Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ka Apne Ahl-E-Bayt Ko Jannat Kee Bashaarat Dene Aur Un Se Neki Karne Waalon Ko Jaza’ Dene Ka Bayan
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
(1) “Hazrat Aboo Rafe’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :
BeShak Pehle Chaar⁴ Ashkhaas Jo Jannat Me Daakhil Honge Woh Mein, Tum, Hasan Aur Husain Honge Aur Hamaari Awlaad Hamare Pichhe Hogi (Ha’ni Hamare Baad Woh Daakhil Hogi) Aur Hamari Biwiya’n Hamaari Awlaad Ke Pichhe Hongi (Ya’ni Un Ke Baad Jannat Me Daakhil Hongi) Aur Hamare Chaahne Waale (Hamare Madadgaar) Hamaari Daayi’n Jaanib Aur Baayi’n Jaanib Honge.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Raqam-950,
03/41, Raqam-2624,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/131,
(2) “Hazrat Abaan Bin Uthman RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Uthaman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Farmate Huwe Suna Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Shakhs Ne Awlad-E-Abd-ul-Mutgalib Me Se Kisi Ke Saath Koi Bhala’i Kee Aur Woh Is Ka Badla Is Duniya Me Na Chuka Saka To Is Ka Badla Chukaana Kal (Qayamat Ke Roz) Mere Zimme Hai Jab Woh Mulaqaat Karega.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’j-ul-Awsat, 02/160, Raqam-1446, &
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 01/439, Raqam-315,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/173,
(3) Hazrat Ali Bin Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Ali!
BeShak Allah Ta’ala Ne Tujhe Aur Teri Awlaad Ko Aur Tere Ghar Waalon Ko Aur Tere Madadgaaron Ko Aur Tere Madadgaaron Ke Chaahne Waalon Ko Bakhsh Diya Hai Pas Tujhe Ye Khushkhabari Mubarak Ho.”
Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/329, Raqam-8337,
No comments:
Post a Comment