Qabr Ka Tawaaf
Kaala : Muallif-E-Arba’in Ne Kaha Ki Isi Tarah Qabr Ke Geerd Tawaaf Karna Jaaiz Nahin.
Aqoolu : Mein Kahta Hoo’n Ki Mulla Ali Qari Kee Ibaarat Se Mumaaniat Ma’loom Hoti Hai, Magar Matalib-ul-Momeenin Me Is Ka Jawaaz Naqal Kiya Gaya Hai.
حيث قال و إن كان قبر عبد صالح و يمكن أن يطوف حوله طاف ثلاثا أو سبعا .
Tarjuma : “Agar Qabr Banda-E-Saaleh Kee Hai Aur Us Kee Geerd Chakkar Lagaane Bhi Mumkin Hain To Teen Ya Saat Martaba Chakkar Lagaayein.”
Niz Maulana Jaami Rahmat-ul-Allahi Ta’ala Alayh Ne Apni Kitab Nafhat-ul-Ins Me Aboo’l Khayr Se Jawaaz Kee Riwaayat Naqal Kee Hai.”
–
[Tahqeeq-ul-Haqq-ul-Mubeen Fi Ajwibat’i Arbaeen, Hazrat Shah Ahmad Saeed Mujaddidi Farooki Madani (1217-1277 A.H), Safah-123.]
Qabr Ko Bosah Dena
Kaala : Muallif-E-Arba’in Ne Kaha Ki Qabr Ko Bosah Dena Jaaiz Nahin.
Aqoolu : Mein Kahta Hoo’n Ki Matalib-ul-Momeenin Me Marqoom Hai Ki Waalidayn Kee Qabr Ko Bosah Dene Me Koi Harj Nahin.
روى عن ابن عمر عنه كان يدع يده اليمنى على القبر.
Tarjuma : “Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Apana Daahina Haath Qabr Par Husool-E-Taskin Ke Liye Rakhte They.”
“Jayyad Sanad Me Marwi Hai Ki Jab Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Huzoor Nabi Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Ziyaarat Kee To Pehle Waaqiaat Aur Yaadein Taazah Hone Kee Wajah Se Rone Lage Aur Apne Chehre Ko Mazar-E-Aqdas Se Malna Shuru Kar Diya.
Aur Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Aik Mutthi Mitti Lee Aur Apni Aankhon Par Rakhi Aur Rona Shuru Kar Diya Aur Saath Saath Ye Ash’ar Padhe.
ماذا على من شم تربة أحمد
ان لا يشم مدى الزمان غواليا
Tarjuma : “Kya Harz Hai Us Shakhs Ke Liye Ki Jis Ne Huzoor Nabi Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Mazaar Kee Mitti Soongi Ho Ki Muddat Daraaz Tak Woh Qimti Khooshboo Na Soongi.”
صبت علي مصائب لو أنها
صبت على الأيام صرن ليا ليا
Tarjuma : “Mujh Par Masa’ib Daal Diye Gaye, Agar Yeh Masa’ib Dinon Par Aa Jaate To Woh Raat Me Tabdil Ho Jaate.”
Tarjuma : “Aur Kaha Khatib Ne Baad Is Ke Ki Ziqr Kiya Hazrat Bilaal RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se, Nahin Hai Shak Is Baat Me Ki Muhabbat Me Istagharaaq Us Ke Jawaaz Wa Izn Par Ubhaarta Hai, Aur Maqsood Is Se Ehtaram Aur Ta’zim Hai, Aur Logon Ke Maqaasid Mukhtalif Hote Hain Is Muamle Me Jaisa Ki Zindagi Me Mukhtalif Hote Hain. Pas Baaz Log Wah Hain Jab Dekhte Hain Mazaar Muqaddam To Apne Aap Par Qabza Bar Qaraar Nahin Rakh Sakte.”(طوالع الأنوار)
–
[Tahqeeq-ul-Haqq-ul-Mubeen Fi Ajwibat’i Arbaeen, Hazrat Shah Ahmad Saeed Mujaddidi Farooki Madani (1217-1277 A.H), Safah-124, 125.]
Duniya Bhar Ka Sunni Musalman Hazaraat-E-Awliya’-E-Kiram Kee Qabaron Ko Bosa Deta Hai Aur Duniya Bhar Ka Vahabi Is Chumne Ko Poojana Kahta Hai Aur Musalmanon Ko Choomne Se Mana Karta Hai.
Magar Ishq-E-Nabi Wa Sahaba Wa Awliya’ Se Sarshaar Sunni Musalman In Vahaabion Kee Parwaah Kiye Bagair Apne Kaam Me Mast Wa Magan Hain.
Inhin Vahaabion Kee Taan Me Taan Dehlvi Ke Khufiya Himaayati Ne Milaayi Hai Aur Vahaabiyat Ke Saaj Par Vahaabiyat Ka Nagma Gaate Huwe Sunniyat Ke Khilaaf Ye Kaam Dikhaaya Hai.
Magar Sunni Jiyaalon Ne Awliya’-E-Kiram Ke Mat Waalon Ne In Vahaabi Bahi Khwaahon Kee Parwaah Na Kee Aur Aaj Bhi Qabr Bosi Poori Shaan Ke Saath Jaari Hai Aur Jaari Rahegi Kyon Ki Ye Sunniyat Ka Trad Hai.
Imam Qurtabi Ne Apni Ma’roof Tafsir ‘Al-Jami’-ul-Ahkam Al-Qur’an (05/265, 266)” Me Bayan Kiya Hain :
“Aboo Sadiq Ne Hazrat Ali KarrmAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Riwayat Kiya Hain Ki Hamare Saamne Aik Dehaati Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Tadfeen Ke Teen Din Baad Madinah Munawwarah Aaya.
Us Ne Farte Gham Se Apne Aap Ko Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Qabr-E-Mubarak Par Geera Liya.
Qabr-E-Anewar Kee Mitti Apne Oopar Daali Aur Arz Kiya :
Aye Allah Ke Rasool ﷺ!
Aap ﷺ Ne Farmaya Aur Hum Ne Aap ﷺ Ka Qaul Mubarak Suna Hai, Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Allah Se Ahkamat Liye Aur Hum Ne Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Ahkam Liye Aur Unhi Me Se Allah Ta’ala Ka Yah Farman Bhi Hai :
“وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوۤاْ أَنْفُسَهُمْ جَآءُوكَ فَٱسْتَغْفَرُواْ ٱللَّهَ وَٱسْتَغْفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّاباً رَّحِيمًا“
Aur Agar Jab Woh Apni Jaanon Par Zulm Karein To Aye Mahboob !
Tumhare Hazoor Haazir Ho Aur Phir Allah Se Maafi Chaahe Aur Rasool Un Ki Shafa’at Farmaye To Zaroor Allah Ko Bahut Taubah Qubool Karne Waala Maherban Paaye.”
Mein Ne Bhi Apne Oopar Zulm Kiya Hai, Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa SallamMere Liye Ishtaghfar Farma De.
Earaabi Kee Is (Aajizana Aur Muhabbat Bhari) Iltija Par Use Qabr Se Needa Dee Gayi :
“Beshak Tumhari Maghfirat Ho Gayi Hai.”
–
[Qurtabi Al-Jami’-ul-Ahkam Al-Qur’an, 05/265]
Agar Ye Aik Hawala Padhne Ke Ba-Wajod Bhi Koi Kharji Sunniyat Ka Labada Odhe Huwe Hamein Kahe Ki Qabr Sharif Se Durr Khade Raho Aur Mazar Mubarak Ko Chhue Na Aur Na Hee Bosa De Na Chume To Un Sahab Ko Hum Yeh Hadith Dikhayege :
“Hazrat Dawood Bin Saaleh Se Marwi Hai, Woh Bayan Karte Hain Ki Aik Roz Khalifa Marwan Bin Hakam Roza-E-Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Paas Aaya Aur Us Ne Dekha Ki Aik Aadami Huzoor Poor Noor SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Qabr-E-Anwar Par Apna Moo’nh Rakhe Huwe Hai.
Marwan Ne Use Kaha :
Kya Too Jaanta Hai Ki To Yah Kya Kar Raha Hai?
Jab Marwan Us Ki Taraf Badha To Dekha Ki Woh Hazrat Aboo Ayyub Ansari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hain, Unhone Jawab Diya :
Haa’n (Mein Jaanta Hoon Ki Mein Kya Kar Raha Hoo’n), Mein Allah Ta’ala Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Bargaha Me Haazir Huwa Hoo’n Kisi Pat’thar (But) Ke Paas Nahin Aaya.”
Imam Ahmad Bin Hanbal Ki Bayan Karda Riwayat Ki Isnaad Sahih Hain,
Imam Hakim Ne Shaykhayn (Bukhari Wa Muslim) Ki Shara’it Par Sahih Karaar Diya Hai Jab Ki Imam Dhahabi Ne Bhi Ise Sahih Karar Diya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/422,
Hakeem Al-Mustadrak, 04/560, Raqam-8571,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir,04/158, Raqam-3999.]
Al-Hamdulillah Hum Ahl-E-Sunnat Wa’l Jama’at Hain Par Kharhji Nahin !
Yaad Rakhiye !
Jaha’n Tak Dalaail Kee Baat Hai To Shaitaan Ne Bhi Hukm-E-Khudawandi Ka Inkaar Kiya To Daleel Pesh Kee.
Daleel To Sab Hee Pesh Karte Hai Magar Dekhna Yeh Ki Kis Kee Daleel Ahl-E-Sunnat Kee Himaayat Karti Hai Aur Us Kee Daleel Vahaabiyat Kee Himaayat Karti Hai.
Aqwaal-E-Mukhtalifa Kee Bharmaar Hai, Har Shakhs Daleel Pesh Kar Hee Deta Hai Magar Hamein To Ahl-E-Sunnat Ke Muwaafiq Aur Ahl-E-Sunnat Kee Himayat Me Daleel Matloob Hai Jis Se Tamam Ahl-E-Sunnat Kee Azmat Mahfooz Ho.
No comments:
Post a Comment