“Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Mariz Ke Liye Farmaya Karte They :
Allah Ta’la Ke Naam Se Shifa’ Talab Kar Raha Hoo’n, Hamari Zameen Kee Mitti Aur Hum Se Kuchh Ka Luaab Allah Ta’ala Ke Hukm Se Hamare Mariz Ko Shifa Deta Hai.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 05/2168, Raqam-5414,
Muslim As-Sahih, 04/1724, Raqam-2194,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/12, Raqam-3895,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 04/368, Raqam-7550,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1163, Raqam-3521,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06/93, Raqam-24661.]
“Hazrat Mu’az Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Aik Aadami Ko Yah Alfaz Kahte Huwe Suna : ﴾ يَا ذَا الْجَﻻَلِ وَالإِكْرَامِ ﴿
To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Tumhaari Dua Qubool Ho Gayi Hai, Tum Maango.”
رواه الترمذي وأحمد والبزار.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/541, Raqam-3527,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/235, Raqam-32109,
Bazzar Al-Musnad, 07/82, Raqam-2635,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/56, Raqam-98,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, 01/66, Raqam-107,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/317, Raqam-2537.]
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Kya Mein Tumhein Hazrat Nooh Alaihissalam Kee Apne Bete Ko Kee Huwi Wasiyat Na Bataaun ?
Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya :
( Ya RasoolAllah ﷺ !) Zaroor Bataayein.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Hazrat Nooh Alaihissalam Ne Apne Bete Ko Wasiyat Kee :
Aye Mere Pyaare Bete !
Mein Tumhein Do Kaamon Ka Hukm Deta Hoo’n Aur Do Kaamon Se Rokta Hoo’n.
Mein Tumhein ﴾ ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ ﴿ Ke Zikr Kee Wasiyat Karta Hoo’n.
Kyoo’n Ki Yah Kalima Agar Aik Palade Me Rakh Diya Jaaye Aur Asman Wa Zameen Dusare Palade Me Rakh Diye Jaaye To Yah Un Se Wazani Ho Jaayega Aur Agar (Yah Asman Wa Zameen) Gol Daayre Kee Tarah Bhi Ho’n To Yah Unhein Cheerta Huwa Seedha Allah Ta’ala Kee Taraf Chala Jaayega.”
Us Ke Baad Poori Hadith Zikr Kee.”
رواه البزار وأحمد والنسائي والبخاري في الاداب.
وقال الحاكم : صحيح الإسناد.
–
[Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/169, Raqam-6583,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/192, Raqam-548,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 06/208, Raqam-10668, &
Amal-ul-Yawm Wal-Laylah, 01/481, Raqam-832,
Ibn Rajab Jami’-ul-Uloom Wal-Hikam, 01/217,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/269, Raqam-2360,
قال المنذرى : رواه البزار ورواته محتج بهم فى الصحيح،
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 10/84,
وقال الهيثمى : رواه البزار.
]
“Hazrat Ka’b Bin Oojarah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Farz Namaz Ke Baad Kiye Jaane Waale Kuch Azkaar Aise Hain Jinhein Padhne Waala Ya Karne Waala Naakaam Nahin Hota (Jo Ki Yah Hain) 33 Dafa ﴾ شُبْحَانَ اللهِ ﴿ Sub’hanAllah, 33 Dafa ﴾ ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ ﴿ Al-Hamdolillah Aur 34 Dafa ﴾ اَللهُ أَكْبَرُ ﴿ AllahuAbkbar Padhna.”
رواه مسلم والترمذي . وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Muslim As-Sahih, 01/418, Raqam-596,
Tirmidhi As-Sunan, 05/479, Raqam-3412,
Nasa’i As-Sunan, 03/75, Raqam-1349, &
As-Sunan-ul-Kubra, 01/401, Raqam-1272, 9983, 9984, &
Amal-ul-Yawm Wal-Laylah, 01/209, Raqam-155, 156,
Ibn Hibban As-Sahih, 05/362, Raqam-2019,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 02/187, Raqam-2849,
Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 02/235, Raqam-3193,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 06/31, Raqam-29252, 29254,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/122, Raqam-259, 260,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/218, Raqam-622,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/297, Raqam-6465.]
“Hazrat Abi Darda’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Subah Ke Waqt Aur Shaam Ke Waqt Mujha Par Das-10 Martaba Durood Bhejega Use Qayamat Ke Roz Meri Shafa’at Nasib Hogi.”
رواه الطبراني بإسناد جيد كما قال المنذري.
–
[ Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/261, Raqam-987,
وقال : رواه الطبرانى بإسنادين أحدهما جيد، ورجاله وثقوا،
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 10/120.]
No comments:
Post a Comment