Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ke Ahl-E-Bayt Aur Qaraabat Daaron Ke Jaame’ Manaqib Ka Bayan
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
(1) “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Marwi Hai Ki Aik Din Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamein Khutba Dene Ke Liye Makkah Aur Madinah Munawwara Ke Darmiyan Us Taalaab Par Khade Huwe Jise Khum Kehte Hain.
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Allah Ta’ala Ki Hamd-O-Thana’ Aur Waa’zo Naseehat Ke Baad Farmaya :
Aye Logon!
Mein To Bas Aik Aadami Hoo’n, Anqareeb Mere Rab Ka Paigaam Laane Waala Farishta (Ya’ani Farishta-E-Azal) Mere Paas Aayega Aur Mein Use Labbaik Kahunga.
Mein Tum Mey Do² Azeem Chizein Chhode Ja Raha Hoo’n Un Mey Se Pehli Allah Ta’ala Ki Kitab He Jis Me Hidaayat Aur Noor Hai.
Allah Ta’ala Ki Kitab Par Amal Karo Aur Use Mazbooti Se Thaam Lo.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Kitab-ul-Allah (Kee Ta’limaat Par Amal Karne Par) Ubhaara Us Kee Targeeb Dee Phir Farmaya :
Aur (Dusare) Mere Ahl-E-Bayt Hain.
Mein Tumhein Apne Ahl-E-Bayt Ke Mut’alliq Allah Ki Yaad Dilaata Hoo’n.
Mein Tumhein Apne Ahl-E-Bayt Ke Mut’alliq Allah Ki Yaad Dilaata Hoo’n.
Mein Tumhein Apne Ahl-E-Bayt Ke Mut’alliq Allah Ki Yaad Dilaata Hoo’n.”
Ise Imam Muslim Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Shahih, 03/1873, Raqam-2408,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/366, Raqam-19265,
Ibn Hibban Fi As-Shahih, 01/145, Raqam-123,
Ibn Khuzaymah Fi As-Shahih, 04/62, Raqam-2357,
Lalka’i Fi I’tiqad Ahl-us-Sunnah, 01/79, Raqam-88,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/148, Raqam-2679,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/487,
(2) “Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Subah Ke Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Audhe Huwe Baahar Tashreef Laaye To Aap Ke Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ney Unhe Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Woh Bhi Un Ke Humraah Chaadar Me Daakhil Ho Gaye, Phir Sayyada Fatima RadiyAllahu Ta’ala Anha Aayein Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aayein To Aap SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Bhi Chaadar Me Ley Liya.
Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Aayat-E-Mubaraka Padhi :
˝Aye Ahl-E-Bayt !
Allah Ta’ala To Yahi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaludagi Dur Kar De Aur Tum Ko (Gunaaahon Se) Khoob Paak-O-Saaf Kar De.”
Ise Imam Muslim Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Shahih, 04/1883, 2424,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/159, Raqam-4707, 4709,
Imam Hakim Ne Is Hadith Ko Sahih Qaraar Diya Hai.
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/149, Raqam-2680,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqam-32102,
Tabarani Fi Jami’-ul-Bayan, 22/06,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qur’an Al-Azim, 03/486,
Mubarakpoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi, 09/49,
(3) “Hazrat Saeed Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayat-E-Mubahila Naazil Huee :
˝Aap Farma De Aawo Hum Bulaayein Apne Bete Aur Tumhare Bete.”
To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain عليهم السلام Ko Bulaaya, Phir Farmaya :
Ya Allah!
Ye Merey Ahl-E-Bayt Hain.”
Ise Imam Muslim Aur Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Sahih Hai.
–
[Muslim Fi As-Shahih, 04/1871, Raqam-2404,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/225, Raqam-2999, &
05/638, Raqam-3764,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1608,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/107, Raqam-8399,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqam-4719,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/63, Raqam-13169, 13170,
(4) “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Se Farmaya :
Tum Jis Se Ladoge Mein Us Ke Saath Haalat-E-Jung Me Hoo’n Aur Jis Se Tum Sulah Karne Waale Ho Mein Bhi Us Se Sulah Karne Waala Hoo’n.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqam-3870,
Ibn Majah Fi As-Sunan 01/52, Raqam-145,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/161, Raqam-4714,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/182, Raqam-5015,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-2620,
Saydawi Fi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/133, Raqam-85,
(5) “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi He Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Mein Tum Me Aisee Do² Cheeze Chhode Ja Raha Hoo’n Ki Agar Mere Baad Tum Ne Unhein Mazbooti Se Thaame Rakha To Mere Baad Hargiz Gumraah Na Howoge.
Un Me Se Aik Dusari Se Badi Hai.
Allah Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Se Zamin Tak Latki Huee Rassi Hai Aur Meri Itarat Ya’ani Ahl-E-Bayt Aur Ye Donon Hargiz Zuda Na Hongi, Yaha’n Tak Ki Donon Mere Paas Hawz-E-Kawthar Par Aayeingi.
Pas Dekho Ke Tum Mere Baad Un Se Kya Sulook Karte Ho ?”
Ise Imam Tirmidhi, Nasa’i Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Aur Imam Tirmidhi Ne Ise Hasan Qaraar Diya Hai.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/663, Raqam-3788, 3786,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, Raqam-8148, 8464,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/14, 26,59, Raqam-11119, 11227, 11578,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/118, Raqam-4576,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/374, Raqam-3439,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/226, Raqam-323,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/65, Raqam-2678,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/133, Raqam-30081,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 02/303, Raqam-10267, 1140,
Ibn Abi Asim Fi As-Sunnah, 02/644, Raqam-1553,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/66, Raqam-194,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/163,
No comments:
Post a Comment