Wikipedia

Search results

Saturday, 14 March 2015

Waseela quran o hadith se

Wasilaa
Bismillah Hir Rehman Nir Rahim
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
ALLAH TAALA ki bargah me uske mehboob bando ko wasilah banana (Part:1)
Hazrat Abu Saeed se Marvi hai ki Huzur NABI KARIM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne irshaad farmaya ki ek aisa zamana aayega jab log fouz dar fouz hokar jihad karenge toh inse pucha jayega ki tumhare darmiyan koi aisa shakhs hai jisne RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki sohbat ka sarf hasil kiya ho? Jawab me kaha jayega haa toh uski barkat aur wasile se jang me Fatah hogi phir ek jamana aayega aur log jihad karege to in se malum kiya jayega kya tum me koi aisa hai jisne Huzur k sahaba ko dekha ho jawab Hoga haa to iske wasile se jang me kamyabi milegi,phir ek zamana aayega aur log jihad karenge to inse pucha jayega ki tum mese koi aisa hai jisne Huzur k sahaba ki sohbat hasil karnewalo ki sohbat ka sharf hasil kiya ho jawab Hoga haa to isle jariye kamiyabi hasil hogi.
(Bukhari Jild-1, Kitabul Jihad Safa-406)

Yeh hadees saaf taur par bata rahi hai ki HUZUR NABI KARIM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ka mukam to ALLAH hi jaane aapke gulamo aur gulamo k gulamo ki shaan yeh hai ki inke wasile se jango me Islami fouzo ko Fatah hasil hoti hai.

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Nabi-Wali Se Madad Maangna Na Shirk Hai Na Bid’at ! Part-14, Last
Agar Nabi-Wali se Madad Mangna Shirk Hai,
To Ye Shirk Aakhirat Tak Chalega.
Ye Nahi Ho Sakta Ke Abhi Shirk Hai Lekin Aakhirat Me Ayne Tauheed Ho Jaaye, Kyun Ke Shirk To Har Waqt Shirk Hee Rahega.

Aakhirat Me Bhi Koi Gayrullah Se Madad Maangega To Bhi Shirk Hee Hoga.

Mehshar Ki Mushibat Se Badh Kar Kounsi Mushibat Hogi !
Us Se Bachane Ke Liye Tamaam Log Aadam Alaihissalan Ki Khidmat Me Aayenge Ke
Aap Abool Bashar Aadam Ho,
Aap Hamari Shafaa’at Karo !
Aadam Alaihissalam Ye Nahi
Farmaege Ke Tum Shirk Kar Rahe Ho !
Mere Paas Kya Maangte Ho ?!
Jaao Khuda Ke Paas !
Nahin,
Balke Woh Bhi Gayr Ki Raah Deekhaenge Aur Farmaaenge,
NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE……

To Feer Tumhaari Fatwe Ki Rooe To (MA’AZALLAH !) Hazrat Aadam Alaihissalam Bhi Mushrik  Hooe,
Aur Unke Paas Jaane Waale Bhi Mushrik Hooe.
Lekin Nahin !
Kyun Ke Hazrat Aadam
Alaihissalam To Mushrik Ho Hee Nahin Sakte.

Feer Tamaam Log Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Rehnumaai Se Baari Baari Hazrat Nooh, Hazrat Ibrahim,
Hazrat Moosa Aur Aakhir Me Hazrat Isaa Alaihimussalamu Kr Paas Jaaenge,
Har Ek Aisa Hee Kahege Ke
IZAHABOO ILAA GAYREE.

Ab Unhe Khyaal Aayega Ke Chalo !
Huzoor Poor Noor, Shaafe-E-
Youmunnusur, Saiyadul Mursaleen, Rehmatulil Aalamin,  SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Bargah-E-Bekas Panah Me Jaate Hai.
Jab Vaha Pahunchenge To
Madanee Taajdaar Ambiya ke Sardaar
Abd karaar
Mehboob-E-Parwardigaar
Nabion Ke Saalaar
Dino Duniya Ke Mukhtaar
Ahmad-E-Mujtaba
Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam
Aisa Nahi Kahege Ke,
Tum To Mushrik Ho !
Fula Fula Nabi Ke Paas Gaye Baad Me Mere Paas Aaye Ho !
Jaaon !
Khuda Ke Paas !

Balke Farmaenge Ke Hazrat Aadam,
Hazrat Nooh,
Hazrat Ibrahim,
Hazrat Moosa
Aur Hazrat Isaa
Alaihimussalamu Ne
NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE Is Liye Kaha Thaa Ke Mere Tak Pahunch Jaaon.
Aur Is Kaam Ke Liye To Mein Hee Hoon,
Kyun Ke Allah Ta’ala Ne Mujhe Hee Ye Martaba Ata Farmaaya Hain.
SUB’HANALLAH !

[Sahih Al-Bukhari, Vol.-04, Page-1748, Hadith-4441.
Sahih Al-Bukhari, Vol.-02, Page-536, Hadith-1405.
Sunan An-Nasa’i, Vol.-06, Page-381, Hadith-295.
Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-871, Hadith-927.
Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-854, Hadith-884.
At-Tabarani Mu’jam Al-Awsat, Vol.-08, Page-30, Hadith-8725.
Bayhaqi Shu’ab-Ul-Imaan, Vol.-03 Page-269 Hadith-3509.
Daylami Musnad Al-Firdaus, Vol-02, Page-377, Hadith-3677.
Al-Haythami Majma’ Az-Zawa’id, Vol-10, Page-371.]

Matlab Ke Allah Ta’ala ki Ata Se Nabi-Wali Ko Har Ek Tareh Ki Kudarat Mili Huee Hai Jis Se Un Se Maangna Shirk Nahin Balki Imaan Waalon Ka Tareeka Hai,

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Hum Rasool se Kyon na Mange,
Jab ke Huzur Sallallaaho Alaihe
Wasallam Farmate hai,

“Innama Ana Qasimun Wallaho
Yuti”

“Beshak Allah deta hai
Aur main Taqsim Karta hun”

(Bukhari Sharif, Vol. 1, Page 16)

Kya Allah ke Siwa bhi
koyi Madadgar hai?

Sarkar Sallallaaho Alaihe Wasallam
Farmate hai,

“Beshak, Ali mujh se hai Aur main
Ali se hun,

Aur Ali Har Momin ke
madadgar hai, Mere Baad.”

(Tirmiji Sharif, Vol. 2, Pg.212)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

(Bismillah_Hirrahma
_Nirrahim )
 Ya Rasool’Allah Kehne Ki Daleel ….

» Hadees E Mubaraka.
Nabi-E-Kareem
Mustafa (Sallallahu Alaihay.Wasallam) Ne Ek Na-Beena (Blind)
Sahaabi Ko Dua Sikhai Jisme “Ya
Muhammadaani Qad Tawajjehto Bika Ila Rabbi”
Tarjuma : Aye Muhammad
Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam), Mai Aapke Waseele Se
Apne Rab Ta’ala Ki Taraf
Mutawajja Hota Hu. Ke Alfaz Aate Hee In Sahaabi Ko Beenaai
(Vision) Naseeb Hui.
-: (Tirmizi 2/197), (Ibn Maja Pg.100), (Mustadrak Haakim
1/519), (Saheeh Ibn Khuzaima 2/226), (Kitabush Shifa 1/273)

» Iss Hadees Ke Raawi Usman Bin Hunaif (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Hazrat Usman Ghani
(Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ke Daur-E-Khilafat Me Ek Saail Ko
Yehi Dua Sikhai. Toh Bargah-E- Khilafat Me Uski Hajat Puri Ho
Gayi.
-: (Tibrani, 1/183)
» Yaad Rahe, Ki Hazrat Usman Ghani (Radhi Allahu Ta’ala Anhu)
Ki Khilafat Tab Aayi Thi Jab Huzur
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq
(Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Aur Hazrat Umar (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ka Wisaal Ho Chuka Tha,
Uss Waqt Bhi Sahabi Ne Ya Rasool’Allah Waali Dua Padhi,
Aur Waseele Se Dua Mangi.

“ALLAHUMMA SALLIALA SAYYEDNA
MUHAMMADIM BIADADI KULLI
ZIKARIHI ALFA ALFI MAR-RATIN”

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

(Bismillah_Hirrahma
_Nirrahim )
 Insan Qayamat Ke Din Uske Saath Rahega Jis Sey ….

» Hadees E Mubaraka.
Abdullah Bin Masood
(Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,
“Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath Rahega Jis Sey Wo Muhabbat Karta Hai”.
-: (Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189)

Sabak : Muhabbat Se Murad Hai
Jayez Muhabbat, Jaise Ke Allah Aur Uske Rasool Ki Muhabbat, Wali- Allaho Ki Muahabbat, Ma-Baap Ki
Muhabbat Aur Shohar Aur Biwi Ki Ek-Dusre Se Pakiza Muahabbat.

“ALLAHUMMA SALLIALA SAYYEDNA
MUHAMMADIM BIADADI KULLI
ZIKARIHI ALFA ALFI MAR-RATIN”

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

“Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat
Hai Ki Aik Aadami Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi
Wa Aalehi Wa Sallam Kee Bargah Me Haazir Huwa Aur Arz Kiya :
Meri Waalida Achaanak Fawt Ho Ho Gayi Hai Aur Mera Khayaal
Hai Ki Agar Woh (Bawaqte Naz’a) Guftagoo Kar Sakti To Sadqe
(Kee Adaaygi Ka Hukm) Karti.
Agar Mein Us Kee Taraf Se Khairaat Karoo’n To Kya Use Sawaab
Pahunchega
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Ha’n.”
Ise Bukhari Aur Muslim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Muslim
Ne “Sadaqat Ke Sawab Ka Shudagan Tak Pahunchne” Ke
Unwaan Se Baqaayda Baab Qaayam Kiya Hai.”

[Bukhari As-Sahih, 01/467, Raqam-1322, &
03/1015, Raqam-2609,
Muslim As-Sahih, 02/696, Raqam-1004, &
03/1254, Raqam-1004,
Aboo Dawood As-Sunan, 03/118, Raqam-2881,
Nasa’i As-Sunan, 06/250, Raqam-3649, &
As-Sunan-ul-Qubra, 04/109, Raqam-6476,
Ibn Majah As-Sunan, 02/906, Raqam-2717,
Malik Al-Muwatta’,02/760, Raqam-1451,
Ibn Khuzaymah As-Sahih, 04/124, Raqam-2499,
Ibn Hibban As-Sahih, 08/140, Raqam-3353,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06/51, Raqam-24296,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 07/410, Raqam-4434,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 04/62, Raqam-6895, 12409,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/218, Raqam-703,

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

“Hazrat Usman Bin Hunaif RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Naabeena Shakhs Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Khidmat Me Haazir Huaa Aur Arz Kiya ˝Ya RasoolAllah ﷺ Mere Liye Khair-O-Aafiyat (Ya’ani Beenaa’i Ke Laut Aane) Ki Duaa Farma’iye Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Agar Too Chaahe To Tere Liye Duaa Me Taakheer (Der) Karoo’n Jo Tere Liye Behtar Hai Aur Agar Too Chaahe To Tere Liye Abhi Duaa Kar Doo’n.
Us Ne Arz Kiya Aaka ﷺ Duaa Farma Deeji’e Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Use Achchhee Tarah Wuzoo Karne Aur Do Rak’at Namaz Padhne Ka Huqm Diya Aur Aur Farmaya Ye Duaa Karna
{ اللهم إني أسألك وأتوجه إليك بمحمد نبي الرحمة.
يا محمد،
إني قد توجهت بك إلى ربي في حاجتي هذه لتقضى. اللهم فشفعه في}
˝Aye Allah Mein Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n Aur Teri Taraf Tawajjo Karta Hoo’n Nabi-E-Rahmat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Waseele Se,
Aye Muhammad SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Me Aap Ke Waseele Se Apne Rab Ki Bargah Me Apni Haajat Pesh Karta Hoo’n Taaki Poori Ho,
Aye Allah Mere Haque Me Sarkar-E-Do Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Shafa’at Qubool Farma.”
رواه الترمذي والنساءي و ابن ماجه و اللفظ له.
وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح،
وقال أبو إسحاق : هذا حديث صحيح،
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين،
وقال الهيثمى؛  حديث صحيح،
وقال الألباني : صحيح.

[Tirmidhi As-Sunan, Volume-05, Page-569, Hadith-3578,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, Volume-06, Page-168, Hadith-10494, 10495,
Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-441, Hadith-1385,
Ibn Khuzaymah As-Sahih, Volume-02, Page-225, Hadith-1219,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Volume-04, Page-138, Hadith-17640, 17242,
Hakim Al-Mustadrak, Volume-01, Page-458, 700, 707, Hadith-1180, 1909, 1929,
Tabarani Al-Muajam-us-Saghir, Volume-01, Page-306, Hadith-508, &
Al-Muajam-ul-Kabir, Volume-09, Page-30, Hadith-8311,
Bukhari At-Tarikh-ul-Kabir, Volume-06, Page-209, Hadith-2192,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, Volume-01, Page-147, Hadith-379,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Volume-01, Page-272, Hadith-1018,
Haythami Majma-uz-Zawa’id, Volume-02, Page-279.

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

DARS-E-QURAN

Aur Quran Padhen;
Noor Paayen;
Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool(Sallallaho AlaiheWasallam)
[Surah Al-Maida ayat no 55]

ALLAH Aur Uskey Rasool (Sallallahu alaihiwasallam) Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya
[Surah Touba ayat no 74]

Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibrael Aur Nek Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay
[Surah Tehreem ayat no 4]

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Abdul Wahab Najdi (Laa’nat Be Upon Him) Ne Likha Hai:-
”Jisne Huzoor ko Waseela Banaya Usne Kufr kiya.”
Book:- [Ad-Darrar Sunniah Safa 39]
*
Ma’az Allah
Ab Dekhte Hain Waseela Kya Hai,
*
Huzoor Alaihissalaam Ne Irshaad Farmaya:-
~*~
”Jab Azaan Suno to Uska Jawaab Do
Aur Mere Waseele Se Dua Maango.”
*
Book:- [Sahih Muslim Safa 203, Hadees 384]
~*~
Allahu Akbar
Allah Hamen Imaan Ke Libaas Mein Chhupe
Shaitaanon Se Bachaye….!!

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Kal 2-SHABAN.
Aalame islam ki Azeem Tareen Shakhsiyat….
Yani imame ummat Sirjae ummat Baniye Usoole fiqah imamul aimmah sayyedna O Maulana Huzoor Pur’Noor imame Azam Abu Hanifa Noman Bin Sabit Koofi Radi’allahu Tala Anh Ka Yaume Wisal Hai………….
Ye Wo Zaate Girami Hai Jinki Taqleed 1400 Saalao Se Ummate Mohammadiya Ke Bade Bade Awliya Asfiya Mohaddiseen Mufassireen Olama Karte Aarahe Hain….
4 imamo Me Aap Sab Se Afzalul Martabah Hain Hatta Ki Imame Shafai Alaihir’rahmah Ko Jab Koi Mushkil Masla Pesh Aata To Aap imam azam ki Mazare AQDAS Pe Hazir Ho Kar Aapke wasile Se Dua Karte aur 2 rakat Namaz Hanfi Tariqe Par Padhte…..
Aur Jab Koi Puchta Ki Aapne Namaz Hanfi Tariqe Par Q Padhi To Farmate Sahebe Mazar ke Ehteram Me…..
Aur imam shafai Farmate Hain……
Fiqah Me Sab ABU HANIFA KI AWLAD Hain.
{Subhan’Allah}
Kal ke Din Aap Sab Apne imam O Mohsin Allah O Rasool Ke Pyare Ladle imam azam abu hanifa Ke Liye Khoob Khoob isale sawab kare…..!
         “AZR GUZAR”           Tanzeem Baraye Faroge Hanfiyat.
“Sunni Jami’atul Ahnaf Mumbai”

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

  WASEELAH. 

Qur’aan :-

يايها الذين امنوا اتقواالله وابتغوآ اليه الوسيلة

📔(Paara-6,Ruku-10)

Tarjumah: –

Aye Imaan walo!
Allah se Daro aur uski Taraf Waseela Dhoondo.

Qur’aan –

ولو انهم اذظلموا انفسهم جآؤك فاستغفروا الله واستغفرلهم الرسول لوجدواالله توابا رحيماً

📓(Paara-5,Ruku-6)

Tarjumah: –

Aur Agar jab Apni Jaano par Zulm karen to Ae Mehboob tumhare Huzoor Muaafi Chahe aur Rasool unki Shafa’at farmaye to wo Zaroor Allah ko bahut tauba Karne wala meharbaan paayen.

Maalum huwa k Bargah-e-Ilahi mey Huzoor SallAllahu Alaihe wa Sallam Ka Waseela aur Aap ki Shafa’at Zariya-e-Nijaat he.

Qur’aan: –

اولئك الذين يدعون يبتغون الى ربهم الوسيلة ايهم اقرب ويرجون رحمته و يخافون عذابه

📔(Paara-15,Ruku-6)

Tarjumah :-

Wo Maqbool bande jinhe ye kafir poojte hey wo khud hi apne Rab ki taraf Waseela Dhoondhte hey k in mey kon zayaada Muqarrab hai uski Rehmat ki Umeed rakhte aur Uske Azaab se Darte hey.

Maalum huwa k Allah Ta’aala Ki Janib Waseelah Talaash karna aur Uske Muqarrab bando ko Waseela jaiz o Mustahsan Aur uske Maqbool bando ka Tareeqa hai…..

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Kya kisi se mangna najaiz hai ? Shirk hai  ?

Jawab 
Gheir ALLAH sey madad mangna jaiz hai, asl main jo koi bhi ALLAH عزوجل k illawa kisi aur sey madad mangta hai tou us ka concept yehi hota hai k haqeeqi atta kerny wali zaat ALLAH عزوجل ki he hai, laikin jis sey madad mangi ja rahi hai wo ALLAH عزوجل k hukm sey humain ALLAH عزوجل sey atta kerwai ga, kisi bhi ahl-e-sunnat sey taaluq rukhney waly ka yeh aqeeda nahi hai k Nabi ya WALI apny aap sey madad kerty hain. Yeh aqeeda Quran-o-Hadees sey sabit hai:

Quran:-“Aur jub wo apni jaano per zulm ker bethen tou aey Mehboob tumhary hazoor hazir hon aur ALLAH sey maafi chahain, aur rasool in ki shifaat fermai, tou zaroor ALLAH bohat tauba qabool kerny wala hai”.(Sura Nissa, verse:64)-“Mominoo, neiki aur perheezgari per main aik dosry ki madad karo”.(Sura Maida, Verse:2)-“Aey gheib ki khabr deinay waly Nabi, tumhary liyay ALLAH kafi hai, aur jitny musalman tumhary peiro hain”.(Sura Anfal, Verse:64)-“Aey eman walo ager tum deen-e-KHUDA ki madad karo gy tou KHUDA tumhari madad kary ga”.(Sura Muhammad, Verse:7)-“Tou beyshak ALLAH inka madadgar hai aur Jibrael, aur eman waly, aur in k baad farishty madad per hain”.(Sura tehreem, Ayat:4)

Ahadees:-AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney Hazrat Syedna Ka’ab رضی الله عنہ sey fermaya:”Maango kya mangty ho, Hazrat Ka’ab رضی الله عنہ ney fermaya, JANNAT main aapka sath mangta hon”.(Sahi Muslim, Mishqat ul Misabih, V:1, Pg:156, Published by Maktaba-al-Mishkaat)-Hazrat Jabir Bin Abdullah Al-Ansari رضی الله عنہ sey riwayat hai, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:”ALLAH عزوجل atta kerta hai aur main bant’ta hon”.(Sahi Bukhari, V:8, Book:73, Number:216)-Hadees shareef main irshad hai k:”Jo shaks kisi hajjat ko hafty k din subah k din qabl-e-tuloo-e- aaftab apny gher sey nikley aur mujh sey hajjat talab kary tou eski hajjat poori kerny ka main zimma leita hon(Kanzul Aamal, Hadees:221)-Aik nabeena SAHABI AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat main hazir hua aur apni ankhon ki binai k liay arz ki, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney SAHABI ko jo dua seekhi wo yeh thi:”Ya RASOOL ALLAH, main aap k zariyay sey ALLAH ki taraf mutawaja hota hon, k aey ALLAH k NABI meri hajjat poori ho”.(Sanan Ibn-e-Maaja, Hadees:336)-Hazrat Utba Bin Ghazwan رضی الله عنہ sey riwayat hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:”Jub tum koi cheez guma betho ya madad ka irada ker lo aur ager tum aisi jaga per ho jahan tumhara koi anees na ho tou es terhan kaho, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO”.(Tibrani Kabeer, Hadees:290) Hazrat Ali رضی الله تعالی عنہ farmate hain ke, Jab HUZOOR صلی اللہ علیہ وسلم ke wisaal farmane ke kuch roz baad ek aaraabi Qabr e Anwar par haazir hua aur Qabr e Anwar ki khaak apne sar par daalne ke baad kehne laga:”YA RASOOLALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Jo kuch aapne farmaya hum ne suna aur Aap se humne Quraan ki ye aayat bhi suni ke:”Jo log apni jaano par zulm kar baithe wo aap ke paas haazir hon.’Aye ALLAH ke RASOOL صلی اللہ علیہ وسلم Main apni jaan par zulm kar baitha hu aur ab gunaahon ki muafi ke liye Aapke paas aaya hun.’Aaraabi ne ye kaha to Qabr Anwar se aawaaz aayi ke, ‘Jaao! ALLAH ne tumhe bakhsh diya.(Hawala: Hujjatullah Alal A’alamin, Safa-777)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

[Waseela]
* Hadees:
Hazrat Umar Jab Bhi,
Hazrat Abbas Ke Wasile Se Dua
Mangte Har Martaba Barish Hoti.
.
(Ref: Bukhari, Jild-1, Page-137)
.
* Al-Quran:
“Nekon Ka Wasila”
Aur Is Se Pehle O Isi Nabi Ke
Wasile Se,
Kafiron Par Fateh Mangte The,
(Ref: Para.1, Ruku-11, Ayat-89)
.
* Hazrat Umar Ne Kaha,
“Aye Logon!
Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam
Ke Cha Cha Hazrat Abbas Ka Dua
Me Wasilo Pakdo.
.
(Ref: Fathulbari, Jild-2)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Allah K Bando Se MADAD MANGNA
Tajdare Do Aalam ﷺ Ne Irsad Farmaya Jab TumMe Kisi Ki Koi Chiz Goom Ho Jaye Aur Madad Maangni Chahe Aur koi Hamdam Na Ho To Yu pukare
Ae Allah K Bando Mearee MADAD Karo Aae Allah k Bando Meree MADAD Karo Aae Allah K Bando Meree MADAD Karo
To Allah K Kuch Aaese Bande Hai Jo NAZAR Nahi Aate U ski Madad Karenge.
 Al Amno Val Oola 300
 Tajdare Do Aalam ﷺ Ne Irsad Farmaya Jab JanGal Me Janwar Chut Jaye To yu Kaho Aae Allah K Bando Use Rok Do Aae Allah K Bando Use Rok Do To Allah k Bande Use Rok Denge.
Al Amno Val Oola 300
Subhanallah Subhanallah
Ulema Ne Likha Hai K Yeh Amal Mujjarub Hai AazMaya Huwa hai.

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Allah Se Dua Karne Me Kisi Nabi Ya Wali Ko Bataure Wasile Ka Zikr Karna
Jaiz Hai. -: (Tirmizi, Jild-2, Safa-198)

★ Wasile se Dua Kabool Hoti Hai:
Farman-e-Quraan-e-Kareem ★ Al-Quran » Allah Paak Ka Irshad-
e-Aalishan Hai Jis Ka Mafoom Hai “Tumhara Madadgar Allah, Uska
Rasool Aur Saleh Momineen Hain” -: (Sura-E-Maida: Ayat-55) Al-
Quran » Beshaq Allah Bhi Madadgar Hai Aur Hazrat Jibraeel Alaihis
Salam Bhi Madadgar Hain Aur Tamam Auliya Allah Bhi Madadgar Hain” -:
(Sureh: Tehreem, Aayat-4)

Allah Ki Taraf Waseela Sarkar (Sallallahu
Ta’ala Alayhi Wasallam) Hain Aur Sarkar Ki Taraf Wasila Sachcha Peer
Hai.

★ Farmaan-E-Gaus-E-Aazam (Radiyallahu Ta’ala Anhu) Jab Tum
Khuda Se Koi Hajaat Talab Karo Toh Mere Wasile Se Talab Karo -:
(Bahjatul Asrar Safa.57)

★ Nabi-E-Paak (Sallallahu Ta’ala Alayhi
Wasallam) Ne Farmaya: Jab Azan Suno Toh Jawaab Do, Phir Mujh Par
Durood Padho, Aur Mere Wasile Se Dua Maango. -: (Sahih Muslim
Safa:203, Hadees:384)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Hadrat Abu Bakr (radiallahu anhu) Ka Aqeeda Tha Ki Aaqa Wa Moula (sallalaho alayhe wasalum) Wisaal e Zahiri K Baad Roza Athar Main Zinda Hain Is Liye Unho Ne Wisaal Se Qa’bl Ye Wasiyat Farmayi Ki :

Mera Jinaza Hazoor (sallalaho alayhe wasallam) Ke Hujra Mubarak Ke Saamne Rakh Dena Aur Ijazat Talb Kar Dena Agar Darwaza Khul Jaye Aur Ijazat Mil Jaye To Mujhe Hujra Mubarak Ke Andhr Dafan Karna Warna Aam Qabristaan Main Dafan Kar Dena Suhaba Kiraam Ne Aisa Hi Kiya Jab Aap Ka Jinaza Roza Aqdas Ke Saamne Rakha Gaya To Darwaza Khul Gaya Aur Roza Aqdas Se Aawaz Aayi Dost Ko Dost Ke Paas Le Aawo.

[ Tafseere Kabeer Jild:5, Safa:685 ]
[ Khasasi’ul Qubra Jild:2, Safa:282 ]

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

::: Waseela Jaayez :::
[1] Sahabi Ki Dua: Aye Allah Me Tujh Se
Maangta Hun Aur Teri Taraf Mohammad
[sallallaho alyh wa sallam] Ka Waseela Laata Hun, Jo Nabiye Rahmat
Hain.
Page-197

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Hazrat Abdullah bin dinar (radiAllaho anho) farmate hain ki maine hazrat Abdullah bin Umar (radiAllaho anhoma) ko hazrat Abu Talib ka ye sher padhte hue suna:
“Wo safed mukhde waale (Muhammad Mustufa sallallaho alayhe wasallam) ki jinke chehra anwar ke tawassulse (waseelese) barish maangi jati hai, yatimo ke waali, bewaon ke sahara hain”.

Hazrat Umar bin Hamza kehte hain ki hazrat salim (bin abdullah bin Umar radiAllaho anho) ne apne waalid majid se rivayat kiya ki kabhi main shayer ki usbaat ko yaad karta aur kabhi huzur Nabi akram (sallallaho alayhe wa aalehe wasallam) ke chehra aqdas ko takta ki us (rukh e zeba) ke tawassul se barish maangi jaati toh aap sallallaho alayhe wasallam (abhi mimber se) neeche bhi tashrif na laate ki saare parnale behne lagte.Mazkura bala sher hazrat Abu Talib ka hai”

(Sahih Bukhari-kitabul astaska, 342/1.
Ibne Maaja 405/1.
Ahmad bin hambel fil masnad 93/2.
Behki filsunan 352/3.
Wal khatibul bahgdadi fitarikh baghdad 386/14.
Wal askalani fitagliq al ta’alik 389/2.
Ibne kasir filbadaya walnihaya 2/4.
Wal mazi fitahfat alshraf 359/5.

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥



Imam Moosa Kazim (Radiallaho Taala Anho) Ki Qabr Se Barkat Ka Haasil Karna:



Jab Mujhe Koi Mushkil Aa Jaati Toh Main Imam Moosa Bin Ja’ffar (Radiallaho Taala Anho) Ki Qabr Par Jakar Unko Waseela Banaata Toh Jaise Main Chahta Allah Ta’ala Waise Hi Mere Liye Raasta Nikaal Deta.”

Khateeb Baghdadi, Tareekh Al-Baghdad, 1:120.

Imam-ul-Muhaddiseen Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Farmatey hain:

Imam Moosa Kazim (Radiallaho Taala Anho) Ki Qabr-E-Anwar Dua’on Ki Qubooliyat Ke Liye Asardaar Jagah Hai.”

Abdul Haq Muhaddis Dehelvi, Ash’atul Lam’aat Shar’ha Mishkat-ul-Masabeeh, 2:923.}

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

H.Umar Faruq r.a se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ne farmaya,
Jab Aadam alaihe salam se ek khata sarzad ho gayi aur fir unhone ALLAH se is tarah dua ki,
”Aye Allah, mai Muahammed sallallaho alaihewasallam ke waseele se tujhse dua mangta hu, mujhe maaf kar de,”
to Allah Taala ne pucha, ‘Tumne Muhammed sallallaho alaihe wasallam ko kaise jaana?’
to H.Aadam alaihe salam ne farmaya: Jab tune mujhe banaya tha tab maine apna sar upar ki taraf uthaya to dekha ki Arsh likha tha,
‘LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH’
tab mai samajh gaya ki inka maqam bahot Aalaha hai,
warna tumne ye naam apne naam ke sath nahi likha hota,
ALLAH TAALA ne farmaya:
”Maine tumhe bakhsh diya, aur wo tumhari hi aulado me se mere Akhri Rasool honge, aur maine unhi ke sadqe tumhe paida farmaya hai.”
.
Dusri Riwayat me hai ki
Jab ALLAH TAALA ne asman-o-zameen ko paida farmaya to
Arsh ke khambo per, Jannat ke darwazo per, Darakhto ki pattiyo par likha tha ki MUHAMMED sallallaho alaihe wasallam akhri Rasool hain,
.
Ye dono Riwayaten Saheeh hain,
[ Fatawa Ibn Taymiyya , vol. 2, page 150; also Ta’rikh Ibn Kathir , chapter on ‘Story of Adam’]
[Tabarani Mu’jam Al-Ausat Volume 006, Page No. 313-314, Hadith Number 6502]

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Hum Rasool se Kyon na Mange,
Jab ke Huzur Sallallaaho Alaihe
Wasallam Farmate hai,
“Innama Ana Qasimun Wallaho
Yuti”
“Beshak Allah deta hai
Aur main Taqsim Karta hun”

(Bukhari Sharif, Vol. 1, Page 16)

Kya Allah ke Siwa bhi
koyi Madadgar hai?
Sarkar Sallallaaho Alaihe Wasallam
Farmate hai,
“Beshak, Ali mujh se hai Aur main
Ali se hun, Aur Ali Har Momin ke
madadgar hai, Mere Baad.”

(Tirmiji Sharif, Vol. 2, Pg.212).

Asal me ye madad Allah ta’ala hi ki madad hoti hai mager wasila koi Allah Rabbul Alameen ke mehbub bande bante hain jesa ke hadis sharif se sabit hai.
Alhumdulillah

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

“Hazrat Aboo Jauza Ows Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu
Se Marwi Hai Ki Aik Martaba Madina Munawwara Ke Log Sakht
Qahat (Akaal) Me Mubtila Ho Gaye To Unhone Hazrat Aaisha
RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Shikaayat Kee.
Ummul Momineen Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne
Farmaya :
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ki Qabr-E-Anwar (Ya’ani Rawza-E-Aqdas) Ke Paas Jaao
Aur Waha’n Se Ek Khidaki Aasmaan Ki Taraf Is Tarah Kholo Ki
Qabr-E-Anwar Aur Aasmaan Ke Darmiyaan Ko’i Parda Beech Me
Na Rahe.
Riwayat Karne Waale Kahte Hain Ki Logon Ne Aisa Hee Kiya To
Bahut Zyaada Baarish Huwee Yaha’n Tak Ki Khoob Sabza Ugh
Aaya Aur Oont Itne Mote Ho Gaye Ki (Mahsoos Hota Thaa) Jaise
Vo Charbee Se Phat Padenge.
Lihaaza Us Saal Ka Naam Hee ˝ ﻋﺎﻡ ﺍﻟﻔﺘﻖ “ (Pet) Fatne Ka Saal Rakh
Diya Gaya.”

[Darimi As-Sunan, 01/56, Raqam-92,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, 04/400, Raqam-5950,
Ibn Jawzi Al-Wafa Bi Ahwa Lil-Mustafa ﷺ , 02/801 ,
Taqiuddin Subki Shifa-us-Siqaam, 01/128,
Qastalani Al-Mawahib-ul-Laduniyah, 04/276,
Sharh Zurqani, 11/150,

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Question- Wahabi, Deobandi Kahte Hain Ki Huzur Alaihissalam Kuch Dete Nahi,
Huzur Alaihiissalam se kuch nahi
maangna chahiye……….                                                Lekin Hadees Se Saabit Hain Ki Huzur Alaihissalam Ne Apne Sahabi Ko Duniya Mein Hi Jannat Ata farmayi Sarkar Ke Jalilul Qadr Sahabi Hain Hazrat E Ra’bia Ibn E Qa’ab Hain Hazrat E Ra’bia Farmate Hain Ki Mein Aaqa Ki Bargah Mein Rehta Tha, Aaqa Ki Khidmat Karta Tha Aaqa Ke Wuzu Karne Ke Liye Paani Laya Karta Tha, Huzur Alaihisalam ke Gusl Karne Ke Liye Paani Laya Karta Tha, Ek Din Maalik E Jannat Qaasim E Naiymat Ki Baargah Mein Mene Paani Paish Kiya To Aaqa Ne Farmaya, “SAL YA RA’BIA ” Tarjuma-Huzur Ne Farmaya Ra’bia Jo Kuch Maangna Chahte Ho Maang Lo, Huzur Alaihisalam Ne Aam Aylaan Farmaya..
Mukhtar E Kaynat Ne Farmaya Ijjat ,
Shohrat, Bulandi, Sona-Chandi, Maal, Zameen, Ghar, Ilm O Hunar, Duniya Etc. Jo Kuch Bhi Chahte Ho Maang Lo.. Sahabi Ne Arz Ki “YA RASOOL ALLAH Azmat Nahi Chahiye, Shohrat Nahi Chahiye, Sona-Chandi KI Jaroorat Nahi Aaqa, Dolat Aur Sarwat Ki Haajat Nahi Aaqa… To Huzur Ne Farmaya, “ Kya Chahte Ho Bolo ?                                                                                           YA RASOOL ALLAH Mein Jannat Mein Aap Ki Rif’aqat Chahta Hun. To Huzur Ne Farmaya Ki, “ Lo Jannat Ki Ri’afaqat Mene Tumhe Ata Farma Di…
Aur Kuch Chahiye To Bolo …..                                            To Sahabi Arz Karte Hain Ki Aaqa Aap Mil Gaye To Sab Kuch Mil Gaya….                 (Subhan ALLAH)
Hadees- Mishkat Shareef Page No.84
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

“Iman e Abutalib Alehissalam”
Jab Huzoor Sallallaho Aleh Wa Sallam Ki Umr 2 Saal Thi Tab Hazrat Abu Talib Ne Apko Kabe se Laga kar  Aapke Wasile Se Dua Mangi
Aor Barish Huyi
Jabki Log Us Waqt Buto se Mangte The
Yani Log Huzoor Ki Naboowat ke Baad Iman La Rahe The
Aor Ap 2 Sal ki Umr shreef wale Nabi pe Iman Le Ay

Ref.
Sahi Bukhari
Jild= Awwal..
Safa=324
Page.no=963
OR YAHI WAQIYA
IMAM BAHEKI NE NAQL FARMAYA HE…
KITAB=ASSANATUL QUBRA
Jild=3
Safa=451
Hadeesh no=6425
IMAM BUKHARI SAHI BUKHARI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

Wahabi Kya Tu Us Waqt Mushrik Nahin Hota? ?

Jab Tu Apne Maulwee Ya Apne kisee Azeez Ki Tareef Karta Hey……
……HaaLaanki Tamaam Tareefein Allah Hee ke Liye
الحمد لله رب العالمين
(Sura e Fatiha: 1)

Jab TuApne Olama Ko MauLaana Kehta Hey ….
…….HAALAANKI MauLana To ALLAH  Ki
Zaat Hey

انت مولانا فانصرنا علي القوم الكافرين
(Sure AL Baqarah:286)

Jab Tu Apne Baap Ya Apne Kisee AaLim Ki Izzat Karta Hey….
……HAALAANKI  izzat To Saari ALLAH Hee Ke Liye
فان العوة لله جميعا
(Sure An Nisaa:  139)

Jab Tu Apne Aap Ko Momin Kehta Hey …
……Q KI Momin To ALLAH Ki Zaat Hey
هو الله الذي لا اله الا هو الملك القدوس السلام المؤمن المهيمن العزيز الجبار المتكبر سبحان الله عما يشركون
(Sure Al Hashr: 23)

Jab Tu WakeeL Banta Hey Ya Kisee Ko Banaata Hey..
…..Q ki WakeeL To Sirf Allah Ki Zaat Hey
حسبنا الله ونعم الوكيل
(Sure ALe Al Imraan: 173)

Jab Tu Hakeem Banta Hey….
Q KI Hakeem To Sirf  ALLAH ki Zaat Hey
يا موسى انه انا الله العزيز الحكيم
(Sure An NamL: 9)

Jab Tu Haafiz Banta Hey…
Q ki Haafiz To Sirf ALLAH PAAK Ki Zaat Hey
انا نحن نزلنا الذكر وانا له لحافظون
(Sure Al Hajr: 9)

Jab Tu Kisee Cheez (Makaan’ Dukaan’ Jagah Vagaira) Ka MaaLik Banta Hey..
…Q ki Har Cheez Ka MaaLik ALLAH PAAK Ki Zaat Hey
ولله ملك السماوات والأرض و الله على كل شيء قدير
(Sure Ale AL Imran :189)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

No comments:

Post a Comment