Wikipedia

Search results

Friday, 6 March 2015

YAZEED PALEED MALOON (L.A)

Yazeed Lanti Hai Ahadith Aur Tareekh Ki Roshni Mein Dekhte Hain

آئیے آج دیکھتے ہیں کہ یزید جنتی ہے یا جہنمی ہے اور کیا اسکو رحیم اللہ کہنا جائز ہے یا نہیں۔ آج احادیث اور تاریخ کی روشنی میں دیکھتے ہیں
AAEYE AAJ DEKHTE HAIN YAZEED JANNATI HAI YA JAHANMI HAI? AUR DEKHTE HAIN KE YAZEED KO RAHEEMULLAH KEHNA JAIZ HAI YA NA'JAIZ HAI?

SAB SE PEHLE WO HADEES DEKHTE HAIN JIS MEIN LASHKAR KA ZIKAR AYA HAI. YE NICHAY HADEES HAI. SAB PARHAIN TA KE PATA CHALE KE ZAKIR NAIK KAISE HADEES KO GHALAT TAREEKAY SE BAYAN KER RAHA HAI.
سب سے پہلے وہ حدیث دیکھتے ہیں جس میں سب سے پہلے لشکر کا ذکر آیا ہے۔ نیچے حدیث کی ہے پڑھیں تاکہ آپکو پتہ چلے کے زاکر نائیک  کیسے اللہ کے نبی پر جھوٹ باندھ رہا ہے۔

"Meri Umat Ka Phela Laskr Jo Qaiser Ke Shaher Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye Magfirat Hai"

Hadees.

              Ham se is'haaq bin yazeed damishqi ne bayan kiya, kaha ham se yahya bin  hamza ne bayan kiya, kaha ke mujh se "THAUR BIN YAZEED" ne bayan kiya, un se Khalid bin mah'dan ne  aur un se umair bin aswad ansi ne bayan kiya ke wo ebada bin saamet radi Allah anho ki khidmat mein hazir hoey. Aap ka qayam sahil hams per apne he aik makan per tha. Aur aap ke sath(aap ki biwi) ummay haraam radi Allah anha bhi thien. Umair ne bayan kiya ke ham se ummay haraam radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai,
Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya tha ke:
"Meri Ummat ka sab se Pehla lashkar jo daryai safar ker ke jahaad ke liye jaeyga, us ne (apne liye Allah ki rahmat o maghfirat) wajib  ker li. Ummay haraam radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne kaha tha Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
Kiya mein bhi un ke sath hoongi?
                      Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke haan tum bhi un ke sath hogi. Phir Nabi kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya  "sab se pehla lashkar meri ummat ka jo qaisar ke sheher per hamla krayga unki maghfirat hogi.
                 Mein ne kaha mein bhi un ke sath hoongi Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
                     Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Nahe.

Sahih Bukhari, vol 4. page 345, Hadees 2924.


حدیث کے صحیح ہونے پر اعتراضات
Some objection on  correctness of hadees
This objection made by Maulana is'haq
1: Is hadees ki ravi sirf ummay haram binte melhaan hain, kisi            doosry sahabi ne issay rawayat nhe kiya?
2: Is hadees ko bayan kerne wale saray shaami hain baqi makkah,      madina aur iraq ka koi bhi ravi nhe hai is hadees mein.
3: Thaur bin yazeed al karahi jab madina mein aya to imam malik      ne kaha koi is k pass na baithay aur na is se rawayat likhhay.
4: Asool e hadees hai ke  koi admi koi aisi hadees rawayat kray aur       us admi ka talluk kisi khas groh se ho aur uske ilawa koi aur na      bayan kray  to us ki rawayat sahih nhe mani jaeygi kion ke              shuba hai ke us ne apne maslak ya aqeeday ki hamaiyat ki ho.
5:   Is hadees mein sabi naasbi hain.
ثور بن یزید کے(باپ/دادا) جنگ صفین میں حضرت امیر معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ کہ ساتھ تھے اور حضرت علی رضی اللہ تعالی عنہ کے لشکر کے ہاتھوں قتل ہوئے
۔Thaur bin yazeed ke (baap/dada) jung e safeen mein hazrat ameer Muawiya radi Allah anho ke sath thy aur Hazrat Ali radi Allah anho ke lashkar ke hathoon qatal hoey
ثور بن یزید حضرت علی رضي اللہ عنہ کے بارے میں نام لیکر کہاکہ:
"میں ایسے شخص سے محبت نہیں کرتا جس نے میرے (باپ/دادا) کو قتل کیا۔
(طبقات سعد،ج 7، اور ابن حجر، تقریب التدھیب، راوی نمبر1057،ج 2)
thaur bin yazeed Hazrat Ali radi Allah anho ke baray mein naam le ker kaha ke "mein aise shakhs se mohabbat nhe kerta jis ne mere (baap/dada) ko qatal kiya.
(tabqaat ibn sa'ad vol 7,,, ibn e hajar, taqrib al,tahdheeb,

Rawi no 1057, vol 2.) Hazrat Ali aur Hazrat Ameer Muawiya radi Allah anhum ki aik dosry se jungain hoi aur thaur bin yazeed Hazrat Ameer Muawiya ki army mein thy. To phir jab dushmani ho to Insan kisi ki barrai bhi ker sakta hai dushman ko giranay k liye..WALLAHU AALAM

حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے فرمایاکہ "کوئی منافق علی رضی اللہ تعالی عنہ سے محبت نہیں کرسکتا اور کوئی مؤمن علی رضي اللہ عنہ سے بغض نہیں رکھ سکتا۔ (جامع ترمذی، 213/4)
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshaad e Mubarak hai ke:
            "Koi munafiq Ali Radi Allah Anho se mohabbat nhe ker sakta aur koi mo'min ali radi Allah anho se bughaz nhe rakh sakta.
(jamiya trimzi 213/4)
جس نے علی سے بغض رکھا اس نے مجھ (محمد صلّی اللہ علیہ وسلّم ) سے بغض رکھا اور جس نے مجھ سے بغض رکھا اس نے اللہ سے بغض رکھا۔
یہ حدیث کا آخری حصہ تھا۔ مجمع الزوائد، 109/9
Jis ne Ali se bughaz rakha us ne mujh(Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam) se bughaz rakhha aur jis ne mujh se bughaz rakha us ne Allah se bughaz rakhha.
Ye hadees ka akhri hissa tha… majmuaz'zawaiyd. 109/9

       Aisi he hadees ibn majah, nisai shareef, sahih muslim, abu dawood mein bayan hoi hai lakin kisi bhi hadees mein pehle lashkar ya us lashkar ki maghfirat ki basharat nhe sunai gai jo qaiser ke sheher per hamla kray ga.

Jab ke aisi he ahadees dosray raviyoun se sahih bukhari mein bayan ki gai hai us mein bhi kisi basharat ka zikar nhe aya hai

Sahih Bukhari, Vol 4, Page 327, Hadees 2894, 2895

In books mein bhi basharat ka koi zikar nhe aya hai

Reference available is here:

1: Sunnan Abu Dawood, Vol 2, Page 295,496,497
    Hadees 718.719,720.

2: Sunnann Nisa'I, Vol 2, Page 967,969,
    Hadees 1083,1084

3: Sahih Muslim, Vol 3, Page 340,342,343,344
    Hadees 437,438,439,440

4: Sunnan Ibn Majah Vol 2, Page 728,
    Hadees 933

Sab se pehle lashkar mein kaun tha aaeye Tareekh parhte hain

YAZEED SAB SE PEHLE LASHKAR MEIN TO NHE THA

Qaisar ka sheher koi bhi ho sakta hai. Missal ke tor per qabras, rome qustuntuniya ye sab qaisar ki badshahi mein ate thy. Is mein kisi khaas sheher ki taraf ishara nhe kiya gia balke qaisar ke sheher per hamla kerne ka farmaya gia. Jaise 27 hijri mein ameer muawiya radi Allah anho ne qaisar ke sheher qabras per behri hamla kiya. Ab aaeen dekhte hain qaisar ke sheher per hamlay hone ki Tareekh
اب آئيے دیکھتے ہیں کہ قیصر کے شہر پر حملے کس کس نے اور کس کس سن ہجری میں کئے۔ سب سے پہلا حملہ امیر معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ نے 27 ہجری میں کیا، اور دوسرا حملہ جس میں لشکر قسطنطنیہ تک پہنچ گیا وہ 42 ہجری میں تھا۔
پلیز غور سے پڑھیےگا سن ہجری اور اس میں شرکت کرنے والے لوگ:

Ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya42
اس سال مسلمانوں نے لان اور روم سے جہاد کیا
Is saal musalmanoon ne laan aur rome se jehad kiya aur unko shikast fash di. Aur batreekoon ki aik jamat ko qatal kiya gia.
Tareekh tabri vol 4 page 32.

اس سال مسلمانوں نے لائنوں اور رومیوں سے جہاد کیا
Is saal musalmanoon ne lynoon aur romeon se jung ki aur un ke amra aur generals mein se bahut se admiyoun ko qatal ker diya gia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8 page 37

43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla kiya.
اس سال میں بسر بن ارطاط نے بلاد روم سے جنگ کی حتی کہ قسطنطنیہ کے شہر تک پہنچ گیا
Is saal mein busar bin artaat ne bilad e rome se jung ki hatta ke qustuntunia ke sheher tak pohanch gia. Aur waqdi ke khyal mein mausam e sarma un ke mulk mein guzara.
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 37.

43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla kiya.

واقدی کے زعم میں ہے کہ بسر بن ارطاط نے اس سال روم سے جنگ کی اور اسی سال سرزمین پرجھاڑوں کی فصل گذاردی اور قسطنطنیہ تک پہنچ گیا۔
Waqdi ka zaham hai ke busar bin artaat ne is saal  rome se jung ki aur issi sar'zameen per jharroon ki fasal guzar di aur Qustuntunia tak ponch gia.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 39.

دوستو! پتہ چلاکہ پہلا لشکر امیر معاویہ کے بعد جو رومیوں مطلب قیصرکے شہر والوں سے لڑنے گیا وہ 42 ہجری میں تھا۔ اور اگر قیصر کا شہرقسطنطنیہ ہی لینا مراد ہے تو تاریخ طبری اور تاریخ ابن کثیر البدایہ ولنہایہ کے مطابق بسر بن ارطاط 43 ہجری میں قیصر کے شہر قسطنطنیہ میں پہنچ گۓ تھے۔ تو اس کا مطلب ہوا کہ بسر بن ارطاط والا لشکر جنّتی ہے۔
Dosto! Pata chala ke pehla lashkar ameer muawiya radi Allah anho ke ba'd jo romeon matlab qaisar ke sheher waloon se larrne gia wo 42 hijri mein tha. Aur ager qaisar ka sheher qustuntunia he murad lena hai to Tareekh tabri aur Tareekh ibn katheer ke mutabik basar bin artaat 43 hjiri mein qaisar ke sheher qustuntuniya mein pohanch gaey the. To is ka matlab hua ke busar bin artaat wala lashkar jannati hai.

44 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?

Is saal mein abdur rahman bin Khalid bin walid radi Allah anho ne bilad e rome ke sath jung ki aur musalman bhi aap ke sath the. Aur unhoon ne mausam e sarma wohi guzara. Aur issi mein busar bin abi artaat ne samunder mein jung ki
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan,nahaya vol 8, page 42

Is saal abdur rahman bin waleed ke sath musalman bilaad e rome mein dakhil hoey aur sardiyoun ka mausam wohi guzara aur basar bin artaat ne darya mein jung ki.
Tareekh Tabri Volume 4, Page 62

45 ad mein kahan hamla hua.
Is saal ziyaad ke khurasani naib al.hukam bin umroo ne ziyad ke hukam se jabal-al-asal se jung ki aur un mein se bahut se logoon ko qatal kiya aur bahut se amwaal maal e ghanimat mein hasil kiye.
Al.bidaya wa.nahay vol 8, page 45.

is saal abdur rahman bin Khalid radi Allah anho rome mein sardiyaan guzari.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 70

46 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?
Is saal musalmanoon ne apne ameer Hazrat abdur rahman bin Khalid bin walid radi Allah anho ke sath bilad e rome mein guzara. Aur baz ka qol hai ke unka ameer koi aur shakhs tha.
Al.badaya wan.nahaya vol 8, page 46

Is saal maalik bin ubaidallah ne sar'zameen rome mein sardiyaan guzari. Abdur rahman bin Khalid radi Allah anho wa maalik bin habeera sakooni ka naam bhi liya gia hai. Is saal abdur rahman  bin Khalid radi Allah anho rome mein hams ki taraf aaey.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 70

47 ad mein musalmanoon ne kia kiya?
Is saal musalmanoon ne mausam e sarma bilad e rome mein guzara. Aur is mein Hazrat Muawiya radi Allah anho ne hazrat Abdullah bin umroo bin il-aas radi Allah anho ko diyar e misar se mazool kr ke hazrat muawiya bin khadij ko wahan ka hakim muqarar kiya.
Al.bidaya Wan.Nahaya, Vo 8, Page 48.

Is saal maalik bin habeera na sar'zameen e rome mein aur abu abdur rahman qaini ne intakia mein sardiyaan guzari.
Tareek Tabri vol 4, page 71.

48 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?
Is saal abdur rahman al.qutni ne musalmanoon ke sath bilad e intakia mein mausam e sarma guzara aur issi mein uqba bin aamir ne ahle misar se samunder mein jung ki.
Al.bidaya Wan.Nayaha, Vol 8, Page 49.

Is saal maalik bin habeera sakooni ne darya mein jung ki.
abdur rahman bin qaini ne intakia mein sardiyaan guzari aur Abdullah bin qais fazari ne garmiyoun ka jehaad kiya.
Tareekh Tabri Vol 4 , Page 72.

49 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya?
1:Is saal maalik bin habeera ne zameen e rome mein sard mausam guzara.
2:      Fazala bin ubaid ne jarya mein jung ki, fatah hasil hoi aur bahut se qaidi haath aey.
3:           Abdullah bin koza bijli ne garmiyoun mein hamla kiya.    Uqba bin nafeh ne darya mein jung ki aur ahle miser ke sath sardiyaan guzari.
4: yazeed ne jung ki yahan tak ke qustuntuniya tak pohanch gia.
Ibn abbas, ibn umer, ibn zubair aur abu ayyub ansari radi Allah anhum us ke sath the.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 72

1: Is saal yazeed bin muawiya ne bilad e rome ke sath jung ki.               Hatta k sadat e sahaba radi Allah anhum ki aik jamat ke sath           jis mein Hazrat ibn umer, hazrat ibn abbas, hazrat ibn zubair aur hazrat abu ayyub ansari radi Allah anhum shamil the qustuntunia pohanch gia.
2: Aur issi saal maalik bin habeera fazari ne roomiyoun ke ilaqay       mein mausam e sarma guzara. Aur issi saal mein fazala bin            ubaid ka ghazwa hua.aur wohi mausam e sarma guzara aur sheher ko fatah ker ke bahut si ghaneemat hasil ki.
3:  Aur issi saal Abdullah bin karz ki garmai jung hoi aur issi mein ta'oon ki waba koofa mein parri.
Al.bidaya Wan.nahaya, vol 8, page 49.
Yazeed pehla shakhs hai jis ne yaqoob bin sufiyan ke qol ke mutabiq 49 ad mein qustuntuniya sheher se jung ki aur khalifa bin khayat ne 50 ad bayan kiya hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 290

Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Mein Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha To Wahan Aise Mouliq Bemari Ho gayi,Ye Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa parain,Jub Ke Mein Der Meran Ounchi Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Hu Umaiye Kulsoom Ko Apne Pass Liye Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed Ki Biwi Thi.
{Ibne Aseer:3/189}

Allama Badruddin Aini Apni Sharha Mein Youn Likhte Hain:
"Hazrat Mawiya Ne Ek Laskar Jis Ke Ameer,Sufiyan Bin Aouf,Ibne Abbas,Ibne Omar,Ibne Zubair Aur Ayub Ansari The Aur Ye Lashkar Shaher Ko Fateh Karte Huwe Wahan Shaheed Ho gaye,Yazeed Ke Sarparasti Mein Itne Jalil Ul Qadar Sahabi Un Ke Matehat Kaise Hote,Aur Yazeed Ameer Ka Ahal Na Tha"
{Umdatul Qari Shahrah Sahi Bukhari:6/649}

Pahela Lashkar Jo Jihad Ke Liye Nikla Us Ke Ameer O Qaaid Sufiyan Bin Aouf The.

Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke Hukum Per Jihad Kiya.

Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom Ke Sath tha


50 ad mein bilad e rome per kis ne hamla kiya.?
Aur isi saal busar bin artaat aur sufiyan bin oaf ne sarzameen rome se jung ki aur isi mein fazala bin ubaid ne behri jung ki.
Al.bidya Wan.nahaya. vol 8, page 66.

بسربن ارطاط اور سفیان بن ازدی
Is saal basar bin artaat aur sufiyan bin azdi ne sar'zameen rome se jung ki aur ye bhi kaha jata hai ke fazala bin ubaid ansari ne darya mein jung ki
Tareekh Tabri Vol 8 Page 73.

Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi Ghazwah Mein Shamil Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha To Wahan Aise Mouliq(jaan laiwa) Bemari Ho gayi,Ye Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa parain,Jub Ke Mein Der Meran Ounchi Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Hu Umaiye Kulsoom Ko
Apne Pass Liye Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko Bhi Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed Ki Biwi Thi
{Ibne Aseer:3/189}

Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke Hukum Per Jihad Kiya

@Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom Ke Sath tha.

اب آئيے دیکھتے ہیں کہ یزید لعنتی کیسے ہوا؟
Yazeed lanti kaise hua?
حضرت امام حسین رضی اللہ تعالی عنہ کا مقام اور شہادت  کی خبر پر مشتمل چند احادیث پیش ہیں اسکے بعد تاریخ   کا مطالعہ کریں  گے۔ اس آرٹیکل  میں واقعہ کربلا، شہادت امام حسین رضی اللہ تعالی عنہ کے بارے میں تفصیلی بات نہیں کی گئ  اور کیونکہ اس  آرٹیکل کا مقصد یہ ہے کہ  یزید پر لعنت کرنا جائز ہے یا نہیں۔ اور کیا یزيد کو رحمت اللہ یا رحیم اللہ کہنا جائز ہے یا نہیں۔ اس لئے آج   احادیث اور تاریخ سے اس حقیقت کا پردہ اٹھائینگے۔انشاء اللہ۔ ذاکر نائیک اور دیگر لوگ   یزید کو صرف امام حسین علیہ السّلام کے حوالے سے بیان کرتےہیں اور اس کو جنّتی ثابت کرنے کی کوشش کرکے خود کو يزیدی ثابت کررہےہیں۔اب تاریخ اور احادیث پڑھیں۔

HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO KA MUQAM AUR SHAHADAT KI KHABAR PER MUSHTAMIL CHAND AHADEES PAISH HAIN IS K BA'D TAREEKH KI STUDY KRTE HAIN

یا اللہ تو بھی حسین سے محبت کر
Ya Allah tu bhi Hussain se mohabbat ker
HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke mein ne Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ko dekha. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne hazrat hussain alaihessalam ko uthhaya hua tha aur ye farma rahe thy:
"aey Allah mein is (hussain) se Mohabbat kerta hoon tub hi is se mohabbat ker.  Al'mustadrak al'haakum,177/3

HADEES
Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ne Farmaya:
"Hussain mujh se hai aur mein hussain se hoon, Allah us shakhs se mohabbat kerta hai jo hussain se mohabbat kerta hai.
Jamiya trimdhi 219/2.
HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne hussain bin ali radi Allah anhuma ke baray mein farmaya:
"jis ne is se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki"
Al'majum al'kabeer, 3, hadees no 2643.

HADEES
Hazrat Ayesha radi Allah anha se rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jibrail e ameen ne mujhe khabar di ke ye mera beta hussain mere ba'd muqam e ta'f mein qatal ker diya jaey ga.
Al'majum al'kabeer,107/3, hadees 2814

HADEES
Aap ki ummat Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke is betay hussain ko us sar'zameen per qatal ker de gi jis ko karbala kaha jata hai.
Al'majum al'kabeer, 109/3, hadees 2819.

HADEES
Ummul mo'maneen hazrat ummay salma radi Allah anha se marwi hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Hussain bin Ali ko 60 ad ke akhir mein shaheed ker diya jaey ga.
Tabrani fil awsat, 190/9

HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho aksar  dua farmaya kerte the:
"aey Allah mein 60 ad ki ibtada aur (ganwwar) larkoon ki hakoomat se teri panah chahta hoon
Al'sawaiq al'harqa,221.

HADEES
Aal e Muhammad Sallallahu alaihe Wasallam ka aik groh is maidan (karbala) mein shaheed hoga jis per zameen o aasman roeengay.
Al'khasais al'kubra, 126/2, sar ash'shahadateen, 13

HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"jis ne in (Hassan aur hussain) donoon se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki aur jis ne in donoon se bughaz rakhha us ne mujh se bughaz rakhha.
Al.bidaya wan'nahaya, vol 8, page 262.

HADEES
                                                                                                         
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
"Hassan aur Hussain Radi Allah Anhuma no'jawanane jannat ke sardar hain.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 263.

                     مختصر قصّہ کربلا
SHORT DESCRIPTION OF KARBALA

HADEESAIN
Quraish ke hathoon halaqat
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmatay suna ke mera beta yanni Hazrat Hussain arz e karbala mein qatal hoga aur tum mein jo shakhs us moqa per mojood ho wo us ki madad kray.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page255

Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke "meri ummat ki halakat Quraish ke larkon ke hathoon hai.
Mishkaat musabeh, vol 3, page 8, 5153,ba'hawala sahih bukhari

Quraish aur bani ummiya
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: "Ye amer hamesha insaaf o ehtadaal ke sath qaiym rahega, Hatta ke banu ummayya ka aik shakhs issay torr de ga.

SUNNAT BADALNE WALA
Hadees
Aur baihaqi ne awful ahrabi ke tareeq se an abi khalda, an abil aalia, an abi zar rawayat ki hai, woh bayan kerte hain ke mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko farmaty suna ke bila'shuba meri sunnat ko badalne wala pehla shakhs bani umya se hoga.

Ye hadees abul aaliya aur abu zar ke darmiyan munqatah hai. Aur baihaqi ne abu ubaida ki mutaqadim  hadees se issay tarjeeh di hai, woh  bayan kerte hain ke shak parta hai ke ye shakhs Yazeed bin Muawiya bin abi sufiyan hai. Wallahu Aalamu
Al.bidayah wan'nahaya Vol 6, Page 310

Hadees
Ro'yai ne apni musnad mein abu darda se rawayat kiya hai ke mein ne Nabi Pak Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke sab se pehle bani umayya ka aik shakhs yazeed naami meri sunnat ko badlay ga.
Tareekh-ul-Khulafa Page 300

HADEES
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
"Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yahan Tk Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga"
{Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa Arabi Syouti:142}

RAB E KA'ABA KI QASAM
Hazrat Umer Radi Allah anho ko farmatay suna ke: Rab e Ka'aba ki qasam! Mujhe maloom hai ke arab kab halaak hoon gay. Jab unka muntazim(administrator) wo shakhs hoga jis ne jahiliyat ka zamana paya hoga na ussay islam mein tuqaddam hasil hoga.
Al.bidaya Wan.nahaya Vol 8 Page 294

حضرت معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ کی زندگی میں یزید کی بیعت کرنے سے انکار
Hazrat muawiya ki zindagi mein yazeed ki bait se inkar

Jab hazrat muawiya radi Allah anho ki zindagi mein yazeed k liye bait li gai to hazrat hussain, hazrat Abdullah bin zubair, hazrat abdur rahman bin abu bakr, hazrat ibn umer aur hazrat ibn abbas radi Allah anhum un logoon mein shamil the jinhoon ne uski bait se inkar ker diya tha.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 196.

Yazeed ki taraf se ameer e Madina waleed bin utba bin abi sufiyan ki taraf khat
Yazeed ne Waleed bin utba ko likha: "amma ba'd! Hazrat Hussain, Hazrat Abdullah bin Umer aur Hazrat Abdullah bin zubair radi Allah anhuk ko sakhti se bait ke liye pakarr lo aur is mein kisi qisam ki narmi nhe hatta k woh bait ker lain
      Wassalam    
Al.bidaya wan.nahay, vol 8. page 191.


حضرت حسین رضی اللہ تعالی عنہ کومدینہ میں یزيد کا خط ملا کربلا سے پہلے
Hazrat Hussain radi Allah Anho ko Madina Mein
Yazeed ka khat mila

Waleed bin utba ne aap ko khat (letter) diya aur hazrat muawiya radi Allah anho ki maut ki khabar di. Aap ne Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Raji'oon parha aur farmaya Allah ta'ala ameer muawiya per reham farmaey aur tujhe barra ajer de.
Pas ameer ne apko bait ki dawat di to Hazrat Hussain radi Allah anho ne ussay kaha mere jaisa shakhs posheeda bait nhe krta. Aur aap mujh se is ka taqaza na karain. Lakin jab log ikathay hongy to un ke sath hamain bhi bula lijiyega aur aik he baat hogi. Walid ne aap se kaha aur wo h aafiyat pasand tha Allah ka naam le ker  wapis chalay jaeye aur jamat ke sath wapis aaeye.
Marwan ne walid se kaha, Khuda ki qasam ager ye tujh se juda ho gaey aur is waqt bait na ki to tumaray darmiyan aur unke darmiyan qatlaam hoga. Unhain rokiye aur bait kiye baghair jane na dijiye. Basoorat e digar unhain qatal ker dijiye.
                  Hazrat hussain radi Allah anho ne kaha aey ibn zarqa tu mujhe qatal krayga? Khuda ki qasam tu ne jhoot bola hai aur gunah kia hai phir aap apne ghar wapis aa gaey. To marwan ne walid se kaha Khuda ki qasam is ke ba'd tu unhain kabhi nhe dekhay ga.
Walid ne kaha aey marwan qasam bakhuda mein nhe chahta ke duniya mafiha mere liye ho aur mein Hazrat hussain radi Allah anho ko qatal kron. SubhaanAllah, mein hazrat hussain ko is qol per ke mein bait nhe krta qatal ker doon. Aur qasam bakhuda mera yakeen hai ke jo shakhs hazrat hussain radi Allah Anho ko qatal krayga qayyamat ke roz uska tarazoo halka hoga.

(SubhaanAllah aik walid ka ye imaan ke Hazrat imam ko qatal krne wale ka qayamat ke roz imaan ka tarazoo halka hoga aur aik yazeed jis ne unko qatal kradiya)
Yazeed bin muawiya ne walid bin utba ko is kotahi ki wajah se madina ki amarat se mazool ker diya.
البدایہ والنہایہ، ج 8، ص 192
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 192.

ابن زیاد کا حکم امام حسین کے لیۓ کذاب بن کذاب کو گالیاں دو۔
Ibn ziyad ka hukam kazab bin kazzab ko galiyan do

Qais bin musaer sidawi hazrat hussain radi Allah anho ka khat le kr koofa aaya jab woh qaadsiya poncha to hasain bin numair saqfi ne ussay pakar ker ibn ziyad ke pass bhejwa diya, ibn ziyad ne ussay kaha, mahal ki choti per charr ker kazzab bin kazzab bin ali bin abi talib aur usk betay hussain ko galiyaan do.
Al.bidaya wan.nahaya vol 8 page 218.

شہادت امام حسین مختصر الفاظ میں
Shahadat e Imam Hussain Mukhtasar alfaaz mein

Yazeed 60 hijri mein hukamran bana

HADEES
"60 Hijri Se Allah Ki Panah Mango Aur Bacho Ke Hukmrani Ke"
{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}

HADEES
Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain:
"Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo Namazain Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke Pariwi Karain Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi (Jahanum Ke Sakt Wadi) Mein Dalain Jain Ge"
{Al Bidaya Wann Nihaya:8/230}

"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh Hi Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya"
{Fatha Ul Bari:13/8}

Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein Likhte Hain:
"Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Pahele Yazeed Hai,
Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare Bare Shahroun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga Apne Aziz O Akarib Mein Nav umar Larkoun Ko Muqarar Karta Tha"
{Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari:pg180 Hassiya Bukhari}

HADEES
Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain; "Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The:
1: QabilaSaqeef
2: bani Hanifa
3: Bani Ummaiya
"Shah Muhadis Hadees Ke Sharah Mein Likhte Hain;
"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kam o besh 124000 Muslamoun Ko Qatal KIya,
Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya,
Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal Kiya
60 saal ke baad
HADEES
Hazrat saeed khadri radi Allah anho bayan kerte hain ke : Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke 60 saal ke ba'd bekhaber admi hongay, jo namaz ko zaiya krain gay aur khawaishaat ki parivi krain gay aur anqareeb halakat se do'chaar hongay. Jo Quran parhain gay aur wo un ke galoon se agay nhe jaey ga aur 3 admi  Qur'an parhain gay mo'min, fasiq aur  faajir. Mein ne waleed se pocha ye teen admi kaun hoon gay?  Us ne kaha munafiq is ka inkari hoga aur faajir is ke zariye khanna harrap kray ga aur mo'min is per imaan laey ga.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 292

YAZEED NE IMAM HUSSAIN RA SE JUNG KA HUKAM DIYA UBAIDULLAH BIN ZIYAD KO

Imam Hussain radi Allah anho Ahle Iraq ke likhne per 10 dhul hajj ko apne ahle ka aik groh sath le ker jis mein chand mard, auratain  aur bachay thy, koofa ko rawana hoey. Idher Yazeed ne Iraq ke hakim Ubaidullah bin ziyad ko aap se jung kerne ka hukam diya to us ne Umer bin Sa'ad bin abi waqas ke zair kamaan 4000 hazar lashkar rawana kiya…… … Khuda aap ke qaatil ibn ziyad aur yazeed per lannat kray.
Tareekh-Ul-Khulafa Page 298

er bin zil joshan aur hasain bin numair ko aap ke pass bheja. Aur aap ne unko Allah aur islam ka wasta diya ke woh aap ko yazeed ke pass le jaeen wo apna hath yazeed ke hath mein rakh dain gy unhoon ne aap se kaha ke aisa nhe ho sakta siwaey is ke aap ibn ziyad ke faislay ko tasleem ker lain aur jo log un ke sath the un mein her bin yazeed hanzali bhi sawaroon ka sardar tha. Jab us ne imam hussain ki baat suni to us ne un (yazeedion ) se kaha ke kiya tum Allah se nhe darte? Kiya tum in logon ki in baton ko qabool nhe krogy jo tumaray samne ye paish ker rahe hain.
                 Khuda ki qasam! Ager turk aur delam tum se ye mutalba kerte to un ko wapis krna tumaray liye jaiz na hota magar unhoon ne ibn ziyad ke faislay ke siwa kisi aur faislay ko manne se inkar ker diya. Pas us (her) ne apne gorray ko chabak mari aur hazrat hussain k pass aa gia. Aur unhoon ne khayal kiya ke wo in ke sath jung krne aya hai.aur jab wo un ke nazdeek aya to us ne apni dhal ko palat diya aur unhain salam kaha phir us ne ibn ziyad ke as'haab per hamla ker diya aur un mein se 2 aadmion ko qatal kiya phir khud qatal hogia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 221.

SHAHADAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO
Rawi bayan kerte hai k wo uthh ker apne gorray k pass gia aur us per sawar hogia phir us ne apne hathiyar mangwa ker pehnay aur wo apne gorray per sawar tha aur wo logoon ke sath unki taraf gia aur inhooon ne(yazeedion) ne un ke sath jung ki aur Hazrat Hussain Radi Allah Anho ka sar ibn ziyad ke pass la ker us ke samne paish rakha gia wo apni chharri ko apki naak per rakhh ker kehne laga bila'shuba abu Abdullah siyah safaid balloon waly hain.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.

QATLEEN HUSSAIN KE NAAM
Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho peene ke qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs ne jissay hassain bin tamim kaha jata tha, us ne aap ke taloo per teer maar ker chheed ker diya
Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240

Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat Hussain radi Allah anho per hamla ker diya. Aur zarhat bin shareek tamimi ne aap ke baeen (left shoulder) kandhay per talwar maari  aur daeen kandhay(right shoulder) per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker wapis chale gay.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241

Bani tamim ke aik shakhs jissay umroo al'tehri kaha jata tha us ne Hazrat imam ke donon kandhoon ke darmiyaan  teer mara aur mein us teer ko aap ke kandhon ke darmiyan aap ke jubbay ke sath latka hoey dekh raha hoon
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 223

Hazrat Hussain radi Allah anho ke qaatil kaun?
1: sanan bin abi Umroo bin anas nakha'i
2: Shimmer bin zil joshan
3:Umer bin sa'ad bin abi waqas
Ye mukhtalif rawiyoun ke qol hai qatleen Hussain ke bary mein
Al.bidaya Wan'nahay, Vol 8, Page 241
NOTE
ضروری نوٹ
( kuch log kehte hain ke yazeed ki fauj ne hazrat imam alaihessalam ko shaheed nhe kiya. Lakin yahan ye baat clear ho jati hai ke ye as'haab yazeed ki army ke the aur in ko ibn ziyad ne  Yazeed ke hukam ko poora kerne k liye he bheja tha. Aur yazeedi army ke he her hanzla ne tauba ker ke imam hussain alaihessalam ki taraf se yazeedi army per hamla kiya tha.)

Yazeed Ke Darbar mein Imam Hussain RA Ka sar e Mubarak Paish hona aur Us ki Gustakhi Kerna
یزید کے دربار میں حضرت حسین رضی اللہ تعالی عنہ کا سر مبارک پیش ہونا اور اس کی گستاخی کرنا
Yazeed ne logoon ko darbar mein aane ka hukam diya. Log dakhil hoey kia dekha ke aap ka sar yazeed ke saamne rakha hua hai, yazeed k hath mein chharri hai woh aap k dantoon ko chharri se chair rha hai aur ye keh rha hai ke in ki aur meri wo h misaal hai jo hasain bin hamam mari ne kahi hai
Hamari talwarain apne he peyaroon ke sar urra deti hain. Who b to barray nafarman aur barray zaalim the.
As'haab e Rasool sallallahu alaihe wasallam mein se abu barza aslami radi Allah anho ne ye dekh kr kaha    ….. aey yazeed teri chharri  aur hussain radi Allah anho ke dant!  Array teri chharri kis muqam per hai. Mein ne isi jagah ko dekha ke Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam choomte the. Sun rakh qayyamat ke din tera hasher ibn ziyad k sath hoga aur hussain radi Allah ta'ala anho Muhammad sallallahu alaihe wasallam ke sath hoongay. Ye keh kr wo h darbar se uthh kr chale gaey.
Tareekh tabri volume 4, page 240,

Pas yazeed ne hazrat imam radi Allah anho ke sar ko apnea gay rakha aur us k pass hazrat abu barza aslami bhi the aur yazeed chharri se aap ke chehray per thhokain dene laga aur kehne laga:
" wo talwarain in murdoon ki khhoprion ko phharr deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray na'farman aur zaalim thy. Abu barza ne ussay kaha apni  chharri uttha lo' qasam Khuda ki mein ne basa'oqat Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ko apne mu ko in ke mu per rakh ker choomte dekha hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8 page 253
Qoul E Abou Barzha:
"Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke Samne Rakha Tu Us Ne Apni Chharri se imam Ke Laboun Per Marta Hai,Teri Churi Imam Ke Us Maqam Per Maar Raha Hai Jis Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte The,Aaye Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu bargahe Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami Sirf Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein Ge Un Ke Haami Aqa Hun Ge"
{Seerat Halbiya:1/3}

Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke Rufuka Ko Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar Mubarak Ko Yazeed Ke Pass Bheja To Yazeed Imam Ke Qatal Se Awwalan Khush Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad Ke Qadar O Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada Hoge,Mager Woh Us Khushi Per Ziyada Deer Tk Qaim Na Raha tha Ke Phir Nadim Howa"
{Albadaya Wann Nihaya:8/232}:

Allama Ibne Kaseer Farmate Hain:
"Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail Ke Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura Bhalla Bhe Kaha,Us Wajah Se Ainda Jub Haqeeqat Zahir Ho gai,Baat Khule Ge Tu Phir Kiya Hoga.Lekin Na Tu Usne Ibne Ziyad Ko Mazool Aur Na Bad Mein Us Ko Kuch Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak Aib Ke Alamat Ke"
{Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203}

yazeed ne hussain bin hamam al'marari al'shahr ka ye shair parha
Wo talwarain in jawanoon ke saroon ko phorr deti hain jo ham per garaan hote hain aur wo barray na'farman aur zaalim thy
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page 246

Jab hazrat hussain radi Allah anho ka sar laya gia to yazeed chharri se thhoker dene laga, sufiyan ne bayan kia hai ke mujhe bataya gia hai ke hassain is k ba'd ye shair parhta tha:
Samiya ki nasal ki ta'adad sangraizoon ki manind ho gai hai aur Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki beti ki koi nasal nhe hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 247

یزید کا علی بن حسین کو سانپ کا بیٹا کہنا
Yazeed ka Ali bin Hussain ko saanp ka beta kehna

Saanp saanp ko he jannam deta hai
Aik din yazeed ne Umer Bin Hussain (imam) se kaha wo bahut chhotay thy. Kiya tu is ke sath jung kray ga. Yanni is ke betay Khalid bin yazeed ke sath, us ka maqsad aap se mazah aur tafreeh kerna tha. Umer bin Hussain ne kaha mujhe aur ussay aik aik chharri de do ta ke ba'ham jung krain to yazeed ne aapko pakor ker apne sath laga liya aur kehne laga, mein saanp ki tabiyat ko janta hon, saanp saanp ko he jannam deta hai.
(kiya yazeed ka ye kehna jaiz tha ke Nawasa e Rasool ko saanp ko kehna? Allah uski akhirat kharab kray aameen)
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 250

ابن زیاد کا شام کیطرف جاتے ہوئے قتل حسین پر شرمندہ ہونا
Ibn ziyad ka shaam ki taraf jate hoey qatl e hussain per shrminda hona
Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko Rawana Howa,Sawari Per Kisi Ghari Soch Per Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nind Nahe Arahe Hai?
Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?"
Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na Kiya Hota?
Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal Karne Ka Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum Diya Tha Warna Woh Mujhe Qatal Kardeta,              

{Ibne Aseer:4/55}

ام لقمان بنت عقیل رضی اللہ تعالی عنہا کا نوحہ
Umme luqman binte aqeel radi Allah anha ka nooha
Jab ahle madina ko qatle hussain radi Allah anho ki  khabar pohanchi to binte aqeel radi Allah anho ibn abi talib apne khandan ki auratoon ko sath liye hoey niklein. Sar unka khhulla hua tha chadar ko sanbalti jati thi. Aur ye keh rahe thi

"logo ! kiya jawab do gay paighamber ko. Jab woh tum se pochhain gay ke tum ne paighamber akhiruz zaman ki ummat ho ke  meri izat aur mere ahle bait ke sath  mere ba'd kiya salook kiya, un mein se kuch aseer (qaid) hain aur kuch aloooda khaak  o khoon.
Tareekh tabri, volume 4, page, 241.

Jinoon Ka Nooha Kerna.
جنوں کا نوحہ کرنا

Abu Na'eem dalail mein hazrat Ummay Salma radi Allah anha se rawayat kerte hain. Wo kehti hain mein ne jinnoon ko Hazrat Imam Hussain radi Allah anho ki shahadat per rotay aur nooha kerte suna hai.
Tha'lub apne amali mein abu janab kalbi se rawayat kerte hain. Mein karbala mein ayaa to ashraaf e arab se aik shakhs se mein ne poochha, mein ne suna hai ke jinnaat ka nooha sunte rahe ho? Us ne kaha ye baat to yahan tumain her shakhs jo milay ga, bata dega. Mein ne kaha tum ne jo suna hai wo mujhe bata do. Us ne kaha mein ne to ye shair sunay hain.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne un ke chehra e Mubarak per hath phaira.
Isi waja se un ke rukhsaar chamak rahay hain.
Un ke waldain Quraish ke aala khandan se hain aur un ke Nana behtareen khalqat hain.
Tareekh-ul-Khulfa, Page 300

Bani matlab ki aik aurat apne baal kholay aur apni aasteen apne sir per rakhy bahir a ker un se mili aur wo ro ro keh rahe thi
"Ager Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam tum se kahain ke akhri ummat hoty hoey tum ne mere fout hone ke ba'd mere ahle aur meri olad se kiya salook kiya to tum kiya jawab do gay. Un mein kuch to qaidi hain aur kuch khoon se lathhray parry hain. Jab mein ne tumari khair khawahi ki hai to ye mera badla nhe ho sakta ke tum mere rishta'daroon mein burai se jan'nasheeni kro.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 253
IK GHAIBI PUKAR JIS NE QAATLEEN HUSSAIN K JAHANMI HONE KI KHABAR MADINA MEIN DI
ایک غیبی پکار جس نے قاتلین حسین رضی اللہ تعالی عنہ کے جہنمی ہونے کی خبر دی مدینہ میں
Madaini bayan kerte hain ke jab ahle harah qatal hoey to Makkah mein Is shab ki shaam ko abu qabees per aik haataf ne awaz di aur Hazrat ibn zubair radi Allah anhuma baithay sun rahe the.
            "Rozadar, farmanbardar,ebadat guzar, naik hidayat'yafta, husn e salook kerne wale aur kamiyaabi ki taraf sabqat kerne wale, waqam aur  baqeeh(jannat baqeeh 2 graveyard) mein kaise kaise azeem aur khubsurat sardar aur yasrab(madina) ke ilaqay mein kaisi kaisi rone aur chillane waliyan hain' us ne naik ashkhaas aur naikoon ke bettoon ko qatal ker diya hai jo ba'ruhb aur sakhi thy.
Al.bidaya wan'nayaha vol 8 page 283.

Jis roz hussain radi Allah anho qatal hoey  ussi din subah ko madina mein ye awaz ei ke hussain radi Allah anho k qatlo! Tum ko azab o ruswai Mubarak ho.
Tamam ahle aasman, malaik aur ambiya tum per duaey bad kr rhe hain. Aur tum per dawood,Moosa wa Issa alaihessalam ne lannat bheji hai. Umro bin akrama kehta hai mein ne ye awaz sunni aur umroo bin khair dam kalbi kehta hai ke mere baap ne bhi ye awaz sunni thi.
Tareekh tabri volume 4 page 242/

Aur hishaam bin kalbi ne bayan kiya hai ke hamaray baz as'haab ne ba'hawala umroo bin al'muqaddam mujh se bayan kiya wo bayan kerta hai umroo bin akrama ne mujh se bayan kiya hai kiya ke:
Jis roz hazrat imam hussain radi Allah anho qatal hoey ham ne madinah mein uski subah ki to kiya dekhte hain ke hamari aik londi ham se bayan ker rahi hai ke mein ne guzishta raat se pehli raat ko aik pukarne wale ko pukarte suna, wo keh raha tha:
" aey hazrat hussain radi Allah anho ko az'rahe zulm qatal krne walo! Tumain azab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman, Nabi, Maalik aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum per hazrat dawood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel hazrat issa alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai hai"
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 254.

Hazrat ummay Salma radi Allah anha farmati hain ke mein ne jinnaat ko  Hazrat Hussain Radi Allah anho per Nooha kerte suna wo keh rahe the:
"aey hussain ko jahalat se qatal kerne walo!
Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman , Nabi, Musil aur log tumaray khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum hazrat daood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel alaihemussalam ki zuban se lannat ki gai hai.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257.

       YAZEED KA KIRDAR:
یزید کا کردار مختصر الفاظ میں

In logoon ne madina aa ker ahle madina ke samne yazeed ko sab o shitam krna shuru kiya. Kaha ke ham aik aise shakhs k pass se ho kr aaeye hain  jo koi deen he nhe rakhta hai. Sharab peeta hai. Tanboora bajata hai. Us ki sohbat mein gana gane waliyan gana gaya bajaya krti hain. Kuttoon se khailta hai. Lachon aur londion se sohbat rakhta hai. Tum sab log gawa rho. Ham ne ussay khilafat se mazool kiya. Ye sun kr aur sab logoon ne bhi un ki ittabah ki.
(is wafd mein Abdullah bin hanzla ansari ghusail malaika radi Allah anho aur Abdullah bin umroo makhzoomi aur munzar bin zubair aur bahut se log ishraf madina mein se un k sath the.in sab ko inhaam diya gia aur munzar bin zubair ko aik lakh dirham  inham diya gia.) Tareekh tabri jild 4 page 252

Munzar kaha krta tha Wallah yazeed ne aik lakh dirham mujhe diye hain. Us ka ye salook mujhe is baat se nhe rok sakta ke us ka haal tum se na kahoon aur sach sach na bayan kron. Wallah who sharab peeta hai. Aisa mast ho jata hai ke namaz ka bhi hosh nhe rehta
Tareekh Tabri Jild 4 page 253

Rawayat hai ke yazeed ganay bajane ke aalaat, sharab noshi kerne, raag alapne, shikar krne, ghulam aur londiyaan banana, kuttay palne, maindhon aur reechhoon aur bandroon ke larrane mein mash'hoor tha, her subah ko wo makhmoor hota aur wo zaindar gorray per bander ko zain se bandhta aur wo ussay chalata aur Bandar ko sone ki topi pehnata aur yehi haal ghulamoon ka tha.
Aur wo gorr dorr krata aur jab koi Bandar mer jata to us per gham kerta.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 298

Yazeed ganay bajane aur kuttoon bandron aur cheetoon ka dildada aur sharabnosh tha aik roz wo shughal may'noshi ke liye baitha to us ke baeen (left) janib ibn ziyad baitha tha, aur ye hazrat Hussain ke qatal ke ba'd ka waqia hai, wo apne saqi k pass a ker kehne laga
"mujhe wo sharab pila jo meri narm narm hadiyoun ko bhi sairab ker de, phir ibn ziyad ko bhi aisa he jam bher de jo mere nazdeek mera hamraz aur amen hai……………..
Phir us ne singers ko hukam diya ke wo un ash'aar ko gaeen, pas unhoon ne gana shuru ker diya, yazeed ke as'haab yazeed ki tarah bad'kirdar thy aur us ke zamanay mein Makkah aur Madina mein ganay ka dor dora tha.khail kood ke aalat istamal hone lagy aur logoon ne khullay bandoon sharaab noshi shuru ker di, us ke pass aik Bandar tha wo bhi mehfil may'noshi mein mojood hota aur ussay takiya laga ker deta aur wo barra khabees Bandar tha.
Tareekh E Masodi ,Vol 4, Page 98"
ur umer bin usman bin afaan radi Allah anho ne habeeb bin karah ko bula bheja. Us waqt marwan he woh shakhs tha jo in sab ka sarkarda tha. Umer bin usman to aik kamsin larka tha uski   roy na thi. Yazeed ko khat mila. Yazeed ne umroo bin saeed ko logoon ko le kr us tarf jane ka hukam diya. Us ne inkar jaisa jwab diya.
Tareekh Tabri jild 1 page 254

یزید نے مسلم بن عقبہ کو مدینہ پر حملہ کرنے کا حکم دیا
Yazeed ne muslim ko Madina per hamla ka hukam diya

Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:"Khuda Ki Qasam!! Mein Is Fasiq (Yazeed) Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal (Jo Phele Kar chuka Hun) Aur Ka'be Mein Larai Dono Ko Apne Liye Jama Nahi KarunGa"
To Us Ne Mazrat Kardi.
{Ibne Aseer:4/45}

Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala ho un logoon ke ba'd (jo madina mein qaid hain) zindagi ka kiya maza!  Uttho aur logoon ko le kr rawana ho aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke area ko hijaz kehte hain)  ki taraf rawana ho. Aao apna apna wazeefa pora pora le lo isk alawa so so dinar her shakhs k hath mein ba'tor e ehanat diye jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne ko rawana ho, us (ibn ziyad) ne kaha k is faasaq ke liye mein ye do do 2  2 gunah apne sar na loonga. Aik to Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke Nawasay ko qatal kron dosra khana ka'ba per hamla kron.

Phir ye lashkar Muslim bin uqba ki sarkardagi mein yazeed ki taraf se rawana hua.           
Tareekh Tabri vol 4 page 255

Yazeed ne muslim bin uqba ki nigrani mein shaami fauj ko Madina ki taraf bheja, Muslim ne ahle Madina ko khaufzada kiya loota aur qatal kiya aur wahan ke logoon ne is baat per bait ki ke wo Yazeed ke ghulaam hain aur us ne Madina ka naam (natna) "badbu'dar" rakhha halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne is ka naam taiyyeba (Pak saaf) rakhha.
Tareekhe Masodi Vol 3, Page 99.

     یزید کی مسلم بن عقبہ کو مدینہ پر حملہ کرنے کی ہدایات اور مدینہ کو تین دن تک مباح قرار دیا
YAZEED KI MUSLIM BIN UQBA KO INSTRUCTION:

Yazeed ne muslim bin uqba ko hukam diya ke tum per kuch ban jaey to lashkar ka raees hasain bin numair ko bana. Aur logoon ko 3 din tak mohlat dena. Maan jaeen to maan jaeen warna un se qataal krna. Jab tum ko ghalba ho jaey to 3 din tak madina ko lootna. Wahan ka rupaiya aur hathiyar aur ghala sab lashkar waloon ka hai. 3 din k ba'd lootna band krna aur Ali Bin Hussain radi Allah anho se rahayat (concession) krna. Un ke sath naiki krna. Unko apne pass baithana. Logoon ne jo mujh se mukhalifat ki woh us mein shareek na the. Mere pass unka khat aya tha.
Tareekh Tabri vol 4 page 256

Yazeed ne Muslim bin uqba se kaha ke (ahle madina) ke logoon ko 3 bar dawat dena, ager wo rajooh karain to un ki baat qabool kerna aur un se baz rehna, basoorat e digger Allah se madad talab kerna aur un se jung kerna aur jab tu un per ghalib aa jaey to 3 roz tak madina ko mubah ker dena phir logoon se baz rehna.

Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 279.

اہل مدینہ اور مسلم بن عقبہ یزیدی کی جنگ
Ahle madina aur uqba ki jung
حرا کی جنگ
Hirah ya hurrah ki jung

Muslim bin uqba ne apne sab logoon ko sath le kr zameen sarah ki taraf harkat ki aur koofa ki rah per pohanch kr apna sara parda nasab kiya. Phir sawaron ka rasal bhej kr ibn ghaseel (ahle madina) ke muqable mein bheja. Ibn ghaseel ne apne as'haab ko sath le kr sawaroon per hamla kiya.
                                   Phir ahle shaam (yazeedi fauj) ne ahle madina per hamla kia. Aisi gumsaan ki jung hoi k us zamane mein aisi kam he hoi hogi. Teeroon ka meena ahle madina per barasna laga.(kitne sahaba e karam yazeedion ke hathoon shaheed hoey)
Tareekh Tabri vol 4 page 260

Muslim bin uqba (aur uski army) madina ke mashriq harah mein utter gia aur 3 roz tak us ne wahan ke bashindoon ko dawat di. Lakin sab ne jung ke siwa kisi baat ko tasleem kerne se inkar ker diya.(3 din k ba'd sulah kalam hoi lakin baat na bani). Yazeediyoun aur ahle madina ke darmiyan shadeed jung hoi. Phir ahle madina ne shikast khai. Donoon taraf se bahut se sadat wahiyan qatal hoey. Jin mein Hazrat Abdullah bin mateeh aur un k 7 betay unki ankhoon ke samne qatal hoey. Aur Hazrat Abdullah bin hanzilatul naseel aur un ke maa jaey bhai Muhammad bin sabit bin shimaas aur Muhammad bin umroo bin hazam qatal ho gaey. Jab wo bichhray parray thy to marwan aap ke pass se guzra aur kehne laga Allah aap per reham kray, kitne he satoon hain jin ke pass mein ne aap ko taweel  qayyam o sajood kerte dekha hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 280.

Yazeedi fauj ke leader Abdullah bin mateeh al'adadi aur Abdullah bin hanzla al'nasil ansari thy. Is azeem jung mein bani hashim aur deeger Quraish, ansaar aur doosry logoon mein se beshumaar qatal hoey.
Aale abi talib mein se jo log maray gay un mein Abdullah bin abi jaffar bin abi talib aur jaffar bin Muhammad bin ali bin abi talib thy. Aur aale abi talib ke alawa bani hashim se fazal bin abbas bin rabia bin haris bin abdul matlib, aur hamza bin Abdullah bin nofal bin haris bin abdul matlib aur abbas bin utba bin abi lahab bin abdul matlab maray gaey. Aur digger Quraish se 90 se ziyada admi aur itne he ansaar ke admi maray gaey aur jo log shumaar mein nhe aa sake un ko chhorr ker digger logoon mein se 4000 admi maray gaey. Aur logoon ne is per bait ki ke wo yazeed ke ghulam hain aur jis ne is baat ko man'ne se inkaar kiya us ne Ali bin hussain Bin Ali aur Ali bin Abdullah bin Abbas ke siwa talwar ki dhar per rakh lia.
Aur jung hura ya hira ke baray mein Muhammad bin aslam kehta hai:
Ager tum ne hira ke roz hamain qatal kiya to ham islam ki khatir qatal hone wale pehle log hain ham ne tumain badr ke roz zaleel ker chhorra tha aur ham apni talwaroon ko is haal mein le ker lotay thy ke wo tumaray khoon se badbudar ho gain thien.
TAREEKH E MASODI VOL 3, PAGE 100

       

No comments:

Post a Comment