Wikipedia

Search results

Thursday, 12 March 2015

Ashab E Karam

“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Allah Ta’ala Ney Haque Ko Umar Ki Zabaan Aur Dil Par Jaari Kar Diya Hey.
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmatey Hain :
Jab Kabhi Logon Ko Koi Mas’ala Darpeysh Huwa Aur Logon Ney Us Mey Baat Ki Aur Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Bhi Us Mas’aley Par Kuchh Kaha To Qur’ane Hakeem Hazrat Umar Farook RadiyAllahu Ta’ala Anhu Key Qaul Key Muwaafik Naazil Huwa.”
رواه الترمذي وأبو داود وابن ماجه وأحمد.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
وقال الحاكم : هذا حديث حسن صحيح.

43/705
[Tirmidhi As-Sunan, 05/617, Raqam-3682,
Aboo Dawood As-Sunan, 03/138, Raqam-2961, 2962,
Ibn Majah As-Sunan, 01/40, Raqam-108,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/53, Raqam-5145,
Ibn Hibban As-Shahih, 15/312, Raqam-6889,
Hakim Al-Mustadrak, 03/93, Raqam-4501,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 06/295, Raqam-12503.]

“Hazrat Irbaaz Bin Saariya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Aik Din Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Fajr Ki Namaz Key Baad Hamey Nihayat Faseeh Wa Baleegh Waa’z Farmaya :
Jis Sey Aankhon Mey Aansoo Jaari Ho Gaye Aur Dil (Khashiyyatey Elaahi Sey) Kaanpney Logey.
Aik Shakhs Ney Kaha Yeh To Alwida Kehney Waaley Shakhs Key Waa’z Jaisa (Khitaab) Hey.
Ya RasoolAllah ﷺ!
Aap Hamey Kya Waseeyat Farmatey Hey?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Mein Tumhey Parhezgaari Aur Sun Ney Aur Maan Ney Ki Waseeyat Karta Hoo’n, Chaahey Tumhaara Haakim Habashi Ghulam Hee Kyun Na Ho.
Is Liye Ke Tum Mey Sey Jo Zinda Rahey Ga Woh Bahut Sey Ikhtilaf Dekhey Ga Khabardaar (Shariat Key Khilaaf) Baaton Sey Bachana Kyun Ke Yeh Gumraahi Ka Raasta Hey.
Lihaaza Tum Mey Sey Jo Shakhs Ye Zamana Paaye Usey Chaahiye Key Meri Aur Merey Hidayat Yaafta Khulafa Ki Sunnat Ikhtiyar Karey, Tum Log Usey (Sunnat Ko) Daanton Sey Mazbooti Sey Pakar Leyna.”
رواه الترمذي وأبو داود وابن ماجه وأحمد. وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

42/704
[Tirmidhi As-Sunan 05/44, Raqam-2676,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/200, Raqam-4607,
Ibn Majah As-Sunan, 01/15, Raqam-42,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad,  04/126,
Ibn Hibban As-Shahih, 01/178, Raqam-05
Hakim Al-Mustadrak, 01/174, Raqam-329,
وقال : هذا حديث حسن صحيح ليس له عدة،
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/246, Raqam-618.]

“Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Farmaya Kartey They Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Key Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Aik Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hey.”

41/703
[Ibn Majah As-Sunan, 01/57, Raqam-162,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06/405, Raqam-32415,
Ibn Abi Asim As-Sunnah, 02/484, Raqam-1006.]

“Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Sey Marwi Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Jab Bhi Tumhey Kitabullah Ka Hukm Diya Jaaye To Us Par Amal Laazim Hey.
Us Par Amal Na Karney Par Kisi Ka Uzr Qaabiley Qubool Nahin.
Agar Woh (Mas’ala) Kitabullah Mey Na Ho To Meri Sunnat Mey Usey Talaash Karo Jo Tum Mey Maujood Ho Aur Agar Meri Sunnat Sey Bhi Na Ho To (Us Mas’aley Ka Hal) Merey Sahaba Key Aqwaal Key Mutaabiq (Talaash) Karo.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Merey Sahaba Ki Misaal Yoo’n Hey Jaisey Aasmaan Par Sitaarey (Jo Ke Yaksa Roshani Deytey Hain) Un Mey Sey Jis Ka Daaman Pakar Logey Hidayat Pa Jaawo Gey Aur Merey Sahaba Ka Ikhtilaf (Bhi) Tumharey Liye Rahmat Hey.”
رواه البيهقي وابن حميد والقضاعي.

40/702
[Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 01/162, Raqam-152,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, 01/250, Raqam-783,
Qada’i Musnad-ush-Shihab, 02/275, Raqam-1346,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 04/160, Raqam-6497,
Dhahabi Mizan-ul-I’tiqad, 02/142, &
08/73, &
Lisan-ul-Mizan, 02/118, 137, Raqam-594,
Khatib Baghdadi Kifayah Elm-ul-Riwayah, 01/48,
Suyuti Miftah-ul-Jannah, 01/45,
Ibn Kathir Tuhfat-ul-Talib, 01/451, Raqam-341,
Ibn Mulaqqan Khulasah Al-Badr-ul-Munir, 02/431, Raqam-2868,
Zurqani Sharh, 02/302,
Ibn Abd-ul-Barr At-Tamhid, 04/263,
Asqalani Fat’h-ul-Bari, 04/57,
Ibn Qudamah Al-Mughni, 03/2109,
Aamadi Al-Ihkam, 01/290,
Ibn Hazm Al-Ihkam, 05/61.]

No comments:

Post a Comment