Wikipedia

Search results

Sunday, 1 March 2015

Momin kon hai?


Bismillahi Ta’ala
Allaho Rabbo Mohammadin Salla Alayhi Wa Sallama
Nahnu Ibado Mohammadin Salla Alayhi Wa Sallama
SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Baraqatohu

Allah Tabarai Wa Ta’ala Ko Hum Me Se Kisi Ne Na Dekha Na Hee Allah Ta’ala Ne Barah-E-Rast Kisi Se Farmaya Bas Huzoor Nabi-E-Kareem SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Jo Allah Ta’ala Ke Sachche Rasool Hai Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Jo Farmaya Use Hee Allah Tabarak Wa Ta’ala Kee Baat Maan Liya Gaya.

Goya Ki Allah Ta’ala Ke Muamale Me Aap Ki Juban-E-Mubarak Aur Kirdar Wa Tarikekaar Ka Naam Hee Islam-O-Iaman Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Har Baat Khuda Ki Baat Hai Lihaza Hadith Bhi Bila Waasta Kalam-E-Elahi Hai.
Khud Allah Azza Wa Jalla Quran-E-Kareem Me Farmata Hai :

“Aur Woh Koi Baat Apni Khwaahis Se Nahin Karte.
Woh To Nahin Magar Wahee Jo Unhein Kee Jaati Hai”

[Soorah An-Najm, 53 : 3,4.]

Kisi Ke Dil Me Kisi Ki Ahamiyat Wa Azmat Jitni Zyada Hoti Hai Woh Utni Zyada Us Kee Baat Ko Ahmiyat Deta Hai Aur Jis Se Jitni Zyada Muhanbato Ulfat Hoti Hai Utni Woh Us Ki Hukm Kee Farmabardar Wa Baja Aawri Karta Hai.

Goya Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa SallamKi Iiteba Wa Pairwi Aur Aap Ke Bataye Huwe Raste Par Chalne Ke Liye Aap Se Muhabbat Wa Ishq Zaroori Hai.
Aur Jise Huzoor Alayh-is-Salato Was Salam Se Sachcha Ishq Wa Sachchi Muhabbat Hogi Woh Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Nafaramani Kabhi Nahin Karega Aur Woh Vahin Karega Jis se Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Raaji Hai.

Hum Aaj Yahi Ishq-O-Mohabhat Ke Naare Khoob Lagaate Hain Aur Sachche Pakkr Sunni Hone Ka Elaan Karte Hain, Momin Hone Ka Daawa Karte Hain Magar Kya Hamara Daawa Waaqa’i Me Is Hadith Ke Mutabiq Hai ?!

“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Aboo Layla RadiyAllahu Ta’ala Anhu Apney Waalid Sey Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Koi Banda Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ke Mein Us Key Najdeek Us Ki Jaan Sey Bhi Mehboob Tar Na Ho Jaaoo’n Aur Merey Ahl-E-Bait Usey Us Key Ahley Khaana Sey Mehboob Tar Na Ho Jaaye Aur Meri Awlaad Usey Apni Awlaad Sey Baddhkar Mehboob Na Ho Jaaye Aur Meri Jaat Usey Apne Jaat Sey Mahboob Tar Na Ho Jaaye.”

[Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/75, Raqam-6416, & Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/59, Raqam-5790,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/189, Raqam-1505.]

Ab Aap Hee Gaur Kare Ki Hamare Liye Koun Mehboob Tar Hone Chahiye Aur Hum Kis Ko Mehboob Tar Banaaye Baithey Hain!
Kya Hum Aaj Waaqa’i Me Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Wa Aap Kee Ahl-E-Bait-At’har Wa Awlad-E-Kiram Se Apni Jaan Se Zyaada Mehboob Tar Hain, Agar Hain To Phir Aaj Sadat-E-Kiram Ke Saath Ap Ka Kya Sulooq Hain ?!

Aaj Kal Awam Me Ye Baatein Virus Ki Tareh Failti Ja Rahi Hai Jis Ke Moo’nh Me Jo Aaya Bake Ja Raha Hai Illa MashaAllah
Har Kisi Ko Gaali Dee Ja Rahi Hai, Us Ki Beijjazati Ki Ja Rahi Hai Har Waqt Aik Doosare Ko Jaleel Aur Jhagde Karne Kee Firaq Me Rehte Hai Nauzubillah.
Jab Ki Musalman Ko Gaali Dena Bhi Fisk Hai Aur Ladayi Kufr !
Suno !
Nabi Kareem Alaihissalato Was Salam Ka Farman :
“Hazrat Abdullah Bin Mas’ood Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Elaaniya Gunaah Karna) Hai Aur Us Ke Saath Qitaal (Ladaayi Karna) Karna Kufr Hai.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 01/27, Raqam-48,
Muslim As-Sahih, 01/81, Raqam-64.]

Kya Hum Me Aaj Ye Aam Nahin Ho Chuka, Kaha Ja Rahe Ho?!
Aur Yah’n To Saari Hade Paar Ho Rahi Ki Jis Me Ek Tabka Ban Chuka Hai Jo Awam Me Har Kisi Ko Kafiron Mushriqon Murtad Hee Kehte Hai, Aur Kuchh Ne To Ise Apna Wazeefa Mukarrar Kar Liya Hai Nauzubillah Astaghfirullah!
Nabi-E-Paak SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Is Par Kya Farmate Hai Use Gaur Se Parho, Laraj Jaawo! :

“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jab Koi Shakhs Apne (Musalman) Bhaai Ko Kafir Kehta Hai To Donon Me Se Koi Aik Shakhs Us Kufr Ke Saath Lauta (Ya’ni Agar Jise Kaha Gaya Woh Kafir Na Huwa To Kehne Waala Khud Kafir Ho Jaayega).”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 05/2264, Raqam-5753,
Muslim As-Sahih, 01/79, Raqam-60.]

Allah Kee Panah.
Kaha Ja Raha Hai Musalman!

Kuchh Kehte Hai Hum To Islah Kar Rahe Hai, Hum Line Par Laana Chaahte Hai,
Aur Isi Darmiyan Insan Agar Kisi Ki Islah Karta Hai To MashaAllah Alhamdolillah Magar Yaha’n To Doglapan Hota Hai, Idhar Kuchh Udhar Kuchh.
Janab Pehle Khood Bhi To Seedhi Raah Apna Le Baad Me Kisi Kee Islah Keejiye!
Agar Doglapan Hai To Abhi Tauba Kar Lo Aur Ise Tark Karo Warna Is Azaab Ke Liye Bhi Tayyar Raho! :

“Hazrat Ammar (Bin Yasir) RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Duniya Me Do² Moo’nh Rakhe (Ya’ni Jis Me Doglapan Ho) To Qayamat Ke Din Us Ke Moo’nh Me Do² Aag Ki Zubaane Hogi.”

[Aboo Dawood As-Sunan, 04/268, Raqam-4873,
Ibn Hibban As-Sahih, 13/68, Raqam-5756.]

Azeejan-E-Millat-E-Islamiya!
Aaj Aksar Khood Ko Kisi Hero Ka Ideal Banaye Baithe Hai Illa MashaAllah Aur Ulama, Aalimon Par Bahes Karte Hai Ki Woh Is Tareh Karta, Fula’n Ne Ye Kiya, Woh Kiya, Ye Aisa Woh Aisa.
Misal Ke Taur Par Qtv Par Koi Program Shuru Huwa, Us Par Mufti Akmal Sahab Hai Aur Deegar Ke Jis Me Kuchh Ne Islami Libas Apnaya Hai, Kuchh Ki Daarhi Hai Kuchh Ne Amama Bandha Hai Vaghairah Vagairarah Aur Koi Aisa Bhi Hai Jisne Na To Islami Libas Pehna Hai Na Darhi Hai Yaha’n Tak Ki Sar Par Topi Tak Bhi Nahin Hai!
Ab Is Par Kya Kahoge Aap?!
Kya Darhi Jubbe Wala Musalman Aur Na Pahenne Wala GairMuslim Ma’azAllah!
Aur Kuchh Tabka To Aik Hee Hadith Shareef Ko Le Kar Jaha’n Dekhon Waha’n Shuru Ho Jaate Hai Hai, Logon Ko Gumrah Karne Ke Liye :

“Kullo Bid’tatin Dalalh”

[Aboo Dawood As-Sunan, 04/200, Raqam-4607.]

Janab Pehle “Dalalah” Ko Hee To Samajh Lo!
Kabhi Gumrahi Ke Daldal Se Bahar To Aawo !
Aadami Gumrah Kaise Banta Hai,
Kya Amal Ki Kharabi Se Koi Gumrah Banta Hai, Koi Namaz Na Padhe To Gumrah, Roza Na Rakhe To Gumrah, Hajj Na Kare To Gumrah?!
Nahin.
Amal Ki Kharabi Se Insan Gunehgar Banta Hai Gumrah Nahin Hota, Gumrah Hota Hai Insan Aqeede Ki Kharabi Se.
Amal Achchha Bhi Ho Sakta Hai Aur Bura Bhi Hota Hai Us Par Insan Gunehgar Hota Na Ki Gumrah.

Aur Achchi Tareh Se Sun Le Har Naya Aqeeda Gumrahi Hai.
Isi Liye Aur Hum Ne Jise Gumrah Kaha Hai Aur Kehte Hai To
Amal Ki Buniyad Par Nahin Aqeede Kee Buniyad Par Kaha,
Hum Ne Use Gumrah Kaha Jis Ne Rasool ﷺ Ke Elm Ko Janwaron Ke Elm Ki Tareh Bataya
Hum Ne Use Gumrah Kaha Jis Ne Rasool ﷺ Ko Zamane Ke Lihaz Se Aakhari Nabi Nahin Mana
Hum Ne Use Gumrah Kaha Jis Ne Rasool ﷺ Ke Elm Ko Shaitan Ke Elm Se Kam Bataya
Hum Ne Use Gumrah Kaha Jisne Rasool ﷺ Ko Apna Bada Bhai Jaisa Kaha
Hum Ne Use Gumrah Kaha Jis Ne Rasool ﷺ Ko Apne Jaisa Basar Kaha!
Is Liye Ke Gumrah Aqeede Kee Kharabi Se Hota Hai Amal Kee Kharabi Se Nahin.

Kisi Aire Gaire Ko Haque Nahin Pahunchta Kee Woh Ualam-E-Keeram Par Ungli Uthaaye Unka Test Le, Aise Hee Woh Nahin Aalim Bane Kabhi Jaye Madarse Ko Chakkar Lagane Pata Chale!

“Hazrat Abee Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna :
Jo Aadami Talab-E-Elm Me Kisi Raasrte Par Chalta Hai To Allah Ta’ala Use Jannat Ke Raste Par Chala Deta Hai.
Aur Beshak Farishte Talib-E-Elm Ki Raza Ki Husool Ke Liye Us Ke Paanw Tale Apne Par Bichhaate Hain Aur Taalim Ke Liye Zameenon Aasman Ki Har Cheez Yaha’n Tak Ki Paani Me Machhaliya’n Bhi Maghfirat Talab Karti Hain Aur Aabid Par Aalim Ki Fazeelat Aise Hee Hai Jaise Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Fazeelat Sitaron Par Hai.”

[Tirmidhi As-Sunan, 05/48, Raqam-2682,
Aboo Dawood As-Sunan, 03/317, Raqam-3641.]

Agar Koi Fatwa Khor Ho, Fitna Khor Ho, Jakaat-Fitra Chor Ho To Un Tajir-E-Shariat Ki Khoob Majammat Karo Woh Qat’i Aalim-E-Deen Nahin Hai Balki Zaalim-E-Deen Hain Lekin Humein Ye Bhi Haque Nahin Ki Hum Aalim-E-Deen Par Ungli Uthate Phire!
Bas Har Bat Par Koi Na Koi Khata Dhoondne Me Mashghool Rehte Hai Kabhi Itna Waqt Sirf Aik Achchi Sachchi Baat Par Nikaala Hota Ki Chalo Bhai Saari Baton Me Se Ye Aik To Achchhi Baat Kahi, Us Par Bhi Agar Amal Kar Le To InshaAllah Ta’ala Beda Paar Ho Jaaye,
Magar Haal Hee Kucch Aisa Hai Sohbat Hee Kuchh Aisee Hoti Hai Ke Insan Bebaak Besharm Ho Jata Hai, Hadith Shareef Me Aata Hai :

“Hazrat Aboo Moosa (Ash’ari) RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Achchhe Aur Bure Saathi Ki Misaal Mushk Waale Aur Bhattee Dhaunkne Waale Jaisi Hai Kyon Ki Mushk Waala Yoo’n To Tohfatan Tumhein (Thodi Bahut Khushboo) De Dega Ya Tum Us Se Khareed Loge Warna Umda Khushboo To Tum Paa Hee Loge, Rahi Bhattee Waale (Lauhaar) Ki Baat To (Us Ki Bhattee Ki Aag) Ya Tumhare Kapade Jala Degi Warna Tumhein (Bhattee Ki) Badboo To Zaroor Pahunchegi.”
Muttafaque Alayh

[Sahih Al-Bukhari, 05/2104, Raqam-5214, &
02/741, Raqam-1995,
Sahih Al-Muslim, 04/2026, Raqm-7270, 7307.]

Is Liye Apne Aap Ko Dekhe Ki Hum Kis Mahoul Se Wabasta Hai.
Jaisi Sohbat Hogi Aisee Asar.
Aaj Hum Baat-Bat Par Jhagad Parte Hai, Galiyan Dete Hai, Wada Khilafi Karte Hai Amanat Me Khayanat Karte Hai Illa MashaAllah
Kahin Aisa To Nahin Ki Hamare Andar Nifaq Aa Chuka Ho!

“Hazrat Abdullah Bin Amr RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Chaar⁴ Baatein Jis Me Ho Woh Khaalis Munafiq Hai Aur Jis Ke Andar Un Me Se Koi Aik Ho To Us Me Us Me Nifaq Kee Aik Khaslat Hai Yaha’n Tak Ki Use Chhod De (Woh Khaslate Yeh Hain) :
Jab Amaanat Us Ke Supurd Kee Jaye To Khayaanat Kare, Jab Baat Kare To Jhoot Bole, Jab Waada Kare To Khilaafwarzi Kare Aur Jhagde To Behoodaagoyi (Gaali Galouch) Kare.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 01/21, Raqam-34,
Muslim As-Sahih, 01/78, Raqam-58.]

Lihaza Azeejon Aap Se Ilteza Hai Ki Jaldbazi Me Gusse Me Bina Soche Samjhe Jaane Baghair Kuchh Bhi Mat Keh Diya Karo Aur Agar Phir Koi Raah Na Mile To Khamoshi Ikhtiyar Kare Jaise Ki Farmaya Gaya :

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Allah Azza Wa Jalla Par Aur Qayamat Ke Din Par Iman Rakhta Hai Apne Humsaaye Ko Na Sataaye, Aur Jo Allah Azza Wa Jalla Aur Qayamat Ke Din Par Iman Rakhta Hai Apne Mehman Kee Izjat Kare, Aur Jo Allah Azza Wa Jalla Aur Qayamat Ke Din Par Iman Rakhta Hai Moo’nh Se Achchhi Baat Nikaale Ya Khaamosh Raho.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih, 05/2240, Raqam-5672,
Muslim As-Sahih, 01/6968, Raqam-47, 48.]

Hum Kya Karte Hai Aur Asl Me Hamein Kya Karna Chaahiye, Hamara Fareeza Kya hai Jaane, Momin Kee Shan Mulaheza Farmaye :

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Momin Apne Bhai Ka Aa’ina Hai, Jab Woh Us Me Koi Buraayi Dekhta Hai To Us Buraayi Kee Islaah Kar Leta Hai.”

[Bukhari As-Sahih, 01/93, Raqam-238.]

Kya Hum Ne Kabhi Ye Kiya?
Kya Kabhi Hum Ne Hamare Kisi Bhai Ke Aib Ko, Buraayi Ko Chhupaaya? !
Balke Chun Chun Kar, Khol Khol Kar Aib Nikal Rahe Hai !
Hadd To Ye Ho Gayi Ke Ab To Hum Nauzubillah Ulama Ki Khaamiya Dhoondne Lage, Un Par Tankeed Karne Lage!
Hum To Vahin Aa’ina Har Kisi Ko Dikha Rahe Ki Dekho Dekho Hum Kitna Achchha Kaam Kar Rahe Hai!
Phir Bhi Kahe Hum Musalaman!
Ma’azAllah Summa Ma’azAllah

Jo Log Zaahiri Namaz, Roze Aur Ahkame Sharh Ke To Kaayal Hai Lekin Huzoor Nabi-E-Kareem SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Ishq-O-Muhabbat Kee Daulat Se In Ke Dil Khaali Hai Woh Harghiz Raherast Par Nahin Hai Aur In Ke Namaz Roze BeRonak, Ruhaaniyat Se Khali, BeDam Riya Kaari. Aur Dikhaawa Ban Kar Reh Gaye Hai.

Aur Woh Log Jo Muhabbaton Aur Ishk Ke Dawedar Hai, Namaz Roza Ahkam-E-Sharh Ke Paband Nahin, Haram-Halal Kee Tameej Nahin Karte, Gaane Bajaane, Tamaashon, Filmon Me Raat-Din Gujarte Hai,
Ma-Baap Ko Sataate Hain, Logon Par Zulm Karte Hain, In Ke Ishq-O-Muhabbat Wa Aqeedat Ke Daawe Na Qaabile Aitabar Hai.

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aik Doosare Se Hasad Naa Karo Aur Aik Doosare Ko Dhoka Na Do Aur Aik Doosare Se Bughz Na Rakho Aur Aik Doosasre Se Rookh Na Modo, Aur Tum Me Se Koi Shakhs Doosare Ke Saude Par Apna Sauda Na Kare.
Aye Allah Ta’ala Ke Bando!
Baaham Bhai Bhai Ho Jawo.
Musalman Musalman Ka Bhai Hai, Woh Us Par Na To Zulm Karta Hai Aur Na Use Jaleel Karta Hai, Aur Na Hee Use Haqeer Samajhta Hai.
Taqwa Aur Parhezgaari Yaha’n Hai ( Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Teen³ Martaba Apne Seena-E-Aqdas Kee Taraf Ishara Kiya) Kisi Musalman Ke Liye Itni Buraayi Kafi Hai Ki Woh Apne Kisi Musalman Bhai Ko Haqeer Samjhe.
Aik Musalman Par Doosare Ka Khoon, Us Ka Maal Aur Us Kee Izjat (Wa Aabaroo Paamaal Karna) Haram Hai.”

[Muslim As-Sahih, 04/1986, Raqam-2564,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/277, Raqam-7713.]

Jo Sahih Ma’non Me Aashik-E-Rasool Hoga, Aasik-E-Ahl-E-Bait Hoga Woh Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Pairwi Wa Farmabardari Karega,
Iman-Islam-Lutf Usee Ko Hasil Hoga Jo Huzoor Nabi-E-Mukarram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Aashik Wa Diwana Hoga, Un Ki Har Har Sunnato Farman Par Amal Karne Waala Hoga.

Allah Ta’ala Huzoor Rahmat-ul-Lil Aalamin SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam, Panjatane-E-Paak Ke Sadqa Tufail Hamein Fitnakhoron Ke Fiton Se Bachaye Aur Mazeed Islam Par Amal Karne Ki Taufique Ata Farmaye.
Aameen.

No comments:

Post a Comment