Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Apne Bhai Ka Khat Us Kee Ijaazat Ke Baghair (Khol Kar) Dekha To Beshak Us Ne (Dozakh Kee) Aag Me Dekha.”
“Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Aik Aur Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Apne (Musalman) Bhai Ke Khat Me Us Kee Ijaazat Ke Baghair Ghauro Fikr Karta Hai (Ya’ni Use Padhta Hai Ya Us Ki Justajoo Karta Hai To) Woh To Bas (Dozakh Ki) Aag Me Jhaank Raha Hai.”
–
رواه أبو داود والطبراني والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Aboo Dawood As-Sunan, 02/78, Raqam-1485,
Hakim Al-Mustadrak, 04/300, 301, Raqam-7706, 7707,
Tabarani Musnad-ush-Shamiyyin, 02/328, Raqam-1432, &
Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/320, Raqam-10781,
Kada’i Musnad-sh-Shahab, 01/284, Raqam-464,
Abd Bin,Humayd Al-Musnad, 01/225, Raqam-675.]
“Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Tumhari Kisi Shay Se Muhabbat Tumhein Andha Aur Behra Kar Deti Hai (Ya’ni Apne Mehboob Ke Khilaaf Insaaf Kuchh Dekhna, Sun’na Gawaara Nahin Karta).”
–
[Aboo Dawood As-Sunan, 04/334, Raqam-5130,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/334, Raqam-4359, &
Musnad-ush-Shamiyyin, 02/340, Raqam-1454,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/368, Raqam-411,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 02/143, Raqam-2728.]
“Hazrat Iyaz Bin Himar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Ne Meri Taraf Wahee Kee Hai Ki Tawaazoa (Be Inkisaari) Ikhtiyaar Karo Aur Koi Shakhs (Apne Aap Ko Behtar Samajhte Huwe) Kisi Doosare Par Fakhr Na Kare Aur Na Koi Kisi Par Zulm Kare.”
–
[Muslim As-Sahih, 04/2198, Raqam-2865,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1399, Raqam-4179,
Bazar Al-Musnad, 08/424, Raqam-3495,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 10/234, Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/364, Raqam-1000.]
“Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya. :
Do² Moo’nh Rakhne Waala Shakhs Intihaayi Bure Logon Me Se Hai Jo Aik Ke Moo’nh Par Kuchh Kehta Hai Aur Doosare Ke Moo’nh Par Kuchh.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 06/2626, Raqam-6757, &
03/1288, Raqam-3304,
Muslim As-Sahih, 04/2011, Raqam-2526,
Tirmidhi As-Sunan, 04/374, Raqam-2025,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/268, Raqam-4872,
Malik Al-Muwatta’, 02/991, Raqam-1797.]
“Hazrat Ammar (Bin Yasir) RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Jo Duniya Me Do² Moo’nh Rakhe (Ya’ni Jis Me Doglapan Ho) To Qayamat Ke Din Us Ke Moo’nh Me Do² Aag Ki Zubaane Hogi.”
–
[Aboo Dawood As-Sunan, 04/268, Raqam-4873,
Ibn Hibban As-Sahih, 13/68, Raqam-5756,
Darimi As-Sunan, 02/405, Raqam-2764,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 05/223, Raqam-25463,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 10/246,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 03/204, Raqam-1637.]
No comments:
Post a Comment