Wikipedia

Search results

Wednesday, 4 March 2015

Allah mola Ali ko kabhi ruswa nh karega

Allah Tabarak Wa Ta’ala Ali Ko Kabhi Ruswa Nahin Karega

Aik Riwayat Ka’i Hadithein

Riwayat-01

“Hazrat Amru Bin Maymoonah Se Riwayat Hai Ki Mein Hazrat Abd-ul-Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Kee Khidmat Me Baytha Huwa Tha Jab Ki Waha’n Nau Giroh Aayein Aur Kahne Lage Ki Aye Ibn Abbas !
Kya Aap Hamare Saath Khade Hona Pasand Farmayege Ya Alahiyda Hona ?

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ne Farmaya :
Balki Mein Tumhare Saath Khada Howunga Aur Us Waqt Aap Tandurast They Aur Yeh Waaqia Aap Kee Binaayi Jaae’ Hone Se Pehle Ka Hai.
Chunanche Aap Ne Un Logo’n Ko Farmaya Ki Baat Shuru’ Karo To Unhone Baat Kee Jise Hum Nahin Jaante Ki Kya Baat Kee.

Phir Aik Shakhs Aaya Aur Kapade Jhaadate Huwe Afsos-Afsos Karne Laga Aur Woh Log Aise Shakhas Ke Mut’alliq Jhagada Karne Lage Jis Ke Liye Ashr Tha, Aur Us Shakhs Ke Mut’alliq Jhagadne Lage Jis Ke Liye RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

﴿1﴾ Ki Mein Aise Shakhs Ko Bhejunga Jo Alla Ta’ala Aur Us Ke Rasool Ka Mahboob Hai Aur Allah Azza Wa Jalla Use Khabhi Ruswa Nahin Karega.

Is Farman Ke Baad Log Nazarein Utha-Utha Kar Dekhne Lage To Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Dekhna Tha Dekha Phir Farmaya :
Ki Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kaha’n Hai ?
Sahaba Ne Arz Kiya Ki Woh Aata Pees Rahe Hain Aap ﷺ Ne Farmaya Ki Yeh Kaam Koi Doosara Nahin Kar Sakta ?

Phir Hazrat Ali Alayh-is-Salam Tashrif Laayein Aur Aap Kee Aankhein Dukh Rahi Thi Pas RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Kee Aankhon Me Apana Luaab-E-Dahan Mubarak Lagaaya Aur Alam Ko Teen Baar Lehra Kar Hazrat Ali Alayh-is-Salam Ko Ata’ Farma Diya Pas Hazrat Ali Alayh-is-Salam Safiyya Binte Huyyay Ko Laaye.”

[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/39, 40, Raqam-23.]

No comments:

Post a Comment