Jannat Kee Aurton Kee Sardaar
Hadith-01
“Umm-ul-Momeenin Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Bimaar Huwe To Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Tashrif Laaein Aur Aap Ko Is Haal Me Dekh Kar Rone Lagi.
Aap ﷺ Ne Un Ke Kaan Me Sargoshi Kee To Woh Ro Padi Phir Woh Aap ﷺ Par Jhooki To Aap ﷺ Ne Sargoshi Kee To Woh Muskura Dee.
Jab Huzoor Alayh-is-Salat Ka Wisaal Mubarak Ho Gaya To Mein Ne Hazrat Fatimah Zahra Se Un Sargoshi Ke Muta’lliq Puchha To Aap Ne Mujhe Bataaya :
Jab Mein Aap ﷺ Par Jhooki To Aap ﷺ Ne Mujhe Bataaya Ki Mere Ahl-E-Bait Me Se Aap Mujhe Sab Se Pehle Milegi Aur Yeh Ki Mein Maryam Binte Imran Ke Siwa Tamam Jannati Aurton Kee Sardaar Hoo’n To Sar Utha Kar Muskura Dee.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/123, 124, Raqam-133.]
Hadith-02
“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Wahab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Unhein Hazrt Umme Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Bataya Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Fatimah Zahra RadiyAllahu Ta’ala Anha Ko Bulaaya Aur Un Se Sargoshi Kee To Woh Ro Padi Phir Un Se Koi Baat Kee To Woh Muskura Dee.
Hazrat Umme Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hai Ki Mein Ne Rasool-E-Akram Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Wisaal Mubarak Ke Baad Un Se Rone Aur Muskuraane Ke Muta’lliq Puchha To Aap Ne Jawaab Diya Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mujhe Bataya Ki Mein Mariyam Binte Imran Ke Baad Jannati Aurton Kee Sardaar Hoo’n.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/124, 125, Raqam-134.]
Hadith-03
“Hazrat Abi Saeed RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Hasan Wa Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Jannat Ke Jawaanon Ke Sardaar Hain Aur Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Maryam Binte Imran Ke Siwa Jannati Aurton Kee Sardaar Hain.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/125, Raqam-135.]
Ya Fatima Ya Fatima :)
ReplyDeletewht..
Delete