Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ka Apne Ahl-E-Bayt Se Bughz Wa Adaawat Rakhne Se Daraane Ka Bayan
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
(1) “Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Chhe-06 Bandon Par Mein La’nat Karta Hoo’n Aur Allah Bhi Un Par La’nat Karta Hai Aur Har Nabi Mustajab-ud-Da’wat Hai Woh Bhi Un Par La’nat Karta Hain :
Jo Kitab-ul-Allah Me Zyaadati Karne Waala Ho Aur Allah Ta’ala Kee Qadar Ko Jhutlaane Waala Ho Aur Zulm-O-Jabar Ke Saath Tasallut (Hukumat) Haasil Karne Waala Ho Taa Ki Us Ke Zariye Use Izzat De Sake Jise Allah Ne Zalil Kiya Hai Aur Use Zalil Kar Sake Jise Allah Ne Izzat Dee Hai Aur Allah Ta’ala Kee Haraam Kardah Chizon Ko Halaal Karne Waala Aur Meri Itrat Ya’ni Ahl-E-Bayt Kee Hurmat Ko Halaal Karne Waala Aur Meri Sunnat Ka Taareek (Tark Karne Waala).”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ibn Hibban Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/457, Raqam-2154,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/60, Raqam-5749,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/572, Raqam-3941,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/43, Raqam-89,
Bayhaqui Fi Shuab-ul-Iman, 03/443, Raqam-4010,
(2) “Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hain!
Hum Ahl-E-Bayt Se Koi Aadami Nafrat Nahin Karta Magar Ye Ki Allah Ta’ala Use Dozakh Me Daal Kar Deta Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/435, Raqam-6978,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/162, Raqam-4717,
Dhahabi Fi Siyar Aalam-un-Nubula’, 02/123,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 01/555, Raqam-2246,
(3) “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Banu Abd-ul-Muttalib BeShak Mein Ne Tumhare Liye Allah Ta’ala Se Da-10 Chizein Maangi Hain Pehli Ye Ki Woh Tumhare Qayaam Karne Waale Ko Saabit Qadam Rakhe Aur Dusari Ye Ki Woh Tumhare Gumraah Ko Hidaayat De Aur Tisari Ye Ki Woh Tumhare Jaahil Ko Elm Ata’ Kare Aur Mein Ne Tumhare Liye Allah Ta’ala Se Ye Bhi Maanga Hai Ki Woh Tumhein Sakhaawat Karne Waala Aur Dusaron Kee Madad Karne Waala Aur Dusaron Par Raham Karne Waala Banayein
Pas Agar Koi Rukn Aur Maqaam Ke Darmiyan Donon Paawun Qataar Me Rakh Kar Khada Ho Jaayein Aur Namaz Padhe Aur Roza Rakhe Aur Phir (Wisaal Kee Shakl Me) Allah Se Mile Us Haal Me Woh Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakhne Waala Ho To Woh Dozakh Me Daakhil Hoga.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai Niz Imam Hakim Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Sahih Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/161,Raqam-4712,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/176, Raqam-11412,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/171,
(4) “Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Banu Hashim Aur Ansar Se Bughz Rakhna Kufr Hai Aur Ahl-E-Arab Se Bughz Rakhna Munafiqat Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/145, Raqam-11312,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/172,
Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/05,
(5) “Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Aik Dafa’ Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hum Se Mukhaatib Huwe Pas Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Aye Logon!
Jo Hamare Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakhta Hai Allah Ta’ala Use Roz-E-Qayamat Yahudiyon Ke Saath Jama’ Karega To Mein Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Agarche Woh Namaz, Rozah Ka Paaband Hee Kyoo’n Na Ho Aur Apne Aap Ko Musalman Gumaan Hee Kyu’n Na Karta Ho ?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Ha’n) Agarche Woh Rozah Aur Namaz Ka Paaband Hee Kyoo’n Na Ho Aur Khud Ko Musalman Tasawwur Karta Ho, Aye Logon !
Ye Labaadah Audh Kar Us Ne Apne Khoon Ko Mubaah Hone Se Bachaaya Aur Ye Ki Woh Apne Haath Se Jizyah De Us Haal Me Woh Ghatya Aur Kamine Ho’n Pas Meri Ummat Mujhe Meri Maa Ke Pet Me Dikhaayi Gayi Pas Mere Paas Se Jhandon Waale Gujare To Mein Ne Hazrat Ali Aur Shian-E-Ali Ke Liye Maghfirat Talab Kee.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/212, Raqam-4002,
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal, 03/171,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/172,
No comments:
Post a Comment