Wikipedia

Search results

Wednesday, 11 March 2015

SARKAR (SALLALAHU ALAIHE WASSALAM) KE ITTEBA ME AAP (SALLALAHU ALAIHE WASSALAM KEE AHLUL BAYT PAR DUROOD BHEJNE KA BAYAN

Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Kee Itteba’ Me Aap صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Kee Ahl-E-Bayt Par Durood Bhejne Ka Bayan

ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ  وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم  بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم

(1) “Hazrat Aboo Humayd Saa’idi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Aj’maeen Arz Kiya :
Ya RasoolAllah !
Hum Aap Par Kayse Durood Bhejein?
To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Yoo’n) Kaho :
Aye Allah Too Durood Bhej.
Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Azwaj-E-Mutahharat Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zurriyat-E-Tahirah Par Jaisa Ki Too Ne Durood Bheja Hazrat Ibrahim Alayhissalam Kee Aal Par Aur Barkat Ata Farma Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Azwaj-E-Mutahharat Ko Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zurriyat-E-Tahirah Ko Jaisa Ki Too Ne Barkat Ata Kee Hazrat Ibrahim Alayhissalam Ko BeShak Too Hamid Majid Hai.”

Ye Hadith Muttafaque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1232, Raqam-3189,

Muslim Fi As-Sahih, 01/306, Raqam-407,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/165, Raqam-395,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/384, Raqam-1217,

Aboo Awanah Fi Al-Musnad, 01/546, Raqam-4039,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/150, Raqam-2685,

(2)  Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jise Ye Khushi Haasil Karni Ho Ke Us Ke Nama-E-Aamal Ka Poora-Poora Badala Diya Jaaye
Jab Woh Hum Ahl-E-Bayt Par Durood Bheje To Use Chaahiye Ki Yoo’n Kahe :
Aye Allah !
Too Durood Bhej Hazrat Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Azwaj-E-Mutahharat Ummahat-ul-Muameenin Par Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Zurriyat Aur Ahl-E-Bayt Par Jaisa Ki Too Ne Durood Bheja Hazrat Ibrahim Alayhissalam Par BeShak Too Bahot Ta’rif Kiya Huwa Aur Buzurgi Waala Rab Hai.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawood Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawood Fi As-Sunan, 01/258, Raqam-982,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/151, Raqam-2686, &

Shuab-ul-Iman, 02/189, Raqam-1504,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal, 05/348,

(3) Hazrat Aboo Mas’ood Ansaari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Namaz Padhi Aur Mujh Par Aur Mere Ahl-E-Bayt Par Durood Na Padha Us Kee Namaz Qubool Na Hogi.
Hazrat Aboo Mas’ood Ansaari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Agar Mein Namaz Padhoo’n Aur Us Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Durrod-E-Pak Na Padhoo’n To Mein Nahin Samjhta Ki Meri Namaz Kaamil Hogi.”

Ise Imam Daru Qutni Aur Bayhaqi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Daru Qutni Fi As-Sunan, 01/355, Raqam-706,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/530, Raqam-3969,

Ibn Jawzi Fi At-Tahqiq Fi Ahadith-ul-Khilaf, 01/402, Raqam-544,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar, 02/322,

(4)  Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abi Layla RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Ka’b Bin Oojrah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Mujhe Mile Aur Kaha Kya Mein Tumhein Woh (Hadith) Hadiyah Na Krun Jo Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suni Hai ?
Mein Ne Kaha Kyoo’n Nahin :
Raawi Bayan Karte Hain Mein Ne Kaha Ki Wob Mujhe Hadiyah Karo To Unhone Kaha :
Hum Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Sawaal Kiya :
Sow Hum Ne Arz Kiya
Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap Kee Ahl-E-Bayt Par Durood Kaise Bheja Jaayein?
To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
(Yoo’n) Kahao :
Aye Allah Too (Ba-Soorata-E-Rahmat) Durood Bhej.
Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aal Par Jaisa Ki Too Ne Durood Bheja Hazat Ibrahim Alayhissalam Aur Aap Alayhissalam Kee Aal Par, Beshak Too Hamid Majid Hai Aur Aye Allah Too Barkat Ata Kar Muhammad SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aal Ko Jaisa Kee Too Ne Barkat Ata Kee Hazrat Ibrahim Alayhissalam Aur Aap Alayhissalam Kee Aal Ko BeShak Too Hamid Majid Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/160, Raqam-4710,

وأشارالحاكم إلى أن البخارى خرجه بلفجه، ولكن علة نكره كما نكره هنا، لإفادة أن الآل جمبعاًهم. وﻻبن المفدل جزء في طريق حديث ابن أبي ليلى عن كعب بن عجرة،

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/29, Raqam-2368,

(5)    “Hazrat Wathelah Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Talaash Me Bahar Nikla To Mujhe Kisi Ne Kaha Ki Woh Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas Hain Pas Mein Ne (Waha’n) Un (Us Ke Paas Jaane) Ka Iraada Kiya (Aur Jab Mein Waha’n Pahuncha) To Mein Ne Unhein Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Chaadar Ke Andar Paaya Aur Hazrat Ali, Hazrat Fatimah Aur Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen In Sab Ko Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Kapade Ke Niche Jama’ Kar Rakha Tha Pas Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aye Allah!
BeShak Too Ne Apne Durood Aur Apni Ridwaan Ko Mujh Par Aur In Par Khaas Kar Diya Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/95, Raqam-230,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/167,

No comments:

Post a Comment