Riwayat-06
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apni Jaan Ko Bech Diya
﴿6﴾ “Kaha : Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apani Jaan Ko Bech Diya Aur RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Chaadar Mubarak Oudh Lee Aur Aap Ke Makaan Par So Gaye Aur Mushrikin-E-Makkah RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Paththar Barsaate They.
Pas Hazrat Aoo Bakr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Tashrif Laaye To Hazrat Ali Alayh-is-Salam Soye Huwe They.
Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Khayala Kiya Ki Yeh Nabi-E-Akram Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aaraam Farma Hain.
To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Un Ko Bataaya Ki RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ba’ir Maimoonah Kee Taraf Tashrif Le Gaye Hain Aap Unhein Waha’n Meel Le.
Chunanche Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Chale Gaye Aur Aap Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Gaar Me Daakhil Ho Gaye.
Kaha : Ki Hazrat Ali Alayh-is-Salam Par Kuffaar Ne Usi Tarah Paththar Barsaane Shuru’ Kar Diye Jis Tarah Ki Woh RasoolAllah Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Barsaate They Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Paich Wa Taab Khaane Lage.
Kaha : Ki Aap Ne Sar Par Kapada Lapeta Huwa Tha Aur Baahar Na Nikle Hatta Ki Subah Ho Gayi To Aap Ne Sar Se Kapada Utaar Diya.
Kuffaar Ne Hazrat Ali Alayh-is-Salam Ko Dekha To Kaha Ki Too Kamina Hai (Ma’azAllah)>
Hum Tumhaare Saathi Ko Paththar Maarte They To Woh Khaamsoh Rahte They Aur Tum Chillaate Ho Aur Ye Baat Hamein Ajib Ma’loom Huwi Hai.”
–
[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/41, 42, Raqam-28.]
No comments:
Post a Comment