“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Aboo Layla Ka Bayan Hai Ki Mujhe Hazrat Ka’b Bin Oojrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Mile Aur Farmaya :
Kya Mein Tumhein Aik Tohfa Na Doo’n Jise Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Suna Hai ?
To Mein Ne Arz Kiya :
Kyoo’n Nahin, Aap Mujhe Woh Zaroor Ata Kare, Unhone Farmaya :
Hum Ne Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Allah Ta’ala Ne Hamein Aap Kee Khidmat Me “Salam” Bhejna To Sikha Diya Hai Lekin Hum Aap Kee Ahle Bayt Par Durood Kaise Bheja Kare ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Yoo’n Kaha Karo :
Aye Allah !
Durood Bhej Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Aur Aal-E-Muhammad Par Jaise Tune Durood Bheja Hazat Ibrahim Alaihissalam Par Aur Aal-E-Ibrahim Par, Beshak Too Bahut Ta’reef Waala Aur Buzurgi Waala Hai.
Aye Allah !
Barkat Naazil Farma Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Aur Aal-E-Muhammad Par Jaise Tune Barkat Naazil Farmayi Hazrat Ibrahim Alaihissalam Aur Aal-E-Ibrahim Par, Beshalk Too Ta’reef Aur Buzurgi Waala Hai.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 03/1233, Raqam-3190, &
05/2338, Raqam-5996,
Muslim As-Sahih, 01/305, Raqam- 406,
Nasa’i As-Sunan, 03/47, Raqam- 1287, 1289,
Darimi As-Sunan, 01/356, Raqam- 1342.]
“Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ulama-E-Kiram Zameen Me Un Sitaaron Kee Tarah Hain Jin Ke Zareeye Behrobarr Ke Andheron Me Rahnumayi Haasil Kee Jaati Hai Aur Sitaare Ghurub Ho Jaaye To Qareeb Hai Ki (Musafiron Ko Raasta Dikhaane Waale) Rahnuma Bhatak Jaaye.
(Ya’ni Ulama-E-Kiram Nahin Honge To Awaam Gumraah Ho Jaayege).”
–
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/157, Raqam-12621,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 04/134, Raqam-6418,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hikam, 01/343,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/56, Raqam-128,
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 01/121, 122.]
“Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aik Faqeeh Aik Hazaar Aabid Se Zyada Shaitan Par Sakht Aur Bhaari Hai.
Aur Aik Riwayat Ke Alfaz Hain Ki Har Aik Shai Ka Sutoon Hota Hai Aur Is Deen Ka Sutoon (Elme) Fiq’h Hai.”
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/48, Raqam-2681,
Ibn Majah As-Sunan, 01/81, Raqam-222,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/194, Raqam-6166, &
Musnad-ush-Shamiyyin, 02/161, Raqam-1109, &
Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/78, Raqam-11099,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/266, 267, Raqam-1712, 1715,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/57, Raqam-136.]
Hazrat Abee Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Jo Aadami Talab-E-Elm Me Kisi Raste Par Chalta Hai To Allah Ta’ala Use Jannat Ke Raste Par Chala Deta Hai.
Aur Beshak Farishte Talib-E-Elm Ki Raza Ki Husool Ke Liye Us Ke Paanw Tale Apne Par Bichhaate Hain Aur Taalim Ke Liye Zameenon Aasman Ki Har Cheez Yaha’n Tak Ki Paani Me Machhaliya’n Bhi Maghfirat Talab Karti Hain Aur Aabid Par Aalim Ki Fazeelat Aise Hee Hai Jaise Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Fazeelat Sitaron Par Hai Aur Beshak Ulama Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Waaris Hain.
Beshak Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ki Wiraasat Dirhamo Deenar Nahin Hoti Balki Un Ke Meeraas Elm Hai Phir Jisne Use Paaya Use (Wirasate Ambiya Se) Bahut Bada Hissa Mil Gaya.”
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/48, Raqam-2682,
Aboo Hanifah Al-Musnad, 01/57,
Aboo Dawood As-Sunan, 03/317, Raqam-3641,
Ibn Majah As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/81, Raqam-21723,
Darimi Al-Musnad, 01/110, Raqam-342,
Tabarani Musnad-ush-Shamiyyin, 02/224, Raqam-1231,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/262, Raqam-1696, 1697,
Mahamli Al-Amli, 01/330, Raqam-354,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/51, Raqam-106.]
“Hazrat Aboo Umama Bahili RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Samne Do² Aadmyon Ka Zikr Kiya Gaya :
Jin Me Se Aik Aabid Tha Aur Doosara Aalim, Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aabid Par Elm Kee Fazeelat Usee Tarah Hai Jis Tarah Meri Fazeelat Tum Me Se Aik Adana (Sahabi) Par Hai.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Beshak Allah Ta’ala, Us Ke Farishte, (Tamam) Zameen Wa Aasman Waale Yaha’n Tak Ki Cheenti Apne Bil Me Aur Machhliya’n (Bhi Samandaron, Dariyaon Aur Talabon Me) Us Shakhs Ke Liye Rahmat (Kee Duaa) Maangte Hain Jo Logon Ko Bhalayi Kee Taalim Deta Hai.”
رواه الترمذي وحسنه والدامي.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/50, Raqam-2685,
Darimi As-Sunan, 01/100, Raqam-289,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/233, Raqam-7911 ,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/56, Raqam-130.]
No comments:
Post a Comment