Wikipedia

Search results

Sunday, 1 March 2015

Nafil namaz

“Hazrat Asma Bin Zayd RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Arz Kiya :
Ya RasooAllah ﷺ !
Jis Qadar Aap Mah-E-Sha’baan Me (Nafli) Roze Rakhte Hain Us Qadar Mein Ne Aap Ko Kisi Aur Mahine Me (Nafli) Roze Rakhte Huwe Nahin Dekha ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Yah Aik Aysa Mahina Hai Jo Rajab Aur Ramdan Ke Darmiyan Me (Aata) Hai Aur Log Us Se Gaflat Barat’te Hain Haala’n Ki Is Mahine Me (Poore Saal Ke) Amal Allah Ta’ala Ki Taraf Uthaaye Jaate Hain.
Lihaaza Mein Chhahta Hoo’n Ki Mere Amal Roza Daar Hone Ki Haalat Me Uthaaye Jaye.”

[Nasa’i As-Sunan, 04/201, Raqam-2357, Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/201, Raqam-21801,
Tahawi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 02/82,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/346, Raqam-9765,
Al-Bazzar Al-Musnad, 07/69, Raqam-2617,
Maqdasi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 04/108, Raqam-1319,
وقال : إسناده حسن.
Baghawi Musnad, 01/123, Raqam-48,
Mahamli Amali, 01/416, Raqam-485.]

“Hazrat Aboo Qatada RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Yawm-E-Arafa (Now-09 Zilhaja Ke Roze) Ke Mut’alliq Puchha Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Yawm-E-Arafa Ka Roza) Guzishta Aur Aainda Saal Ke Gunaahon Ka Kaffara Hai.
(Tirmidhi KeAlfaz Yah Hain) Ki Yawm-E-Arafa Ke Roza Ke Mut’alliq Mujhe Allah Ta’ala Se Ummid Hai Ki Woh Use Guzishta Aur Aainda Saal Ka Kaffar Bana Deta Hai.”
رواه مسلموالترمذي.
وقال أبوعيسى : حديث أبي قتادة حديث حسن.

[Muslim As-Sahih, 02/819, Raqam-1162, Tirmidhi As-Sunan, 03/124, Raqam-749, Abo Dawood As-Sunan, 02/321, Raqam-2425,
Ibn Majah As-Sunan, 01/551, Raqam-1730,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/308, Raqam-22674.]
“Hazrat Aboo Qatada RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Peer Ke Roze Ke Mut’alliq Puchha Gaya To Aaap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Yah Woh Din Hai Jis Me Meri Wiladat-E-BaSa’adat Huwi Aur Isi Din Mein Mab’oos Huwa Ya Isi Din Mujh Par Qur’an Naazil Huwa.”

[Muslim As-Sahih, 02/819, Raqam-1162, Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 02/146, Raqam-2777,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/297, Raqam-22594,
Ibn Hibban As-Sahih, 08/403, Raqam-3642,
Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 04/295, Raqam-7865,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 01/133, Raqam-144,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 04/300, Raqam-8259.]

“Hazrat Aboo Qatada RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Aashura Ke Roze Ke Mut’aliq Puchha Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Yah Roza Guzishta Saal Ke Gunaahon Ko Mita Deta Hai.”

[Muslim As-Sahih, 02/819, Raqam-1162, Tirmidhi As-Sunan, 03/126, Raqam-752, Aboo Dawood As-Sunan, 02/321, Raqam-2425,
Ibn Majah As-Sunan, 01/553, Raqam-1738,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 02/150, Raqam-2796,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/308, Raqam-22674.]

No comments:

Post a Comment