Shahadat e Imam Hussain
Hazrat Abdullah Bin Wahab bin Zam'ah bayan karty hain k Hazrat umme Salamah (Radi ALLAH Ta'ala Anha) nain mujhy btaya k HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ek raat ko sonay k liay araam farma huay to (Thori dayr bad) baydaar ho gaay jab k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) paryshaan (say lag rahy) thy. Phir (Dubara) layty aur baghair soay (thori dair) layty rahy aur baydaar ho gaay jab k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) paryshan thy laykin itny paryshan nahi thy jitnay main nain pehli martaba dykhy thy. Phir Layt gaay aur phir uth bythy jab k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k dast e Aqdas (hath mubarak) main surkh (red) matti thi jisy AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ulat palat rahy rhy. To main nain Arz kiya:
YA RUSUL ALLAH, Yeh kysi matti hy?
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain farmaya:
"Mujhy Jibra'il ('Alaihis Salam) nain btaya hay k yeh (mera bayta Husain) Arz e Iraq (Iraq ki sar zameen) par Shaheed kiya jaay ga."
Main nain Jibra'il ('Alaihis Salam) say kaha:
"Mujhy wo matti dikhao jahan usy shaheed kiya jaat ga. To yeh (mere Hath main) wo matti hy."
References :
From : Haakim
Book : Mustadrak
Volume : 4
Page : 440
Hadith number : 8202
From : Tabrani
Book : Ma'jam Al Kabeer
Volume : 3
Page : 109
Hadith number : 2821
From : Tabrani
Book : Ma'jam Al Kabeer
Volume : 23
Page : 308
Hadith number : 697
From : Shaybaani
Book : Al Ahaad Wal Mathaani
Volume : 1
Page : 310
Hadith number : 429
From : Zahabi
Book : Sayyir A'laam An Nubala
Volume : 3
Page : 289
Imam Haakim nain farmaya:
"yeh Hadith Bukhari aur Muslim ki shart par Sahi hy."
Imam Zahabi nain farmaya:
"Yeh hadith Bukhari aur Muslim ki shart par Sahi h
No comments:
Post a Comment