Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Elm Do² (Tarah Ke) Hain :
Aik Elm Dil Me Hota Hai Aur Yah Elm Nafea (Nafa Dene Waala Elm) Hai Aur Aik Elm Zabaan Par Hota Hai Yah (Elm) Bani Aadam Par Allah Ta’ala Kee Hujjat (Daleel) Hai.
Aur Aik Riwayat Me Hai Ki Elm Do² (Tarah Ke) Hain :
Aik Elm Dil Me Raasikh Hota Hai Aur Aik Elm Zabaan Par (Jaari Hota) Hai Phir Yah Elm Allah Ta’ala Ke Bandon Par Hujjat (Daleel) Hai (Ya’ni Agar Sahee Elm Haasil Nahin Kareinge To Yah Un Ke Khilaaf Gawaah Hoga.)”
–
[Darimi As-Sunan, 01/114, Raqam-364,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/294, Raqam-1825,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/58, Raqam-139, 130,
Daylami An Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/68, Raqam-4194,
Ibn Umar Al-Azadi Musnad-ur-Rabi’, 01/365, Raqam-947,
Ibn Mubarak Az-Zuhad, 01/407, Raqam-1141,
Hakeem Tirmidhi Nawadir-ul-Usool, 03/42,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hikam, 01/343,
Manawi Fayd-ul-Qadir, 04/390.]
“Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ulama-E-Kiram Zameen Me Un Sitaaron Kee Tarah Hain Jin Ke Zareeye Behrobarr Ke Andheron Me Rahnumayi Haasil Kee Jaati Hai Aur Sitaare Ghurub Ho Jaaye To Qareeb Hai Ki (Musafiron Ko Raasta Dikhaane Waale) Rahnuma Bhatak Jaaye.
(Ya’ni Ulama-E-Kiram Nahin Honge To Awaam Gumraah Ho Jaayege).”
–
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/157, Raqam-12621,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 04/134, Raqam-6418,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hikam, 01/343,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/56, Raqam-128,
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 01/121, 122.]
Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aik Faqeeh Aik Hazaar Aabid Se Zyada Shaitan Par Sakht Aur Bhaari Hai.
Aur Aik Riwayat Ke Alfaz Hain Ki Har Aik Shai Ka Sutoon Hota Hai Aur Is Deen Ka Sutoon (Elme) Fiq’h Hai.”
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/48, Raqam-2681,
Ibn Majah As-Sunan, 01/81, Raqam-222,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/194, Raqam-6166, &
Musnad-ush-Shamiyyin, 02/161, Raqam-1109, &
Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/78, Raqam-11099,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/266, 267, Raqam-1712, 1715,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/57, Raqam-136.]
“Hazrat Abee Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Jo Aadami Talab-E-Elm Me Kisi Raste Par Chalta Hai To Allah Ta’ala Use Jannat Ke Raste Par Chala Deta Hai.
Aur Beshak Farishte Talib-E-Elm Ki Raza Ki Husool Ke Liye Us Ke Paanw Tale Apne Par Bichhaate Hain Aur Taalim Ke Liye Zameenon Aasman Ki Har Cheez Yaha’n Tak Ki Paani Me Machhaliya’n Bhi Maghfirat Talab Karti Hain Aur Aabid Par Aalim Ki Fazeelat Aise Hee Hai Jaise Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Fazeelat Sitaron Par Hai Aur Beshak Ulama Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Waaris Hain.
Beshak Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ki Wiraasat Dirhamo Deenar Nahin Hoti Balki Un Ke Meeraas Elm Hai Phir Jisne Use Paaya Use (Wirasate Ambiya Se) Bahut Bada Hissa Mil Gaya.”
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/48, Raqam-2682,
Aboo Hanifah Al-Musnad, 01/57,
Aboo Dawood As-Sunan, 03/317, Raqam-3641,
Ibn Majah As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/81, Raqam-21723,
Darimi Al-Musnad, 01/110, Raqam-342,
Tabarani Musnad-ush-Shamiyyin, 02/224, Raqam-1231,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/262, Raqam-1696, 1697,
Mahamli Al-Amli, 01/330, Raqam-354,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/51, Raqam-106.]
“Hazrat Aboo Umama Bahili RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Samne Do² Aadmyon Ka Zikr Kiya Gaya :
Jin Me Se Aik Aabid Tha Aur Doosara Aalim, Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aabid Par Elm Kee Fazeelat Usee Tarah Hai Jis Tarah Meri Fazeelat Tum Me Se Aik Adana (Sahabi) Par Hai.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Beshak Allah Ta’ala, Us Ke Farishte, (Tamam) Zameen Wa Aasman Waale Yaha’n Tak Ki Cheenti Apne Bil Me Aur Machhliya’n (Bhi Samandaron, Dariyaon Aur Talabon Me) Us Shakhs Ke Liye Rahmat (Kee Duaa) Maangte Hain Jo Logon Ko Bhalayi Kee Taalim Deta Hai.”
رواه الترمذي وحسنه والدامي.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/50, Raqam-2685,
Darimi As-Sunan, 01/100, Raqam-289,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/233, Raqam-7911 ,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/56, Raqam-130.]
No comments:
Post a Comment