana Hai.
Phir Us Ke Liye Jannat Ki Taraf Darwaaja Khola Jaata Hai.
Wo Shakhs (Farhat Wa Khushee Ke Maare Be Ikhtiyaar Ho Kar) Us Darwaaje Ki Taraf Badhta Hai To Farishta Us Se Kahta Hai :
Thahar Jaao Aur Us Ke Liye Us Ki Qabr Me Hee Wus’at Paida Kar Dee Jaati Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad,  Volume-03, Page-03, Hadith-11013, 14864,
Ibn Abi Asim As-Sunnah, Volume-02, Page-417, Hadith-565,
Abdullah Bin Ahmad As-Sunnah, Volume-02, Page-612, Hadith-1456.]

“Hazart Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Qabr Ka Imtihan Mere Hee Baare Me Hoga Aur (Qabr Me) Tum Se Mere Hee Mut’allik Poochha Jaa’ega
Phir Agar Ko’i Nek Aadami Hoga a
To Use Bagair Kisi Dar Aur Khouf Ke Us Ki Qabr Me Baithaaya Jaa’ega, Phir Use Kaha Jaa’ega Too Kis Millat Se Tha ?
To Wo Kahega Deen-E-Islam Par, Phir Us Se Kaha Jaa’ega :
Yah Koun Shakhs Hain Jo Tum Me Maujud The ?
Phir Wo Kahega Yah Muhammad SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Allah Ke Rasool Hain, Yah Allah Ki Taraf Se Hamaare Paas Waazeh Nishaniyan Le Kar Mab’oos Hue.
Phir Hamne Un Ki Tasdeeq Ki
Phir Us Se Kaha Jaa’ega Kya Toone Allah Ko Dekh Rakha Hai ?
To Wo Kahega Ki Ko’i Shakhs Allah Ko Nahin Dekh Sakta
Phir Jahannam Ki Taraf Se Us Ki Qabr Me Sooraakh Kar Diya Jaa’ega Phir Wo Us Ki Taraf Dekhega Ki Us Ka Baa’z Us Ke Baa’z Ko Tabaah Kar Raha Hai
Phir Use Kaha Jaa’ega Us Ki Taraf Dekh Jis Se Allah Azza Wa Jalla Ne Tumhein Bacha Liya
Phir Jannat Ki Taraf Se Us Ki Qabr Me Ek Sooraakh Kar Diya Jaa’ega To Wo Us Ki Rounak Aur Jamaal Ki Taraf Dekhega Phir Use Kaha Jaa’ega Yah Hai Tera Jannat Ka Thikaana, Aur Phir Use Kaha Jaa’ega Ki Too Yaqeen Par Zinda Raha Usi Par Mara Aur Usi Par Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Tujhe Zinda Kiya Jaa’e ga'

[Ibn Maajah As-Sunan,  Volume-02, Page-1426, Hadith-4268,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad,  Volume-06, Page-139, Hadith-25133,
Ibn Mundah Al – Iman, Volume-02, Page-967, Hadith-1067,
Abdullah Bin Ahmad As-Sunnah, Volume-01, Page-308, Hadith-602,
Asqalani Fat’h-ul-Bari, Volume-03, Page-240.]

No comments:

Post a Comment