“Hazrat Sahal Bin Sa’d Saa’idi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Momin Kee Niyyat Us Ke Amal Se Behtar Aur Munaafiq Ka Amal Us Kee Niyyat Se Behtar Hai Aur Har Aik Apni Niyyat Par Amal Karta Hai.
Phir Jab Momin Koi (Nek) Amal Karta Hai To Us (Nek Amal Kee Barkat Ke Baa’is Us) Ke Dil Me Noor Foot Padta Hai.”
رواه الطبراني والديلمي ورجاله موثقون.
–
[Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/185, Raqam-5942,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 04/285, Raqam-6842,
Rabi’a An Abdullah Bin Abbas Fi Al-Musnad, 01/23, Raqam-01,
Qada’i Musnad-ush-Shihab, 01/119, Raqam-148,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 05/343, Raqam-6860,
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 01/61,
وقال رجاله موثقون.
]
“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Beshak Allah Ta’ala Na Tumhare Jismon Ko Dekhta Hai Aur Na Hee Tumhari Sooraton Ko, Balki Woh Tumhare Dilon Ko Dekhta Hai.
(Aur Aik Riwayat Me Yah Alfaz Hain : )
“Beshak Allah Ta’ala Tumhari Shaklon Aur Tumhari Daulat Ko Nahin Dekhta Balki Woh Tumhare Dilon Aur Aamaal Ko Dekhta Hai.”
–
[Muslim As-Sahih, 04/1986, Raqam-2564,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1388, Raqam-4143,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/284, Raqam-7814,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 07/508, Raqam-11151,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/166, Raqam-614,
Ibn Mubarak Kitab-uz-Zuhad, 01/540, Raqam-1544.]
“Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Fatahe (Makkah) Ke Baad (Makkah Mukarrama Se) Hijarat Nahin, Ha’n Jihaad Aur Niyyat Baaki Hai.
Jab Tumhein Jihaad Kee Taraf Bulaaya Jaaye To Fauran Nikal Pado.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 03/1025, Raqam-2631, &
04/1040, Raqam-2670, &
03/1120, Raqam-2912,
Muslim As-Sahih, 03/1488, Raqam-1863, 1864,
Tirmidhi As-Sunan, 04/148, Raqam-1590,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح ،
Ibn Jarud Al-Muntaqi, 01/257, Raqam-1030,
Ibn Hibban As-Sahih, 10/452, Raqam-4592,
Darimi As-Sunan, 02/312, Raqam-2512,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 07/408, Raqam-36932,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01/226, Raqam-1991, 3335,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 08/362, Raqam-4952,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/339, Raqam-10844.]
“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jis Kee Us Ne Niyyat Kee, Phir Jis Ne Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Taraf Hijarat Kee.
Us Kee Hijarat Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Liye Hee Shumaar Hogi, Aur Us Kee Hijarat Duniya Haasil Karne Ya Kisi Aurat Se Shaadi Karne Ka Liye Huwi To Us Kee Hijarat Usi Ke Liye Hai Jis Kee Taraf Us Ne Hijarat Kee.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 01/30, Raqam-54, &
02/894, Raqam-2392, &
03/1416, Raqam-3685, &
06/2461, Raqam-6311, &
06/2551, Raqam-6553, &
01/03, Raqam-01,
Muslim As-Sahih, 03/1515, Raqam-1907,
Tirmidhi As-Sunan, 04/179, Raqam-1647,
Aboo Dawood As-Sunan, 02/362, Raqam-2201,
Nasa’i As-Sunan, 07/13, Raqam-3794,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1413, Raqam-4227.]
No comments:
Post a Comment