Wikipedia

Search results

Sunday, 8 March 2015

Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Garmi Aur Sardi Door Hone Kee Khusoosiyat

Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Garmi Aur Sardi Door Hone Kee Khusoosiyat

Hadith-01

“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abi Layla Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Shadeed Garmi Me Hamaare Paas Tashrif Laaye To Aap Sardee Ka Libaas Zayb-E-Tan Kiye Huwe They Aur Sardi Me Hamaare Paas Aaye To Garmi Ka Libaas Pehne Huwe They Phir Aap Ne Paani Mangwa Kar Piya Aur Apni Peshaani Se Paseena Saaf Kiya.
Jab Woh Ghar Ko Laut Gaye To Mein Ne Apne Baap Se Puchha Ki Aap Ne Amir-ul-Momeenin Alayh-is-Salam Ko Dekha Ki Woh Sardiyon Me Hamaare Paas Aaye To Garmiyon Ka Libaas Pehne Huwe They Aur Garmiyon Me Tashrif Laaye To Sardiyon Ka Libaas Zayb-E-Tan Kiye Huwe They.
Aboo Layla Kahte Hain Ki Mein Na Samajh Saka ki Yeh Kya Muamla Hai Chunanche Woh Apne Bete Abd-ur-Rahman Ka Haath Pakade Huwe Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Paas Aaye Aur Jo Baat Us Ne Kee Thi Woh Aap Kee Khidmat Me Arz Kar Dee.

Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Unhein Kaha Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Meri Taraf Paighaam Bheja To Mein Shaayad Aashoob-E-Chashm Me Mubtila Tah.
Aap ﷺ Ne Meri Aankhon Me Apana Luab-E-Dahan Mubarak Laga Kar Farmaya :
Apni Aankhein Kholo, Mein Ne Apni Aankhein Kholi To Is Waqt Tak Inhein Kabhi Koi Taklif Nahin Huwi Aur Aap ﷺ Ne Mere Liye Duaa Farmaayi Aye Allah !
Is Se Garmi Aur Sardi Kee Taklif Ko Durr Farma De.
Pas Mujhe Aaj Ke Din Tak Sardi Aur Garmi Kee Kabhi Taklif Nahin Huwi.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/139, 140, 141, Raqam-156.]

No comments:

Post a Comment